الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ وَفْدِ بَنِي حَنِيفَةَ، وَحَدِيثِ ثُمَامَةَ بْنِ أُثَالٍ:
Bab: Wafd-e-Banu Haneefah aur Thumamah bin Uthal ke waqiaat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4373
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن عبد الله بن ابي حسين، حدثنا نافع بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قدم مسيلمة الكذاب على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجعل، يقول: إن جعل لي محمد الامر من بعده تبعته، وقدمها في بشر كثير من قومه، فاقبل إليه رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه ثابت بن قيس بن شماس وفي يد رسول الله صلى الله عليه وسلم قطعة جريد، حتى وقف على مسيلمة في اصحابه، فقال:" لو سالتني هذه القطعة ما اعطيتكها، ولن تعدو امر الله فيك، ولئن ادبرت ليعقرنك الله، وإني لاراك الذي اريت فيه ما رايت، وهذا ثابت يجيبك عني"، ثم انصرف عنه.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Abdullah bin Abi Husain ne , kaha hum ko Nafi bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ahad mein Musaylamah Kazzab aaya , is dawa ke saath ke agar Muhammad salla Allahu alaihi wasallam mujhe apne baad (apna naib o khaleefa) bana dein to main un ki ittiba kar loon . Is ke saath us ki qaum (Banu Hanifah) ka bahut bara lashkar tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is ki taraf tableegh ke liye tashreef le gaye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath Sabit bin Qays bin Shammas razi Allahu anhu bhi thay . Aap ke hath mein khajoor ki ek tehni thi . Jahan Musaylamah apni fauj ke saath parao kiye huay tha , Aap wahin ja kar thehar gaye aur Aap ne us se farmaya agar tu mujh se yeh tehni maange ga to main tujhe yeh bhi nahi doon ga aur tu Allah ke is faisle se aage nahi barh sakta jo tere baare mein pehle hi ho chuka hai . Tu ne agar meri itaat se rugardani ki to Allah Ta'ala tujhe halak kar de ga . Mera to khayal hai ke tu wahi hai jo mujhe khwab mein dikhaya gaya tha . Ab teri baaton ka jawab meri taraf se Sabit bin Qays dein ge , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam wapas tashreef laye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4374
قال ابن عباس: فسالت عن قول رسول الله صلى الله عليه وسلم: إنك ارى الذي اريت فيه ما اريت، فاخبرني ابو هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" بينا انا نائم، رايت في يدي سوارين من ذهب، فاهمني شانهما، فاوحي إلي في المنام ان انفخهما فنفختهما، فطارا، فاولتهما كذابين يخرجان بعدي، احدهما العنسي والآخر مسيلمة".
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke phir main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke is irshad ke mutalliq poocha ke ”Mera khayal to yeh hai ke tu wahi hai jo mujhe khwab mein dikhaya gaya tha .“ To Abu Hurairah razi Allahu anhu ne mujhe bataya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main soya hua tha , main ne apne hathon mein sone ke do kangan dekha , mujhe unhein dekh kar bara dukh hua phir khwab hi mein mujh par wahi ki gayi ke main in mein phoonk maar doon . Chunanche main ne in mein phoonka to woh urr gaye . Main ne is ki tabeer do jhooton se li jo mere baad niklein ge . Ek Aswad Ansi tha aur doosra Musaylamah Kazzab , jin har do ko Khuda ne phoonk ki tarah khatam kar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4375
حدثنا إسحاق بن نصر، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا نائم، اتيت بخزائن الارض، فوضع في كفي سواران من ذهب، فكبرا علي، فاوحى الله إلي ان انفخهما فنفختهما، فذهبا فاولتهما الكذابين اللذين انا بينهما صاحب صنعاء وصاحب اليمامة".
Hum se Ishaq bin Nasr ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , un se Mamar ne un se Hammam ne aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Khwab mein mere paas zameen ke khazane laye gaye aur mere hathon mein sone ke do kangan rakh diye gaye . Yeh mujh par bara shaq guzra . Is ke baad mujhe wahi ki gayi ke main in mein phoonk maroon . Main ne phoonka to woh urr gaye . Main ne is ki tabeer do jhooton se li jin ke darmiyan mein , main hoon yani Sahib e Sana (Aswad Ansi) aur Sahib e Yamama (Musaylamah Kazzab) .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4376
حدثنا الصلت بن محمد، قال: سمعت مهدي بن ميمون، قال: سمعت ابا رجاء العطاردي، يقول:" كنا نعبد الحجر، فإذا وجدنا حجرا هو اخير منه القيناه واخذنا الآخر، فإذا لم نجد حجرا جمعنا جثوة من تراب، ثم جئنا بالشاة فحلبناه عليه، ثم طفنا به، فإذا دخل شهر رجب، قلنا: منصل الاسنة، فلا ندع رمحا فيه حديدة ولا سهما فيه حديدة إلا نزعناه والقيناه شهر رجب.
Hum se Salt bin Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Mahdi bin Maymoon se suna ke main ne Abu Rajaa Utaridi razi Allahu anhu se suna , woh byaan karte thay ke hum pehle patthar ki pooja karte thay aur agar koi patthar hamain is se achha mil jata to usay phenk dete aur is doosre ki pooja shuru kar dete . Agar hamain patthar na milta to mitti ka ek teela bana lete aur bakri la kar us par dohte aur us ke gird tawaf karte . Jab Rajab ka mahina aa jata to hum kehte ke yeh mahina neezon ko door rakhne ka hai . Chunanche hamare paas lohe se bane huay jitne bhi neeze ya teer hote hum Rajab ke mahine mein unhein apne se door rakhte aur unhein kisi taraf phenk dete .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4377
وسمعت ابا رجاء، يقول: كنت يوم بعث النبي صلى الله عليه وسلم غلاما ارعى الإبل على اهلي، فلما سمعنا بخروجه فررنا إلى النار إلى مسيلمة الكذاب".
Aur main ne Abu Rajaa se suna , unhon ne byaan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam maboos huay to main abhi kam umr tha aur apne ghar ke oont churaya karta tha phir jab hum ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ki fatah (Makkah ki khabar suni) to hum Aap ko chhor kar dozakh mein chale gaye , yani Musaylamah Kazzab ke tabedar ban gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِصَّةُ الأَسْوَدِ الْعَنْسِيِّ:
Bab: Aswad Ansi ka qissa.
Show diacritics
Hadith Number: 4378
حدثنا سعيد بن محمد الجرمي، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن عبيدة بن نشيط وكان في موضع آخر اسمه عبد الله، ان عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، قال: بلغنا ان مسيلمة الكذاب قدم المدينة، فنزل في دار بنت الحارث، وكان تحته بنت الحارث بن كريز وهي ام عبد الله بن عامر، فاتاه رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه ثابت بن قيس بن شماس وهو الذي يقال له: خطيب رسول الله صلى الله عليه وسلم، وفي يد رسول الله صلى الله عليه وسلم قضيب، فوقف عليه، فكلمه، فقال له مسيلمة: إن شئت خليت بيننا وبين الامر ثم جعلته لنا بعدك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لو سالتني هذا القضيب ما اعطيتكه، وإني لاراك الذي اريت فيه ما اريت، وهذا ثابت بن قيس وسيجيبك عني"، فانصرف النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Saeed bin Muhammad Jarmi ne byaan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha mujh se un ke walid Ibrahim bin Saad ne , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Ubaydah bin Nasheet ne , doosre mauqa par (Ibn Ubaydah razi Allahu anhu) ke naam ki tasreeh hai yani Abdullah aur un se Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah ne byaan kiya ke hamain maloom hai ke jab Musaylamah Kazzab Madinah aaya to Bint Harith ke ghar us ne qiyam kiya , kyunke Bint Harith bin Kurayz us ki biwi thi . Yahi Abdullah bin Abdullah bin Damir ki maan hai , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam us ke yahan tashreef laye (tableegh ke liye) Aap ke saath Sabit bin Qays bin Shammas razi Allahu anhu bhi thay . Sabit razi Allahu anhu wahi hain jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke khateeb ke naam se mashhoor thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hath mein ek chhari thi . Aap salla Allahu alaihi wasallam us ke paas aa kar thehar gaye aur us se guftagu ki aur usay Islam ki dawat di . Musaylamah ne kaha ke main is shart par Musalman hota hoon ke Aap ke baad mujh ko hukoomat mile . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum mujh se yeh chhari maango ge to main yeh bhi nahi de sakta aur main to samajhta hoon ke tum wahi ho jo mujhe khwab mein dikhaye gaye thay . Yeh Sabit bin Qays razi Allahu anhu hain aur meri taraf se tumhari baaton ka yahi jawab dein ge , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam wapas tashreef le aaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4379
قال عبيد الله بن عبد الله: سالت عبد الله بن عباس عن رؤيا رسول الله صلى الله عليه وسلم التي ذكر، فقال ابن عباس: ذكر لي ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" بينا انا نائم، اريت انه وضع في يدي سواران من ذهب، ففظعتهما وكرهتهما، فاذن لي فنفختهما فطارا، فاولتهما كذابين يخرجان"، فقال عبيد الله: احدهما العنسي الذي قتله فيروز باليمن، والآخر مسيلمة الكذاب.
Ubaydullah bin Abdullah ne kaha ke main ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke khwab ke mutalliq poocha jis ka zikr Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha to unhon ne bataya ke mujhe maloom hua hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke mujhe khwab mein dikhaya gaya tha ke mere hathon par sone ke do kangan rakh diye gaye hain . Main is se bahut ghabraya aur in kanganon se mujhe tashweesh hui , phir mujhe hukm hua aur main ne unhein phoonk diya to donon kangan urr gaye . Main ne is ki tabeer do jhooton se li jo khurooj karne wale hain . Ubaydullah ne byaan kiya ke in mein se ek Aswad Ansi tha , jise Feroz ne Yaman mein qatl kiya aur doosra Musaylamah Kazzab tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِصَّةُ أَهْلِ نَجْرَانَ:
Bab: Najran ke Nasara ka qissa.
Show diacritics
Hadith Number: 4380
حدثني عباس بن الحسين، حدثنا يحيى بن آدم، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن صلة بن زفر، عن حذيفة، قال: جاء العاقب، والسيد صاحبا نجران إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم يريدان ان يلاعناه، قال: فقال احدهما لصاحبه: لا تفعل، فوالله لئن كان نبيا فلاعنا لا نفلح نحن، ولا عقبنا من بعدنا، قالا: إنا نعطيك ما سالتنا، وابعث معنا رجلا امينا ولا تبعث معنا إلا امينا، فقال:" لابعثن معكم رجلا امينا حق امين"، فاستشرف له اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" قم يا ابا عبيدة بن الجراح"، فلما قام، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هذا امين هذه الامة".
Mujh se Abbas bin Husain ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Adam ne byaan kiya , un se Israeel ne , un se Abu Ishaq ne , un se Silah bin Zufar ne aur un se Huzayfah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Najran ke do sardar Aqib aur Sayyid , Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se mubaahala karne ke liye aaye thay lekin ek ne apne doosre saathi se kaha ke aisa na karo kyunke Allah ki qasam! Agar yeh Nabi huay aur phir bhi hum ne un se mubaahala kiya to hum panap nahi sakte aur na hamare baad hamari naslein reh sakein gi . Phir in donon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke jo kuch Aap maangein hum jizyah dene ke liye tayyar hain . Aap hamare saath koi ameen bhej dijiye , jo bhi aadmi hamare saath bhejein woh ameen hona zaroori hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main tumhare saath ek aisa aadmi bhejoon ga jo amanat-dar ho ga balkay poora poora amanat-dar ho ga . Sahabah razi Allahu anhum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke muntazir thay , Aap ne farmaya ke Abu Ubaydah bin al-Jarrah! Utho . Jab woh kharay huay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh is ummat ke ameen hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4381
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، قال: سمعت ابا إسحاق، عن صلة بن زفر، عن حذيفة رضي الله عنه، قال: جاء اهل نجران إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقالوا: ابعث لنا رجلا امينا، فقال:" لابعثن إليكم رجلا امينا حق امين"، فاستشرف له الناس، فبعث ابا عبيدة بن الجراح.
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke main ne Abu Ishaq se suna , unhon ne Silah bin Zufar se aur un se Abu Huzayfah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Ahl e Najran Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya ke hamare saath koi amanat-dar aadmi bhejiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main tumhare saath aisa aadmi bhejoon ga jo har haisiyat se amanat-dar ho ga . Sahabah razi Allahu anhum muntazir thay , aakhir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Abu Ubaydah bin al-Jarrah razi Allahu anhu ko bheja .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4382
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن خالد، عن ابي قلابة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لكل امة امين، وامين هذه الامة ابو عبيدة بن الجراح".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Khalid ne , un se Abu Qulabah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Har ummat mein ameen (amanatdar) hote hain aur is ummat ke ameen Abu Ubaydah bin al-Jarrah hain .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة