الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ غَزْوَةُ الطَّائِفِ فِي شَوَّالٍ سَنَةَ ثَمَانٍ:
Bab: Ghazwah-e-Ta’if ka bayan jo Shawwal sanah 8 Hijri mein hua.
Show diacritics
Hadith Number: 4336
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: لما كان يوم حنين آثر النبي صلى الله عليه وسلم ناسا، اعطى الاقرع مائة من الإبل، واعطى عيينة مثل ذلك، واعطى ناسا، فقال رجل: ما اريد بهذه القسمة وجه الله، فقلت: لاخبرن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" رحم الله موسى قد اوذي باكثر من هذا فصبر".
Hum se Qutaybah ne byaan kiya , kaha hum se Jareer ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Ghazwa Hunayn ke mauqa par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne chand logon ko bahut bahut janwar diye . Chunanche Aqra bin Habis ko jin ka dil behlana manzoor tha , sau oont diye . Uyaynah bin Hisn Fazari ko bhi itne hi diye aur isi tarah doosre ashraf e Arab ko diya . Is par ek shakhs ne kaha ke is taqseem mein Allah ki raza ka koi khayal nahi kiya gaya . (Ibn Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke) Main ne kaha ke main is ki khabar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko karoon ga . Jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh kalma suna to farmaya ke Allah Musa alaihissalam par raham farmaye ke unhein is se bhi zyada dukh diya gaya tha lekin unhon ne sabr kiya .

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4337
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا معاذ بن معاذ، حدثنا ابن عون، عن هشام بن زيد بن انس بن مالك، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: لما كان يوم حنين اقبلت هوازن وغطفان وغيرهم بنعمهم وذراريهم ومع النبي صلى الله عليه وسلم عشرة آلاف ومن الطلقاء، فادبروا عنه حتى بقي وحده، فنادى يومئذ نداءين لم يخلط بينهما، التفت عن يمينه، فقال:" يا معشر الانصار"، قالوا: لبيك يا رسول الله، ابشر نحن معك، ثم التفت عن يساره، فقال:" يا معشر الانصار"، قالوا: لبيك يا رسول الله، ابشر نحن معك وهو على بغلة بيضاء، فنزل، فقال:" انا عبد الله ورسوله"، فانهزم المشركون، فاصاب يومئذ غنائم كثيرة، فقسم في المهاجرين والطلقاء، ولم يعط الانصار شيئا، فقالت الانصار: إذا كانت شديدة، فنحن ندعى ويعطى الغنيمة غيرنا، فبلغه ذلك، فجمعهم في قبة، فقال:" يا معشر الانصار، ما حديث بلغني عنكم؟" فسكتوا، فقال:" يا معشر الانصار، الا ترضون ان يذهب الناس بالدنيا وتذهبون برسول الله تحوزونه إلى بيوتكم؟" قالوا: بلى، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لو سلك الناس واديا وسلكت الانصار شعبا لاخذت شعب الانصار"، وقال هشام: قلت: يا ابا حمزة وانت شاهد ذاك، قال: واين اغيب عنه؟.
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Maaz ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Aun ne , un se Hisham bin Zayd bin Anas bin Malik ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab Hunayn ka din hua to qabila Hawazin aur Ghatafan apne mawashi aur baal bachon ko saath le kar jang ke liye niklay . Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath das hazar ka lashkar tha . In mein kuch log woh bhi thay , jinhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Fatah Makkah ke baad ihsan rakh kar chhor diya tha , phir in sab ne peeth pher li aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tanha reh gaye . Is din Aap salla Allahu alaihi wasallam ne do martaba pukara donon pukaar ek doosre se alag alag thien , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dayein taraf mutawajja ho kar pukara: Ae Ansariyo! Unhon ne jawab diya hum hazir hain: ya Rasool Allah! Aap ko bisharat ho , hum Aap ke saath hain , larnay ko tayyar hain . Phir Aap bayein taraf mutawajja huay aur aawaz di , Ae Ansariyo! Unhon ne idhar se jawab diya ke hum hazir hain , ya Rasool Allah! Bisharat ho , hum Aap ke saath hain . Aap salla Allahu alaihi wasallam is waqt ek safaid khachar par sawar thay phir Aap utar gaye aur farmaya ke main Allah ka banda aur us ka Rasool hoon . Anjam kar kafiron ko haar hui aur is larai mein bahut zyada ghanimat haasil hui . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne usay Muhajireen mein aur Qurayshiyon mein taqseem kar diya (jinhein Fatah Makkah ke mauqa par ihsan rakh kar chhor diya tha) Ansar ko in mein se kuch nahi ata farmaya . Ansar (ke baaz naujawano) ne kaha ke jab sakht waqt aata hai to hamain bulaya jata hai aur ghanimat doosron ko taqseem kar di jati hai . Yeh baat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tak pahunchi to Aap ne Ansar ko ek khaime mein jama kiya aur farmaya ae Ansariyo! Kya woh baat sahi hai jo tumhare baare mein mujhe maloom hui hai ? Is par woh khamosh ho gaye phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: Ae Ansariyo! Kya tum is par khush nahi ho ke log duniya apne saath le jayein aur tum Rasool Allah ko apne ghar le jao . Ansariyon ne arz kiya hum isi par khush hain . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar log kisi wadi mein chalein aur Ansar kisi ghati mein chalein to main Ansar hi ki ghati mein chalna pasand karoon ga . Is par Hisham ne poocha: Ae Abu Hamzah! Kya aap wahan maujood thay ? Unhon ne kaha ke main Aap salla Allahu alaihi wasallam se ghaib hi kab hota tha .

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السَّرِيَّةِ الَّتِي قِبَلَ نَجْدٍ:
Bab: Najd ki taraf jo lashkar Nabi Karim ﷺ ne rawana kiya tha (us ka bayan).
Show diacritics
Hadith Number: 4338
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد، حدثنا ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم سرية قبل نجد فكنت فيها، فبلغت سهامنا اثني عشر بعيرا ونفلنا بعيرا بعيرا، فرجعنا بثلاثة عشر بعيرا".
Hum se Abu al-Nu'man ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne byaan kiya , un se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Najd ki taraf ek lashkar rawana kiya tha , main bhi is mein shareek tha . Is mein hamara hissa (maal e ghanimat mein) barah barah oont pare aur ek ek oont hamain aur faltu diya gaya . Is tarah hum terah terah oont saath le kar wapas aaye .

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَعْثِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ خَالِدَ بْنَ الْوَلِيدِ إِلَى بَنِي جَذِيمَةَ:
Bab: Nabi Karim ﷺ ka Khalid bin Waleed Radiallahu Anhu ko Bani Juzaymah qabile ki taraf bhejna.
Show diacritics
Hadith Number: 4339
حدثني محمود، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر. ح وحدثني نعيم، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم خالد بن الوليد إلى بني جذيمة فدعاهم إلى الإسلام، فلم يحسنوا ان، يقولوا: اسلمنا، فجعلوا يقولون صبانا صبانا، فجعل خالد يقتل منهم وياسر، ودفع إلى كل رجل منا اسيره، حتى إذا كان يوم امر خالد ان يقتل كل رجل منا اسيره، فقلت: والله لا اقتل اسيري، ولا يقتل رجل من اصحابي اسيره، حتى قدمنا على النبي صلى الله عليه وسلم فذكرناه، فرفع النبي صلى الله عليه وسلم يده، فقال:"اللهم إني ابرا إليك مما صنع خالد مرتين".
Mujh se Mahmood bin Ghaylan ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , unhein Mamar ne khabar di . (doosri sanad) aur mujh se Naeem bin Hammad ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Mamar ne , unhein Zuhri ne , unhein Salim ne aur un se un ke walid Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ko Bani Jazheema ki taraf bheja . Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ne unhein Islam ki dawat di lekin unhein «aslamna» ”hum Islam laye“ kehna nahi aata tha , is ke bajaye woh «saba'na , saba'na» ”hum be-deen ho gaye , yani apne aabayi deen se hat gaye“ kehne lage . Khalid razi Allahu anhu ne unhein qatl karna aur qaid karna shuru kar diya aur phir hum mein se har shakhs ko is ka qaidi is ki hifazat ke liye de diya phir jab ek din Khalid razi Allahu anhu ne hum sab ko hukm diya ke hum apne qaidiyon ko qatl kar dein . Main ne kaha: Allah ki qasam! Main apne qaidi ko qatl nahi karoon ga aur na mere sathiyon mein koi apne qaidi ko qatl kare ga aakhir jab hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur Aap se surat e haal byaan kiya to Aap ne hath utha kar dua ki . Ae Allah! Main is fail se bezari ka aalan karta hoon , jo Khalid ne kiya . Do martaba Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yahi farmaya .

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ سَرِيَّةُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ حُذَافَةَ السَّهْمِيِّ وَعَلْقَمَةَ بْنِ مُجَزِّزٍ الْمُدْلِجِيِّ:
Bab: Abdullah bin Hudhafah as-Sahmi aur Alqamah bin Mujazziz al-Mudliji Radiallahu Anhuma ke dastah ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4340
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، قال: حدثني سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن، عن علي رضي الله عنه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم سرية، فاستعمل رجلا من الانصار وامرهم ان يطيعوه، فغضب، فقال: اليس امركم النبي صلى الله عليه وسلم ان تطيعوني؟ قالوا: بلى، قال: فاجمعوا لي حطبا، فجمعوا، فقال: اوقدوا نارا، فاوقدوها، فقال: ادخلوها، فهموا، وجعل بعضهم يمسك بعضا، ويقولون: فررنا إلى النبي صلى الله عليه وسلم من النار، فما زالوا حتى خمدت النار، فسكن غضبه، فبلغ النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:"لو دخلوها ما خرجوا منها إلى يوم القيامة، الطاعة في المعروف".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , kaha mujh se Saad bin Ubaydah ne byaan kiya , un se Abu Abdur Rahman Aslami ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek mukhtasar lashkar rawana kiya aur is ka ameer ek Ansari sahabi (Abdullah bin Huzafah Sahmi razi Allahu anhu) ko banaya aur lashkariyon ko hukm diya ke sab apne ameer ki itaat karein phir ameer kisi wajah se ghussa ho gaye aur apne faujiyon se poocha ke kya tumhein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne meri itaat karne ka hukm nahi farmaya hai ? Sab ne kaha ke haan farmaya hai . Unhon ne kaha phir tum sab lakriyan jama karo . Unhon ne lakriyan jama kien to ameer ne hukm diya ke is mein aag lagao aur unhon ne aag laga di . Ab unhon ne hukm diya ke sab is mein kood jao . Fauji kood jana hi chahte thay ke unhein mein se baaz ne baaz ko roka aur kaha ke hum to is aag hi ke khauf se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki taraf aaye hain! In baaton mein waqt guzar gaya aur aag bhi bujh gayi . Is ke baad ameer ka ghussa thanda ho gaya . Jab is ki khabar Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko pahunchi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar yeh log is mein kood jate to phir qayamat tak is mein se na nikalte . Itaat ka hukm sirf naik kaamon ke liye hai .

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَعْثُ أَبِي مُوسَى وَمُعَاذٍ إِلَى الْيَمَنِ قَبْلَ حَجَّةِ الْوَدَاعِ:
Bab: Hajjat-ul-Wada’ se pehle Nabi Karim ﷺ ka Abu Musa Ash’ari aur Mu’adh bin Jabal Radiallahu Anhuma ko Yaman bhejna.
Show diacritics
Hadith Number: 4341
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عبد الملك، عن ابي بردة، قال: بعث رسول الله صلى الله عليه وسلم ابا موسى ومعاذ بن جبل إلى اليمن، قال: وبعث كل واحد منهما على مخلاف، قال: واليمن مخلافان، ثم قال:" يسرا ولا تعسرا، وبشرا ولا تنفرا"، فانطلق كل واحد منهما إلى عمله، وكان كل واحد منهما إذا سار في ارضه كان قريبا من صاحبه احدث به عهدا فسلم عليه، فسار معاذ في ارضه قريبا من صاحبه ابي موسى، فجاء يسير على بغلته حتى انتهى إليه، وإذا هو جالس، وقد اجتمع إليه الناس وإذا رجل عنده قد جمعت يداه إلى عنقه، فقال له معاذ: يا عبد الله بن قيس، ايم هذا؟ قال: هذا رجل كفر بعد إسلامه، قال: لا انزل حتى يقتل، قال: إنما جيء به لذلك، فانزل، قال: ما انزل حتى يقتل، فامر به فقتل، ثم نزل، فقال: يا عبد الله، كيف تقرا القرآن؟ قال: اتفوقه تفوقا، قال: فكيف تقرا انت يا معاذ؟ قال: انام اول الليل، فاقوم وقد قضيت جزئي من النوم، فاقرا ما كتب الله لي، فاحتسب نومتي كما احتسب قومتي.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Malik bin Umayr ne byaan kiya , un se Abu Burdah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Abu Musa Ash'ari aur Maaz bin Jabal razi Allahu anhuma ko Yaman ka hakim bana kar bheja . Rawi ne byaan kiya ke donon sahabiyon ko is ke ek ek soobe mein bheja . Rawi ne byaan kiya ke Yaman ke do soobe thay . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke dekho logon ke liye aasaniyan paida karna , dushwariyan na paida karna , unhein khush karne ki koshish karna , deen se nafrat na dilana . Yeh donon buzurg apne apne kaamon par rawana ho gaye . Donon mein se jab koi apne ilaqe ka daura karte karte apne doosre saathi ke paas pahunch jata to un se taazi (mulaqat) ke liye aata aur salam karta . Ek martaba Maaz razi Allahu anhu apne ilaqa mein apne sahib Abu Musa razi Allahu anhu ke qareeb pahunch gaye aur apne khachar par un se mulaqat ke liye chale . Jab un ke qareeb pahunche to dekha ke woh baithe huay hain aur un ke paas kuch log jama hain aur ek shakhs un ke samne hai jis ki mushkein kasi hui hain . Maaz razi Allahu anhu ne un se poocha: Ae Abdullah bin Qays! Yeh kya waqia hai ? Abu Musa razi Allahu anhu ne batlaya ke yeh shakhs Islam lane ke baad murtad ho gaya hai . Unhon ne kaha ke phir jab tak usay qatl na kar diya jaye main apni sawari se nahi utaroon ga . Musa razi Allahu anhu ne kaha ke qatl karne hi ke liye usay yahan laya gaya hai . Aap utar jayein lekin unhon ne ab bhi yahi kaha ke jab tak usay qatl na kiya jaye ga main na utaroon ga . Aakhir Musa razi Allahu anhu ne hukm diya aur usay qatl kar diya gaya . Tab woh apni sawari se utray aur poocha , Abdullah! Aap Quran kis tarah parhte hain ? Unhon ne kaha main to thora thora har waqt parhta rehta hoon phir unhon ne Maaz razi Allahu anhu se poocha ke Maaz! Aap Quran Majeed kis tarah parhte hain ? Maaz razi Allahu anhu ne kaha ke main to raat ke shuru mein sota hoon phir apni neend ka ek hissa poora kar ke main uth baithta hoon aur jo kuch Allah Ta'ala ne mere liye muqaddar kar rakkha hai is mein Quran Majeed parhta hoon . Is tarah bedari mein jis sawab ki umeed Allah Ta'ala se rakhta hoon sone ki halat ke sawab ka bhi us se isi tarah umeedwar rehta hoon .

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4342

Hadith Number: 4343
حدثني إسحاق، حدثنا خالد، عن الشيباني، عن سعيد بن ابي بردة، عن ابيه، عن ابي موسى الاشعري رضي الله عنه: ان النبي صلى الله عليه وسلم بعثه إلى اليمن فساله عن اشربة تصنع بها، فقال: وما هي؟ قال:" البتع والمزر"، فقلت لابي بردة: ما البتع؟ قال: نبيذ العسل، والمزر نبيذ الشعير، فقال:" كل مسكر حرام". رواه جرير، وعبد الواحد، عن الشيباني، عن ابي بردة.
Mujh se Ishaq ne byaan kiya , kaha hum se Khalid ne , un se Shaybani ne , un se Saeed bin Abi Burdah ne , un se un ke walid ne aur un se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein Yaman bheja . Abu Musa razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se in sharbaton ka masla poocha jo Yaman mein banaye jate thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke woh kya hain ? Abu Musa razi Allahu anhu ne bataya ke ”bit'a“ aur ”mizr“ (Saeed bin Abi Burdah ne kaha ke) main ne Abu Burdah (apne walid) se poocha ”bit'a“ kya cheez hai ? Unhon ne bataya ke shehad se tayyari ki hui sharab aur ”mizr“ jau se tayyar ki hui sharab . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jawab mein farmaya ke har nasha aawar cheez peena haram hai . Is ki riwayat Jareer aur Abdul Wahid ne Shaybani se ki hai aur unhon ne Abu Burdah se ki hai .

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4344
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، حدثنا سعيد بن ابي بردة، عن ابيه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم جده ابا موسى ومعاذا إلى اليمن، فقال:" يسرا ولا تعسرا، وبشرا ولا تنفرا، وتطاوعا"، فقال ابو موسى: يا نبي الله، إن ارضنا بها شراب من الشعير المزر، وشراب من العسل البتع، فقال:" كل مسكر حرام"، فانطلقا، فقال معاذ لابي موسى: كيف تقرا القرآن؟ قال: قائما وقاعدا وعلى راحلتي واتفوقه تفوقا، قال: اما انا فانام واقوم، فاحتسب نومتي كما احتسب قومتي، وضرب فسطاطا فجعلا يتزاوران، فزار معاذ ابا موسى فإذا رجل موثق، فقال: ما هذا؟ فقال ابو موسى: يهودي اسلم، ثم ارتد، فقال معاذ: لاضربن عنقه. تابعه العقدي، ووهب، عن شعبة، وقال وكيع، والنضر، وابو داود، عن شعبة، عن سعيد، عن ابيه، عن جده، عن النبي صلى الله عليه وسلم. رواه جرير بن عبد الحميد، عن الشيباني، عن ابي بردة.
Hum se Muslim ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Saeed bin Abi Burdah ne aur un ke walid ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke dada Abu Musa razi Allahu anhu aur Maaz bin Jabal razi Allahu anhu ko Yaman ka hakim bana kar bheja aur farmaya ke logon ke liye aasani paida karna , un ko dushwariyon mein na daalna . Logon ko khush khabriyaan dena deen se nafrat na dilana aur tum donon aapas mein muwafaqat rakhna . Is par Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! Hamare mulk mein jau se ek sharab tayyar hoti hai jis ka naam ”mizr“ hai aur shehad se ek sharab tayyar hoti hai jo ”bit'a“ kehlati hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har nasha lane wali cheez haram hai . Phir donon buzurg rawana huay . Maaz razi Allahu anhu ne Abu Musa razi Allahu anhu se poocha Aap Quran kis tarah parhte hain ? Unhon ne bataya ke kharay ho kar bhi , baith kar bhi aur apni sawari par bhi aur main thore thore arsa baad parhta hi rehta hoon . Maaz razi Allahu anhu ne kaha lekin mera mamool yeh hai ke shuru raat mein , main so jata hoon aur phir bedar ho jata hoon . Is tarah main apni neend par bhi sawab ka umeedwar hoon jis tarah bedar ho kar (ibadat karne par) sawab ki mujhe umeed hai aur unhon ne ek khaima laga liya aur ek doosre se mulaqat barabar hoti rehti . Ek martaba Maaz razi Allahu anhu Abu Musa razi Allahu anhu se milne ke liye aaye , dekha ek shakhs bandha hua hai . Poocha yeh kya baat hai ? Abu Musa razi Allahu anhu ne batlaya ke yeh ek Yahudi hai , pehle khud Islam laya ab yeh murtad ho gaya hai . Maaz razi Allahu anhu ne kaha ke main usay qatl kiye baghair hargiz na rahoon ga . Muslim bin Ibrahim ke saath is hadees ko Abdul Malik bin Amr Aqadi aur Wahb bin Jareer ne Shubah se riwayat kiya hai aur Waki , Nadr aur Abu Dawood ne is ko Shubah se , unhon ne Saeed se , unhon apne baap Burdah se , unhon ne Saeed ke dada Abu Musa razi Allahu anhu se , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya aur Jareer bin Abdul Hameed ne is ko Shaybani se riwayat kiya , unhon ne Abu Burdah se .

حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4345