الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْحَجْمِ فِي السَّفَرِ وَالإِحْرَامِ:
Safar mein pichhna lagwana aur haalat ihraam mein bhi.
Hadith Number: Q5695
قاله ابن بحينة عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is ko Ibn Buhainah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se naqal kiya hai.
Hadith Number: 5695
حدثنا مسدد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن طاوس، وعطاء، عن ابن عباس، قال:" احتجم النبي صلى الله عليه وسلم وهو محرم".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Amr ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne pachhna lagwaya jabke Aap ihram se thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحِجَامَةِ مِنَ الدَّاءِ:
Bimaari ki wajah se pichhna lagwana jaiz hai.
Hadith Number: 5696
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا حميد الطويل، عن انس رضي الله عنه انه سئل عن اجر الحجام، فقال:" احتجم رسول الله صلى الله عليه وسلم، حجمه ابو طيبة، واعطاه صاعين من طعام وكلم مواليه، فخففوا عنه، وقال: إن امثل ما تداويتم به الحجامة والقسط البحري، وقال: لا تعذبوا صبيانكم بالغمز من العذرة وعليكم بالقسط.
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Humayd Taweel ne khabar di aur unhein Anas razi Allahu anhu ne in se pachhna lagwane wale ki mazdoori ke baare mein poochha gaya tha. Unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne pachhna lagwaya tha Aap ko Abu Taybah (Nafi ya Maysarah) ne pachhna lagaya tha Aap salla Allahu alaihi wasallam ne unhein do saa khajoor mazdoori mein di thi aur Aap ne in ke malikon (Banu Harisa) se guftagu ki to unhon ne in se wasool kiye jaane wale lagan mein kami kar di thi aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (khoon ke dabao ka) behtareen ilaaj jo tum karte ho woh pachhna lagwana hai aur umdah dawa ood e hindi ka istemal karna hai aur farmaya apne bachon ko «uzrah» (halaq ki beemari) mein in ka taloo daba kar takleef mat do balkay «qust» laga do is se waram jata rahe ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5697
حدثنا سعيد بن تليد، قال: حدثني ابن وهب، قال: اخبرني عمرو وغيره، ان بكيرا، حدثه، ان عاصم بن عمر بن قتادة، حدثه ان جابر بن عبد الله رضي الله عنهما عاد المقنع، ثم قال:" لا ابرح حتى تحتجم، فإني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول، إن فيه شفاء".
Hum se Saeed bin Tulid ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya ke mujhe Amr waghaira ne khabar di, in se Bukayr ne bayan kiya, in se Aasim bin Umar bin Qatadah ne bayan kiya ke Jabir bin Abdullah Muqanna bin Sinan tabi ki iyadat ke liye tashreef laaye phir in se kaha ke jab tak tum pachhna na lagwa lo ge main yahan se nahi jaoon ga, main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is mein shifa hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحِجَامَةِ عَلَى الرَّأْسِ:
Sar mein pichhna lagwana durust hai.
Hadith Number: 5698
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني سليمان، عن علقمة انه سمع عبد الرحمن الاعرج، انه سمع عبد الله ابن بحينة، يحدث ان رسول الله صلى الله عليه وسلم: احتجم بلحي جمل من طريق مكة وهو محرم في وسط راسه.
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Sulayman bin Bilal ne bayan kiya, in se Alqama ne, unhon ne Abdur Rahman Aaraj se suna, unhon ne Abdullah bin Buhainah razi Allahu anhu se suna woh bayan karte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Makkah ke raste mein Maqam e Lahyi Jamal mein apne sar ke beech mein pachhna lagwaya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt muhram thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5699
وقال الانصاري: اخبرنا هشام بن حسان، حدثنا عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم احتجم في راسه".
Aur Muhammad bin Abdullah Ansari ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Hisham bin Hassan ne khabar di, in se Ikrimah ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne apne sar mein pachhna lagwaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَجْمِ مِنَ الشَّقِيقَةِ وَالصُّدَاعِ:
Aadhe sar ke dard ya poore sar ke dard mein pichhna lagwana jaiz hai.
Hadith Number: 5700
حدثني محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن هشام، عن عكرمة، عن ابن عباس، احتجم النبي صلى الله عليه وسلم في راسه وهو محرم من وجع كان به بماء يقال له لحي جمل.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, in se Hisham bin Hassan ne, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne halat e ihram mein apne sar mein pachhna lagwaya (yeh pachhna Aap ne sar ke) dard ki wajah se lagwaya tha jo Lahyi Jamal naami pani ke ghaat par Aap ko ho gaya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5701
وقال محمد بن سواء: اخبرنا هشام، عن عكرمة، عن ابن عباس:" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم احتجم وهو محرم في راسه من شقيقة كانت به".
Aur Muhammad bin Sawa ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham bin Hassan ne khabar di, unhein Ikrimah ne aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ihram ki halat mein apne sar mein pachhna lagwaya. Aadhe sar ke dard ki wajah se jo Aap ko ho gaya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5702
حدثنا إسماعيل بن ابان، حدثنا ابن الغسيل، قال: حدثني عاصم بن عمر، عن جابر بن عبد الله، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" إن كان في شيء من ادويتكم خير ففي: شربة عسل، او شرطة محجم، او لذعة من نار، وما احب ان اكتوي".
Hum se Ismail bin Aban ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdur Rahman bin Ghaseel ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Aasim bin Umar ne bayan kiya, in se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tumhari dawaiyon mein koi bhalayi hai to shehad ke sharbat mein hai aur pachhna lagwane mein hai aur aag se daaghne mein hai lekin main aag se daagh kar ilaaj ko pasand nahi karta.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَلْقِ مِنَ الأَذَى:
(Muhram ka) takleef ki wajah se sar mundana (masalan pichhna lagwane mein baalon se takleef ho).
Hadith Number: 5703
حدثنا مسدد، حدثنا حماد، عن ايوب، قال: سمعت مجاهدا، عن ابن ابي ليلى، عن كعب هو ابن عجرة، قال:" اتى علي النبي صلى الله عليه وسلم زمن الحديبية، وانا اوقد تحت برمة والقمل يتناثر عن راسي فقال: ايؤذيك هوامك؟ قلت: نعم، قال: فاحلق، وصم ثلاثة ايام، او اطعم ستة، او انسك نسيكة"، قال ايوب: لا ادري بايتهن بدا.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Ayub Sakhtiyani ne, kaha ke main ne Mujahid se suna, in se Abdur Rahman bin Abi Layla ne aur in se Kabb bin Ujrah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Sulah Hudaybiyah ke mauqa par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere paas tashreef laaye main ek haandi ke neeche aag jala raha tha aur jooein mere sar se gir rahi thi (aur main ihram baandhe huay tha) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke sar ki yeh jooein tumhein takleef pahunchati hain? Main ne arz kiya ke ji haan. Farmaya ke phir sar mundwa le aur (kaffara ke taur par) teen din ke roze rakh ya chhay miskeenon ko khana khila ya ek qurbani kar de. Ayub ne kaha ke mujhe yaad nahi ke (in teen cheezon mein se) kis ka zikr sab se pehle kiya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة