الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْحُمَّى مِنْ فَيْحِ جَهَنَّمَ:
Bukhaar dozakh ki bhaap se hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5723
حدثني يحيى بن سليمان، حدثني ابن وهب، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الحمى من فيح جهنم فاطفئوها بالماء"، قال نافع وكان عبد الله يقول: اكشف عنا الرجز.
Mujh se Yahya bin Sulayman ne bayan kiya, kaha mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Nafi ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bukhar jahannum ki bhaap mein se hai pas is ki garmi ko pani se bujhao.“ Nafi ne bayan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma (ko jab bukhar aata to) yun dua karte ke ”Allah! Hum se is azab ko door kar de.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5724
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن هشام، عن فاطمة بنت المنذر: ان اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما كانت إذا اتيت بالمراة قد حمت تدعو لها اخذت الماء فصبته بينها وبين جيبها، قالت:" وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم: يامرنا ان نبردها بالماء".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya, unhon ne kaha in se Imam Malik ne bayan kiya, in se Hisham ne bayan kiya, in se Fatima bint Munzhir ne bayan kiya ke Asmaa bint Abi Bakr Siddiq razi Allahu anhuma ke haan jab koi bukhar mein mubtala aurat layi jati thi to woh is ke liye dua kartien aur is ke gureban mein pani daaltien woh bayan karti thien ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne hamain hukm diya tha ke bukhar ko pani se thanda karein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5725
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، حدثنا هشام، اخبرني ابي، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الحمى من فيح جهنم فابردوها بالماء".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, kaha ke mere walid ne mujhko khabar di aur unhein Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bukhar jahannum ki bhaap mein se hai is liye usay pani se thanda karo.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5726
حدثنا مسدد، حدثنا ابو الاحوص، حدثنا سعيد بن مسروق، عن عباية بن رفاعة، عن جده رافع بن خديج، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" الحمى من فوح جهنم فابردوها بالماء".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abu al-Ahwas ne bayan kiya, kaha hum se Saeed bin Masrooq ne bayan kiya, in se Abayah bin Rifaa ne, in se un ke dada Rafi bin Khadeej ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bukhar jahannum ki bhaap mein se hai pas usay pani se thanda kar liya karo.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ خَرَجَ مِنْ أَرْضٍ لاَ تُلاَيِمُهُ:
Jahan ki aab o hawa na-muwaafiq ho wahan se nikal kar dusre maqaam par jaana durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5727
حدثنا عبد الاعلى بن حماد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، حدثنا قتادة، ان انس بن مالك حدثهم،" ان ناسا او رجالا من عكل وعرينة قدموا على رسول الله صلى الله عليه وسلم وتكلموا بالإسلام، وقالوا: يا نبي الله إنا كنا اهل ضرع ولم نكن اهل ريف، واستوخموا المدينة فامر لهم رسول الله صلى الله عليه وسلم بذود وبراع، وامرهم ان يخرجوا فيه فيشربوا من البانها، وابوالها، فانطلقوا حتى كانوا ناحية الحرة، كفروا بعد إسلامهم وقتلوا راعي رسول الله صلى الله عليه وسلم، واستاقوا الذود، فبلغ النبي صلى الله عليه وسلم: فبعث الطلب في آثارهم، وامر بهم، فسمروا اعينهم، وقطعوا ايديهم، وتركوا في ناحية الحرة حتى ماتوا على حالهم.
Hum se Abd-ul-A'la bin Hammad ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Zuray ne bayan kiya, kaha hum se Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Qatadah ne bayan kiya aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke qabila Ukl aur Uraina ke kuch log Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur Islam ke baare mein guftagu ki. Unhon ne kaha ke Ae Allah ke Nabi! Hum maveshi wale hain hum log Ahl e Madinah ki tarah kashtkar nahi hain. Madinah ki aab o hawa unhein muwafiq nahi aayi thi, chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ke liye chand oonton aur ek charwahe ka hukm diya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh log in oonton ke saath bahar chale jayein aur in ka doodh aur peshab piyein. Woh log chale gaye lekin Harra ke nazdeek pahunch kar woh Islam se murtad ho gaye aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke charwahe ko qatl kar dala aur oonton ko le kar bhaag paray jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko is ki khabar mili to Aap ne in ki talash mein aadmi doraye phir Aap ne in ke mutalliq hukm diya aur in ki aankhon mein salayi pher di gayi, in ke hath kaat diye gaye aur Harra ke kinare unhein chhorr diya gaya, woh isi halat mein mar gaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُذْكَرُ فِي الطَّاعُونِ:
Taa'oon ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5728
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، قال: اخبرني حبيب بن ابي ثابت، قال: سمعت إبراهيم بن سعد، قال: سمعت اسامة بن زيد، يحدث سعدا، عن النبي صلى الله عليه وسلم انه قال:" إذا سمعتم بالطاعون بارض فلا تدخلوها، وإذا وقع بارض وانتم بها فلا تخرجوا منها"، فقلت: انت سمعته يحدث سعدا ولا ينكره؟، قال: نعم.
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne kaha ke mujhe Habib bin Abi Sabit ne khabar di, kaha ke main ne Ibrahim bin Saad se suna, kaha ke main ne Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma se suna, woh Saad razi Allahu anhu se bayan karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum sun lo ke kisi jagah taoon ki waba phail rahi hai to wahan mat jao lekin jab kisi jagah yeh waba phoot pare aur tum wahien maujood ho to is jagah se niklo bhi mat. (Habib bin Abi Sabit ne bayan kiya ke main ne Ibrahim bin Saad se) kaha tum ne khud yeh hadees Usamah razi Allahu anhu se suni hai ke unhon ne Saad razi Allahu anhu se bayan kiya aur unhon ne is ka inkar nahi kiya? Farmaya ke haan.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5729
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبد الحميد بن عبد الرحمن بن زيد بن الخطاب، عن عبد الله بن عبد الله بن الحارث بن نوفل، عن عبد الله بن عباس: ان عمر بن الخطاب رضي الله عنه خرج إلى الشام حتى إذا كان بسرغ لقيه امراء الاجناد، ابو عبيدة بن الجراح، واصحابه، فاخبروه ان الوباء قد وقع بارض الشام، قال ابن عباس: فقال عمر: ادع لي المهاجرين الاولين، فدعاهم فاستشارهم، واخبرهم ان الوباء قد وقع بالشام، فاختلفوا، فقال بعضهم: قد خرجت لامر ولا نرى ان ترجع عنه، وقال بعضهم: معك بقية الناس واصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم، ولا نرى ان تقدمهم على هذا الوباء، فقال: ارتفعوا عني، ثم قال: ادعوا لي الانصار فدعوتهم فاستشارهم، فسلكوا سبيل المهاجرين، واختلفوا كاختلافهم، فقال: ارتفعوا عني، ثم قال: ادع لي من كان ها هنا من مشيخة قريش من مهاجرة الفتح، فدعوتهم فلم يختلف منهم عليه رجلان، فقالوا: نرى ان ترجع بالناس ولا تقدمهم على هذا الوباء، فنادى عمر في الناس، إني مصبح على ظهر فاصبحوا عليه، قال ابو عبيدة بن الجراح: افرارا من قدر الله! فقال عمر: لو غيرك قالها يا ابا عبيدة: نعم، نفر من قدر الله إلى قدر الله، ارايت لو كان لك إبل هبطت واديا له عدوتان إحداهما خصبة والاخرى جدبة، اليس إن رعيت الخصبة رعيتها بقدر الله وإن رعيت الجدبة رعيتها بقدر الله، قال: فجاء عبد الرحمن بن عوف وكان متغيبا في بعض حاجته، فقال: إن عندي في هذا علما: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول: إذا سمعتم به بارض فلا تقدموا عليه، وإذا وقع بارض وانتم بها فلا تخرجوا فرارا منه، قال: فحمد الله عمر، ثم انصرف.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Abd-ul-Hameed bin Abd-ur-Rahman bin Zayd bin Khattab ne, unhein Abdullah bin Abdullah bin Haris bin Naufal ne aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu Sham tashreef le ja rahe thay jab Aap Maqam e Sargh par pahunche to Aap ki mulaqat faujon ke umara Abu Ubaidah bin Jarrah razi Allahu anhu aur Aap ke sathiyon se hui. In logon ne Ameer-ul-Momineen ko bataya ke taoon ki waba Sham mein phoot pari hai. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke is par Umar razi Allahu anhu ne kaha ke mere paas Muhajireen e Awwaleen ko bula lao. Aap unhein bula laaye to Umar razi Allahu anhu ne in se mashwara kiya aur unhein bataya ke Sham mein taoon ki waba phoot pari hai, Muhajireen e Awwaleen ki rayein mukhtalif ho gayiein. Baaz logon ne kaha ke sahabah Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke sathiyon ki baqi maanda jama'at Aap ke saath hai aur yeh munasib nahi hai ke Aap unhein is waba mein daal dein. Umar razi Allahu anhu ne kaha ke achha ab Aap log tashreef le jayein phir farmaya ke Ansar ko bulao. Main Ansar ko bula kar laya Aap ne in se bhi mashwara kiya aur unhon ne bhi Muhajireen ki tarah ikhtilaf kiya koi kehne laga chalo, koi kehne laga laut jao. Ameer-ul-Momineen ne farmaya ke ab Aap log bhi tashreef le jayein phir farmaya ke yahan par jo Quraish ke bare burhe hain jo Fatah Makkah ke waqt Islam qabool kar ke Madinah aaye thay unhein bula lao, main unhein bula kar laya. In logon mein koi ikhtilaf e rai paida nahi hua sab ne kaha ke hamara khayal hai ke Aap logon ko saath le kar wapas laut chalein aur wabayi mulk mein logon ko na le kar jayein. Yeh sunte hi Umar razi Allahu anhu ne logon mein elan kara diya ke main subah ko oont par sawar ho kar wapas Madinah Munawwarah laut jaoon ga tum log bhi wapas chalo. Subah ko aisa hi hua Abu Ubaidah bin Jarrah razi Allahu anhu ne kaha kya Allah ki taqdeer se farar ikhtiyar kiya jaye ga. Umar razi Allahu anhu ne kaha: kaash! Yeh baat kisi aur ne kahi hoti haan hum Allah ki taqdeer se farar ikhtiyar kar rahe hain lekin Allah hi ki taqdeer ki taraf. Kya tumhare paas oont hon aur tum unhein le kar kisi aaisi waadi mein jao jis ke do kinare hon ek sarsabz shadab aur doosra khushk. Kya yeh waqia nahi ke agar tum sarsabz kinare par charao ge to woh bhi Allah ki taqdeer se ho ga. Aur khushk kinare par charao ge to woh bhi Allah ki taqdeer se hi ho ga. Bayan kiya ke phir Abd-ur-Rahman bin Auf razi Allahu anhu aa gaye woh apni kisi zaroorat ki wajah se is waqt maujood nahi thay unhon ne bataya ke mere paas masla se mutalliq ek ilm hai. Main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum kisi sar-zameen mein (waba ke mutalliq) suno to wahan na jao aur jab aaisi jagah waba aa jaye jahan tum khud maujood ho to wahan se mat niklo. Rawi ne bayan kiya ke is par Umar razi Allahu anhu ne Allah Ta'ala ki hamd ki aur phir wapas ho gaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5730
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبد الله بن عامر، ان عمر خرج إلى الشام فلما كان بسرغ بلغه ان الوباء قد وقع بالشام فاخبره عبد الرحمن بن عوف ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: إذا سمعتم به بارض فلا تقدموا عليه وإذا وقع بارض وانتم بها فلا تخرجوا فرارا منه.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Abdullah bin Aamir ne ke Umar razi Allahu anhu Sham ke liye rawana huay jab Maqam e Sargh mein pahunche to Aap ko khabar mili ke Sham mein taoon ki waba phoot pari hai. Phir Abd-ur-Rahman bin Auf razi Allahu anhu ne un ko khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum waba ke mutalliq suno ke woh kisi jagah hai to wahan na jao aur jab kisi aaisi jagah waba phoot pare jahan tum maujood ho to wahan se bhi mat bhago (waba mein taoon, haiza waghaira sab dakhil hain).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5731
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نعيم المجمر، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" قال رسول الله صلى الله عليه وسلم لا يدخل المدينة المسيح، ولا الطاعون".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Naeem Mujmir ne aur unhon ne kaha hum se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Madinah Munawwarah mein Dajjal dakhil nahi ho sake ga aur na taoon aa sake ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5732
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا عاصم، حدثتني حفصة بنت سيرين، قالت، قال لي انس بن مالك رضي الله عنه: يحيى بم مات، قلت: من الطاعون، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الطاعون شهادة لكل مسلم".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahid ne bayan kiya, kaha hum se Aasim ne bayan kiya, kaha mujh se Hafsa bint Sireen ne bayan kiya, kaha ke mujh se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne poochha ke Yahya bin Sireen ka kis beemari mein intiqal hua tha. Main ne kaha ke taoon mein, bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke taoon har Musalman ke liye shahadat hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة