الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ حَجُّ أَبِي بَكْرٍ بِالنَّاسِ فِي سَنَةِ تِسْعٍ:
Bab: Abu Bakr Radiallahu Anhu ka logon ke sath sanah 9 Hijri mein Hajj karna.
Show diacritics
Hadith Number: 4364
حدثني عبد الله بن رجاء، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال:" آخر سورة نزلت كاملة براءة، وآخر سورة نزلت خاتمة سورة النساء: يستفتونك قل الله يفتيكم في الكلالة سورة النساء آية 176".
Mujh se Abdullah bin Rajaa ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne byaan kiya aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke sab se aakhri Surah jo poori utri woh Surah Baraat (Tauba) thi aur aakhri aayat jo utri woh Surah Nisa ki yeh aayat hai «yastaftoonaka qulillahu yuftikum fil kalalati» .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَفْدُ بَنِي تَمِيمٍ:
Bab: Bani Tameem ke wafd ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4365
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن ابي صخرة، عن صفوان بن محرز المازني، عن عمران بن حصين رضي الله عنهما، قال: اتى نفر من بني تميم النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" اقبلوا البشرى يا بني تميم"، قالوا: يا رسول الله، قد بشرتنا فاعطنا، فرئي ذلك في وجهه، فجاء نفر من اليمن، فقال:" اقبلوا البشرى، إذ لم يقبلها بنو تميم"، قالوا: قد قبلنا يا رسول الله.
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan ne byaan kiya un se Abu Sakhrah ne , un se Safwan bin Muhriz Mazni ne aur un se Imran bin Husain ne byaan kiya ke Banu Tamim ke chand logon ka (ek wafd) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ”Ae Banu Tamim! Bisharat qabool karo .“ Woh kehne lage ke bisharat to Aap hamain de chuke , kuch maal bhi dijiye . Un ke is jawab par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehra mubarak par nagowari ka asar dekha gaya , phir Yaman ke chand logon ka ek (wafd) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke Banu Tamim ne bisharat nahi qabool ki , tum qabool kar lo . Unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Hum ko bisharat qabool hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: Q4366
قال ابن إسحاق: غزوة عيينة بن حصن بن حذيفة بن بدر بني العنبر من بني تميم، بعثه النبي صلى الله عليه وسلم إليهم، فاغار واصاب منهم ناسا، وسبى منهم نساء.
Muhammad bin Ishaq ne kaha ke Uyaynah bin Hisn bin Huzayfah bin Badr ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Bani Tamim ki shakh Banu al-Anbar ki taraf bheja tha , us ne un ko luta aur kai aadmiyon ko qatl kiya aur un ki kai auraton ko qaid kiya .


Show diacritics
Hadith Number: 4366
حدثني زهير بن حرب، حدثنا جرير، عن عمارة بن القعقاع، عن ابي زرعة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: لا ازال احب بني تميم بعد ثلاث سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم يقولها فيهم:" هم اشد امتي على الدجال"، وكانت فيهم سبية عند عائشة، فقال:" اعتقيها، فإنها من ولد إسماعيل"، وجاءت صدقاتهم، فقال:" هذه صدقات قوم او قومي".
Mujh se Zuhayr bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Jareer bin Abdul Hameed ne byaan kiya , un se Amarah bin Qaqa ne , un se Abu Zurah ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main is waqt se hamesha Banu Tamim se mohabbat rakhta hoon jab se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zabani un ki teen khubiyan main ne suni hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke mutalliq farmaya tha ke Banu Tamim Dajjal ke haq mein meri ummat ke sab se zyada sakht log sabit hon ge aur Banu Tamim ki ek qaidi khatoon Aisha razi Allahu anha ke paas thien . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke usay aazad kar do kyunke yeh Ismail alaihissalam ki aulad mein se hai aur un ke yahan se zakat wasool ho kar aayi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh ek qaum ki ya (yeh farmaya ke) yeh meri qaum ki zakat hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4367
حدثني إبراهيم بن موسى، حدثنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، عن ابن ابي مليكة، ان عبد الله بن الزبير اخبرهم: انه قدم ركب من بني تميم على النبي صلى الله عليه وسلم، فقال ابو بكر:" امر القعقاع بن معبد بن زرارة"، قال عمر:" بل امر الاقرع بن حابس"، قال ابو بكر:" ما اردت إلا خلافي"، قال عمر:" ما اردت خلافك"، فتماريا حتى ارتفعت اصواتهما، فنزل في ذلك: يايها الذين آمنوا لا تقدموا سورة الحجرات آية 1 حتى انقضت.
Mujh se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Hisham bin Yusuf ne byaan kiya , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , unhein Ibn Abi Mulaykah ne aur unhein Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ne khabar di ke Banu Tamim ke chand sawar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur unhon ne arz kiya ke Aap hamara koi ameer muntakhab kar dijiye . Abu Bakr razi Allahu anhu ne kaha ke Qaqa bin Ma'bad bin Zurarah razi Allahu anhu ko ameer muntakhab kar dijiye . Umar razi Allahu anhu ne arz kiya ke ya Rasool Allah! Balkay Aap Aqra bin Habis razi Allahu anhu ko un ka ameer muntakhab farma dijiye . Is par Abu Bakr razi Allahu anhu ne Umar razi Allahu anhu se kaha ke tumhara maqsad sirf mujh se ikhtilaf karna hai . Umar razi Allahu anhu ne kaha ke nahi meri gharz mukhalifat ki nahi hai . Donon itna jhagray ki aawaz buland ho gayi . Isi par Surah al-Hujurat ki yeh aayat nazil hui «ya ayyuhallazhina aamanu la tuqaddimu» aakhir aayat tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَفْدُ عَبْدِ الْقَيْسِ:
Bab: Wafd-e-Abdul Qais ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4368
حدثني إسحاق، اخبرنا ابو عامر العقدي، حدثنا قرة، عن ابي جمرة، قلت لابن عباس رضي الله عنهما: إن لي جرة ينتبذ لي نبيذ فاشربه حلوا في جر، إن اكثرت منه، فجالست القوم، فاطلت الجلوس خشيت ان افتضح، فقال: قدم وفد عبد القيس على رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال:" مرحبا بالقوم غير خزايا ولا الندامى"، فقالوا: يا رسول الله، إن بيننا وبينك المشركين من مضر، وإنا لا نصل إليك إلا في اشهر الحرم، حدثنا بجمل من الامر إن عملنا به دخلنا الجنة، وندعو به من وراءنا، قال:" آمركم باربع، وانهاكم عن اربع: الإيمان بالله، هل تدرون ما الإيمان بالله؟ شهادة ان لا إله إلا الله، وإقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، وصوم رمضان، وان تعطوا من المغانم الخمس، وانهاكم عن اربع: ما انتبذ في الدباء، والنقير، والحنتم، والمزفت".
Mujh se Ishaq bin Rahwayh ne byaan kiya , kaha hum ko Abu Aamir Aqadi ne khabar di , kaha hum se Qurrah bin Khalid ne byaan kiya , un se Abu Hamzah ne ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poocha ke mere paas ek ghara hai jis mein mere liye nabeedh yani khajoor ka sharbat banaya jata hai . Main woh meethe rehne tak piya karta hoon . Baaz waqt bahut pee leta hoon aur logon ke paas der tak baitha rehta hoon to darta hoon ke kahin fazeehat na ho . (log kehne lagein ke yeh nasha baaz hai) Is par Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke qabila Abdul Qays ka wafd Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke achhe aaye na zaleel huay , na sharminda (khushi se Musalman ho gaye na hote to zillat aur sharmindagi haasil hoti) unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Hamare aur Aap ke darmiyan mein mushrikeen ke qabail parte hain . Is liye hum Aap ki khidmat mein sirf hurmat wale mahine hi mein hazir ho sakte hain . Aap salla Allahu alaihi wasallam hamain woh ahkam o hidayat suna dein ke agar hum un par amal karte rahein to jannat mein dakhil hon aur jo log hamare saath nahi aa sake hain unhein bhi woh hidayat pahuncha dein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main tumhein char cheezon ka hukm deta hoon aur char cheezon se rokta hoon . Main tumhein hukm deta hoon Allah par iman lane ka , tumhein maloom hai Allah par iman lana kise kehte hain ? Is ki gawahi dena ke Allah ke siwa koi mabood nahi , namaz qaim karne ka , zakat dene ka , Ramzan ke roze rakhne aur maal e ghanimat mein se paanchwan hissa (Bayt al-Maal ko) ada karne ka hukm deta hoon aur main tumhein char cheezon se rokta hoon yani kaddu ke tunbe mein aur kureedi hui lakri ke bartan mein aur sabz laakhi bartan mein aur roghni bartan mein nabeedh bhigone se mana karta hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4369
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ابي جمرة، قال: سمعت ابن عباس، يقول: قدم وفد عبد القيس على النبي صلى الله عليه وسلم، فقالوا: يا رسول الله، إنا هذا الحي من ربيعة وقد حالت بيننا وبينك كفار مضر، فلسنا نخلص إليك إلا في شهر حرام، فمرنا باشياء ناخذ بها وندعو إليها من وراءنا، قال:" آمركم باربع، وانهاكم عن اربع: الإيمان بالله، شهادة ان لا إله إلا الله وعقد واحدة، وإقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، وان تؤدوا لله خمس ما غنمتم، وانهاكم عن: الدباء، والنقير، والحنتم، والمزفت".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Abu Jamrah ne byaan kiya , kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna ke woh byaan karte thay ke jab qabila Abdul Qays ka wafd Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to unhon ne arz kiya ya Rasool Allah! Hum qabila Rabiah ki ek shakh hain aur hamare aur Aap ke darmiyan kuffar e Mudar ke qabail parte hain . Hum Aap ki khidmat mein sirf hurmat wale mahinon mein hi hazir ho sakte hain . Is liye Aap chand aisi baatein batla dijiye ke hum bhi un par amal karein aur jo log hamare saath nahi aa sake hain , unhein bhi is ki dawat dein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main tumhein char cheezon ka hukm deta hoon aur char cheezon se rokta hoon (main tumhein hukm deta hoon) Allah par iman lane ka yani is ki gawahi dene ka ke Allah ke siwa koi mabood nahi , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne (apni ungli se) ek isharah kiya , aur namaz qaim karne ka , zakat dene ka aur is ka ke maal e ghanimat mein se paanchwan hissa (Bayt al-Maal ko) ada karte rehna aur main tumhein dubba , naqeer , muzaffat aur hantam ke bartanon ke istemal se rokta hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4370
حدثنا يحيى بن سليمان، حدثني ابن وهب، اخبرني عمرو، وقال بكر بن مضر، عن عمرو بن الحارث، عن بكير، ان كريبا مولى ابن عباس حدثه، ان ابن عباس، وعبد الرحمن بن ازهر، والمسور بن مخرمة، ارسلوا إلى عائشة رضي الله عنها، فقالوا: اقرا عليها السلام منا جميعا وسلها عن الركعتين بعد العصر، وإنا اخبرنا انك تصليها، وقد بلغنا ان النبي صلى الله عليه وسلم نهى عنها، قال ابن عباس: وكنت اضرب مع عمر الناس عنهما، قال كريب: فدخلت عليها وبلغتها ما ارسلوني، فقالت: سل ام سلمة فاخبرتهم، فردوني إلى ام سلمة بمثل ما ارسلوني إلى عائشة، فقالت ام سلمة: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم ينهى عنهما، وإنه صلى العصر ثم دخل علي وعندي نسوة من بني حرام من الانصار فصلاهما، فارسلت إليه الخادم، فقلت: قومي إلى جنبه، فقولي: تقول ام سلمة: يا رسول الله، الم اسمعك تنهى عن هاتين الركعتين، فاراك تصليهما، فإن اشار بيده فاستاخري، ففعلت الجارية، فاشار بيده، فاستاخرت عنه، فلما انصرف، قال:" يا بنت ابي امية، سالت عن الركعتين بعد العصر، إنه اتاني اناس من عبد القيس بالإسلام من قومهم، فشغلوني عن الركعتين اللتين بعد الظهر فهما هاتان".
Hum se Yahya bin Sulayman ne byaan kiya , kaha mujh se Abdullah bin Wahb ne , kaha mujh ko Amr bin al-Harith ne khabar di aur Bakr bin Mudar ne yun byaan kiya ke Abdullah bin Wahb ne Amr bin al-Harith se riwayat kiya , un se Bukayr ne aur un se Kurayb (Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke ghulam) ne byaan kiya ke Ibn Abbas , Abdur Rahman bin Azhar aur Miswar bin Makhramah ne unhein Aisha razi Allahu anha ki khidmat mein bheja aur kaha ke Umm al-Momineen se hum sab ka salam kehna aur asr ke baad do rakaton ke mutalliq un se poochna aur yeh ke hamain maloom hua hai ke Aap unhein parhti hain aur hamain yeh bhi maloom hua hai ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein parhne se roka tha . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke main in do rakaton ke parhne par Umar razi Allahu anhu ke saath (un ke daur e khilafat mein) logon ko maara karta tha . Kurayb ne byaan kiya ke phir main Umm al-Momineen ki khidmat mein hazir hua aur un ka paigham pahunchaya . Aisha razi Allahu anha ne farmaya ke is ke mutalliq Umm Salamah se poocho , main ne in hazrat ko aa kar is ki ittila di to unhon ne mujh ko Umm Salamah razi Allahu anha ki khidmat mein bheja , woh baatein poochne ke liye jo Aisha se unhon ne pichwayi thien . Umm Salamah razi Allahu anha ne farmaya ke main ne khud bhi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke Aap asr ke baad do rakaton se mana karte thay lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ek martaba asr ki namaz parhi , phir mere yahan tashreef laye , mere paas is waqt qabila Banu Haram ki kuch auratein baithi hui thien aur Aap ne do rakat namaz parhi . Yeh dekh kar main ne khadima ko Aap ki khidmat mein bheja aur usay hidayat kar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke pehlu mein khari ho jana aur arz karna ke Umm Salamah razi Allahu anha ne poocha hai: ya Rasool Allah! Main ne to Aap se hi suna tha aur Aap ne asr ke baad in do rakaton ke parhne se mana kiya tha lekin main aaj khud Aap ko do rakat parhte dekh rahi hoon . Agar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hath se isharah karein to phir peeche hat jana . Khadima ne meri hidayat ke mutabiq kiya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hath se isharah kiya to woh peeche hat gayi . Phir jab Aap farigh huay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ae Abu Umayyah ki beti! Asr ke baad ki do rakaton ke mutalliq tum ne sawal kiya hai , wajah yeh hui thi ke qabila Abdul Qays ke kuch log mere yahan apni qaum ka Islam le kar aaye thay aur un ki wajah se zohar ke baad ki do rakatmein main nahi parh saka tha yeh wahi do rakatmein hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4371
حدثني عبد الله بن محمد الجعفي، حدثنا ابو عامر عبد الملك، حدثنا إبراهيم هو ابن طهمان، عن ابي جمرة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" اول جمعة جمعت بعد جمعة جمعت في مسجد رسول الله صلى الله عليه وسلم في مسجد عبد القيس بجواثى" يعني قرية من البحرين.
Mujh se Abdullah bin Muhammad al-Jafi ne byaan kiya , kaha hum se Abu Aamir Abdul Malik ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibrahim ne byaan kiya , (yeh Tahman ke bete hain .) un se Abu Jamrah ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki masjid yani Masjid e Nabwi ke baad sab se pehla Juma Juwasa ki masjid Abdul Qays mein qaim hua . Juwasa Bahrayn ka ek gaon tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَفْدِ بَنِي حَنِيفَةَ، وَحَدِيثِ ثُمَامَةَ بْنِ أُثَالٍ:
Bab: Wafd-e-Banu Haneefah aur Thumamah bin Uthal ke waqiaat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4372
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني سعيد بن ابي سعيد، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم خيلا قبل نجد فجاءت برجل من بني حنيفة، يقال له: ثمامة بن اثال، فربطوه بسارية من سواري المسجد، فخرج إليه النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" ما عندك يا ثمامة؟" فقال: عندي خير يا محمد، إن تقتلني تقتل ذا دم، وإن تنعم تنعم على شاكر، وإن كنت تريد المال، فسل منه ما شئت، فترك حتى كان الغد، ثم قال له:" ما عندك يا ثمامة؟" قال: ما قلت لك: إن تنعم تنعم على شاكر، فتركه حتى كان بعد الغد، فقال:" ما عندك يا ثمامة؟" فقال: عندي ما قلت لك، فقال:" اطلقوا ثمامة"، فانطلق إلى نجل قريب من المسجد فاغتسل، ثم دخل المسجد، فقال: اشهد ان لا إله إلا الله، واشهد ان محمدا رسول الله، يا محمد والله ما كان على الارض وجه ابغض إلي من وجهك، فقد اصبح وجهك احب الوجوه إلي، والله ما كان من دين ابغض إلي من دينك، فاصبح دينك احب الدين إلي، والله ما كان من بلد ابغض إلي من بلدك، فاصبح بلدك احب البلاد إلي، وإن خيلك اخذتني وانا اريد العمرة، فماذا ترى؟ فبشره رسول الله صلى الله عليه وسلم وامره ان يعتمر، فلما قدم مكة، قال له قائل: صبوت، قال: لا، ولكن اسلمت مع محمد رسول الله صلى الله عليه وسلم ولا والله لا ياتيكم من اليمامة حبة حنطة حتى ياذن فيها النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Saeed bin Abi Saeed ne byaan kiya , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Najd ki taraf kuch sawar bheje woh qabila Banu Hanifah ke (sardaron mein se) ek shakhs Sumamah bin Uasal naami ko pakar kar laye aur Masjid e Nabwi ke ek satoon se baandh diya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laye aur poocha Sumamah tu kya samajhta hai ? (main tere saath kya karoon ga ?) unhon ne kaha: Ae Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam)! Mere paas khair hai (is ke bawajood) agar Aap mujhe qatl kar dein to Aap ek shakhs ko qatl karein ge jo khoni hai , us ne jang mein Musalmanon ko maara aur agar Aap mujh par ihsan karein ge to aise shakhs par ihsan karein ge jo (ihsan karne wale ka) shukr ada karta hai lekin agar Aap ko maal matloob hai to jitna chahein mujh se maal talab kar sakte hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wahan se chale aaye , doosre din Aap ne phir poocha: Sumamah ab tu kya samajhta hai ? Unhon ne kaha , wahi jo main pehle keh chuka hoon , ke agar Aap ne ihsan kiya to ek aise shakhs par ihsan karein ge jo shukr ada karta hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam phir chale gaye , teesre din phir Aap ne un se poocha: ab tu kya samajhta hai Sumamah ? Unhon ne kaha ke wahi jo main Aap se pehle keh chuka hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sahabah razi Allahu anhum se farmaya ke Sumamah ko chhor do (rassi khol di gayi) to woh Masjid e Nabwi se qareeb ek bagh mein gaye aur ghusl kar ke Masjid e Nabwi mein hazir huay aur parha «ash-hadu alla ilaha illallah , wa ash-hadu anna Muhammadan Rasoolullah» aur kaha ae Muhammad! Allah ki qasam roo e zameen par koi chehra Aap ke chehre se zyada mere liye bura nahi tha lekin aaj Aap ke chehre se zyada koi chehra mere liye mehboob nahi hai . Allah ki qasam koi deen Aap ke deen se zyada mujhe bura nahi lagta tha lekin aaj Aap ka deen mujhe sab se zyada pasandida aur azeez hai . Allah ki qasam! Koi shehar Aap ke shehar se zyada bura mujhe nahi lagta tha lekin aaj Aap ka shehar mera sab se zyada mehboob shehar hai . Aap ke sawaron ne mujhe pakra to main umrah ka irada kar chuka tha . Ab Aap ka kya hukm hai ? Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein bisharat di aur umrah ada karne ka hukm diya . Jab woh Makkah pahunche to kisi ne kaha ke tum be-deen ho gaye ho . Unhon ne jawab diya ke nahi balkay main Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ke saath iman le aaya hoon aur Allah ki qasam! Ab tumhare yahan Yamama se gehoon ka ek dana bhi is waqt tak nahi aaye ga jab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ijazat na de dein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة