الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 4307
حدثنا محمد بن ابي بكر، حدثنا الفضيل بن سليمان، حدثنا عاصم، عن ابي عثمان النهدي، عن مجاشع بن مسعود: انطلقت بابي معبد إلى النبي صلى الله عليه وسلم ليبايعه على الهجرة، قال:" مضت الهجرة لاهلها ابايعه على: الإسلام، والجهاد"، فلقيت ابا معبد فسالته، فقال: صدق مجاشع، وقال خالد، عن ابي عثمان، عن مجاشع: انه جاء باخيه مجالد.
Hum se Muhammad bin Abi Bakr ne byaan kiya , kaha hum se Fudayl bin Sulayman ne byaan kiya , kaha hum se Aasim bin Sulayman ne byaan kiya , un se Abu Usman Nahdi ne aur un se Mujashia bin Masood razi Allahu anhu ne ke main apne bhai (Abu Ma'bad razi Allahu anhu) ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein Aap se hijrat par bai'at karane ke liye le gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hijrat ka sawab to hijrat karne walon ke saath khatam ho chuka . Albatta main is se Islam aur jihad par bai'at leta hoon . Abu Usman ne kaha ke phir main ne Abu Ma'bad razi Allahu anhu se mil kar un se is ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke Mujashia razi Allahu anhu ne theek byaan kiya aur Khalid Hazza ne bhi Abu Usman se byaan kiya , un se Mujashia razi Allahu anhu ne ke woh apne bhai Mujalid razi Allahu anhu ko le kar aaye thay , (phir hadees ko aakhir tak byaan kiya , is ko Ismail ne wasal kiya hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4308
حدثنا محمد بن ابي بكر، حدثنا الفضيل بن سليمان، حدثنا عاصم، عن ابي عثمان النهدي، عن مجاشع بن مسعود: انطلقت بابي معبد إلى النبي صلى الله عليه وسلم ليبايعه على الهجرة، قال:" مضت الهجرة لاهلها ابايعه على: الإسلام، والجهاد"، فلقيت ابا معبد فسالته، فقال: صدق مجاشع، وقال خالد، عن ابي عثمان، عن مجاشع: انه جاء باخيه مجالد.
Hum se Muhammad bin Abi Bakr ne byaan kiya , kaha hum se Fudayl bin Sulayman ne byaan kiya , kaha hum se Aasim bin Sulayman ne byaan kiya , un se Abu Usman Nahdi ne aur un se Mujashia bin Masood razi Allahu anhu ne ke main apne bhai (Abu Ma'bad razi Allahu anhu) ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein Aap se hijrat par bai'at karane ke liye le gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hijrat ka sawab to hijrat karne walon ke saath khatam ho chuka . Albatta main is se Islam aur jihad par bai'at leta hoon . Abu Usman ne kaha ke phir main ne Abu Ma'bad razi Allahu anhu se mil kar un se is ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke Mujashia razi Allahu anhu ne theek byaan kiya aur Khalid Hazza ne bhi Abu Usman se byaan kiya , un se Mujashia razi Allahu anhu ne ke woh apne bhai Mujalid razi Allahu anhu ko le kar aaye thay , (phir hadees ko aakhir tak byaan kiya , is ko Ismail ne wasal kiya hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4309
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي بشر، عن مجاهد، قلت لابن عمر رضي الله عنهما:" إني اريد ان اهاجر إلى الشام، قال:" لا هجرة، ولكن جهاد، فانطلق، فاعرض نفسك، فإن وجدت شيئا وإلا رجعت".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Bishr ne aur un se Mujahid ne ke main ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se arz kiya ke mera irada hai ke main mulk e Sham ko hijrat kar jaon , farmaya: ab hijrat baqi nahi rahi , jihad hi baqi reh gaya hai . Is liye jao aur khud ko pesh karo . Agar tum ne kuch pa liya to behtar warna wapas aa jana .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4310
وقال النضر: اخبرنا شعبة، اخبرنا ابو بشر، سمعت مجاهدا، قلت لابن عمر: فقال: لا هجرة اليوم او بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم، مثله.
Nadr ne byaan kiya ke hamain Shubah ne khabar di , unhein Abu Bishr ne khabar di , unhon ne Mujahid se suna ke jab main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se arz kiya to unhon ne kaha ke ab hijrat baqi nahi rahi ya (farmaya ke) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke baad phir hijrat kahan rahi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4311
حدثني إسحاق بن يزيد، حدثنا يحيى بن حمزة، قال: حدثني ابو عمرو الاوزاعي، عن عبدة بن ابي لبابة، عن مجاهد بن جبر المكي، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، كان يقول:" لا هجرة بعد الفتح".
Mujh se Ishaq bin Yazid ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yahya bin Hamzah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Amr Awzai ne byaan kiya , un se Abdah bin Abi Lubabah ne , un se Mujahid bin Jabr Makki ne ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma kaha karte thay ke Fatah Makkah ke baad hijrat baqi nahi rahi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4312
حدثنا إسحاق بن يزيد، حدثنا يحيى بن حمزة، قال: حدثني الاوزاعي، عن عطاء بن ابي رباح، قال: زرت عائشة، مع عبيد بن عمير، فسالها عن الهجرة، فقالت:" لا هجرة اليوم، كان المؤمن يفر احدهم بدينه إلى الله وإلى رسوله صلى الله عليه وسلم مخافة ان يفتن عليه، فاما اليوم فقد اظهر الله الإسلام، فالمؤمن يعبد ربه حيث شاء، ولكن جهاد ونية".
Hum se Ishaq bin Yazid ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Hamzah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Imam Awzai ne byaan kiya , un se Ata bin Abi Rabah ne byaan kiya ke main Ubayd bin Umayr ke saath Aisha razi Allahu anha ki khidmat mein hazir hua . Ubayd ne un se hijrat ka masla poocha to unhon ne kaha ke ab hijrat baqi nahi rahi . Pehle Musalman apna deen bachane ke liye Allah aur us ke Rasool ki taraf panah lene ke liye aate thay , is khauf se ke kahin deen ki wajah se fitna mein na par jayein . Is liye ab jabke Allah Ta'ala ne Islam ko ghalib kar diya to Musalman jahan bhi chahe apne Rabb ki ibadat kar sakta hai . Ab to sirf jihad aur jihad ki niyat ka sawab baqi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4313
حدثنا إسحاق، حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، قال: اخبرني حسن بن مسلم، عن مجاهد: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قام يوم الفتح، فقال:" إن الله حرم مكة يوم خلق السموات والارض، فهي حرام بحرام الله إلى يوم القيامة، لم تحل لاحد قبلي ولا تحل لاحد بعدي، ولم تحلل لي قط إلا ساعة من الدهر لا ينفر صيدها، ولا يعضد شوكها، ولا يختلى خلاها، ولا تحل لقطتها إلا لمنشد"، فقال العباس بن عبد المطلب: إلا الإذخر يا رسول الله، فإنه لا بد منه للقين والبيوت، فسكت، ثم قال:" إلا الإذخر، فإنه حلال"، وعن ابن جريج، اخبرني عبد الكريم، عن عكرمة، عن ابن عباس بمثل هذا او نحو هذا، رواه ابو هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum se Abu Aasim Nabeel ne byaan kiya , un se Ibn Jurayj ne byaan kiya , kaha mujh ko Hasan bin Muslim ne khabar di aur unhein Mujahid ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Fatah Makkah ke din khutba sunane kharay huay aur farmaya ”Jis din Allah Ta'ala ne aasman o zameen ko paida kiya tha , isi din us ne Makkah ko hurmat wala shehar qarar de diya tha . Pas yeh shehar Allah ke hukm ke mutabiq qayamat tak ke liye hurmat wala rahe ga . Jo mujh se pehle kabhi kisi ke liye halal nahi hua aur na mere baad kisi ke liye halal ho ga aur mere liye bhi sirf ek ghari ke liye halal hua tha . Yahan hudood e Haram mein shikar ke qabil janwar na chheray jayein . Yahan ke kante dar darakht na kaate jayein na yahan ki ghaas ukhaari jaye aur yahan par giri pari cheez is shakhs ke siwa jo aalan karne ka irada rakhta ho aur kisi ke liye uthani jaiz nahi .“ Is par Abbas bin Abdul Muttalib razi Allah ne kaha: ya Rasool Allah! Idhkhir (ghaas) ki ijazat de dijiye kyunke sunaron ke liye aur makanat (ki tameer waghaira) ke liye yeh zaroori hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam khamosh ho gaye phir farmaya ”Idhkhir is hukm se alag hai is ka (kaatna) halal hai .“ Doosri riwayat Ibn Jurayj se (isi sanad se) aisi hi hai unhon ne Abdul Kareem bin Malik se , unhon ne Ibn Abbas se aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se aise hi riwayat ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَيَوْمَ حُنَيْنٍ إِذْ أَعْجَبَتْكُمْ كَثْرَتُكُمْ فَلَمْ تُغْنِ عَنْكُمْ شَيْئًا وَضَاقَتْ عَلَيْكُمُ الأَرْضُ بِمَا رَحُبَتْ ثُمَّ وَلَّيْتُمْ مُدْبِرِينَ ثُمَّ أَنْزَلَ اللَّهُ سَكِينَتَهُ} إِلَى قَوْلِهِ: {غَفُورٌ رَحِيمٌ}:
Bab: Allah Taala ka farman aur Allah Taala ka farman (Surah At-Tawbah mein) ke“Yaad karo tum ko apni kasrat-e-adad par ghamand ho gaya tha phir woh kasrat tumhare kuch kaam na aayi aur tum par zameen bawajood apni faraakhi ke tang hone lagi, phir tum peeth de kar bhaag khare hue, is ke baad Allah ne tum par apni taraf se taskeen nazil ki” «Ghafur Rahim» tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4314
حدثنا محمد بن عبد الله بن نمير، حدثنا يزيد بن هارون، اخبرنا إسماعيل:" رايت بيد ابن ابي اوفى ضربة، قال: ضربتها مع النبي صلى الله عليه وسلم يوم حنين"، قلت:" شهدت حنينا؟" قال:" قبل ذلك".
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Numayr ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Haroon ne byaan kiya , kaha hum ko Ismail bin Abi Khalid ne khabar di , unhon ne byaan kiya ke main ne Abdullah bin Abi Awfa razi Allahu anhuma ke hath mein zakham ka nishan dekha phir unhon ne batlaya ke yeh zakham is waqt aaya tha jab main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Ghazwa Hunayn mein shareek tha . Main ne kaha , aap Hunayn mein shareek thay ? Unhon ne kaha ke is se pehle bhi main kai ghazwat mein shareek ho chuka hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4315
حدثنا محمد بن كثير، حدثنا سفيان، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، وجاءه رجل، فقال: يا ابا عمارة، اتوليت يوم حنين؟ فقال: اما انا فاشهد على النبي صلى الله عليه وسلم انه لم يول، ولكن عجل سرعان القوم فرشقتهم هوازن وابو سفيان بن الحارث آخذ براس بغلته البيضاء، يقول:" انا النبي لا كذب انا ابن عبد المطلب".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne , kaha ke main ne Bara razi Allahu anhu se suna , un ke yahan ek shakhs aaya aur kehne laga ke ae Abu Umarah! Kya tum ne Hunayn ki larai mein peeth pher li thi ? Unhon ne kaha , main is ki gawahi deta hoon ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni jagah se nahi hate thay . Albatta jo log qaum mein jald baaz thay , unhon ne apni jald baazi ka saboot diya tha , pas qabila Hawazin walon ne un par teer barsaye . Abu Sufyan bin Harith razi Allahu anhu Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke safaid khachar ki lagam thame huay thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay «ana nabbiyu la kazhib , ana bnu abdil muttalib» ”main Nabi hoon is mein bilkul jhoot nahi , main Abdul Muttalib ki aulad hoon .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4316
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قيل للبراء، وانا اسمع: اوليتم مع النبي صلى الله عليه وسلم يوم حنين؟ فقال: اما النبي صلى الله عليه وسلم فلا كانوا رماة، فقال:" انا النبي لا كذب انا ابن عبد المطلب".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne ke Bara bin Azib razi Allahu anhu se poocha gaya aur main sun raha tha ke tum logon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Ghazwa Hunayn mein peeth pher li thi ? Unhon ne kaha jahan tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka talluq hai to Aap ne peeth nahi pheri thi . Hua yeh tha ke Hawazin wale bare teer-andaz thay , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mauqa par farmaya tha «ana nabbiyu la kazhib ana bnu abdil muttalib» ”main Nabi hoon is mein jhoot nahi , main Abdul Muttalib ki aulad hoon .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة