الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يَتَحَرَّى الصَّلاَةَ قَبْلَ غُرُوبِ الشَّمْسِ:
Bab: Is bare mein ke sooraj chhupne se pehle qasd kar ke namaz na parhe.
Hadith Number: 586
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عطاء بن يزيد الجندعي، انه سمع ابا سعيد الخدري، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا صلاة بعد الصبح حتى ترتفع الشمس، ولا صلاة بعد العصر حتى تغيب الشمس".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne Saleh se yeh hadees bayan ki , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne kaha mujh se Ata bin Yazid Jundai Laithi ne bayan kiya ke unhon ne Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu se suna . Unhon ne farmaya ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se suna , aap salla Allahu alaihi wa sallam farma rahe thay ke fajr ki namaz ke baad koi namaz sooraj ke buland hone tak na parhi jaye , isi tarah asr ki namaz ke baad sooraj doobne tak koi namaz na parhi jaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 587
حدثنا محمد بن ابان، قال: حدثنا غندر، قال: حدثنا شعبة، عن ابي التياح، قال: سمعت حمران بن ابان يحدث، عن معاوية، قال:" إنكم لتصلون صلاة لقد صحبنا رسول الله صلى الله عليه وسلم فما رايناه يصليها، ولقد نهى عنهما يعني الركعتين بعد العصر".
Hum se Muhammad bin Aban ne bayan kiya , kaha ke hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , kaha ke hum se Shoba ne hadees bayan ki Abul Tayyah Yazid bin Humaid se , kaha ke mein ne Hamran bin Aban se suna , woh Muawiya bin Abi Sufyan raziyallahu anhuma se yeh hadees bayan karte thay ke unhon ne farmaya ke tum log to ek aisi namaz parhte ho ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ki suhbat mein rahe lekin hum ne kabhi aap salla Allahu alaihi wa sallam ko woh namaz parhte nahi dekha . Balkay aap salla Allahu alaihi wa sallam ne to is se mana farmaya tha . Muawiya raziyallahu anhu ki murad asr ke baad do rakaton se thi jisay aap ke zamane mein baaz log parhte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 588
حدثنا محمد بن سلام، قال: حدثنا عبدة، عن عبيد الله، عن خبيب، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن صلاتين بعد الفجر حتى تطلع الشمس، وبعد العصر حتى تغرب الشمس".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdah ne bayan kiya , unhon ne Ubaidullah se khabar di , unhon ne Khubaib se , unhon ne Hafs bin Aasim se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne do waqt namaz parhne se mana farmaya , namaz fajr ke baad sooraj nikalne tak aur namaz asr ke baad sooraj ghuroob hone tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يَكْرَهِ الصَّلاَةَ إِلاَّ بَعْدَ الْعَصْرِ وَالْفَجْرِ:
Bab: Is shakhs ki daleel jis ne faqat asr aur fajr ke baad namaz ko makrooh rakha hai.
Hadith Number: Q589
رواه عمر، وابن عمر، وابو سعيد، وابو هريرة
Is ko Umar , Ibn Umar , Abu Saeed aur Abu Hurairah ridwan Allah alaihim ne bayan kiya .
Hadith Number: 589
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر، قال:" اصلي كما رايت اصحابي يصلون، لا انهى احدا يصلي بليل ولا نهار ما شاء، غير ان لا تحروا طلوع الشمس ولا غروبها".
Hum se Abul Numan Muhammad bin Fazl ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zaid ne Ayyub se kaha , unhon ne Nafi se , unhon ne Ibn Umar raziyallahu anhuma se , aap ne farmaya ke jis tarah mein ne apne sathiyon ko namaz parhte dekha , mein bhi isi tarah namaz parta hun , kisi ko rokta nahi . Din aur raat ke jis hissay mein ji chahe namaz parh sakta hai , albatta sooraj ke tulu aur ghuroob ke waqt namaz na parha karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُصَلَّى بَعْدَ الْعَصْرِ مِنَ الْفَوَائِتِ وَنَحْوِهَا:
Bab: Asr ke baad qaza namazen ya us ke manind masalan janaza ki namaz waghera parhna.
Hadith Number: Q590
قال ابو عبد الله: وقال كريب: عن ام سلمة، صلى النبي صلى الله عليه وسلم بعد العصر ركعتين، وقال: شغلني ناس من عبد القيس عن الركعتين بعد الظهر.
Aur Kuraib ne Umm Salama raziyallahu anha ke wastay se bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne asr ke baad do rakaten parhin , phir farmaya ke Banu Abdul Qais ke wafd se guftugu ki wajah se zuhr ki do rakaten nahi parh saka tha .
Hadith Number: 590
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا عبد الواحد بن ايمن، قال: حدثني ابي، انه سمع عائشة، قالت:" والذي ذهب به ما تركهما حتى لقي الله، وما لقي الله تعالى حتى ثقل عن الصلاة، وكان يصلي كثيرا من صلاته قاعدا تعني الركعتين بعد العصر، وكان النبي صلى الله عليه وسلم يصليهما، ولا يصليهما في المسجد مخافة ان يثقل على امته، وكان يحب ما يخفف عنهم".
Hum se Abu Naeem Fazl bin Dukain aur Moosa bin Ismail ne bayan kiya , un dono ne kaha ke hum se Hammam bin Yahya ne Qatada se bayan kiya , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya agar koi namaz parhna bhool jaye to jab bhi yaad aaye is ko parh lay . Is qaza ke siwa aur koi kaffara is ki wajah se nahi hota . Aur Allah Taala ne farmaya ke namaz mere yaad aane par qaim kar . Moosa ne kaha ke hum se Hammam ne hadees bayan ki ke mein ne Qatada raziyallahu anhu se suna woh yun parhte thay namaz parh meri yaad ke liye . Hiban bin Hilal ne kaha , hum se Hammam ne bayan kiya , kaha hum se Qatada ne , kaha hum se Anas raziyallahu anhu ne , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se , phir aisi hi hadees bayan ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 591
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، قال: حدثنا هشام، قال: اخبرني ابي، قالت عائشة ابن اختي" ما ترك النبي صلى الله عليه وسلم السجدتين بعد العصر عندي قط".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne bayan kiya , kaha ke mujhe mere walid Urwah ne khabar di , kaha ke Aisha raziyallahu anha ne farmaya mere bhanje! Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne asr ke baad ki do rakaten mere yahan kabhi tark nahi ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 592
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا الشيباني، قال: حدثنا عبد الرحمن بن الاسود، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" ركعتان لم يكن رسول الله صلى الله عليه وسلم يدعهما سرا ولا علانية، ركعتان قبل صلاة الصبح وركعتان بعد العصر".
Hum se Moosa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne bayan kiya , kaha hum se Shaibani ne bayan kiya , kaha hum se Abdur Rahman bin Aswad ne bayan kiya , unhon ne apne walid se , unhon ne Aisha raziyallahu anha se ke aap ne farmaya ke do rakaton ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne kabhi tark nahi farmaya , posheeda ho ya aam logon ke samne , subah ki namaz se pehle do rakaten aur asr ki namaz ke baad do rakaten .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 593
حدثنا محمد بن عرعرة، قال: حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال رايت الاسود، ومسروقا شهدا على عائشة، قالت:" ما كان النبي صلى الله عليه وسلم ياتيني في يوم بعد العصر إلا صلى ركعتين".
Hum se Muhammad bin Arara ne bayan kiya , kaha hum se Shoba ne Abu Ishaq se bayan kiya , kaha ke hum ne Aswad bin Yazid aur Masrooq bin Ajda ko dekha ke unhon ne Aisha raziyallahu anha ke is kehne par gawahi di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam jab bhi mere ghar mein asr ke baad tashreef laye to do rakat zaroor parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة