الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ وَقْتِ الْفَجْرِ:
Bab: Namaz-e-fajr ka waqt.
Show diacritics
Hadith Number: 576
ح حدثنا حسن بن صباح، سمع روحا، حدثنا سعيد، عن قتادة، عن انس بن مالك،" ان نبي الله صلى الله عليه وسلم، وزيد بن ثابت تسحرا، فلما فرغا من سحورهما قام نبي الله صلى الله عليه وسلم إلى الصلاة فصلى"، قلنا لانس: كم كان بين فراغهما من سحورهما ودخولهما في الصلاة؟ قال: قدر ما يقرا الرجل خمسين آية.
Hum se Hasan bin Sabah ne yeh hadees bayan ki , unhon ne Rooh bin Ubada se suna , unhon ne kaha hum se Saeed ne bayan kiya , unhon ne Qatada se riwayat kiya , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam aur Zaid bin Thabit raziyallahu anhu ne sehri khayi , phir jab woh sehri kha kar farigh hue to namaz ke liye uthe aur namaz parhi . Hum ne Anas raziyallahu anhu se poocha ke aap ki sehri se faraghat aur namaz ki ibtida mein kitna fasla tha ? Unhon ne farmaya ke itna ke ek shakhs pachaas ayaten parh sake .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 577
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، عن اخيه، عن سليمان، عن ابي حازم، انه سمع سهل بن سعد، يقول:" كنت اتسحر في اهلي، ثم يكون سرعة بي ان ادرك صلاة الفجر مع رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya apne bhai Abdul Hameed bin Abi Uwais se , unhon ne Sulaiman bin Bilal se , unhon ne Abi Hazim Salama bin Dinar se ke unhon ne Sahl bin Saad raziyallahu anhu sahaba se suna , aap ne farmaya ke mein apne ghar sehri khata , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke sath namaz fajr pane ke liye mujhe jaldi karni parti thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 578
حدثنا يحيى بن بكير، قال: اخبرنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة اخبرته، قالت:"كن نساء المؤمنات يشهدن مع رسول الله صلى الله عليه وسلم صلاة الفجر متلفعات بمروطهن، ثم ينقلبن إلى بيوتهن حين يقضين الصلاة لا يعرفهن احد من الغلس".
Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya , unhon ne kaha humein Layth ne khabar di , unhon ne Aqeel bin Khalid se , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubair raziyallahu anhu ne khabar di ke Umm ul Momineen Aisha raziyallahu anha ne unhein khabar di ke musalman auraten Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ke sath namaz fajr parhne chadron mein lipt kar aati thin . Phir namaz se farigh ho kar jab apne gharon ko wapas hoti to unhein andhere ki wajah se koi shakhs pehchan nahi sakta tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَدْرَكَ مِنَ الْفَجْرِ رَكْعَةً:
Bab: Fajr ki ek rak’at ka pane wala.
Show diacritics
Hadith Number: 579
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، وعن بسر بن سعيد، وعن الاعرج يحدثونه، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من ادرك من الصبح ركعة قبل ان تطلع الشمس فقد ادرك الصبح، ومن ادرك ركعة من العصر قبل ان تغرب الشمس فقد ادرك العصر".
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya Imam Malik se , unhon ne Zaid bin Aslam se , unhon ne Ata bin Yasar aur Busr bin Saeed aur Abdur Rahman bin Harmuz Araj se , un teeno ne Abu Hurairah raziyallahu anhu ke wastay se bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jis ne fajr ki ek rakat jamaat ke sath sooraj nikalne se pehle pa li is ne fajr ki namaz bajamaat ka sawab pa liya . Aur jis ne asr ki ek rakat jamaat ke sath sooraj doobne se pehle pa li , is ne asr ki namaz bajamaat ka sawab pa liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَدْرَكَ مِنَ الصَّلاَةِ رَكْعَةً:
Bab: Jo koi kisi namaz ki ek rak’at pa le, us ne woh namaz pa li.
Show diacritics
Hadith Number: 580
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من ادرك ركعة من الصلاة فقد ادرك الصلاة".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , kaha hum se Imam Malik rahimahullah alaihi ne Ibn Shihab se , unhon ne Abu Salama bin Abdur Rahman bin Awf raziyallahu anhu se unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jis ne ek rakat namaz bajamaat pa li is ne namaz bajamaat ka sawab pa liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّلاَةِ بَعْدَ الْفَجْرِ حَتَّى تَرْتَفِعَ الشَّمْسُ:
Bab: Is bayan mein ke subah ki namaz ke baad sooraj buland hone tak namaz parhne ke mutalliq kya hukm hai?
Show diacritics
Hadith Number: 581
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا هشام، عن قتادة، عن ابي العالية، عن ابن عباس، قال: شهد عندي رجال مرضيون وارضاهم عندي عمر،" ان النبي صلى الله عليه وسلم نهى عن الصلاة بعد الصبح حتى تشرق الشمس، وبعد العصر حتى تغرب"، حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن شعبة، عن قتادة، سمعت ابا العالية، عن ابن عباس، قال: حدثني ناس بهذا.
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Hisham Dastawai ne bayan kiya , unhon ne Qatada bin Diama se , unhon ne Abul Aliya Rafi se , unhon ne Ibn Abbas raziyallahu anhuma se farmaya ke mere samne chand mutabar hazrat ne gawahi di , jin mein sab se zyada mutabar mere nazdeek Umar raziyallahu anhu thay , ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne fajr ki namaz ke baad sooraj buland hone tak aur asr ki namaz ke baad sooraj doobne tak namaz parhne se mana farmaya . Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne Shoba se , unhon ne Qatada se ke mein ne Abul Aliya se suna , woh Ibn Abbas raziyallahu anhuma se bayan karte thay ke unhon ne farmaya ke mujh se chand logon ne yeh hadees bayan ki . Jo pehle zikr hui .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 582
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن هشام، قال: اخبرني ابي، قال: اخبرني ابن عمر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تحروا بصلاتكم طلوع الشمس ولا وغروبها".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne Hisham bin Urwah se , unhon ne kaha ke mujhe mere walid Urwah ne khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke namaz parhne ke liye sooraj ke tulu aur ghuroob hone ke intizar mein na baithe raho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 583
وقال: حدثني ابن عمر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا طلع حاجب الشمس فاخروا الصلاة حتى ترتفع، وإذا غاب حاجب الشمس فاخروا الصلاة حتى تغيب"، تابعه عبدة.
Urwah ne kaha mujh se Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jab sooraj ka upar ka kinara tulu hone lage to namaz na parho yahan tak ke woh buland ho jaye . Aur jab sooraj doobne lage is waqt bhi namaz na parho , yahan tak ke ghuroob ho jaye . Is hadees ko Yahya bin Saeed Qattan ke sath Abdah bin Sulaiman ne bhi riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 584
حدثنا عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن بيعتين وعن لبستين وعن صلاتين نهى عن الصلاة بعد الفجر حتى تطلع الشمس، وبعد العصر حتى تغرب الشمس، وعن اشتمال الصماء، وعن الاحتباء في ثوب واحد يفضي بفرجه إلى السماء، وعن المنابذة والملامسة".
Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya , unhon ne Abi Usama ke wastay se bayan kiya . Unhon ne Ubaidullah bin Umar se , unhon ne Khubaib bin Abdur Rahman se , unhon ne Hafs bin Aasim se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne do tarah ki khareed o farokht aur do tarah ke libas aur do waqton ki namazon se mana farmaya . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne namaz fajr ke baad sooraj nikalne tak aur namaz asr ke baad ghuroob hone tak namaz parhne se mana farmaya aur kapron mein ishtimal sama yani ek kapra apne upar is tarah lapet lena ke sharmgah khul jaye . Aur ihtiba yani ek kapre mein got maar kar baithne se mana farmaya . Aur khareed o farokht mein aap salla Allahu alaihi wa sallam ne munabiza aur mulamisa se mana farmaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَتَحَرَّى الصَّلاَةَ قَبْلَ غُرُوبِ الشَّمْسِ:
Bab: Is bare mein ke sooraj chhupne se pehle qasd kar ke namaz na parhe.
Show diacritics
Hadith Number: 585
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" لا يتحرى احدكم فيصلي عند طلوع الشمس ولا عند غروبها".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , ke kaha humein Imam Malik ne Nafi se khabar di , unhon ne Ibn Umar raziyallahu anhuma se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya , koi tum mein se intizar mein na baitha rahe ke sooraj tulu hote hi namaz ke liye khara ho jaye , isi tarah sooraj ke doobne ke intizar mein bhi na rehna chahiye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة