الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ الْمُقْرِئِ لِلْقَارِئِ حَسْبُكَ:
Bab: Quran Majeed sunne wale ka parhne wale se kehna ke bas kar bas kar.
Hadith Number: 5050
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله بن مسعود، قال: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" اقرا علي، قلت: يا رسول الله، ااقرا عليك وعليك انزل، قال: نعم. فقرات سورة النساء حتى اتيت إلى هذه الآية: فكيف إذا جئنا من كل امة بشهيد وجئنا بك على هؤلاء شهيدا سورة النساء آية 41، قال: حسبك الآن، فالتفت إليه فإذا عيناه تذرفان".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Ibrahim ne , un se Ubaidah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mujh se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe Quran parh kar sunao . Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Main Aap ko parh kar sunaoon , Aap par to Quran Majeed nazil hota hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya haan sunao . Chunanche main ne Surah Nisa parhi jab main aayat «fakaifa izha ji'na min kulli ummatim bi-shaheedin wa ji'na bika ala ha-ula'i shaheedan» par pahuncha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ab bas karo . Main ne Aap ki taraf dekha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki aankhon se aansu jaari thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ في كَمْ يُقْرَأُ الْقُرْآنُ:
Bab: Kitni muddat mein Quran Majeed khatam karna chahiye?
Hadith Number: Q5051
وقول الله تعالى: فاقرءوا ما تيسر منه سورة المزمل آية 20.
Aur Allah Ta'ala ka farman «faqra'oo ma tayassara minhu» ke ”pas parho jo kuch bhi is mein se tumhare liye aasan ho .“
Hadith Number: 5051
حدثنا علي، حدثنا سفيان، قال لي ابن شبرمة:" نظرت كم يكفي الرجل من القرآن، فلم اجد سورة اقل من ثلاث آيات، فقلت: لا ينبغي لاحد ان يقرا اقل من ثلاث آيات". قال علي، قال سفيان، اخبرنا منصور، عن إبراهيم، عن عبد الرحمن بن يزيد، اخبره علقمة، عن ابي مسعود ولقيته وهو يطوف بالبيت، فذكر قول النبي صلى الله عليه وسلم:" انه من قرا بالآيتين من آخر سورة البقرة في ليلة كفتاه".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya kaha , hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Ibn Shubrumah ne byaan kiya (jo Kufa ke qazi thay) ke main ne ghaur kiya ke namaz mein kitna Quran parhna kafi ho sakta hai . Phir main ne dekha ke ek surat mein teen aayaton se kam nahi hai . Is liye main ne yeh rai qaim ki ke kisi ke liye teen aayaton se kam parhna munasib nahi . Ali Madini ne byaan kiya ke hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , kaha hum ko Mansoor ne khabar di , unhein Ibrahim ne , unhein Abdur Rahman bin Yazid ne , unhein Alqamah ne khabar di aur unhein Abu Masood razi Allahu anhu ne (Alqamah ne byaan kiya ke) main ne in se mulaqat ki to woh Bayt-ullah ka tawaf kar rahe thay . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka zikr kiya (ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha) ke jis ne Surah al-Baqarah ke aakhri ki do aayatein raat mein parh lien woh is ke liye kafi hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5052
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، عن مغيرة، عن مجاهد، عن عبد الله بن عمرو، قال: انكحني ابي امراة ذات حسب، فكان يتعاهد كنته، فيسالها عن بعلها، فتقول: نعم الرجل من رجل لم يطا لنا فراشا، ولم يفتش لنا كنفا منذ اتيناه، فلما طال ذلك عليه ذكر للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" القني به"، فلقيته بعد، فقال:" كيف تصوم؟" قال: كل يوم، قال:" وكيف تختم؟" قال: كل ليلة، قال:" صم في كل شهر ثلاثة، واقرإ القرآن في كل شهر"، قال: قلت: اطيق اكثر من ذلك، قال:" صم ثلاثة ايام في الجمعة"، قلت: اطيق اكثر من ذلك، قال:" افطر يومين وصم يوما"، قال: قلت: اطيق اكثر من ذلك، قال: صم افضل الصوم، صوم داود، صيام يوم وإفطار يوم، واقرا في كل سبع ليال مرة"، فليتني قبلت رخصة رسول الله صلى الله عليه وسلم، وذاك اني كبرت وضعفت، فكان يقرا على بعض اهله السبع من القرآن بالنهار والذي يقرؤه يعرضه من النهار ليكون اخف عليه بالليل، وإذا اراد ان يتقوى افطر اياما واحصى وصام مثلهن كراهية ان يترك شيئا، فارق النبي صلى الله عليه وسلم عليه، قال ابو عبد الله: وقال بعضهم: في ثلاث وفي خمس واكثرهم على سبع.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne , in se Mugheerah bin Miqsam ne , un se Mujahid bin Jubayr ne aur un se Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke meere walid Amr bin al-Aas razi Allahu anhu ne mera nikah ek shareef khandan ki aurat (Umm Muhammad bint Mahmiyah) se kar diya tha aur hamesha is ki khabar-geeri karte rehte thay aur in se baar baar is ke shohar (yani khud in) ke mutalliq poochte rehte thay . Meri biwi kehti ke bahut achha mard hai . Albatta jab se main in ke nikah mein aayi hoon unhon ne ab tak hamare bistar par qadam bhi nahi rakkha na mere kapre mein kabhi hath dala . Jab bahut din isi tarah ho gaye to walid sahab ne majboor ho kar is ka tazkira Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kiya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujh se is ki mulaqat karao . Chunanche main is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mila . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke roza kistarah rakhte ho . Main ne arz kiya ke rozana phir daryaft farmaya Quran Majeed kistarah khatam karte ho ? Main ne arz kiya har raat . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har mahine mein teen din roze rakho aur Quran ek mahine mein khatam karo . Byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Mujhe is se zyada ki taqat hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir bila roze ke raho aur ek din roze se . Main ne arz kiya mujhe is se bhi zyada ki taqat hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir woh roza rakho jo sab se afzal hai , yani Dawood alaihissalam ka roza , ek din roza rakho aur ek din iftaar karo aur Quran Majeed saat din mein khatam karo . Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma kaha karte thay kaash main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki rukhsat qabool kar li hoti kyunke ab main burha aur kamzor ho gaya hoon . Hajjaj ne kaha ke Aap apne ghar ke kisi aadmi ko Quran Majeed ka saatwan hissa yani ek manzil din mein suna dete thay . Jitna Quran Majeed Aap raat ke waqt parhte usay pehle din mein suna rakhte taake raat ke waqt aasani se parh sakein aur jab (quwwat khatam ho jati aur nidhaal ho jaate aur) quwwat haasil karna chahte to kai kai din roza na rakhte kyunke Aap ko yeh pasand nahi tha ke jis cheez ka Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke aage waada kar liya hai (ek din roza rakhna ek din iftaar karna) is mein se kuch bhi chhorien . Imam Bukhari rahmahullah kehte hain ke baaz rawiyon ne teen din mein aur baaz ne paanch din mein . Lekin aksar ne saat raaton mein khatm ki hadees riwayat ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5053
حدثنا سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن محمد بن عبد الرحمن، عن ابي سلمة، عن عبد الله بن عمرو، قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" في كم تقرا القرآن؟".
Hum se Saad bin Hafs ne byaan kiya , kaha hum se Shayban ne byaan kiya , in se Yahya bin Abi Kaseer ne , un se Muhammad bin Abdur Rahman ne , un se Abu Salamah bin Abdur Rahman bin Auf ne aur un se Abdullah bin Amr bin al-Aas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke mujh se Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke Quran Majeed tum kitne din mein khatam kar lete ho ?
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5054
حدثني إسحاق، اخبرنا عبيد الله بن موسى، عن شيبان، عن يحيى، عن محمد بن عبد الرحمن مولى بني زهرة، عن ابي سلمة، قال: واحسبني قال: سمعت انا من ابي سلمة، عن عبد الله بن عمرو، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اقرإ القرآن في شهر، قلت: إني اجد قوة، حتى قال: فاقراه في سبع ولا تزد على ذلك".
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum ko Ubaydullah bin Musa ne khabar di , unhein Shayban ne , unhein Yahya bin Abi Kaseer ne , unhein Bani Zuhra ke maula Muhammad bin Abdur Rahman ne , unhein Abu Salamah bin Abdur Rahman ne , Yahya ne kaha aur main khayal karta hoon shayad main ne yeh hadees khud Abu Salamah se suni hai . Bila-waasta (Muhammad bin Abdur Rahman ke) khair Abu Salamah ne Abdullah bin Amr bin al-Aas razi Allahu anhuma se riwayat kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke har mahine mein Quran ka ek khatm kiya karo main ne arz kiya mujh ko to zyada parhne ki taqat hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke achha saat raaton mein khatam kiya karo is se zyada mat parh .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْبُكَاءِ عِنْدَ قِرَاءَةِ الْقُرْآنِ:
Bab: Quran Majeed ki tilawat karte waqt (khauf-e-ilahi se) rona.
Hadith Number: 5055
حدثنا صدقة، اخبرنا يحيى، عن سفيان، عن سليمان، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله، قال يحيى: بعض الحديث، عن عمرو بن مرة، قال لي النبي صلى الله عليه وسلم،
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , kaha hum ko Yahya bin Saeed ne khabar di , unhein Sufyan Sawri ne , unhein Sulayman ne , unhein Ibrahim Nakhai ne , unhein Ubaidah Salmani ne aur unhein Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne , Yahya bin Qattan ne kaha is hadees ka kuch tukra Aamash ne Ibrahim se suna hai ke mujh se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5055M
حدثنا مسدد، عن يحيى، عن سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله،قال الاعمش وبعض الحديث، حدثني عمرو بن مرة، عن إبراهيم، وعن ابيه، عن ابي الضحى، عن عبد الله، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اقرا علي، قال: قلت: اقرا عليك وعليك انزل، قال: إني اشتهي ان اسمعه من غيري، قال: فقرات النساء حتى إذا بلغت: فكيف إذا جئنا من كل امة بشهيد وجئنا بك على هؤلاء شهيدا سورة النساء آية 41، قال لي: كف او امسك، فرايت عينيه تذرفان".
Doosri sanad hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne , un se Sufyan Sawri ne , un se Aamash ne , un se Ibrahim ne , un se Ubaidah Salmani ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne , Aamash ne byaan kiya ke main ne is hadees ka ek tukra to khud Ibrahim se suna aur ek tukra is hadees ka mujh se Amr bin Murrah ne naqal kiya , un se Ibrahim ne , un se un ke walid ne , un se Abu al-Duha ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mere samne Quran Majeed ki tilawat karo . Main ne arz kiya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne main kiya tilawat karoon Aap par to Quran Majeed nazil hi hota hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main chahta hoon ke kisi aur se sunoon . Rawi ne byaan kiya ke phir main ne Surah Nisa parhi aur jab main aayat «fakaifa izha ji'na min kulli ummatim bi-shaheedin wa ji'na bika ala ha-ula'i shaheedan» par pahuncha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke thehar jao (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne) «kuffa» farmaya ya «amsik» rawi ko shak hai . Main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki aankhon se aansu beh rahe thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5056
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، عن إبراهيم، عن عبيدة السلماني، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" اقرا علي، قلت: اقرا عليك وعليك انزل، قال: إني احب ان اسمعه من غيري".
Hum se Qays bin Hafs ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahid ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , un se Ibrahim ne byaan kiya , un se Ubaidah Salmani ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mujh se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe Quran Majeed parh kar sunao . Main ne arz kiya: kiya main sunaoon ? Aap par to Quran Majeed nazil hota hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main kisi se sunna mahboob rakhta hoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ رَايَا بِقِرَاءَةِ الْقُرْآنِ أَوْ تَأَكَّلَ بِهِ أَوْ فَخَرَ بِهِ:
Bab: Is shakhs ki bura’i mein jis ne dikhaway ya shikam-parwari ya fakhr ke liye Quran Majeed ko parha.
Hadith Number: 5057
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا الاعمش، عن خيثمة، عن سويد بن غفلة، قال علي رضي الله عنه: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" ياتي في آخر الزمان قوم حدثاء الاسنان، سفهاء الاحلام، يقولون من خير قول البرية، يمرقون من الإسلام كما يمرق السهم من الرمية، لا يجاوز إيمانهم حناجرهم، فاينما لقيتموهم فاقتلوهم، فإن قتلهم اجر لمن قتلهم يوم القيامة".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , kaha hum ko Sufyan Sawri ne khabar di , unhein Aamash ne , un se Khaysama bin Abdur Rahman Kufi ne , un se Suwayd bin Ghafla ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aakhri zamana mein ek qaum paida ho gi nau-jawanon aur kam-aqloon ki . Yeh log aisa behtareen kalam parhein ge jo behtareen khalq ka (paighambar ka) hai ya aisa kalam parhein ge jo saare khalq ke kalamon se afzal hai . (yani hadees ya aayat parhein ge is se sanad layein ge) lekin Islam se woh is tarah nikal jayein ge jaise teer shikar ko paar kar ke nikal jata hai un ka iman un ke halaq se neeche nahi utre ga tum unhein jahan bhi pao qatl kar do . Kyunke un ka qatl Qayamat mein is shakhs ke liye bais e ajr ho ga jo unhein qatl kar de ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة