الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ اسْتِذْكَارِ الْقُرْآنِ وَتَعَاهُدِهِ:
Bab: Quran Majeed ko hamesha parhte aur yaad karte rehna.
Hadith Number: 5033
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"تعاهدوا القرآن، فوالذي نفسي بيده لهو اشد تفصيا من الإبل في عقلها".
Hum se Muhammad bin Alaa ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , un se Burayd ne , un se Abu Burdah ne aur un se Abu Musa razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Quran Majeed ka parhte rehna lazim pakar lo“ is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai woh oont ke apni rassi turwa kar bhaag jaane se zyada tezi se bhaagta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقِرَاءَةِ عَلَى الدَّابَّةِ:
Bab: Sawari par tilawat karna.
Hadith Number: 5034
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني ابو إياس، قال: سمعت عبد الله بن مغفل، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم فتح مكة وهو يقرا على راحلته سورة الفتح".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke mujhe Abu Iyas ne khabar di , kaha ke main ne Abdullah bin Mugaffal razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Fatah Makkah ke din dekha ke Aap sawari par Surah al-Fatah ki tilawat farma rahe thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَعْلِيمِ الصِّبْيَانِ الْقُرْآنَ:
Bab: Bachchon ko Quran Majeed ki ta’leem dena.
Hadith Number: 5035
حدثني موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، قال:" إن الذي تدعونه المفصل هو المحكم"، قال: وقال ابن عباس:" توفي رسول الله صلى الله عليه وسلم وانا ابن عشر سنين وقد قرات المحكم".
Mujh se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Abu Bishr ne , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke jin suraton ko tum mufassal kehte ho woh sab muhkam hain . Unhon ne byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wafat hui to meri umr das saal ki thi aur main ne muhkam surtein sab parh li thien .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5036
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، جمعت المحكم في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت له:" وما المحكم؟ قال: المفصل".
Hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Hushaym ne byaan kiya , kaha hum ko Abu al-Bishr ne khabar di , unhein Saeed bin Jubayr ne aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke main ne muhkam surtein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein sab yaad kar li thien , main ne poocha ke muhkam surtein kaun si hain ? Kaha ke mufassal .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نِسْيَانِ الْقُرْآنِ وَهَلْ يَقُولُ نَسِيتُ آيَةَ كَذَا وَكَذَا:
Bab: Quran Majeed ko bhula dena aur kya ye kaha ja sakta hai ke mein falan falan aayatein bhool gaya hun?
Hadith Number: Q5037
وقول الله تعالى: سنقرئك فلا تنسى {6} إلا ما شاء الله سورة الاعلى آية 6-7.
Aur Allah ka farman «sunu-qri-uka fala tansa * illa ma shaa'allahu» ”hum Aap ko Quran parha dein ge phir Aap usay na bhoolein ge siwa in aayat ke jinhein Allah chahe .“
Hadith Number: 5037
حدثنا ربيع بن يحيى، حدثنا زائدة، حدثنا هشام، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" سمع النبي صلى الله عليه وسلم رجلا يقرا في المسجد، فقال: يرحمه الله لقد اذكرني كذا وكذا آية من سورة كذا".
Hum se Rabia bin Yahya ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Za'ida bin Juzhamah ne byaan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , un se Urwah bin Zubayr ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek shakhs ko masjid mein Quran parhte suna to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah is par raham kare , is ne mujhe falan surat ki falan falan aayatein yaad dila dien .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5037M
حدثنا محمد بن عبيد بن ميمون، حدثنا عيسى، عن هشام، وقال: اسقطتهن من سورة كذا. تابعه علي بن مسهر، وعبدة، عن هشام.
Hum se Muhammad bin Ubaid bin Maymoon ne byaan kiya , kaha hum se Esa bin Yunus ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne (izafa ke saath byaan kiya ke) main ne falan surat ki falan falan aayatein bhula di thien . Muhammad bin Ubaid ke saath is ko Ali bin Mushar aur Abdah ne bhi Hisham se riwayat kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5038
حدثنا احمد بن ابي رجاء، حدثنا ابو اسامة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم رجلا يقرا في سورة بالليل، فقال: يرحمه الله لقد اذكرني كذا وكذا آية كنت انسيتها من سورة كذا وكذا".
Hum se Ahmad bin Abi Rajaa ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , in se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid (Urwah bin Zubayr) ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ek sahab ko raat ke waqt ek surat parhte huay suna to farmaya ke Allah Ta'ala is shakhs par raham kare , is ne mujhe falan aayatein yaad dila dien jo mujhe falan falan suraton mein se bhula di gayi thien .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5039
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ما لاحدهم يقول:نسيت آية كيت وكيت بل هو نسي".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi ke liye yeh munasib nahi ke yeh kahe ke main falan falan aayatein bhool gaya balkay usay (yun kehna chahiye) ke main falan falan aayaton ko bhula diya gaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يَرَ بَأْسًا أَنْ يَقُولَ سُورَةُ الْبَقَرَةِ وَسُورَةُ كَذَا وَكَذَا:
Bab: Jin ke nazdeek Surah Al-Baqarah ya falan falan soorat (naam ke sath) kehne mein koi haraj nahi.
Hadith Number: 5040
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني إبراهيم، عن علقمة، وعبد الرحمن بن يزيد، عن ابي مسعود الانصاري، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الآيتان من آخر سورة البقرة من قرا بهما في ليلة كفتاه".
Hum se Umar bin Hafs ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne byaan kiya , un se Aamash ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ibrahim ne byaan kiya , un se Alqamah aur Abdur Rahman bin Yazid ne aur un se Abu Masood Ansari razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Surah al-Baqarah ke aakhir ki do aayaton ko jo shakhs raat mein parh le ga woh is ke liye kafi hon gi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة