الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ لَمْ يَتَغَنَّ بِالْقُرْآنِ:
Bab: Is shakhs ke bare mein jo Quran Majeed ko khush-aawazi se na parhe.
Hadith Number: 5023
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثني الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، انه كان يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لم ياذن الله لشيء، ما اذن للنبي صلى الله عليه وسلم يتغنى بالقرآن". وقال صاحب له: يريد يجهر به.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya, kaha ke mujh se Layth bin Saad ne, un se Aqeel ne, un se Shihab ne byaan kiya, kaha ke mujhko Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ne koi cheez itni tawajjo se nahi suni jitni tawajjo se us ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka Quran behtareen aawaz ke saath parhte huay suna hai. Abu Salamah bin Abdur Rahman ka ek dost Abdul Hameed bin Abdur Rahman kehta tha ke is hadees mein «yataghanna bil-qur-aani» se yeh murad hai ke achhi aawaz se usay pukaar kar parhe.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5024
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن الزهري، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما اذن الله لشيء، ما اذن للنبي ان يتغنى بالقرآن". قال سفيان: تفسيره يستغني به.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, in se Zuhri ne, un se Abu Salamah bin Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne koi cheez tawajjo se nahi suni jitni tawajjo se apne Nabi (salla Allahu alaihi wasallam) ko behtareen aawaz ke saath Quran Majeed parhte suna hai. Sufyan bin Uyaynah ne kaha «yataghanna bil-qur-aani» se murad hai ke Quran par qana'at kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اغْتِبَاطِ صَاحِبِ الْقُرْآنِ:
Bab: Quran Majeed parhne wale par rashk karna ja’iz hai.
Hadith Number: 5025
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: حدثني سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا حسد إلا على اثنتين: رجل آتاه الله الكتاب وقام به آناء الليل، ورجل اعطاه الله مالا فهو يتصدق به آناء الليل والنهار".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di un se Zuhri ne byaan kiya, unhon ne mujh se Salim bin Abdullah ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko yeh farmate huay suna, rashk to bas do hi aadmiyon par ho sakta hai ek to is par jise Allah ne Quran Majeed ka ilm diya aur woh is ke saath raat ki ghariyon mein khara ho kar namaz parhta raha aur doosra aadmi woh jise Allah Ta'ala ne maal diya aur woh usay muhtajon par raat din khairat karta raha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5026
حدثنا علي بن إبراهيم، حدثنا روح، حدثنا شعبة، عن سليمان، سمعت ذكوان، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا حسد إلا في اثنتين: رجل علمه الله القرآن فهو يتلوه آناء الليل وآناء النهار، فسمعه جار له، فقال: ليتني اوتيت مثل ما اوتي فلان فعملت مثل ما يعمل، ورجل آتاه الله مالا فهو يهلكه في الحق، فقال رجل: ليتني اوتيت مثل ما اوتي فلان فعملت مثل ما يعمل".
Hum se Ali bin Ibrahim ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Rauh bin Ubadah ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya, in se Sulayman ne, unhon ne kaha main ne Zhakwan se suna aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke rashk to bas do hi aadmiyon par hona chahiye ek is par jise Allah Ta'ala ne Quran ka ilm diya aur woh raat din is ki tilawat karta rehta hai ke is ka parosi sun kar keh uthe ke kaash mujhe bhi is jaisa ilm e Quran hota aur main bhi is ki tarah amal karta aur woh doosra jise Allah ne maal diya aur woh usay haq ke liye luta raha hai (is ko dekh kar) doosra shakhs keh uthta hai ke kaash mere paas bhi is ke jitna maal hota aur main bhi is ki tarah kharch karta.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ خَيْرُكُمْ مَنْ تَعَلَّمَ الْقُرْآنَ وَعَلَّمَهُ:
Bab: Tum mein sab se behtar woh hai jo Quran Majeed parhe aur doosron ko parhaye.
Hadith Number: 5027
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني علقمة بن مرثد، سمعت سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن عثمان رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خيركم من تعلم القرآن وعلمه". قال: واقرا ابو عبد الرحمن في إمرة عثمان حتى كان الحجاج، قال: وذاك الذي اقعدني مقعدي هذا.
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya, kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne byaan kiya, kaha ke mujhe Alqamah bin Marsad ne khabar di, unhon ne Saad bin Ubaydah se suna, unhon ne Abu Abdur Rahman Salmi se aur unhon ne Usman bin Affan razi Allahu anhu se, unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mein sab se behtar woh hai jo Quran Majeed parhe aur parhaye. Saad bin Ubaydah ne byaan kiya ke Abu Abdur Rahman Salmi ne logon ko Usman razi Allahu anhu ke zamana e khilafat se Hajjaj bin Yusuf ke Iraq ke governor hone tak Quran Majeed ki taleem di. Woh kaha karte thay ke yahi hadees hai jis ne mujhe is jagah (Quran Majeed parhane ke liye) bitha rakkha hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5028
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن علقمة بن مرثد، عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن عثمان بن عفان، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن افضلكم من تعلم القرآن وعلمه".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Alqamah bin Marsad ne , un se Abu Abdur Rahman Salmi ne , un se Usman razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum sab mein behtar woh hai jo Quran Majeed parhe aur parhaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5029
حدثنا عمرو بن عون، حدثنا حماد، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد، قال:" اتت النبي صلى الله عليه وسلم امراة، فقالت: إنها قد وهبت نفسها لله ولرسوله صلى الله عليه وسلم، فقال: ما لي في النساء من حاجة، فقال رجل: زوجنيها، قال: اعطها ثوبا، قال: لا اجد، قال: اعطها ولو خاتما من حديد فاعتل له، فقال: ما معك من القرآن؟ قال: كذا وكذا. قال:" فقد زوجتكها بما معك من القرآن".
Hum se Amr bin Aun ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Abu Hazim ne byaan kiya , un se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne byaan kiya ke ek khatoon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hui aur kaha ke unhon ne apne aap ko Allah aur us ke Rasool (ki raza) ke liye hiba kar diya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ab mujhe auraton se nikah ki koi haajat nahi hai . Ek sahab ne arz kiya: ya Rasool Allah! In ka nikah mujh se kar dein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir unhein (mahr mein) ek kapra la ke de do . Unhon ne arz kiya ke mujhe to yeh bhi muyassar nahi hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya phir unhein kuch to do ek lohe ki angoothi hi sahi . Woh is par bahut pareshan huay (kyunke un ke paas yeh bhi na thi) . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke achha tum ko Quran kitna yaad hai ? Unhon ne arz kiya ke falan falan surtein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir main ne tumhara in se Quran ki in suraton par nikah kiya jo tumhein yaad hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِرَاءَةِ عَنْ ظَهْرِ الْقَلْبِ:
Bab: Zabani Quran Majeed ki tilawat karna.
Hadith Number: 5030
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد، ان امراة جاءت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت:" يا رسول الله جئت لاهب لك نفسي، فنظر إليها رسول الله صلى الله عليه وسلم فصعد النظر إليها وصوبه، ثم طاطا راسه، فلما رات المراة انه لم يقض فيها شيئا جلست، فقام رجل من اصحابه، فقال: يا رسول الله، إن لم يكن لك بها حاجة فزوجنيها، فقال: هل عندك من شيء؟ فقال: لا والله يا رسول الله، قال: اذهب إلى اهلك فانظر، هل تجد شيئا، فذهب ثم رجع، فقال: لا والله يا رسول الله ما وجدت شيئا، قال: انظر ولو خاتما من حديد، فذهب ثم رجع، فقال: لا والله يا رسول الله، ولا خاتما من حديد، ولكن هذا إزاري، قال سهل: ما له رداء فلها نصفه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ما تصنع بإزارك، إن لبسته لم يكن عليها منه شيء، وإن لبسته لم يكن عليك شيء، فجلس الرجل حتى طال مجلسه، ثم قام، فرآه رسول الله صلى الله عليه وسلم موليا فامر به فدعي، فلما جاء، قال: ماذا معك من القرآن؟ قال: معي سورة كذا وسورة كذا وسورة كذا عدها، قال: اتقرؤهن عن ظهر قلبك؟ قال: نعم، قال: اذهب فقد ملكتكها بما معك من القرآن".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Abdullah ne byaan kiya , un se Abu Hazim ne , un se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne ke ek khatoon Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Main Aap ki khidmat mein apne aap ko hiba karne ke liye aayi hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ki taraf nazar utha kar dekha aur phir nazar neechi kar li aur sar jhuka liya . Jab is khatoon ne dekha ke in ke baare mein koi faisla Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne nahi farmaya to woh baith gayi . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahabah mein se ek sahab uthay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Agar Aap ko in ki zaroorat nahi hai to mere saath in ka nikah kar dein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya tumhare paas kuch (mahr ke liye) bhi hai . Unhon ne arz kiya nahi ya Rasool Allah , Allah ki qasam! To Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apne ghar jao aur dekho shayad koi cheez mile , woh sahab gaye aur wapas aa gaye aur arz kiya nahi , Allah ki qasam! Ya Rasool Allah! Mujhe wahan koi cheez nahi mili . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir dekh lo ek lohe ki angoothi hi sahi . Woh sahab gaye aur phir wapas aa gaye aur arz kiya nahi Allah ki qasam , ya Rasool Allah! Lohe ki ek angoothi bhi mujhe nahi mili . Albatta yeh ek tehband mere paas hai . Sahl razi Allahu anhu kehte hain ke in ke paas koi chadar bhi (orhne ke liye) nahi thi . Is sahabi ne kaha ke khatoon ko is mein se aadha phaar kar de dijiye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhare is tehband ka woh kiya kare gi . Agar tum usay pehente ho to is ke qabil nahi rehta aur agar woh pehenti hai to tumhare qabil nahi . Phir woh sahab baith gaye kafi der tak baithe rehne ke baad uthay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein jaate huay dekha to bulwaya . Jab woh hazir huay to Aap ne daryaft farmaya ke tumhein Quran Majeed kitna yaad hai ? Unhon ne batlaya ke falan , falan , falan surtein mujhe yaad hain . Unhon ne in ke naam ganaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke kya tum unhein zabani parh lete ho ? Arz kiya ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jao tumhein Quran Majeed ki jo surtein yaad hain in ke badle mein main ne usay tumhare nikah mein de diya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اسْتِذْكَارِ الْقُرْآنِ وَتَعَاهُدِهِ:
Bab: Quran Majeed ko hamesha parhte aur yaad karte rehna.
Hadith Number: 5031
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إنما مثل صاحب القرآن كمثل صاحب الإبل المعقلة، إن عاهد عليها امسكها، وإن اطلقها ذهبت".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhein Nafi ne aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Hafiz e Quran ki misal rassi se bandhe huay oont ke malik jaisi hai aur woh is ki nigrani rakkhe ga to woh usay rok sake ga warna woh rassi turwa kar bhaag jaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5032
حدثنا محمد بن عرعرة، حدثنا شعبة، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" بئس ما لاحدهم ان يقول: نسيت آية كيت وكيت، بل نسي واستذكروا القرآن فإنه اشد تفصيا من صدور الرجال من النعم". حدثنا عثمان، حدثنا جرير، عن منصور، مثله. تابعه بشر، عن ابن المبارك، عن شعبة، وتابعه ابن جريج، عن عبدة، عن شقيق، سمعت عبد الله، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad bin Ar'arah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bahut bura hai kisi shakhs ka yeh kehna ke main falan falan aayat bhool gaya balkay yun (kehna chahiye) ke mujhe bhula diya gaya aur Quran Majeed ka parhna jaari rakho kyunke insanon ke dilon se door ho jaane mein woh oont ke bhaagne se bhi barh kar hai . Hum se Usman bin Abi Shaybah ne byaan kiya , kaha hum se Jareer bin Abdul Hameed ne , aur in se Mansoor bin Mutamir ne pichhli hadees ki tarah . Muhammad bin Ar'arah ke saath is ko بشر bin Abdullah ne bhi Abdullah bin Mubarak se , unhon ne Shubah se riwayat kiya hai aur Muhammad bin Ar'arah ke saath is ko Ibn Jurayj ne bhi Abdah se , unhon ne Shaqeeq se , unhon ne Abdullah bin Masood se aisa hi riwayat kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة