الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ تَضْيِيعِ الصَّلاَةِ عَنْ وَقْتِهَا:
Bab: Is bare mein ke be-waqt namaz parhna, namaz ko zaya’ karna hai.
Hadith Number: 530
حدثنا عمرو بن زرارة، قال: اخبرنا عبد الواحد بن واصل ابو عبيدة الحداد، عن عثمان بن ابي رواد اخي عبد العزيز، قال: سمعت الزهري، يقول:" دخلت على انس بن مالك بدمشق وهو يبكي، فقلت: ما يبكيك؟، فقال: لا اعرف شيئا مما ادركت إلا هذه الصلاة، وهذه الصلاة قد ضيعت"، وقال بكر، حدثنا محمد بن بكر البرساني، اخبرنا عثمان بن ابي رواد نحوه.
Hum se Amr bin Zurara ne bayan kiya , unhon ne kaha humein Abdul Wahid bin Wasil Abu Ubaida Haddad ne khabar di , unhon ne Abdul Aziz ke bhai Usman bin Abi Rawad ke wastay se bayan kiya , unhon ne kaha ke mein ne Zuhri se suna ke mein Damascus mein Anas bin Malik raziyallahu anhu ki khidmat mein gaya . Aap is waqt ro rahe thay . Mein ne arz ki ke aap kyun ro rahe hain ? Unhon ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke ehd ki koi cheez is namaz ke ilawa ab mein nahi pata aur ab is ko bhi zaya kar diya gaya hai . Aur Bakr bin Khalaf ne kaha ke hum se Muhammad bin Bakr Bursani ne bayan kiya ke hum se Usman bin Abi Rawad ne yahi hadees bayan ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُصَلِّي يُنَاجِي رَبَّهُ عَزَّ وَجَلَّ:
Bab: Is bare mein ke namaz parhne wala namaz mein apne Rabb se posheeda taur par baat-cheet karta hai.
Hadith Number: 531
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا هشام، عن قتادة، عن انس، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن احدكم إذا صلى يناجي ربه، فلا يتفلن عن يمينه، ولكن تحت قدمه اليسرى"، وقال سعيد: عن قتادة، لا يتفل قدامه او بين يديه، ولكن عن يساره او تحت قدميه، وقال شعبة: لا يبزق بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت قدمه، وقال حميد: عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، لا يبزق في القبلة ولا عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت قدمه.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hum se Hisham bin Abdullah Dastawai ne Qatada Ibn Diama ke wastay se , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jab tum mein se koi namaz mein hota hai to woh apne Rab se sargoshi karta rehta hai is liye apni dahni janib na thookna chahiye lekin bayen paon ke neechay thook sakta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 532
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا يزيد بن إبراهيم، قال: حدثنا قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اعتدلوا في السجود ولا يبسط ذراعيه كالكلب، وإذا بزق فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه فإنه يناجي ربه".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , kaha hum se Yazid bin Ibrahim ne , unhon ne kaha ke hum se Qatada ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se bayan kiya , aap Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke sajda karne mein itidal rakho sidhi tarah par karo aur koi shakhs tum mein se apne bazuon ko kutte ki tarah na phelaaye . Jab kisi ko thookna hi ho to samne ya dahni taraf na thooke , kyunke woh namaz mein apne Rab se posheeda batein karta rehta hai aur Saeed ne Qatada raziyallahu anhu se riwayat kar ke bayan kiya hai ke aage ya samne na thooke albatta bayen taraf paon ke neechay thook sakta hai aur Shoba ne kaha ke apne samne aur dayen janib na thooke , balkay bayen taraf ya paon ke neechay thook sakta hai . Aur Humaid ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat karte hain ke qibla ki taraf na thooke aur na dayen taraf albatta bayen taraf ya paon ke neechay thook sakta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِبْرَادِ بِالظُّهْرِ فِي شِدَّةِ الْحَرِّ:
Bab: Is bare mein ke sakht garmi mein zuhr ko zara thande waqt parhna.
Hadith Number: 533
حدثنا ايوب بن سليمان، قال: حدثنا ابو بكر، عن سليمان، قال صالح بن كيسان: حدثنا الاعرج عبد الرحمن وغيره، عن ابي هريرة، ونافع مولى عبد الله بن عمر، عن عبد الله بن عمر، انهما حدثاه عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه قال:" إذا اشتد الحر فابردوا عن الصلاة، فإن شدة الحر من فيح جهنم".
Hum se Ayyub bin Sulaiman Madani ne bayan kiya , kaha hum se Abu Bakr Abdul Hameed bin Abi Uwais ne Sulaiman bin Bilal ke wastay se ke Saleh bin Kaisan ne kaha ke hum se Araj Abdur Rahman waghera ne hadees bayan ki . Woh Abu Hurairah raziyallahu anhu se riwayat karte thay aur Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ke maula Nafi Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se is hadees ki riwayat karte thay ke un dono sahaba raziyallahu anhuma ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat ki ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab garmi taiz ho jaye to namaz ko thande waqt mein parho , kyunke garmi ki taizi jahannam ki aag ki bhaap se hoti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 534
حدثنا ايوب بن سليمان، قال: حدثنا ابو بكر، عن سليمان، قال صالح بن كيسان: حدثنا الاعرج عبد الرحمن وغيره، عن ابي هريرة، ونافع مولى عبد الله بن عمر، عن عبد الله بن عمر، انهما حدثاه عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه قال:" إذا اشتد الحر فابردوا عن الصلاة، فإن شدة الحر من فيح جهنم".
Hum se Ayyub bin Sulaiman Madani ne bayan kiya , kaha hum se Abu Bakr Abdul Hameed bin Abi Uwais ne Sulaiman bin Bilal ke wastay se ke Saleh bin Kaisan ne kaha ke hum se Araj Abdur Rahman waghera ne hadees bayan ki . Woh Abu Hurairah raziyallahu anhu se riwayat karte thay aur Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma ke maula Nafi Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se is hadees ki riwayat karte thay ke un dono sahaba raziyallahu anhuma ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat ki ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab garmi taiz ho jaye to namaz ko thande waqt mein parho , kyunke garmi ki taizi jahannam ki aag ki bhaap se hoti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 535
حدثنا بن بشار، قال: حدثنا غندر، قال: حدثنا شعبة، عن المهاجر ابي الحسن، سمع زيد بن وهب، عن ابي ذر، قال:" اذن مؤذن النبي صلى الله عليه وسلم الظهر، فقال: ابرد ابرد، او قال: انتظر انتظر، وقال: شدة الحر من فيح جهنم، فإذا اشتد الحر فابردوا عن الصلاة"حتى راينا فيء التلول.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , un se Shoba bin Hajjaj ne Muhajir Abul Hasan ki riwayat se bayan kiya , unhon ne Zaid bin Wahb Hamdani se suna . Unhon ne Abu Dharr raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke moazzin Bilal ne zuhr ki azan di to aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke thanda kar , thanda kar , ya yeh farmaya ke intizar kar , intizar kar , aur farmaya ke garmi ki taizi jahannam ki aag ki bhaap se hai . Is liye jab garmi sakht ho jaye to namaz thande waqt mein parha karo , phir zuhr ki azan is waqt kahi gayi jab hum ne telon ke saaye dekh liye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 536
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: حفظناه من الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا اشتد الحر فابردوا بالصلاة، فإن شدة الحر من فيح جهنم.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , kaha is hadees ko hum ne Zuhri se sun kar yaad kiya , woh Saeed bin Musayyab ke wastay se bayan karte hain , woh Abu Hurairah raziyallahu anhu se , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke jab garmi taiz ho jaye to namaz ko thande waqt mein parha karo , kyunke garmi ki taizi dozakh ki aag ki bhaap ki wajah se hoti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 537
واشتكت النار إلى ربها، فقالت: يا رب اكل بعضي بعضا، فاذن لها بنفسين نفس في الشتاء ونفس في الصيف، فهو اشد ما تجدون من الحر، واشد ما تجدون من الزمهرير".
Dozakh ne apne Rab se shikayat ki ke aye mere Rab! aag ki shadeed ki wajah se mere baaz hissay ne baaz hissay ko kha liya hai is par Allah Taala ne isay do saans lene ki ijazat di , ek saans jare mein aur ek saans garmi mein . Ab intihai sakht garmi aur sakht sardi jo tum log mehsoos karte ho woh isi se paida hoti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 538
حدثنا عمر بن حفص، قال: حدثنا ابي، قال: حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي سعيد، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ابردوا بالظهر فإن شدة الحر من فيح جهنم"، تابعه سفيان، ويحيى، وابو عوانة، عن الاعمش.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne bayan kiya kaha mujh se mere walid ne bayan kiya , kaha hum se Amash ne bayan kiya , kaha ke hum se Abu Saleh Dhakwan ne Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu ke wastay se bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke garmi ke mausam mein zuhr ko thande waqt mein parha karo , kyunke garmi ki shadeed jahannam ki bhaap se paida hoti hai . Is hadees ki mutabiat Sufyan Thauri , Yahya aur Abu Awana ne Amash ke wastay se ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِبْرَادِ بِالظُّهْرِ فِي السَّفَرِ:
Bab: Is bare mein ke safar mein zuhr ko thande waqt mein parhna.
Hadith Number: 539
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا مهاجر ابو الحسن مولى لبني تيم الله، قال: سمعت زيد بن وهب، عن ابي ذر الغفاري، قال:" كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في سفر، فاراد المؤذن ان يؤذن للظهر، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: ابرد، ثم اراد ان يؤذن، فقال له: ابرد حتى راينا فيء التلول، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إن شدة الحر من فيح جهنم، فإذا اشتد الحر فابردوا بالصلاة"، وقال ابن عباس: تتفيا تتميل.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Bani Taim Allah ke ghulam Muhajir Abul Hasan ne bayan kiya , kaha ke mein ne Zaid bin Wahb Jahni se suna , woh Abu Dharr Ghifari raziyallahu anhu se naql karte thay ke unhon ne kaha ke hum ek safar mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ke sath thay . Moazzin ne chaha ke zuhr ki azan de . Lekin aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke waqt ko thanda hone do , moazzin ne thori der baad phir chaha ke azan de , lekin aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke thanda hone do . Jab hum ne tele ka saya dhala hua dekh liya . tab azan kahi gayi phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke garmi ki taizi jahannam ki bhaap ki taizi se hai . Is liye jab garmi sakht ho jaya kare to zuhr ki namaz thande waqt mein parha karo . Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne farmaya yatfiyau ka lafz jo Surah An-Nahl mein hai ke mani tatmeel jhukna , mail hona hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة