الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ رُؤْيَا اللَّيْلِ:
Raat ke khwaab ka bayaan.
Hadith Number: Q6998
رواه سمرة
Ise Samura ne riwayat kiya hai.
Hadith Number: 6998
حدثنا احمد بن المقدام العجلي، حدثنا محمد بن عبد الرحمن الطفاوي، حدثنا ايوب عن محمد، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اعطيت مفاتيح الكلم، ونصرت بالرعب، وبينما انا نائم البارحة إذ اتيت بمفاتيح خزائن الارض حتى وضعت في يدي"، قال ابو هريرة: فذهب رسول الله صلى الله عليه وسلم وانتم تنتقلونها.
`Hum se Ahmad bin Miqdam al-Ajli ne bayan kiya ‘ kaha hum se Muhammad bin Abdur Rahman al-Tafawi ne bayan kiya ‘ un se Ayub ne bayan kiya ‘ un se Muhammad ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mujhe «Mafateeh-ul-Kalim» diye gaye hain aur ru'b ke zariya meri madad ki gayi hai aur guzashta raat mein soya hua tha ke zameen ke khazanon ki kunjiyaan mere paas layi gayeen aur mere samne unhein rakh diya gaya.“ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم to is duniya se tashreef le gaye aur tum in khazanon ki kunjiyoon ko ulat pulat kar rahe ho ya nikal rahe ho ya loot rahe ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6999
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اراني الليلة عند الكعبة، فرايت رجلا آدم كاحسن ما انت راء من ادم الرجال، له لمة كاحسن ما انت راء من اللمم، قد رجلها تقطر ماء، متكئا على رجلين او على عواتق رجلين، يطوف بالبيت، فسالت من هذا؟، فقيل: المسيح ابن مريم، ثم إذا انا برجل جعد قطط اعور العين اليمنى كانها عنبة طافية، فسالت من هذا؟، فقيل المسيح الدجال".
`Hum se Abdullah bin Maslama ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne, un se Nafi' ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Raat mujhe Ka'ba ke paas (khwab mein) dikhaya gaya. Mein ne ek gandumi rang ke aadmi ko dekha wo gandumi rang ke kisi sab se khoobsurat aadmi ki tarah thay, un ke lambe khoobsurat baal thay in sab se khoobsurat baalon ki tarah jo tum dekh sake ho ge. In mein unhon ne kangha kiya hua tha aur pani un se tapak raha tha aur wo do aadmiyon ke sahare ya (yeh farmaya ke) do aadmiyon ke shanon ke sahare Baitullah ka tawaf kar rahe thay. Mein ne poocha ke yeh kaun sahab hain. Mujhe bataya gaya ke yeh Maseeh ibn-e-Maryam Alaihimas-Salam hain. Phir achanak mein ne ek ghoongriyale baal wale aadmi ko dekha jis ki ek aankh kaani thi aur angoor ke daane ki tarah uthi hui thi, mein ne poocha yeh kaun hai? Mujhe bataya gaya ke yeh Maseeh Dajjal hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7000
حدثنا يحيى، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، ان ابن عباس، كان يحدث ان رجلا اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: إني اريت الليلة في المنام وساق الحديث، وتابعه سليمان بن كثير، وابن اخي الزهري، وسفيان بن حسين، عن الزهري، عن عبيد الله، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال الزبيدي، عن الزهري،عن عبيد الله، ان ابن عباس، او ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال شعيب، وإسحاق بن يحيى، عن الزهري، كان ابو هريرة، يحدث عن النبي صلى الله عليه وسلم، وكان معمر لا يسنده حتى كان بعد.
`Hum se Yahya ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Abdullah ne ke Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke ek sahab Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein aaye aur kaha ke mein ne raat ko khwab dekha hai aur unhon ne waqia bayan kiya aur is riwayat ki mutabi'at Sulaiman bin Kaseer, Zuhri ke bhatije aur Sufyan bin Husain ne Zuhri se ki, un se Ubaidullah ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se riwayat kiya, aur Zubaidi ne Zuhri se bayan kiya, un se Ubaidullah ne aur un se Ibn Abbas aur Abu Hurairah Radi Allahu Anhuma ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se aur Shuaib aur Ishaq bin Yahya ne Zuhri se bayan kiya ke Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se bayan karte thay, aur Ma'mar ne ise muttasilan nahi bayan kiya lekin baad mein muttasilan bayan karne lage thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الرُّؤْيَا بِالنَّهَارِ:
Din ke khwaab ka bayaan.
Hadith Number: Q7001
وقال ابن عون عن ابن سيرين رؤيا النهار مثل رؤيا الليل.
Aur Ibn Aun ne Ibn Sireen se naql kiya ke din ke khwab bhi raat ke khwab ki tarah hain.
Hadith Number: 7001
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، انه سمع انس بن مالك، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخل على ام حرام بنت ملحان، وكانت تحت عبادة بن الصامت، فدخل عليها يوما، فاطعمته، وجعلت تفلي راسه، فنام رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم استيقظ وهو يضحك.
`Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne aur unhon ne Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se suna ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم Umm-e-Haram bint Milhan Radi Allahu Anha ke haan tashreef le jaya karte thay, wo Ubada bin Samit ke nikah mein theen. Ek din Aap un ke yahan gaye to unhon ne Aap ke samne khane ki cheez pesh ki aur Aap ka sar jhaadne lageen. Is arsa mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم so gaye phir bidaar hue to Aap صلی اللہ علیہ وسلم muskura rahe thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7002
قالت: فقلت: ما يضحكك يا رسول الله؟، قال: ناس من امتي عرضوا علي غزاة في سبيل الله، يركبون ثبج هذا البحر، ملوكا على الاسرة او مثل الملوك على الاسرة، شك إسحاق، قالت: فقلت: يا رسول الله، ادع الله ان يجعلني منهم، فدعا لها رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم وضع راسه ثم استيقظ وهو يضحك، فقلت: ما يضحكك يا رسول الله؟، قال: ناس من امتي عرضوا علي غزاة في سبيل الله كما قال في الاولى، قالت: فقلت: يا رسول الله ادع الله ان يجعلني منهم، قال: انت من الاولين"، فركبت البحر في زمان معاوية بن ابي سفيان، فصرعت عن دابتها حين خرجت من البحر، فهلكت.
`Unhon ne kaha ke mein ne is par poocha: ya Rasul Allah! Aap kyun hans rahe hain? Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke meri ummat ke kuch log mere samne Allah ke raste mein gazwa karte hue pesh kiye gaye, is darya ki pusht par, wo is tarah sawar hain jaise badshah takht par hote hain. Ishaq ko shakk tha (hadees ke alfaz «Mulookan alal asirrati» thay ya «Misla-al mulooki alal asirrati») unhon ne kaha ke mein ne is par arz kiya: ya Rasul Allah! dua kijiye ke Allah mujhe bhi un mein se kar de. Chunancha Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne un ke liye dua ki phir Aap ne sar mubarak rakkha (aur so gaye) phir bidaar hue to muskura rahe thay. Mein ne arz kiya: ya Rasul Allah! Aap kyun hans rahe hain. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke meri ummat ke kuch log mere samne Allah ke raste mein gazwa karte pesh kiye gaye. Jis tarah Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne pehli martaba farmaya tha. Bayan kiya ke mein ne arz kiya: ya Rasul Allah! Allah se dua karein ke mujhe bhi un mein se kar de. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke tum sab se pehle logon mein ho gi. Chunancha Umm-e-Haram Radi Allahu Anha, Muawiya Radi Allahu Anhu ke zamana mein samandari safar par gayeen aur jab samandar se bahar aayin to sawari se gir kar shaheed ho gayeen.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ رُؤْيَا النِّسَاءِ:
Auraton ke khwaab ka bayaan.
Hadith Number: 7003
حدثنا سعيد بن عفير، حدثني الليث، حدثني عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني خارجة بن زيد بن ثابت، ان ام العلاء، امراة من الانصار، بايعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، اخبرته" انهم اقتسموا المهاجرين قرعة، قالت: فطار لنا عثمان بن مظعون وانزلناه في ابياتنا، فوجع وجعه الذي توفي فيه، فلما توفي غسل وكفن في اثوابه، دخل رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: رحمة الله عليك ابا السائب فشهادتي عليك لقد اكرمك الله، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: وما يدريك ان الله اكرمه؟، فقلت: بابي انت يا رسول الله، فمن يكرمه الله، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اما هو فوالله لقد جاءه اليقين والله إني لارجو له الخير، ووالله ما ادري وانا رسول الله ماذا يفعل بي"، فقالت: والله لا ازكي بعده احدا ابدا.
`Hum se Said bin Afir ne bayan kiya, kaha mujh se Laith bin Saad ne bayan kiya, kaha mujh se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, unhein Kharija bin Sabit ne khabar di ‘ unhein Umm-e-Ala Radi Allahu Anha ne jo ek Ansari aurat theen jinhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se bai'at ki thi khabar di ke unhon ne Muhajireen ke saath silsila-e-ukhuwat qaim karne ke liye qur'a andazi ki to hamara qur'a Usman bin Maz'oon Radi Allahu Anhu ke naam nikla. Phir hum ne unhein apne ghar mein thehraya. Is ke baad unhein ek bimari ho gayi jis mein un ki wafat ho gayi. Jab un ki wafat ho gayi to unhein gusl diya gaya aur un ke kapron ka kafan diya gaya to Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم tashreef laye. Mein ne kaha Abu al-Sa'ib (Usman Radi Allahu Anhu) tum par Allah ki rehmat ho, tumhare mutalliq meri gawahi hai ke tumhein Allah ne izzat bakhshi hai? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne is par farmaya ke tumhein kaise maloom hua ke Allah ne unhein izzat bakhshi hai. Mein ne arz kiya, mere maan baap Aap par qurban hon ya Rasul Allah! phir Allah kise izzat bakhshe ga? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya, jahan tak in ka talluq hai to yaqeeni cheez (maut) un par aa chuki hai aur Allah ki qasam mein bhi un ke liye bhalayi ki umeed rakhta hoon aur Allah ki qasam mein Rasul Allah hone ke bawajood hatmi taur par nahi jaanta ke mere saath kya kiya jaye ga. Unhon ne is ke baad kaha ke Allah ki qasam is ke baad mein kabhi kisi ki bara'at nahi karoon gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7004
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، بهذا، وقال:" ما ادري ما يفعل به، قالت: واحزنني فنمت فرايت لعثمان عينا تجري، فاخبرت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: ذلك عمله.
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di aur unhein Zuhri ne yahi hadees bayan ki aur bayan kiya ke (Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke) mein nahi jaanta ke mere saath kya kiya jaye ga. Unhon ne bayan kiya ke is ka mujhe ranj hua. (ke Usman Radi Allahu Anhu ke mutalliq koi baat yaqeen ke saath maloom nahi hai) chunancha mein so gayi aur mein ne khwab mein dekha ke Usman Radi Allahu Anhu ke liye ek jaari chashma hai. Mein ne is ki ittela Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko di to Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke yeh in ka naik amal hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحُلْمُ مِنَ الشَّيْطَانِ:
Bura khwaab shaitaan ki taraf se hota hai.
Hadith Number: Q7005
فإذا حلم فليبصق عن يساره وليستعذ بالله عز وجل.
Pas agar koi bura khwab dekhe to bayein taraf thook de aur Allah Azza wa Jalla ki panah talab kare, yaani «A'oozu billahi minash-shaitanir-rajeem» parhe.