الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْحَبَّةِ السَّوْدَاءِ:
Kalunji ka bayaan.
Hadith Number: 5687
حدثنا عبد الله بن ابي شيبة، حدثنا عبيد الله، حدثنا إسرائيل، عن منصور، عن خالد بن سعد، قال: خرجنا ومعنا غالب بن ابجر فمرض في الطريق، فقدمنا المدينة وهو مريض، فعاده ابن ابي عتيق، فقال لنا: عليكم بهذه الحبيبة السوداء فخذوا منها خمسا او سبعا، فاسحقوها، ثم اقطروها في انفه بقطرات زيت، في هذا الجانب، وفي هذا الجانب، فإن عائشة حدثتني انها سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن هذه الحبة السوداء شفاء من كل داء، إلا من السام، قلت: وما السام، قال: الموت".
Hum se Abdullah bin Abi Shaybah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ubaidullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Israeel ne bayan kiya, unhon ne kaha in se Mansoor ne bayan kiya, in se Khalid bin Saad ne bayan kiya ke hum bahar gaye huay thay aur hamare saath Ghalib bin Abjar razi Allahu anhu bhi thay. Woh rasta mein beemar par gaye phir jab hum Madinah wapas aaye is waqt bhi woh beemar hi thay. Ibn Abi Ateeq in ki iyadat ke liye tashreef laaye aur hamase kaha ke unhein yeh kaale dane (kalonji) istemal karao, is ke paanch ya saat dane le kar pees lo aur phir zaitoon ke tail mein mila kar (naak ke) is taraf aur is taraf usay qatra qatra kar ke tapkao. Kyunke Aisha razi Allahu anha ne mujh se bayan kiya ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh kalonji har beemari ki dawa hai siwa «saam» ke. Main ne arz kiya «saam» kya hai? Farmaya ke maut hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5688
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابو سلمة، وسعيد بن المسيب، ان ابا هريرة اخبرهما انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" في الحبة السوداء شفاء من كل داء، إلا السام"، قال ابن شهاب، والسام: الموت، والحبة السوداء: الشونيز.
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth ne bayan kiya, in se Aqeel ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Abu Salamah aur Saeed bin al-Musayyab ne khabar di aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne khabar di, unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke siyah danon mein har beemari se shifa hai siwa «saam» ke. Ibn Shihab ne kaha ke «saam» maut hai aur siyah dana kalonji ko kehte hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّلْبِينَةِ لِلْمَرِيضِ:
Mareez ke liye hareera pakaana.
Hadith Number: 5689
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس بن يزيد، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها: انها كانت تامر بالتلبين للمريض وللمحزون على الهالك، وكانت تقول إني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن التلبينة تجم فؤاد المريض وتذهب ببعض الحزن".
Hum se Habban bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, unhein Yunus bin Yazid ne khabar di, unhein Aqeel ne, unhein Ibn Shihab ne, unhein Urwah ne ke Aisha razi Allahu anha beemar ke liye aur mayyit ke saugwaron ke liye talbeenah (rawa, doodh aur shehad mila kar daliya) pakaane ka hukm deti thien aur farmati thien ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke talbeenah mareez ke dil ko sukoon pahunchata hai aur gham ko door karta hai (kyunke usay peene ke baad umooman neend aa jati hai yeh zood-hazam bhi hai).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5690
حدثنا فروة بن ابي المغراء، حدثنا علي بن مسهر، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة" انها كانت تامر بالتلبينة، وتقول: هو البغيض النافع".
Hum se Farwah bin Abi Maghra ne bayan kiya, kaha hum se Ali bin Mushar ne bayan kiya, in se Hisham ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke woh talbeenah pakaane ka hukm deti thien aur farmati thien ke agarchay woh (mareez ko) napasand hota hai lekin woh is ko faida deta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السَّعُوطِ:
Naak mein dua daalna durust hai.
Hadith Number: 5691
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، عن ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، احتجم واعطى الحجام اجره واستعط.
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya, in se Abdullah ibn Taoos ne, in se un ke walid ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne pachhna lagwaya aur pachhna lagaane wale ko is ki mazdoori di aur naak mein dawa dalwayi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السَّعُوطِ بِالْقُسْطِ الْهِنْدِيِّ الْبَحْرِيِّ:
Qust Hindi aur Qust Bahri yani kost jo samandar se nikalta hai us ka naam lena.
Hadith Number: Q5692
وهو الكست مثل الكافور والقافور مثل كشطت وقشطت نزعت وقرا عبد الله قشطت
Isay «kust» bhi kehte hain jaise «kafoor» ko «qafoor» aur Quran mein bhi Surah al-Takweer mein «kushitat» aur «qushitat» donon qirat hain. Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne «qushitat» se parha hai.
Hadith Number: 5692
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، قال: سمعت الزهري، عن عبيد الله، عن ام قيس بنت محصن قالت: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" عليكم بهذا العود الهندي، فإن فيه سبعة اشفية: يستعط به من العذرة، ويلد به من ذات الجنب".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne bayan kiya, kaha hum ko Ibn Uyaynah ne khabar di, kaha main ne Zuhri se suna, unhon ne Ubaidullah bin Abdullah se ke Umm Qays bint Muhsan razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tum log is ood e hindi ( «kust») ka istemal kiya karo kyunke is mein saat beemariyon ka ilaaj hai. Halaq ke dard mein usay naak mein dala jata hai, pasli ke dard mein chabayi jati hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5693
ودخلت على النبي صلى الله عليه وسلم بابن لي لم ياكل الطعام، فبال عليه، فدعا بماء فرش عليه.
Aur main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein apne ek sheer-khwar larke ko le kar hazir hui phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke oopar us ne peshab kar diya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne pani mangwa kar peshab ki jagah par chheinta diya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَيَّ سَاعَةٍ يَحْتَجِمُ:
Kis waqt pichhna lagwaya jaaye.
Hadith Number: Q5694
واحتجم ابو موسى ليلا.
Abu Musa razi Allahu anhu ne raat ke waqt pachhna lagwaya tha.
Hadith Number: 5694
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" احتجم النبي صلى الله عليه وسلم وهو صائم".
Hum se Abu Mamar ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Waris ne bayan kiya, kaha hum se Ayub ne bayan kiya, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (ek martaba) roze ki halat mein pachhna lagwaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة