الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْقُرَّاءِ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ke Sahaba mein Quran ke qari (huffaz) kaun kaun the?
Show diacritics
Hadith Number: 5005
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا يحيى، عن سفيان، عن حبيب بن ابي ثابت، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: قال عمر:" ابي اقرؤنا، وإنا لندع من لحن ابي، وابي يقول: اخذته من في رسول الله صلى الله عليه وسلم فلا اتركه لشيء، قال الله تعالى: ما ننسخ من آية او ننسها نات بخير منها او مثلها سورة البقرة آية 106".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , kaha hum ko Yahya bin Saeed Qattan ne khabar di , unhein Sufyan Sawri ne , unhein Habib bin Abi Sabit ne , unhein Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Umar razi Allahu anhu ne kaha , Ubayy bin Kabb hum mein sab se achhe qaari hain lekin Ubayy jahan ghalati karte hain us ko hum chhor dete hain (woh baaz mansookh-ut-tilawa aayaton ko bhi parhte hain) aur kehte hain ke main ne to is aayat ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke munh mubarak se suna hai , main kisi ke kehne se usay chhorne wala nahi aur Allah ne khud farmaya hai «ma nansakh min aayatin au nunsiha na'ti bi-khayrin minha au misliha» ke ”hum jab kisi aayat ko mansookh kar dete hain phir ya to usay bhula dete hain ya is se behtar laate hain .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ فَاتِحَةِ الْكِتَابِ:
Bab: Surah Al-Fatihah ki fazilat ka bayan (fazail-e-Aameen).
Show diacritics
Hadith Number: 5006
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا شعبة، قال: حدثني خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي سعيد بن المعلى، قال:" كنت اصلي فدعاني النبي صلى الله عليه وسلم فلم اجبه، قلت: يا رسول الله، إني كنت اصلي، قال: الم يقل الله: استجيبوا لله وللرسول إذا دعاكم سورة الانفال آية 24، ثم قال: الا اعلمك اعظم سورة في القرآن قبل ان تخرج من المسجد، فاخذ بيدي فلما اردنا ان نخرج، قلت: يا رسول الله، إنك قلت لاعلمنك اعظم سورة من القرآن، قال: الحمد لله رب العالمين هي السبع المثاني والقرآن العظيم الذي اوتيته".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya, kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne byaan kiya, kaha mujh se Habib bin Abdur Rahman ne byaan kiya, un se Hafs bin Aasim ne aur un se Abu Saeed bin al-Mualla razi Allahu anhu ne ke main namaz mein mashghool tha to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe bulaya is liye main koi jawab nahi de saka, phir main ne (Aap ki khidmat mein hazir ho kar) arz kiya: ya Rasool Allah! Main namaz parh raha tha. Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya Allah Ta'ala ne tumhein hukm nahi farmaya hai «istajeeboo lillahi wa lir-rasooli izha da-aakum» ke ”Allah ke Rasool jab tumhein pukarein to in ki pukar par furan Allah ke Rasool ke liye labbaik kaha karo.“ Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya masjid se nikalne se pehle Quran ki sab se bari surat main tumhein kyun na sikha doon. Phir Aap ne mera hath pakar liya aur jab hum masjid se bahar nikalne lage to main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap ne abhi farmaya tha ke masjid ke bahar nikalne se pehle Aap mujhe Quran ki sab se bari surat batayein ge. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan woh surat «alhamdu lillahi rabbil aalameena» hai yahi woh saat aayatein hain jo (har namaz mein) baar baar parhi jati hain aur yahi woh Quran e Azeem hai jo mujhe diya gaya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5007
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا وهب، حدثنا هشام، عن محمد، عن معبد، عن ابي سعيد الخدري، قال:" كنا في مسير لنا، فنزلنا فجاءت جارية، فقالت: إن سيد الحي سليم، وإن نفرنا غيب، فهل منكم راق؟ فقام معها رجل ما كنا نابنه برقية فرقاه، فبرا فامر له بثلاثين شاة وسقانا لبنا، فلما رجع، قلنا له: اكنت تحسن رقية، او كنت ترقي؟ قال: لا ما رقيت إلا بام الكتاب، قلنا: لا تحدثوا شيئا حتى ناتي او نسال النبي صلى الله عليه وسلم، فلما قدمنا المدينة ذكرناه للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال: وما كان يدريه انها رقية، اقسموا واضربوا لي بسهم"، وقال ابو معمر: حدثنا عبد الوارث، حدثنا هشام، حدثنا محمد بن سيرين، حدثني معبد بن سيرين، عن ابي سعيد الخدري، بهذا.
Mujh se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya, kaha hum se Wahb bin Jareer ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Hassan ne byaan kiya, un se Muhammad bin Sireen ne, un se Mabad bin Sireen ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum ek fauji safar mein thay (raat mein) hum ne ek qabila ke nazdeek parao kiya. Phir ek laundi aayi aur kaha ke qabila ke sardar ko bichhoo ne kaat liya hai aur hamare qabile ke mard maujood nahi hain, kya tum mein koi bichhoo ka jhaar phoonk karne wala hai? Ek sahabi (khud Abu Saeed) is ke saath kharay ho gaye, hamain ko maloom tha ke woh jhaar phoonk nahi jaante lekin unhon ne qabila ke sardar ko jhara to usay sehat ho gayi. Us ne is ke shukrane mein tees bakriyaan dene ka hukm diya aur hamain doodh pilaya. Jab woh jhaar phoonk kar ke wapas aaye to hum ne in se poocha kya tum waqayi koi mantar jaante ho? Unhon ne kaha ke nahi main ne to sirf Surah Fatiha parh kar is par dam kar diya tha. Hum ne kaha ke achha jab tak hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq na pooch lein in bakriyon ke baare mein apni taraf se kuch na kaho. Chunanche hum ne Madinah pahunch kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se zikr kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhon ne kaise jaana ke Surah Fatiha mantar bhi hai. (jao yeh maal halal hai) usay taqseem kar lo aur is mein mera bhi hissa lagana. Aur Mamar ne byaan kiya hum se Abdul Waris bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Hassan ne byaan kiya, kaha hum se Muhammad bin Sireen ne byaan kiya, kaha hum se Mabad bin Sireen ne byaan kiya aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne yahi waqia byaan kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلُ الْبَقَرَةِ:
Bab: Surah Al-Baqarah ki fazilat ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5008
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا شعبة، عن سليمان، عن إبراهيم، عن عبد الرحمن، عن ابي مسعود، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من قرا بالآيتين"،
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Sulayman bin Mehran ne, unhein Ibrahim Nakhai ne, unhein Abdur Rahman bin Yazid ne, unhein Abu Masood Ansari razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (Surah al-Baqarah mein se) jis ne bhi do aakhri aayatein parhien. (doosri sanad agli hadees dekhein).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5009
وحدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن منصور، عن إبراهيم، عن عبد الرحمن بن يزيد، عن ابي مسعود رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من قرا بالآيتين من آخر سورة البقرة في ليلة كفتاه".
Aur hum se Abu Naeem ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, un se Mansoor bin Mutamir ne, un se Ibrahim Nakhai ne, un se Abdur Rahman bin Yazid ne aur un se Abu Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne Surah al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh lien woh usay har aafat se bachane ke liye kafi ho jayein gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5010
وقال عثمان بن الهيثم: حدثنا عوف، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: وكلني رسول الله صلى الله عليه وسلم بحفظ زكاة رمضان، فاتاني آت فجعل يحثو من الطعام، فاخذته، فقلت: لارفعنك إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقص الحديث، فقال: إذا اويت إلى فراشك فاقرا آية الكرسي، لن يزال معك من الله حافظ ولا يقربك شيطان حتى تصبح، وقال النبي صلى الله عليه وسلم:" صدقك وهو كذوب ذاك شيطان".
Aur Usman bin Haizam ne kaha ke hum se Auf bin Abi Jameelah ne byaan kiya, un se Muhammad bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe sadqa e fitr ki hifazat par muqarrar farmaya. Phir ek shakhs aaya aur donon hathon se (khajoorein) samaitne laga. Main ne usay pakar liya aur kaha ke main tujhe Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pesh karoon ga. Phir unhon ne yeh poora qissa byaan kiya (mufassal hadees is se pehle Kitab-ul-Wakala mein guzar chuki hai) (jo sadqa e fitr churane aaya tha) us ne kaha ke jab tum raat ko apne bistar par sone ke liye jao to Ayat-ul-Kursi parh liya karo, phir subah tak Allah Ta'ala ki taraf se tumhari hifazat karne wala ek farishta muqarrar ho jaye ga aur Shaytan tumhare paas bhi na aa sake ga. (Abu Hurairah razi Allahu anhu ne yeh baat Aap se byaan ki to) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya us ne tumhein yeh theek baat batayi hai agarchay woh bara jhoota hai, woh Shaytan thu.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلُ الْكَهْفِ:
Bab: Surah Al-Kahf ki fazilat ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5011
حدثنا عمرو بن خالد، حدثنا زهير، حدثنا ابو إسحاق، عن البراء بن عازب، قال:" كان رجل يقرا سورة الكهف، وإلى جانبه حصان مربوط بشطنين، فتغشته سحابة، فجعلت تدنو وتدنو، وجعل فرسه ينفر فلما اصبح، اتى النبي صلى الله عليه وسلم فذكر ذلك له، فقال:" تلك السكينة تنزلت بالقرآن".
Hum se Amr bin Khalid ne byaan kiya, kaha hum se Zuhayr ne byaan kiya, kaha hum se Abu Ishaq ne byaan kiya aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne ke ek sahabi (Usayd bin Huzayr) Surah al-Kahf parh rahe thay. Un ke ek taraf ek ghora do rasson se bandha hua thu. Is waqt ek abr oopar se aaya aur nazdeek se nazdeek tar hone laga. Un ka ghora is ki wajah se badakne laga. Phir subah ke waqt woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur Aap se is ka zikr kiya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh (abr ka tukra) «sakeenatun» tha jo Quran ki tilawat ki wajah se utra tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلُ سُورَةِ الْفَتْحِ:
Bab: Surah Al-Fath ki fazilat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 5012
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن زيد بن اسلم، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يسير في بعض اسفاره وعمر بن الخطاب يسير معه ليلا، فساله عمر عن شيء، فلم يجبه رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم ساله: فلم يجبه، ثم ساله: فلم يجبه، فقال عمر: ثكلتك امك، نزرت رسول الله صلى الله عليه وسلم ثلاث مرات، كل ذلك لا يجيبك، قال عمر: فحركت بعيري حتى كنت امام الناس وخشيت ان ينزل في قرآن، فما نشبت ان سمعت صارخا يصرخ بي، قال: فقلت: لقد خشيت ان يكون نزل في قرآن، قال: فجئت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فسلمت عليه، فقال:" لقد انزلت علي الليلة سورة لهي احب إلي مما طلعت عليه الشمس، ثم قرا: إنا فتحنا لك فتحا مبينا".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik ne byaan kiya, un se Zayd bin Aslam ne aur un se un ke walid Aslam ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam raat ko ek safar mein ja rahe thay. Umar bin Khattab razi Allahu anhu bhi Aap ke saath thay. Umar razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kuch poocha. Lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ka koi jawab na diya. Umar razi Allahu anhu ne phir poocha Aap ne phir koi jawab nahi diya. Teesri martaba phir poocha aur jab is martaba bhi koi jawab nahi diya to Umar razi Allahu anhu ne (apne aap ko) kaha teri maan tujh par roye tu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se teen martaba aajzi se sawal kiya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kisi martaba bhi jawab nahi diya. Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke phir main ne apni oontni ko doraya aur logon se aage ho gaya (Aap ke barabar chalna chhor diya) mujhe khauf thu ke kahin is harakat par mere baare mein koi aayat nazil na ho jaye abhi thora hi waqt guzra tha ke main ne ek pukarne wale ko suna jo pukar raha thu. Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne soocha mujhe to khauf tha hi ke mere baare mein kuch wahi nazil ho gi. Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya chunanche main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein aaya aur main ne Aap ko salam kiya (salam ke jawab ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Umar! Aaj raat mujh par aaisi surat nazil hui hai jo mujhe in sab cheezon se zyada pasand hai jin par sooraj nikalta hai. Phir Aap ne Surah «inna fatahna laka fath-ham mubeenan» ki tilawat farmayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ:
Bab: Surah Qul huwa Allahu ahad ki fazilat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q5013
. فيه: عمرة، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم
Is baab mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek hadees Umrah ne Aisha razi Allahu anha se naqal ki hai.


Show diacritics
Hadith Number: 5013
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عبد الرحمن بن عبد الله بن عبد الرحمن بن ابي صعصعة، عن ابيه، عن ابي سعيد الخدري، ان رجلا سمع رجلا يقرا: قل هو الله احد رددها، فلما اصبح، جاء إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكر ذلك له، وكان الرجل يتقالها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده إنها لتعدل ثلث القرآن"،
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Abdur Rahman bin Abdullah bin Abdur Rahman bin Abi Sasah ne, unhein un ke walid Abdullah ne aur unhein Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke ek sahabi (khud Abu Saeed Khudri) ne ek doosre sahabi (Qatadah bin Numan razi Allahu anhu) apne maan jaaye bhai ko dekha ke woh raat ko Surah «qul huwallahu ahadun» baar baar parh rahe hain. Subah hui to woh sahabi (Abu Saeed razi Allahu anhu) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ka zikr kiya goya unhon ne samjha ke is mein koi bara sawab na ho ga. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai! Yeh surat Quran Majeed ke ek tihayi hisse ke barabar hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة