الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ وَقْتِ الْمَغْرِبِ:
Bab: Maghrib ki namaz ke waqt ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q559
وقال عطاء: يجمع المريض بين المغرب والعشاء.
Aur Ata bin Abi Rabah ne kaha ke mareez isha aur maghrib dono ko ek sath jama kar le ga .


Show diacritics
Hadith Number: 559
حدثنا محمد بن مهران، قال: حدثنا الوليد، قال: حدثنا الاوزاعي، قال: حدثنا ابو النجاشي صهيب مولى رافع بن خديج، قال: سمعت رافع بن خديج، يقول:" كنا نصلي المغرب مع النبي صلى الله عليه وسلم فينصرف احدنا وإنه ليبصر مواقع نبله".
Hum se Muhammad bin Mehran ne bayan kiya , kaha hum se Waleed bin Muslima ne , unhon ne kaha ke hum se Abdur Rahman bin Amr Awzai ne bayan kiya , kaha mujh se Abul Najashi ne bayan kiya , un ka naam Ata bin Suhaib tha aur yeh Rafi bin Khudaij raziyallahu anhu ke ghulam hain . Unhon ne kaha ke mein ne Rafi bin Khudaij se suna aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke hum maghrib ki namaz Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke sath parh kar jab wapas hote aur teer andazi karte to itna ujala baqi rehta tha ke ek shakhs apne teer girne ki jagah ko dekhta tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 560
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا محمد بن جعفر، قال: حدثنا شعبة، عن سعد، عن محمد بن عمرو بن الحسن بن علي، قال: قدم الحجاج فسالنا جابر بن عبد الله، فقال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الظهر بالهاجرة، والعصر والشمس نقية، والمغرب إذا وجبت، والعشاء احيانا واحيانا إذا رآهم اجتمعوا عجل، وإذا رآهم ابطوا اخر، والصبح كانوا او كان النبي صلى الله عليه وسلم يصليها بغلس".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne , kaha hum se Shoba bin Hajjaj ne Saad bin Ibrahim se , unhon ne Muhammad bin Amr bin Hasan bin Ali se , unhon ne kaha ke Hajjaj ka zamana aaya aur woh namaz der kar ke parhaya karta tha is liye hum ne Jabir bin Abdullah raziyallahu anhuma se is ke baray mein poocha to unhon ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam zuhr ki namaz theek dopahar mein parhaya karte thay . Abhi sooraj saaf aur roshan hota to namaz asr parhate . Namaz maghrib waqt aate hi parhate aur namaz isha ko kabhi jaldi parhate aur kabhi der se . Jab dekhte ke log jama ho gaye hain to jaldi parha dete aur agar log jaldi jama na hote to namaz mein der karte . Aur logon ka intizar karte aur subah ki namaz sahaba raziyallahu anhuma ya yeh kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam andhere mein parhte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 561
حدثنا المكي بن إبراهيم، قال: حدثنا يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة، قال:" كنا نصلي مع النبي صلى الله عليه وسلم المغرب إذا توارت بالحجاب".
Hum se Maki bin Ibrahim ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yazid bin Abi Ubaid ne bayan kiya Salama bin Akwa raziyallahu anhu se , farmaya ke hum namaz maghrib Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke sath is waqt parhte thay jab sooraj parde mein chhup jata .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 562
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا عمرو بن دينار، قال: سمعت جابر بن زيد، عن عبد الله بن عباس، قال:" صلى النبي صلى الله عليه وسلم سبعا جميعا وثمانيا جميعا".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shoba ne bayan kiya , kaha hum se Amr bin Dinar ne bayan kiya , kaha mein ne Jabir bin Zaid se suna , woh Ibn Abbas raziyallahu anhuma ke wastay se bayan karte thay . Aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne saat rakaten maghrib aur isha ki ek sath aath rakaten zuhr aur asr ki namazen ek sath parhin .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ كَرِهَ أَنْ يُقَالَ لِلْمَغْرِبِ الْعِشَاءُ:
Bab: Is bare mein jis ne maghrib ko isha kehna makrooh jaana.
Show diacritics
Hadith Number: 563
حدثنا ابو معمر هو عبد الله بن عمرو، قال: حدثنا عبد الوارث، عن الحسين، قال: حدثنا عبد الله بن بريدة، قال: حدثني عبد الله المزني، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لا تغلبنكم الاعراب على اسم صلاتكم المغرب"، قال: الاعراب وتقول هي: العشاء.
Hum se Abu Mamar ne bayan kiya , jo Abdullah bin Amr hain , kaha hum se Abdul Warith bin Saeed ne Hussain bin Dhakwan se bayan kiya , kaha hum se Abdullah bin Buraida ne , kaha mujh se Abdullah Muzani raziyallahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya , aisa na ho ke maghrib ki namaz ke naam ke liye arab yani dehati logon ka muhawara tumhari zubanon par charh jaye . Abdullah bin Mughaffal raziyallahu anhu ne kaha ya khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke badwi maghrib ko isha kehte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذِكْرِ الْعِشَاءِ وَالْعَتَمَةِ وَمَنْ رَآهُ وَاسِعًا:
Bab: Isha aur atmah ka bayan aur jo ye dono naam lene mein koi haraj nahi khayal karte.
Show diacritics
Hadith Number: Q564
قال ابو هريرة: عن النبي صلى الله عليه وسلم، اثقل الصلاة على المنافقين العشاء والفجر، وقال: لو يعلمون ما في العتمة والفجر، قال ابو عبد الله: والاختيار ان يقول العشاء، لقوله تعالى: ومن بعد صلاة العشاء سورة النور آية 58 ويذكر عن ابي موسى، قال: كنا نتناوب النبي صلى الله عليه وسلم عند صلاة العشاء فاعتم بها، وقال ابن عباس، وعائشة: اعتم النبي صلى الله عليه وسلم بالعشاء، وقال بعضهم: عن عائشة، اعتم النبي صلى الله عليه وسلم بالعتمة، وقال جابر: كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي العشاء، وقال ابو برزة: كان النبي صلى الله عليه وسلم يؤخر العشاء، وقال انس: اخر النبي صلى الله عليه وسلم العشاء الآخرة، وقال ابن عمر، وابو ايوب، وابن عباس رضي الله عنهم: صلى النبي صلى الله عليه وسلم المغرب والعشاء.
Abu Hurairah raziyallahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se naql kar ke farmaya , ke munafiqeen par isha aur fajr tamam namazon se zyada bhari hain , aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke kash! woh samajh sakte ke atma isha aur fajr ki namazon mein kitna sawab hai . Abu Abdullah Imam Bukhari rahimahullah kehte hain ke isha kehna hi behtar hai . Kyunke irshad bari hai wa min baad salat al-isha mein Quran ne is ka naam isha rakh diya hai Abu Moosa Ashari raziyallahu anhu se riwayat hai ke hum ne isha ki namaz Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki masjid mein parhne ke liye bari muqarrar kar li thi . Ek martaba aap ne isay raat gaye parha . Aur Ibn Abbas raziyallahu anhuma aur Aisha raziyallahu anha ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne namaz isha der se parhi . Baaz ne Aisha raziyallahu anha ne naql kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne atma ko der se parha . Jabir raziyallahu anhu ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam isha parhte thay . Abu Barza Aslami raziyallahu anhu ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam isha mein der karte thay . Anas raziyallahu anhu ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam aakhri isha ko der mein parhte thay . Ibn Umar , Abu Ayyub aur Ibn Abbas raziyallahu anhum ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne maghrib aur isha parhi .


Show diacritics
Hadith Number: 564
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا يونس، عن الزهري، قال سالم: اخبرني عبد الله، قال: صلى لنا رسول الله صلى الله عليه وسلم ليلة صلاة العشاء وهي التي يدعو الناس العتمة، ثم انصرف فاقبل علينا، فقال:" ارايتم ليلتكم هذه، فإن راس مائة سنة منها لا يبقى ممن هو على ظهر الارض احد".
Hum se Abdan Abdullah bin Usman ne bayan kiya , unhon ne kaha humein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha humein Yunus bin Yazid ne khabar di Zuhri se ke Salim ne yeh kaha ke mujhe mere walid Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne khabar di ke ek raat Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne humein isha ki namaz parhayi . Yahi jisay log atma kehte hain . Phir humein khitab karte hue farmaya ke tum is raat ko yaad rakhna . Aaj jo log zinda hain ek sau saal ke guzarne tak roye zameen par un mein se koi bhi baqi nahi rahe ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَقْتِ الْعِشَاءِ إِذَا اجْتَمَعَ النَّاسُ أَوْ تَأَخَّرُوا:
Bab: Namaz-e-isha ka waqt jab log (jaldi) jama’ ho jayen ya jama’ hone mein der kar den.
Show diacritics
Hadith Number: 565
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا شعبة، عن سعد بن إبراهيم، عن محمد بن عمرو هو ابن الحسن بن علي، قال: سالنا جابر بن عبد الله عن صلاة النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" كان يصلي الظهر بالهاجرة، والعصر والشمس حية، والمغرب إذا وجبت، والعشاء إذا كثر الناس عجل وإذا قلوا اخر، والصبح بغلس".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hum se Shoba Hajjaj ne Saad bin Ibrahim se bayan kiya , woh Muhammad bin Amr se jo Hasan bin Ali bin Abi Talib ke bete hain , farmaya ke hum ne Jabir bin Abdullah raziyallahu anhuma se Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki namaz ke baray mein darayaf kiya . To aap ne farmaya ke aap namaz zuhr dopahar mein parhte thay . Aur jab namaz asr parhte to sooraj saaf roshan hota . Maghrib ki namaz wajib hote hi ada farmate , aur isha mein agar log jaldi jama ho jate to jaldi parh lete aur agar aane walon ki tadaad kam hoti to der karte . Aur subah ki namaz munh andhere mein parha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ الْعِشَاءِ:
Bab: Namaz-e-isha (ke liye intezar karne) ki fazilat.
Show diacritics
Hadith Number: 566
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، ان عائشة اخبرته، قالت:" اعتم رسول الله صلى الله عليه وسلم ليلة بالعشاء، وذلك قبل ان يفشو الإسلام، فلم يخرج، حتى قال عمر: نام النساء والصبيان فخرج، فقال لاهل المسجد: ما ينتظرها احد من اهل الارض غيركم".
Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth ne Aqeel ke wastay se bayan kiya , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne Urwah se ke Aisha raziyallahu anha ne unhein khabar di ke ek raat Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne isha ki namaz der se parhi . Yeh Islam ke phelnay se pehle ka waqia hai . Aap salla Allahu alaihi wa sallam is waqt tak bahar tashreef nahi laye jab tak Umar raziyallahu anhu ne yeh na farmaya ke auraten aur bache sab so gaye . Pas aap salla Allahu alaihi wa sallam tashreef laye aur farmaya ke tumhare ilawa duniya mein koi bhi insaan is namaz ka intizar nahi karta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة