الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ غَزْوَةُ مُوتَةَ مِنْ أَرْضِ الشَّأْمِ:
Bab: Ghazwah-e-Mu’tah ka bayan jo sar-zameen-e-Sham mein sanah 8 Hijri mein hua tha.
Show diacritics
Hadith Number: 4268
حدثنا قتيبة، حدثنا عبثر، عن حصين، عن الشعبي، عن النعمان بن بشير، قال: اغمي على عبد الله بن رواحة بهذا، فلما مات لم تبك عليه.
Hum se Qutaiba ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abasar Bin Qasim ne bayan kiya ‘ in se Husain ne ‘ in se Shabi ne aur in se Numan Bin Bashir Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Abdullah Bin Rawaha Radi Allahu Anhu ko be-hoshi ho gayi thi ‘ phir upar ki hadees ki tarah bayan kiya. Chunancha jab (Ghazwa Mouta) mein wo shaheed hue to in ki bahen in par nahi royein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَعْثُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أُسَامَةَ بْنَ زَيْدٍ إِلَى الْحُرَقَاتِ مِنْ جُهَيْنَةَ:
Bab: Nabi Karim ﷺ ka Usamah bin Zaid Radiallahu Anhuma ko Harqat ke muqable par bhejna.
Show diacritics
Hadith Number: 4269
حدثني عمرو بن محمد، حدثنا هشيم، اخبرنا حصين، اخبرنا ابو ظبيان، قال: سمعت اسامة بن زيد رضي الله عنهما، يقول: بعثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى الحرقة، فصبحنا القوم فهزمناهم، ولحقت انا ورجل من الانصار رجلا منهم، فلما غشيناه قال: لا إله إلا الله، فكف الانصاري فطعنته برمحي حتى قتلته، فلما قدمنا بلغ النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" يا اسامة، اقتلته بعد ما قال: لا إله إلا الله؟"، قلت: كان متعوذا فما زال يكررها حتى تمنيت اني لم اكن اسلمت قبل ذلك اليوم.
Mujh se Amr bin Muhammad Baghdadi ne byaan kiya ‘ kaha hum se Hushaym ne byaan kiya ‘ unhein Husain ne khabar di ‘ unhein Abu Zhabyan Husain bin Jundub ne ‘ kaha ke main ne Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma se suna ‘ unhon ne byaan kiya ke hamain Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne qabila Hurqah ki taraf bheja . Hum ne subah ke waqt un par hamla kiya aur unhein shikast de di ‘ phir main aur ek aur Ansari sahabi is qabila ke ek shakhs (Mirdas bin Umar naami) se bhirr gaye . Jab hum ne us par ghalba pa liya to woh la ilaha illa Allah kehne laga . Ansari to furan hi ruk gaya lekin main ne usay apne barchay se qatl kar diya . Jab hum lautay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko bhi is ki khabar hui . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke Usamah kya us ke la ilaha illa Allah kehne ke bawajood tum ne usay qatl kar diya ? Main ne arz kiya ke woh qatl se bachna chahta tha (us ne yeh kalma dil se nahi parha tha) . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam baar baar yahi farmate rahe (kya tum ne us ke la ilaha illa Allah kehne par bhi usay qatl kar diya) ke mere dil mein yeh aarzoo paida hui ke kaash main aaj se pehle Islam na lata .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4270
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حاتم، عن يزيد بن ابي عبيد، قال: سمعت سلمة بن الاكوع، يقول:" غزوت مع النبي صلى الله عليه وسلم سبع غزوات، وخرجت فيما يبعث من البعوث تسع غزوات، مرة علينا ابو بكر، ومرة علينا اسامة"،
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Hatim bin Ismail ne byaan kiya ‘ un se Yazid bin Abi Ubayd ne byaan kiya aur unhon ne Salmah bin Akwa razi Allahu anhu se suna ‘ woh byaan karte thay ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hamrah saat ghazwon mein shareek raha hoon aur nau aise lashkaron mein shareek hua hoon jo Aap ne rawana kiye thay . (magar Aap khud un mein nahi gaye) kabhi hum par Abu Bakr razi Allahu anhu ameer huay aur kisi fauj ke ameer Usamah razi Allahu anhu huay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4271
وقال عمر بن حفص بن غياث: حدثنا ابي، عن يزيد بن ابي عبيد، قال: سمعت سلمة , يقول:" غزوت مع النبي صلى الله عليه وسلم سبع غزوات، وخرجت فيما يبعث من البعث تسع غزوات علينا، مرة ابو بكر، ومرة اسامة".
Aur Umar bin Hafs bin Ghiyas ne (jo Imam Bukhari rahmahullah ke shaykh hain) byaan kiya kaha hum se hamare walid ne byaan kiya ‘ un se Yazid bin Abi Ubayd ne byaan kiya aur unhon ne Salmah bin Akwa razi Allahu anhu se suna ‘ woh byaan karte thay ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath saat ghazwon mein shareek raha hoon aur nau aisi laraiyon mein gaya hoon jin ko khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bheja tha . Kabhi hamare ameer Abu Bakr razi Allahu anhu hote aur kabhi Usamah razi Allahu anhu hote .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4272
حدثنا ابو عاصم الضحاك بن مخلد، حدثنا يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة بن الاكوع رضي الله عنه، قال:" غزوت مع النبي صلى الله عليه وسلم سبع غزوات، وغزوت مع ابن حارثة استعمله علينا".
Hum se Abu Aasim al-Dahhak bin Makhlad ne byaan kiya ‘ kaha hum se Yazid bin Abi Ubayd ne byaan kiya ‘ un se Salmah bin Akwa razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath saat ghazwon mein shareek raha hoon aur main ne Ibn Haritha (yani Usamah razi Allahu anhu) ke saath bhi ghazwa kiya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein hum par ameer banaya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4273
حدثنا محمد بن عبد الله، حدثنا حماد بن مسعدة، عن يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة بن الاكوع، قال:" غزوت مع النبي صلى الله عليه وسلم سبع غزوات، فذكر: خيبر، والحديبية، ويوم حنين، ويوم القرد"، قال يزيد:" ونسيت بقيتهم".
Hum se Muhammad bin Abdullah ne byaan kiya ‘ kaha hum se Hammad bin Masadah ne byaan kiya ‘ un se Yazid bin Abi Ubayd ne aur un se Salmah bin Akwa razi Allahu anhu ne ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath saat ghazway kiye . Is silsila mein unhon ne Ghazwa Khaybar ‘ Ghazwa Hudaybiyah ‘ Ghazwa Hunayn aur Ghazwa Zhat al-Qarad ka zikr kiya . Yazid ne kaha ke baqi ghazwon ke naam main bhool gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غَزْوَةِ الْفَتْحِ:
Bab: Ghazwah-e-Fath-e-Makkah ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q4274
وما بعث حاطب بن ابي بلتعة إلى اهل مكة يخبرهم بغزو النبي صلى الله عليه وسلم.
Aur jo khat Hatib bin Abi Balta'ah ne ahl e Makkah ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ghazwa ke irada se aagah karne ke liye bheja tha us ka byaan .


Show diacritics
Hadith Number: 4274
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عمرو بن دينار، قال: اخبرني الحسن بن محمد، انه سمع عبيد الله بن ابي رافع، يقول:سمعت عليا رضي الله عنه، يقول: بعثني رسول الله صلى الله عليه وسلم انا والزبير , والمقداد، فقال:" انطلقوا حتى تاتوا روضة خاخ، فإن بها ظعينة معها كتاب فخذوا منها"، قال: فانطلقنا تعادى بنا خيلنا حتى اتينا الروضة فإذا نحن بالظعينة قلنا لها: اخرجي الكتاب، قالت: ما معي كتاب، فقلنا: لتخرجن الكتاب او لنلقين الثياب، قال: فاخرجته من عقاصها، فاتينا به رسول الله صلى الله عليه وسلم فإذا فيه من حاطب بن ابي بلتعة إلى ناس بمكة من المشركين يخبرهم ببعض امر رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا حاطب، ما هذا؟"، قال: يا رسول الله، لا تعجل علي، إني كنت امرا ملصقا في قريش يقول: كنت حليفا ولم اكن من انفسها، وكان من معك من المهاجرين من لهم قرابات يحمون اهليهم واموالهم، فاحببت إذ فاتني ذلك من النسب فيهم ان اتخذ عندهم يدا يحمون قرابتي , ولم افعله ارتدادا عن ديني ولا رضا بالكفر بعد الإسلام، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اما إنه قد صدقكم"، فقال عمر: يا رسول الله، دعني اضرب عنق هذا المنافق، فقال:" إنه قد شهد بدرا، وما يدريك لعل الله اطلع على من شهد بدرا، فقال: اعملوا ما شئتم، فقد غفرت لكم، فانزل الله السورة: يايها الذين آمنوا لا تتخذوا عدوي وعدوكم اولياء تلقون إليهم بالمودة وقد كفروا بما جاءكم من الحق إلى قوله فقد ضل سواء السبيل سورة الممتحنة آية 1.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya ‘ un se Amr bin Dinar ne byaan kiya ‘ unhein Hasan bin Muhammad bin Ali ne khabar di aur unhon ne Ubaydullah bin Rafi se suna ‘ unhon ne byaan kiya ke main ne Ali razi Allahu anhu se suna ‘ unhon ne byaan kiya ke mujhe , Zubayr aur Miqdad razi Allahu anhum ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne rawana kiya aur hidayat ki ke (Makkah ke raste par) chale jana jab tum maqam Rawdah Khakh par pahuncho to wahan tumhein hawdaj mein ek aurat mile gi . Woh ek khat liye huay hai ‘ tum us se woh le lena . Unhon ne kaha ke hum rawana huay . Hamare ghore hamain tezi ke saath liye ja rahe thay . Jab hum Rawdah Khakh par pahunche to waqayi wahan hamain ek aurat hawdaj mein sawar mili (jis ka naam Sara ya Kunad hai) hum ne us se kaha ke khat nikal . Woh kehne lagi ke mere paas to koi khat nahi hai lekin jab hum ne us se yeh kaha ke agar tu ne khud se khat nikal kar hamain nahi diya to hum tera kapra utaar kar (talashi lain ge) tab us ne apni choti mein se woh khat nikala . Hum woh khat le kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein wapas huay . Is mein yeh likha tha ke Hatib bin Abi Balta'ah ki taraf se chand mushrikeen e Makkah ke naam (Safwan bin Umayyah aur Suhayl bin Amr aur Ikrimah bin Abu Jahl) phir unhon ne is mein mushrikeen ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke baaz bhedon ki khabar bhi di thi . (Aap fauj le kar aana chahte hain) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke ae Hatib! Tu ne yeh kya kiya ? Unhon ne arz kiya ya Rasool Allah! Mere baare mein faisla karne mein Aap jaldi na farmayen ‘ main is ki wajah arz karta hoon . Baat yeh hai ke main doosre Muhajireen ki tarah Quraysh ke khandan se nahi hoon ‘ sirf un ka haleef ban kar un se jurr gaya hoon aur doosre Muhajireen ke wahan azeez o aqriba hain jo un ke ghar baar maal o asbab ki nigrani karte hain . Main ne chaha ke khair jab main khandan ki roo se un ka shareek nahi hoon to kuch ihsan hi un par aisa kar doon jis ke khayal se woh mere kunba walon ko na satayen . Main ne yeh kaam apne deen se phir kar nahi kiya aur na Islam lane ke baad mere dil mein kufr ki himayat ka jazba hai . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke waqayi unhon ne tumhare samne sachi baat keh di hai . Umar razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Ijazat ho to main is munafiq ki gardan ura doon lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh Ghazwa Badr mein shareek rahe hain aur tumhein kya maloom Allah Ta'ala jo Ghazwa Badr mein shareek hone walon ke kaam se waqif hai Surah al-Mumtahanah mein us ne un ke mutalliq khud farma diya hai ke ”jo chaho karo main ne tumhare gunah maaf kar diye“ is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «ya ayyuhallazhina aamanu la tattakhizhू 'aduwwi wa 'aduwwakum awliya'a tulquna ilayhim bil mawaddati» ”ae woh logo jo iman la chuke ho! Mere aur apne dushmanon ko dost na banao ke un se tum apni mohabbat ka izhaar karte raho . Aayat «faqad dhalla sawa'as sabeel» tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غَزْوَةِ الْفَتْحِ فِي رَمَضَانَ:
Bab: Fath-e-Makkah ka bayan jo Ramzan sanah 8 Hijri mein hua tha.
Show diacritics
Hadith Number: 4275
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان ابن عباس اخبره:" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم غزا غزوة الفتح في رمضان"، قال: وسمعت سعيد بن المسيب يقول مثل ذلك، وعن عبيد الله بن عبد الله، اخبره، ان ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" صام رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى إذا بلغ الكديد الماء الذي بين قديد وعسفان افطر، فلم يزل مفطرا حتى انسلخ الشهر".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya ‘ kaha hum se Layth bin Masood ne ‘ kaha ke mujh se Aqeel bin Khalid ne byaan kiya ‘ un se Ibn Shihab ne ‘ kaha ke mujhe Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah ne khabar di aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ghazwa Fatah Makkah Ramzan mein kiya tha . Zuhri ne Ibn Saad se byaan kiya ke main ne Saeed bin Musayyab se suna ke woh bhi isi tarah byaan karte thay . Zuhri ne Ubaydullah se riwayat kiya ‘ un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke (Ghazwa Fatah ke safar mein jate huay) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam rozay se thay lekin jab Aap maqam Kadeed pahunche ‘ jo Qadeed aur Usfan ke darmiyan ek chashma hai to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne roza tor diya . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne roza nahi rakha yahan tak ke Ramzan ka mahina khatam ho gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4276
حدثني محمود، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، قال: اخبرني الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس رضي الله عنهما:" ان النبي صلى الله عليه وسلم خرج في رمضان من المدينة ومعه عشرة آلاف، وذلك على راس ثمان سنين ونصف من مقدمه المدينة، فسار هو ومن معه من المسلمين إلى مكة يصوم ويصومون حتى بلغ الكديد وهو ماء بين عسفان وقديد افطر وافطروا"، قال الزهري: وإنما يؤخذ من امر رسول الله صلى الله عليه وسلم الآخر فالآخر.
Mujh se Mahmood bin Ghaylan ne byaan kiya ‘ kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di ‘ kaha hum ko Mamar ne khabar di ‘ kaha mujhe Zuhri ne khabar di ‘ unhein Ubaydullah bin Abdullah aur unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (Fatah ke liye) Madinah se rawana huay . Aap ke saath (das ya barah hazar ka) lashkar tha . Is waqt Aap ko Madinah mein tashreef laye saarhay aath saal poore hone wale thay . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Aap ke saath jo Musalman thay Makkah ke liye rawana huay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi rozay se thay aur tamam Musalman bhi ‘ lekin jab Aap maqam Kadeed par pahunche jo Qadeed aur Usfan ke darmiyan ek chashma hai to Aap ne roza tor diya aur Aap ke saath Musalmanon ne bhi roza tor diya . Zuhri ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sab se aakhri amal par hi amal kiya jaye ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة