الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يُذْكَرُ فِي الطَّاعُونِ:
Taa'oon ka bayaan.
Hadith Number: 5733
حدثنا ابو عاصم، عن مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" المبطون شهيد والمطعون شهيد".
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya, in se Imam Malik ne, in se Sumay ne, in se Abu Salih ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke pait ki beemari mein yani haiza se marne wala shaheed hai aur taoon ki beemari mein marne wala shaheed hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَجْرِ الصَّابِرِ فِي الطَّاعُونِ:
Jo shakhs taa'oon mein sabr kar ke wahin rahe go us ko taa'oon na ho, us ki fazilat ka bayaan.
Hadith Number: 5734
حدثنا إسحاق، اخبرنا حبان، حدثنا داود بن ابي الفرات، حدثنا عبد الله بن بريدة، عن يحيى بن يعمر، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم انها اخبرتنا:" انها سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الطاعون، فاخبرها نبي الله صلى الله عليه وسلم، انه كان عذابا يبعثه الله على من يشاء، فجعله الله رحمة للمؤمنين، فليس من عبد يقع الطاعون فيمكث في بلده صابرا يعلم انه لن يصيبه إلا ما كتب الله له، إلا كان له مثل اجر الشهيد"، تابعه النضر، عن داود.
Hum se Ishaq bin Rahwayh ne bayan kiya, kaha hum ko Habban ne khabar di, kaha hum se Dawood bin Abi al-Furat ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Buraydah ne, in se Yahya bin Umar ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke Aap ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se taoon ke mutalliq poochha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh ek azab tha Allah Ta'ala jis par chahta is par is ko bhejta tha phir Allah Ta'ala ne usay momineen (ummat e Muhammadiya ke liye) rahmat bana diya ab koi bhi Allah ka banda agar sabr ke saath is shehar mein thehra rahe jahan taoon phoot para ho aur yaqeen rakhta hai ke jo kuch Allah Ta'ala ne is ke liye likh diya hai is ke siwa is ko aur koi nuqsan nahi pahunch sakta aur phir taoon mein is ka intiqal ho jaye to usay shaheed jaisa sawab mile ga. Habban bin Hilal ke saath is hadees ko Nadr bin Shumayl ne bhi Dawood se riwayat kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الرُّقَى بِالْقُرْآنِ وَالْمُعَوِّذَاتِ:
Quran Majeed aur mu'awwazaat parh kar mareez par dam karna.
Hadith Number: 5735
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان ينفث على نفسه في المرض الذي مات فيه بالمعوذات، فلما ثقل كنت انفث عليه بهن، وامسح بيد نفسه لبركتها"، فسالت الزهري: كيف ينفث؟، قال: كان ينفث على يديه ثم يمسح بهما وجهه.
Mujh se Ibrahim bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham ne khabar di, unhein Mamar ne, unhein Zuhri ne, unhein Urwah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne marz-ul-wafat mein apne oopar mo'azzat (Surah al-Ikhlas, Surah al-Falaq aur Surah al-Naas) ka dum kiya karte thay. Phir jab Aap ke liye dushwar ho gaya to main in ka dum Aap par kiya karti thi aur barkat ke liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka hath Aap ke jism e mubarak par bhi pher leti thi. Phir main ne is ke mutalliq poochha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kis tarah dum karte thay, unhon ne bataya ke apne hath par dum kar ke hath ko chehre par phera karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الرُّقَى بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ:
Surat Al-Fatiha se dam karna.
Hadith Number: Q5736
ويذكر عن ابن عباس عن النبي صلى الله عليه وسلم
Is baab mein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ek riwayat ki hai.
Hadith Number: 5736
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي بشر، عن ابي المتوكل، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه:" ان ناسا من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم اتوا على حي من احياء العرب فلم يقروهم، فبينما هم كذلك إذ لدغ سيد اولئك، فقالوا: هل معكم من دواء او راق، فقالوا: إنكم لم تقرونا ولا نفعل حتى تجعلوا لنا جعلا، فجعلوا لهم قطيعا من الشاء، فجعل يقرا بام القرآن، ويجمع بزاقه، ويتفل، فبرا فاتوا بالشاء، فقالوا: لا ناخذه حتى نسال النبي صلى الله عليه وسلم، فسالوه فضحك، وقال: وما ادراك انها رقية خذوها واضربوا لي بسهم".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne, in se Shubah ne, in se Abu Bishr ne, in se Abu al-Mutawakkil ne, in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chand sahabah dar halat e safar Arab ke ek qabila par guzre. Qabila walon ne in ki ziyafat nahi ki kuch der baad is qabila ke sardar ko bichhoo ne kaat liya, ab qabila walon ne in sahabah se kaha ke Aap logon ke paas koi dawa ya koi jhaarne wala hai. Sahabah ne kaha ke tum logon ne hamain mehman nahi banaya aur ab hum is waqt tak dum nahi karein ge jab tak tum hamare liye is ki mazdoori na muqarrar kar do. Chunanche in logon ne chand bakriyaan deni manzoor kar lein phir (Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu) Surah Fatiha parhne lage aur is par dum karne mein munh ka thook bhi is jagah par daalne lage. Is se woh shakhs achha ho gaya. Chunanche qabila wale bakriyaan le kar aaye lekin sahabah ne kaha ke jab tak hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se na pooch lein yeh bakriyaan nahi le sakte phir jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha to Aap muskuraye aur farmaya tumhein kaise maloom ho gaya tha ke Surah Fatiha se dum bhi kiya ja sakta hai, in bakriyon ko le lo aur is mein mera bhi hissa lagao.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الشَّرْطِ فِي الرُّقْيَةِ بِقَطِيعٍ مِنَ الْغَنَمِ:
Surat Al-Fatiha se dam jhaad karne mein (bakriyan lene ki) shart lagana.
Hadith Number: 5737
حدثني سيدان بن مضارب ابو محمد الباهلي، حدثنا ابو معشر البصري هو صدوق يوسف بن يزيد البراء، قال: حدثني عبيد الله بن الاخنس ابو مالك، عن ابن ابي مليكة، عن ابن عباس: ان نفرا من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم مروا بماء فيهم لديغ او سليم، فعرض لهم رجل من اهل الماء، فقال: هل فيكم من راق؟ إن في الماء رجلا لديغا او سليما، فانطلق رجل منهم فقرا بفاتحة الكتاب على شاء، فبرا، فجاء بالشاء إلى اصحابه، فكرهوا ذلك، وقالوا: اخذت على كتاب الله اجرا، حتى قدموا المدينة، فقالوا: يا رسول الله اخذ على كتاب الله اجرا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن احق ما اخذتم عليه اجرا كتاب الله".
Hum se Saydan bin Muzarib Abu Muhammad Bahili ne bayan kiya, kaha hum se Abu Mashar Yusuf bin Yazid al-Bara ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ubaidullah bin Akhnas Abu Malik ne bayan kiya, in se Ibn Abi Mulaykah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke chand sahabah ek pani se guzre jis ke paas ke qabila mein bichhoo ka kaata hua (ladeergh ya saleem rawi ko in donon lafzon ke mutalliq shubha tha) ek shakhs tha. Qabila ka ek shakhs in ke paas aaya aur kaha kya Aap logon mein koi dum jhaarr karne wala hai. Hamare qabila mein ek shakhs ko bichhoo ne kaat liya hai chunanche sahabah ki is jama'at mein se ek sahabi is shakhs ke saath gaye aur chand bakriyon ki shart ke saath is shakhs par Surah Fatiha parhi, is se woh achha ho gaya woh sahab shart ke mutabiq bakriyaan apne sathiyon ke paas laaye to unhon ne usay qabool kar lena pasand nahi kiya aur kaha ke Allah ki kitab par tum ne ujrat le li. Aakhir jab sab log Madinah aaye to arz kiya ke ya Rasool Allah! In sahab ne Allah ki kitab par ujrat le li hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jin cheezon par tum ujrat le sakte ho in mein se zyada is ki mustahiq Allah ki kitab hi hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ رُقْيَةِ الْعَيْنِ:
Nazar bad lag jaane ki soorat mein dam karna.
Hadith Number: 5738
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، قال: حدثني معبد بن خالد، قال: سمعت عبد الله بن شداد، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" امرني رسول الله صلى الله عليه وسلم او امر ان يسترقى من العين".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan ne khabar di, kaha ke mujh se Ma'bad bin Khalid ne bayan kiya, kaha ke main ne Abdullah bin Shaddad se suna, in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe hukm diya ya (Aap ne is tarah bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne) hukm diya ke nazar e bad lag jaane par mo'azzatain se dum kar liya jaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5739
حدثني محمد بن خالد، حدثنا محمد بن وهب بن عطية الدمشقي، حدثنا محمد بن حرب، حدثنا محمد بن الوليد الزبيدي، اخبرنا الزهري، عن عروة بن الزبير، عن زينب ابنة ابي سلمة، عن ام سلمة رضي الله عنها" ان النبي صلى الله عليه وسلم راى في بيتها جارية في وجهها سفعة، فقال: استرقوا لها فإن بها النظرة"، تابعه عبد الله بن سالم، عن الزبيدي، وقال عقيل، عن الزهري، اخبرني عروة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad bin Khalid ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Wahb bin Atiyyah Dimashqi ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Waleed Zubaydi ne bayan kiya, kaha hum ko Zuhri ne khabar di, unhein Urwah bin Zubayr ne, unhein Zaynub bint Abi Salamah razi Allahu anha ne aur in se Umm Salamah razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ke ghar mein ek larki dekhi jis ke chehre par (nazar e bad lagne ki wajah se) kaale dhabbe par gaye thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is par dum kara do kyunke usay nazar e bad lag gayi hai. Aur Aqeel ne kaha in se Zuhri ne, unhein Urwah ne khabar di aur unhon ne usay Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mursalan riwayat kiya hai. Muhammad bin Harb ke saath is hadees ko Abdullah bin Salim ne bhi Zubaydi se riwayat kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْعَيْنُ حَقٌّ:
Nazar bad ka lagna haq hai.
Hadith Number: 5740
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" العين حق ونهى عن الوشم".
Hum se Ishaq bin Nadr ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ur-Razzaq ne bayan kiya, in se Mamar ne, in se Humam ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nazar e bad lagna haq hai aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jism par godne se mana farmaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ رُقْيَةِ الْحَيَّةِ وَالْعَقْرَبِ:
Saanp aur bichhu ke kaate par dam karna jaiz hai.
Hadith Number: 5741
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا سليمان الشيباني، حدثنا عبد الرحمن بن الاسود، عن ابيه، قال:" سالت عائشة عن الرقية من الحمة، فقالت: رخص النبي صلى الله عليه وسلم الرقية من كل ذي حمة".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahid ne bayan kiya, kaha hum se Sulayman Shaybani ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ur-Rahman bin Aswad ne aur in ke walid ne bayan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se zahreele janwar ke kaatne mein jhaarne ke mutalliq poochha to unhon ne kaha ke har zahreele janwar ke kaatne mein jhaarne ki Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ijazat di hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة