الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ بَعْثُ أَبِي مُوسَى وَمُعَاذٍ إِلَى الْيَمَنِ قَبْلَ حَجَّةِ الْوَدَاعِ:
Bab: Hajjat-ul-Wada’ se pehle Nabi Karim ﷺ ka Abu Musa Ash’ari aur Mu’adh bin Jabal Radiallahu Anhuma ko Yaman bhejna.
Show diacritics
Hadith Number: 4346
حدثني عباس بن الوليد هو النرسي، حدثنا عبد الواحد، عن ايوب بن عائذ، حدثنا قيس بن مسلم، قال: سمعت طارق بن شهاب، يقول: حدثني ابو موسى الاشعري رضي الله عنه، قال: بعثني رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى ارض قومي، فجئت ورسول الله صلى الله عليه وسلم منيخ بالابطح، فقال:" احججت يا عبد الله بن قيس؟" قلت: نعم يا رسول الله، قال:" كيف؟" قلت: قال: قلت: لبيك إهلالا كإهلالك، قال:" فهل سقت معك هديا؟" قلت: لم اسق، قال:" فطف بالبيت واسع بين الصفا والمروة، ثم حل"، ففعلت حتى مشطت لي امراة من نساء بني قيس ومكثنا بذلك حتى استخلف عمر.
Hum se Abbas bin Waleed ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne byaan kiya , un se Ayub bin Aaiz ne , un se Qays bin Muslim ne byaan kiya , kaha main ne Tariq bin Shihab se suna , unhon ne kaha ke mujh se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne kaha ke mujhe Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne meri qaum ke watan (Yaman) mein bheja . Phir main aaya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (Makkah ki) Wadi e Abtah mein parao kiye huay thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya: Abdullah bin Qays! Tum ne hajj ka ihram bandha liya ? Main ne arz kiya: Ji haan ya Rasool Allah! Aap ne daryaft farmaya ke kalmat e ihram kis tarah kahe ? Byaan kiya ke main ne arz kiya (ke yun kalmat ada kiye hain) ”Ae Allah main hazir hoon , aur jis tarah Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ihram bandha hai , main ne bhi isi tarah bandha hai .“ Farmaya tum apne saath qurbani ka janwar bhi laye ho ? Main ne kaha ke koi janwar to main apne saath nahi laya . Farmaya tum phir pehle Bayt Allah ka tawaf aur Safa aur Marwah ki sayi kar lo . In ruknon ki adayigi ke baad halal ho jana . Main ne isi tarah kiya aur Banu Qays ki khatoon ne mere sar mein kangha kiya aur isi qayade par hum is waqt tak chalte rahe jab tak Umar razi Allahu anhu khaleefa huay (isi ko hajj e tamattu kehte hain aur yeh bhi sunnat hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4347
حدثني حبان، اخبرنا عبد الله، عن زكرياء بن إسحاق، عن يحيى بن عبد الله بن صيفي، عن ابي معبد مولى ابن عباس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم لمعاذ بن جبل حين بعثه إلى اليمن:" إنك ستاتي قوما من اهل الكتاب، فإذا جئتهم، فادعهم إلى ان يشهدوا ان لا إله إلا الله، وان محمدا رسول الله، فإن هم طاعوا لك بذلك، فاخبرهم ان الله قد فرض عليهم خمس صلوات في كل يوم وليلة، فإن هم طاعوا لك بذلك، فاخبرهم ان الله قد فرض عليهم صدقة تؤخذ من اغنيائهم فترد على فقرائهم، فإن هم طاعوا لك بذلك، فإياك وكرائم اموالهم، واتق دعوة المظلوم، فإنه ليس بينه وبين الله حجاب"، قال ابو عبد الله: طوعت طاعت، واطاعت لغة طعت، وطعت، واطعت.
Mujh se Habban bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Zakariya bin Ishaq ne , unhein Yahya bin Abdullah bin Sayfi ne , unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke ghulam Abu Ma'bad Nafiz ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Maaz bin Jabal razi Allahu anhu ko Yaman ka (hakim bana kar bhejte waqt unhein) hidayat farmayi thi ke tum ek aisi qaum ki taraf ja rahe ho jo Ahl e Kitab Yahudi aur Nasrani waghaira mein se hain . Is liye jab tum wahan pahuncho to pehle unhein is ki dawat do ke woh gawahi dein ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur Muhammad salla Allahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain . Agar is mein woh tumhari baat maan lein to phir unhein batao ke Allah Ta'ala ne rozana un par panch waqt ki namazein farz ki hain , jab yeh bhi maan lein to unhein batao ke Allah Ta'ala ne un par zakat ko bhi farz kiya hai , jo un ke maldar logon se li jaye gi aur unhi ke ghareebon mein taqseem kar di jaye gi . Jab yeh bhi maan jayein to (phir zakat wasool karte waqt) un ka sab se umdah maal lene se parhez karna aur mazloom ki aah se har waqt darte rehna ke us ke aur Allah ke darmiyan koi rukawat nahi hoti hai . Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke Surah al-Ma'idah mein jo «tauwa'at» ka lafz aaya hai is ka wahi maani hai jo «ta'at» aur «ata'at» ka hai jaise kehte hain «tu'tu wa tu'tu wa ata'tu» . Sab ka maani ek hi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4348
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن حبيب بن ابي ثابت، عن سعيد بن جبير، عن عمرو بن ميمون: ان معاذا رضي الله عنه لما قدم اليمن صلى بهم الصبح، فقرا: واتخذ الله إبراهيم خليلا سورة النساء آية 125، فقال رجل من القوم: لقد قرت عين ام إبراهيم"، زاد معاذ، عن شعبة، عن حبيب، عن سعيد، عن عمرو، ان النبي صلى الله عليه وسلم بعث معاذا إلى اليمن، فقرا معاذ في صلاة الصبح سورة النساء، فلما، قال: واتخذ الله إبراهيم خليلا سورة النساء آية 125، قال رجل خلفه: قرت عين ام إبراهيم.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Habib bin Abi Sabit ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya , un se Amr bin Maymoon ne aur un se Maaz razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab woh Yaman pahunche to Yaman walon ko subah ki namaaz parhayi aur namaaz mein aayat «wattakhazhallahu Ibraheema khaleela» ki qirat ki to un mein se ek sahab (namaaz hi mein) bolay ke Ibrahim ki walda ki aankh thandi ho gayi ho gi . Maaz bin Maaz Baghwi ne Shubah se , unhon ne Habib se , unhon ne Saeed se , unhon ne Amr bin Maymoon se is hadees mein sirf itna barhaya hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Maaz ko Yaman bheja wahan unhon ne subah ki namaaz mein Surah Nisa parhi jab is aayat par pahunche «wattakhazhallahu Ibraheema khaleela» to ek sahab jo un ke peeche kharay huay thay kaha ke Ibrahim ki walda ki aankh thandi ho gayi ho gi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَعْثُ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ- عَلَيْهِ السَّلاَمُ- وَخَالِدِ بْنِ الْوَلِيدِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ إِلَى الْيَمَنِ قَبْلَ حَجَّةِ الْوَدَاعِ:
Bab: Hajjat-ul-Wada’ se pehle Ali bin Abi Talib aur Khalid bin Waleed Radiallahu Anhuma ko Yaman bhejna.
Show diacritics
Hadith Number: 4349
حدثني احمد بن عثمان، حدثنا شريح بن مسلمة، حدثنا إبراهيم بن يوسف بن إسحاق بن ابي إسحاق، حدثني ابي، عن ابي إسحاق،سمعت البراء رضي الله عنه، بعثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم مع خالد بن الوليد إلى اليمن، قال: ثم بعث عليا بعد ذلك مكانه، فقال:" مر اصحاب خالد من شاء منهم ان يعقب معك فليعقب، ومن شاء فليقبل"، فكنت فيمن عقب معه، قال: فغنمت اواق ذوات عدد.
Mujh se Ahmad bin Usman bin Hakeem ne byaan kiya , kaha hum se Shurayh bin Maslamah ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Yusuf bin Ishaq bin Abi Ishaq ne byaan kiya , kaha mujh se mere walid ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne kaha ke main ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne hamain Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ke saath Yaman bheja , byaan kiya ke phir is ke baad un ki jagah Ali razi Allahu anhu ko bheja aur Aap ne unhein hidayat ki ke Khalid ke sathiyon se kaho ke jo in mein se tumhare saath Yaman mein rehna chahe woh tumhare saath phir Yaman ko laut jaye aur jo wahan se wapas aana chahe woh chala aaye . Bara razi Allahu anhu kehte hain ke main in logon mein se tha jo Yaman ko laut gaye . Unhon ne byaan kiya ke mujhe ghanimat mein kai ooqiyah chaandi ke milay thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4350
حدثني محمد بن بشار، حدثنا روح بن عبادة، حدثنا علي بن سويد بن منجوف، عن عبد الله بن بريدة، عن ابيه رضي الله عنه، قال: بعث النبي صلى الله عليه وسلم عليا إلى خالد ليقبض الخمس، وكنت ابغض عليا وقد اغتسل، فقلت لخالد: الا ترى إلى هذا؟ فلما قدمنا على النبي صلى الله عليه وسلم ذكرت ذلك له، فقال:" يا بريدة، اتبغض عليا؟" فقلت: نعم، قال:" لا تبغضه، فإن له في الخمس اكثر من ذلك".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Rauh bin Ubadah ne byaan kiya , kaha hum se Ali bin Suwayd bin Manjoof ne byaan kiya , un se Abdullah bin Buraydah ne aur un se un ke walid (Buraydah bin Hassayb) ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ki jagah Ali razi Allahu anhu ko (Yaman) bheja taake ghanimat ke khumus (paanchwan hissa) ko un se le aayein . Mujhe Ali razi Allahu anhu se bahut bughz tha aur main ne unhein ghusl karte dekha tha . Main ne Khalid razi Allahu anhu se kaha tum dekhte ho Ali razi Allahu anhu ne kya kiya (aur ek laundi se sohbat ki) phir jab hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay to main ne Aap se bhi is ka zikr kiya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya (Buraydah) kya tumhein Ali razi Allahu anhu ki taraf se bughz hai ? Main ne arz kiya ke ji haan , farmaya Ali se dushmani na rakhna kyunke khumus (ghanimat ke paanchway hisse) mein is se bhi zyada haq hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4351
حدثنا قتيبة، حدثنا عبد الواحد، عن عمارة بن القعقاع بن شبرمة، حدثنا عبد الرحمن بن ابي نعم، قال: سمعت ابا سعيد الخدري، يقول: بعث علي بن ابي طالب رضي الله عنه إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم من اليمن بذهيبة في اديم مقروظ لم تحصل من ترابها، قال: فقسمها بين اربعة نفر بين عيينة بن بدر، واقرع بن حابس، وزيد الخيل، والرابع إما علقمة وإما عامر بن الطفيل، فقال رجل من اصحابه: كنا نحن احق بهذا من هؤلاء، قال: فبلغ ذلك النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" الا تامنوني وانا امين من في السماء، ياتيني خبر السماء صباحا ومساء؟" قال: فقام رجل غائر العينين، مشرف الوجنتين، ناشز الجبهة، كث اللحية، محلوق الراس، مشمر الإزار، فقال: يا رسول الله، اتق الله، قال:" ويلك، اولست احق اهل الارض ان يتقي الله"، قال: ثم ولى الرجل، قال خالد بن الوليد: يا رسول الله، الا اضرب عنقه؟ قال:" لا، لعله ان يكون يصلي"، فقال خالد: وكم من مصل يقول بلسانه ما ليس في قلبه؟ قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إني لم اومر ان انقب عن قلوب الناس، ولا اشق بطونهم"، قال: ثم نظر إليه وهو مقف، فقال:" إنه يخرج من ضئضئ هذا قوم يتلون كتاب الله رطبا لا يجاوز حناجرهم يمرقون من الدين كما يمرق السهم من الرمية"، واظنه قال:" لئن ادركتهم لاقتلنهم قتل ثمود".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne byaan kiya , un se Amarah bin Qaqa bin Shubrumah ne byaan kiya , un se Abdur Rahman bin Abi Naeem ne byaan kiya , kaha ke main ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna woh kehte thay ke Yaman se Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas beri ke patton se dabaghat diye huay chamre ke ek thaile mein sone ke chand dalle bheje . In se (kaan ki) mitti bhi abhi saaf nahi ki gayi thi . Rawi ne byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne woh sona char aadmiyon mein taqseem kar diya . Uyaynah bin Badr , Aqra bin Habis , Zayd bin Khayl aur chauthe Alqamah razi Allahu anhum thay ya Aamir bin Tufayl razi Allahu anhu thay . Aap ke as-haab mein se ek sahab ne is par kaha ke in logon se zyada hum is sone ke mustahiq thay . Rawi ne byaan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko maloom hua to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mujh par itibar nahi karte haalan ke is Allah ne mujh par itibar kiya hai jo aasman par hai aur is ki jo aasman par hai wahi mere paas subah o shaam aati hai . Rawi ne byaan kiya ke phir ek shakhs jis ki aankhein dhansi hui thien , donon rukhsar phoolay huay thay , peshani bhi ubhri hui thi , ghani darhi aur sar munda hua , tehband uthaye huay tha , khara hua aur kehne laga: ya Rasool Allah! Allah se dariye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke afsos tujh par , kya main is roo e zameen par Allah se darne ka sab se zyada mustahiq nahi hoon ? Rawi ne byaan kiya phir woh shakhs chala gaya . Khalid bin Waleed razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Main kyun na is shakhs ki gardan maar doon ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi shayad woh namaaz parhta ho is par Khalid razi Allahu anhu ne arz kiya ke bahut se namaaz parhne wale aise hain jo zaban se Islam ka dawa karte hain aur un ke dil mein woh nahi hota . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is ka hukm nahi hua hai ke logon ke dilon ki khoj lagaon aur na is ka hukm hua ke un ke pait chaak karoon . Rawi ne kaha phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is (munafiq) ki taraf dekha to woh peeth pher kar ja raha tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is ki nasl se ek aisi qaum nikle gi jo Kitab Allah ki tilawat bari khush alhani ke saath kare gi lekin woh un ke halaq se neeche nahi utre ga . Deen se woh log is tarah nikal chuke hon ge jaise teer janwar ke paar nikal jata hai aur mera khayal hai ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh bhi farmaya ke agar main un ke daur mein hua to Samood ki qaum ki tarah un ko bilkul qatl kar daloon ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4352
حدثنا المكي بن إبراهيم، عن ابن جريج، قال عطاء، قال جابر: امر النبي صلى الله عليه وسلم عليا ان يقيم على إحرامه، زاد محمد بن بكر، عن ابن جريج، قال عطاء: قال جابر: فقدم علي بن ابي طالب رضي الله عنه بسعايته، قال له النبي صلى الله عليه وسلم:" بم اهللت يا علي؟" قال: بما اهل به النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" فاهد وامكث حراما كما انت"، قال: واهدى له علي هديا.
Hum se Makki bin Ibrahim ne byaan kiya , un se Ibn Jurayj ne ke Ata bin Abi Rabah ne byaan kiya aur un se Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ali razi Allahu anhu se (jab woh Yaman se Makkah aaye) farmaya tha ke woh apne ihram par baqi rahein . Muhammad bin Bakr ne Ibn Jurayj se itna barhaya ke un se Ata ne byaan kiya ke Jabir razi Allahu anhu ne kaha Ali razi Allahu anhu apni wilayat (Yaman) se aaye to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se daryaft farmaya ke Ali! Tum ne ihram kis tarah bandha hai ? Arz kiya ke jis tarah ihram Aap ne bandha ho . Farmaya phir qurbani ka janwar bhej do aur jis tarah ihram bandha hai , isi ke mutabiq amal karo . Byaan kiya ke Ali razi Allahu anhu Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye qurbani ke janwar laye thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4353
حدثنا مسدد، حدثنا بشر بن المفضل، عن حميد الطويل، حدثنا بكر، انه ذكر لابن عمر، ان انسا حدثهم: ان النبي صلى الله عليه وسلم اهل بعمرة وحجة، فقال اهل النبي صلى الله عليه وسلم بالحج واهللنا به معه، فلما قدمنا مكة قال:" من لم يكن معه هدي فليجعلها عمرة"، وكان مع النبي صلى الله عليه وسلم هدي، فقدم علينا علي بن ابي طالب من اليمن حاجا، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" بم اهللت، فإن معنا اهلك؟" قال: اهللت بما اهل به النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" فامسك، فإن معنا هديا".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Bishr bin Mufaddal ne byaan kiya , un se Humayd Taweel ne , kaha hum se Bakr bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se zikr kiya ke Anas razi Allahu anhu ne un se byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne umrah aur hajj donon ka ihram bandha tha aur hum ne bhi Aap ke saath hajj hi ka ihram bandha tha . Phir hum jab Makkah aaye to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ke saath qurbani ka janwar na ho woh apne hajj ke ihram ko umrah ka ihram kar le (aur tawaf aur sayi kar ke ihram khol de) aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath qurbani ka janwar tha . Phir Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu Yaman se laut kar hajj ka ihram bandh kar aaye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se daryaft farmaya ke tum ne kis tarah ihram bandha hai ? Hamare saath tumhari zauja Fatima bhi hain . Unhon ne arz kiya ke main ne isi tarah ka ihram bandha hai jis tarah Aap salla Allahu alaihi wasallam ne bandha ho . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir apne ihram par qaim raho , kyunke hamare saath qurbani ka janwar hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4354
حدثنا مسدد، حدثنا بشر بن المفضل، عن حميد الطويل، حدثنا بكر، انه ذكر لابن عمر، ان انسا حدثهم: ان النبي صلى الله عليه وسلم اهل بعمرة وحجة، فقال اهل النبي صلى الله عليه وسلم بالحج واهللنا به معه، فلما قدمنا مكة قال:" من لم يكن معه هدي فليجعلها عمرة"، وكان مع النبي صلى الله عليه وسلم هدي، فقدم علينا علي بن ابي طالب من اليمن حاجا، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" بم اهللت، فإن معنا اهلك؟" قال: اهللت بما اهل به النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" فامسك، فإن معنا هديا".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Bishr bin Mufaddal ne byaan kiya , un se Humayd Taweel ne , kaha hum se Bakr bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se zikr kiya ke Anas razi Allahu anhu ne un se byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne umrah aur hajj donon ka ihram bandha tha aur hum ne bhi Aap ke saath hajj hi ka ihram bandha tha . Phir hum jab Makkah aaye to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ke saath qurbani ka janwar na ho woh apne hajj ke ihram ko umrah ka ihram kar le (aur tawaf aur sayi kar ke ihram khol de) aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath qurbani ka janwar tha . Phir Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu Yaman se laut kar hajj ka ihram bandh kar aaye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se daryaft farmaya ke tum ne kis tarah ihram bandha hai ? Hamare saath tumhari zauja Fatima bhi hain . Unhon ne arz kiya ke main ne isi tarah ka ihram bandha hai jis tarah Aap salla Allahu alaihi wasallam ne bandha ho . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir apne ihram par qaim raho , kyunke hamare saath qurbani ka janwar hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غَزْوَةُ ذِي الْخَلَصَةِ:
Bab: Ghazwah-e-Zul-Khalasah ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4355
حدثنا مسدد، حدثنا خالد، حدثنا بيان، عن قيس، عن جرير، قال: كان بيت في الجاهلية، يقال له: ذو الخلصة، والكعبة اليمانية، والكعبة الشامية، فقال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" الا تريحني من ذي الخلصة"، فنفرت في مائة وخمسين راكبا فكسرناه، وقتلنا من وجدنا عنده، فاتيت النبي صلى الله عليه وسلم فاخبرته، فدعا لنا ولاحمس.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Khalid bin Abdullah Tahhan ne byaan kiya , un se Bayan bin Bishr ne byaan kiya , un se Qays ne aur un se Jareer bin Abdullah Bajali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mujh se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Zhul Khalasah se mujhe kyun nahi be-fikri dilate! Main ne arz kiya main hukm ki tameel karoon ga . Chunanche qabila Ahmas ke derh sau sawaron ko saath le kar main rawana hua . Yeh sab achhe sawar thay , lekin main sawari achhi tarah nahi kar pata tha . Main ne is ke mutalliq Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se zikr kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apna hath mere seene par maara jis ka asar main ne apne seene mein dekha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dua farmayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة