الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنِ اكْتَوَى أَوْ كَوَى غَيْرَهُ، وَفَضْلِ مَنْ لَمْ يَكْتَوِ:
Daagh lagwana ya lagana aur jo shakhs daagh na lagwaye us ki fazilat ka bayaan.
Hadith Number: 5704
حدثنا ابو الوليد هشام بن عبد الملك، حدثنا عبد الرحمن بن سليمان بن الغسيل، حدثنا عاصم بن عمر بن قتادة، قال: سمعت جابرا، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن كان في شيء من ادويتكم شفاء ففي: شرطة محجم، او لذعة بنار، وما احب ان اكتوي".
Hum se Abu al-Waleed Hisham bin Abd-ul-Malik ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdur Rahman bin Sulayman bin Ghaseel ne bayan kiya, unhon ne hamain se Aasim bin Umar bin Qatadah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna, in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tumhari dawaon mein shifa hai to pachhna lagwane aur aag se daaghne mein hai lekin aag se daagh kar ilaaj ko main pasand nahi karta.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5705
حدثنا عمران بن ميسرة، حدثنا ابن فضيل، حدثنا حصين، عن عامر، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما، قال: لا رقية إلا من عين او حمة، فذكرته لسعيد بن جبير فقال، حدثنا ابن عباس، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" عرضت علي الامم فجعل النبي والنبيان يمرون معهم الرهط، والنبي ليس معه احد حتى رفع لي سواد عظيم، قلت: ما هذا امتي هذه! قيل بل هذا موسى وقومه، قيل انظر إلى الافق، فإذا سواد يملا الافق، ثم قيل لي: انظر ههنا وههنا في آفاق السماء، فإذا سواد قد ملا الافق، قيل هذه امتك ويدخل الجنة من هؤلاء سبعون الفا بغير حساب"، ثم دخل ولم يبين لهم، فافاض القوم وقالوا نحن الذين آمنا بالله واتبعنا رسوله فنحن هم، او اولادنا الذين ولدوا في الإسلام فإنا ولدنا في الجاهلية، فبلغ النبي صلى الله عليه وسلم فخرج، فقال:" هم الذين لا يسترقون، ولا يتطيرون، ولا يكتوون، وعلى ربهم يتوكلون"، فقال عكاشة بن محصن: امنهم انا يا رسول الله؟، قال: نعم، فقام آخر، فقال: امنهم انا؟ قال: سبقك بها عكاشة.
Hum se Imran bin Maysarah ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Fudayl ne bayan kiya, in se Husain bin Abdur Rahman ne bayan kiya, in se Aamir Shabi ne aur in se Imran bin Husain razi Allahu anhuma ne kaha ke nazar e bad aur zahreela janwar ke kaat khane ke siwa aur kisi cheez par jhaarr-phoonk sahih nahi. (Husain ne bayan kiya ke) phir main ne is ka zikr Saeed bin Jubayr se kiya to unhon ne bayan kiya ke hum se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mere samne tamam ummatein pesh ki gayiein ek ek, do do Nabi aur in ke saath in ke maanne wale guzarte rahe aur baaz Nabi aise bhi thay ke in ke saath koi nahi tha aakhir mere samne ek bari bhaari jama'at aayi. Main ne poochha yeh kaun hain, kya yeh meri ummat ke log hain? Kaha gaya ke yeh Musa alaihissalam aur in ki qaum hai phir kaha gaya ke kinaron ki taraf dekho main ne dekha ke ek bahut hi azeem jama'at hai jo kinaron par chhayi hui hai phir mujh se kaha gaya ke idhar dekho, idhar dekho aasman ke mukhtalif kinaron mein main ne dekha ke jama'at hai jo tamam ufuq par chhayi hui hai. Kaha gaya ke yeh Aap ki ummat hai aur is mein se sattar hazar hisab ke baghair jannat mein dakhil kar diye jayein ge. Is ke baad Aap (apne hujra mein) tashreef le gaye aur kuch tafseel nahi farmayi log in jannatiyon ke baare mein bahas karne lage aur kehne lage ke hum Allah par iman laaye hain aur is ke Rasool ki ittaba ki hai, is liye hum hi (sahabah) woh log hain ya hamari woh aulad hain jo Islam mein paida huay kyunke hum jahiliyat mein paida huay thay. Yeh baatein jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko maloom huiein to Aap salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laaye aur farmaya ke yeh woh log hon ge jo jhaarr-phoonk nahi karaate, faal nahi dekhte aur daagh kar ilaaj nahi karte balkay apne Rabb par bharosa karte hain. Is par Ukashah bin Muhsan razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Kya main bhi in mein se hoon. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan. Is ke baad doosre sahabi khare huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Main bhi in mein hoon? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ukashah tum se baazi le gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِثْمِدِ وَالْكُحْلِ مِنَ الرَّمَدِ:
Ismad aur surma lagana jab aankhein dukhti hon.
Hadith Number: Q5706
فيه عن ام عطية.
Is baab mein Umm Atiyyah razi Allahu anha se ek hadees bhi marwi hai.
Hadith Number: 5706
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، قال: حدثني حميد بن نافع، عن زينب، عن ام سلمة رضي الله عنها: ان امراة توفي زوجها فاشتكت عينها، فذكروها للنبي صلى الله عليه وسلم، وذكروا له الكحل وانه يخاف على عينها، فقال" لقد كانت إحداكن تمكث في بيتها في شر احلاسها او في احلاسها في شر بيتها، فإذا مر كلب رمت بعرة فهلا اربعة اشهر وعشرا".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, in se Shubah ne bayan kiya ke mujh se Humayd bin Nafi ne bayan kiya, in se Zaynub razi Allahu anha ne aur in se Umm Salamah razi Allahu anha ne ke ek aurat ke shohar ka intiqal ho gaya (zamana e iddat mein) is aurat ki aankh dukhne lagi to logon ne is ka zikr Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kiya. In logon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne surma ka zikr kiya aur yeh ke (agar surma aankh mein na lagaya to) in ki aankh ke mutalliq khatra hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (zamana e jahiliyat mein) iddat guzarne wali tum auraton ke apne ghar mein sab se bad-tar kapre mein para rehna parta tha ya (Aap ne yeh farmaya ke) apne kapron mein ghar ke sab se bad-tar hissa mein para rehna parta tha phir jab koi kutta guzarta to is par woh meingni phenk kar maarti (tab iddat se bahar hoti) pas char mahine das din tak surma na lagao.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْجُذَامِ:
Juzaam ka bayaan.
Hadith Number: 5707
وقال عفان، حدثنا سليم بن حيان، حدثنا سعيد بن ميناء، قال: سمعت ابا هريرة يقول، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا عدوى ولا طيرة، ولا هامة ولا صفر، وفر من المجذوم كما تفر من الاسد"
Aur Affan bin Muslim (Imam Bukhari rahmahullah ke shaykh) ne kaha (in ko Abu Nuaym ne wasl kiya) hai ke hum se Sulaim bin Hayyan ne bayan kiya, in se Saeed bin Mina ne bayan kiya, kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke chhoot lagna, bad-shuguni lena, ullu ka manhoos hona aur Safar ka manhoos hona yeh sab lagh-v khayalaat hain albatta juzami shakhs se aise bhaagta reh jaise ke sher se bhaagta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَنُّ شِفَاءٌ لِلْعَيْنِ:
Man (khumbi) aankh ke liye shifa hai.
Hadith Number: 5708
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن عبد الملك، سمعت عمرو بن حريث، قال: سمعت سعيد بن زيد، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" الكماة من المن وماؤها شفاء للعين"، قال شعبة: واخبرني الحكم بن عتيبة، عن الحسن العرني، عن عمرو بن حريث، عن سعيد بن زيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال شعبة: لما حدثني به الحكم لم انكره من حديث عبد الملك.
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abd-ul-Malik bin Umayr ne kaha ke main ne Amr bin Huraish se suna, kaha ke main ne Saeed bin Zayd razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khumbi «mann» mein se hai aur is ka pani aankh ke liye shifa hai. Isi sanad se Shubah ne bayan kiya ke mujhe Hakam bin Utaybah ne khabar di, unhein Hasan bin Abdullah Arani ne, unhein Amr bin Huraish ne aur unhein Saeed bin Zayd razi Allahu anhu ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yahi hadees bayan ki, Shubah ne kaha ke jab Hakam ne bhi mujh se yeh hadees bayan kar di to phir Abd-ul-Malik bin Umayr ki riwayat par mujhko itmad ho gaya kyunke Abd-ul-Malik ka hafiza aakhir mein bigar gaya tha Shubah ko sirf is ki riwayat par bharosa na raha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اللَّدُودِ:
Mareez ke halq mein dua daalna.
Hadith Number: 5709
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا سفيان، قال: حدثني موسى بن ابي عائشة، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس، وعائشة ان ابا بكر رضي الله عنه، قبل النبي صلى الله عليه وسلم وهو ميت.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, kaha ke mujh se Musa bin Abi Aisha ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abdullah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma aur Aisha razi Allahu anha ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki naash e mubarak ko bosa diya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5710
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا سفيان، قال: حدثني موسى بن ابي عائشة، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس، وعائشة ان ابا بكر رضي الله عنه، قبل النبي صلى الله عليه وسلم وهو ميت.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, kaha ke mujh se Musa bin Abi Aisha ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abdullah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma aur Aisha razi Allahu anha ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki naash e mubarak ko bosa diya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5711
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا سفيان، قال: حدثني موسى بن ابي عائشة، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس، وعائشة ان ابا بكر رضي الله عنه، قبل النبي صلى الله عليه وسلم وهو ميت.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, kaha ke mujh se Musa bin Abi Aisha ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abdullah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma aur Aisha razi Allahu anha ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki naash e mubarak ko bosa diya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5712
قال: وقالت عائشة:" لددناه في مرضه فجعل يشير إلينا ان لا تلدوني، فقلنا كراهية المريض للدواء، فلما افاق، قال: الم انهكم ان تلدوني؟ قلنا كراهية المريض للدواء، فقال: لا يبقى في البيت احد إلا لد، وانا انظر إلا العباس فإنه لم يشهدكم".
(Ubaidullah ne) bayan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne kaha hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke marz (wafat) mein dawa Aap ke munh mein daali to Aap ne hamain isharah kiya ke dawa munh mein na daalo hum ne khayal kiya ke mareez ko dawa se jo nafrat hoti hai is ki wajah se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mana farma rahe hain phir jab Aap ko hosh hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kyun main ne tumhein mana nahi kiya tha ke dawa mere munh mein na daalo. Hum ne arz kiya ke yeh shayad Aap ne mareez ki dawa se tab-ee nafrat ki wajah se farmaya ho ga. Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ab ghar mein jitne log is waqt maujood hain sab ke munh mein dawa daali jaye aur main dekhta rahoon ga, albatta Abbas ko chhorr diya jaye kyunke woh mere munh mein daalte waqt maujood na thay, baad mein aaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة