الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَقَامُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِمَكَّةَ زَمَنَ الْفَتْحِ:
Bab: Fath-e-Makkah ke zamane mein Nabi Karim ﷺ ka Makkah mein qiyam karna.
Show diacritics
Hadith Number: 4297
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان. ح حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن يحيى بن ابي إسحاق، عن انس رضي الله عنه، قال:" اقمنا مع النبي صلى الله عليه وسلم عشرا نقصر الصلاة".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya ‘ kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya (doosri sanad) aur hum se Qubaysah bin Uqbah ne byaan kiya ‘ kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya ‘ un se Yahya bin Abi Ishaq ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath (Makkah mein) das din thehray thay aur is muddat mein hum namaaz qasr karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4298
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عاصم، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" اقام النبي صلى الله عليه وسلم بمكة تسعة عشر يوما يصلي ركعتين".
Hum se Abdan ne byaan kiya ‘ kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di ‘ kaha hum ko Aasim ne khabar di ‘ unhein Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Makkah mein anees din qiyam farmaya tha aur is muddat mein namaaz do rakaton (qasr) parhte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4299
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابو شهاب، عن عاصم، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" اقمنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في سفر تسع عشرة نقصر الصلاة"، وقال ابن عباس: ونحن نقصر ما بيننا وبين تسع عشرة، فإذا زدنا اتممنا.
Hum se Ahmad bin Yunus ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abu Shihab ne byaan kiya ‘ un se Aasim ne ‘ un se Ikrimah ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath safar mein (Fatah Makkah ke baad) anees din tak to namaaz qasr parhte thay ‘ lekin jab is se zyada muddat guzar jati to phir poori namaaz parhte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 4300
وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عبد الله بن ثعلبة بن صعير" وكان النبي صلى الله عليه وسلم قد مسح وجهه عام الفتح".
Aur Layth bin Saad ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se Yunus ne byaan kiya ‘ un se Ibn Shihab ne ‘ kaha mujh ko Abdullah bin Salabi bin Suayr razi Allahu anhu ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Fatah Makkah ke din un ke chehre par (shafqat ki raah se) hath phera tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4301
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن معمر، عن الزهري، عن سنين ابي جميلة، قال: اخبرنا ونحن مع ابن المسيب، قال: وزعم ابو جميلة انه ادرك النبي صلى الله عليه وسلم وخرج معه عام الفتح".
Mujh se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya ‘ kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di ‘ unhein Mamar ne aur unhein Zuhri ne ‘ unhein Sufyan ne ‘ unhein Abu Jumaylah ne ‘ Zuhri ne byaan kiya ke jab hum se Abu Jumaylah razi Allahu anhu ne hadees byaan ki to hum Saeed bin Musayyab ke saath thay byaan kiya ke Abu Jumaylah razi Allahu anhu ne kaha ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki sohbat payi aur woh Aap ke saath Ghazwa Fatah Makkah ke liye niklay thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4302
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن عمرو بن سلمة، قال: قال لي: ابو قلابة الا تلقاه فتساله، قال: فلقيته، فسالته، فقال:" كنا بماء ممر الناس، وكان يمر بنا الركبان، فنسالهم: ما للناس، ما للناس، ما هذا الرجل؟ فيقولون: يزعم ان الله ارسله اوحى إليه، او اوحى الله بكذا، فكنت احفظ ذلك الكلام وكانما يقر في صدري، وكانت العرب تلوم بإسلامهم الفتح، فيقولون: اتركوه وقومه، فإنه إن ظهر عليهم فهو نبي صادق، فلما كانت وقعة اهل الفتح بادر كل قوم بإسلامهم، وبدر ابي قومي بإسلامهم، فلما قدم، قال: جئتكم والله من عند النبي صلى الله عليه وسلم حقا، فقال:" صلوا صلاة كذا في حين كذا، وصلوا صلاة كذا في حين كذا، فإذا حضرت الصلاة، فليؤذن احدكم وليؤمكم اكثركم قرآنا"، فنظروا فلم يكن احد اكثر قرآنا مني لما كنت اتلقى من الركبان، فقدموني بين ايديهم وانا ابن ست او سبع سنين، وكانت علي بردة كنت إذا سجدت تقلصت عني، فقالت امراة من الحي: الا تغطوا عنا است قارئكم؟ فاشتروا، فقطعوا لي قميصا فما فرحت بشيء فرحي بذلك القميص".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya ‘ kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya ‘ un se Ayub Sakhtiyani ne aur un se Abu Qulabah ne aur un se Amr bin Salmah razi Allahu anhu ne ‘ Ayub ne kaha ke mujh se Abu Qulabah ne kaha ‘ Amr bin Salmah razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir ho kar yeh qissa kyun nahi poochte ? Abu Qulabah ne kaha ke phir main un ki khidmat mein gaya aur un se sawal kiya ‘ unhon ne kaha ke jahiliyat mein hamara qiyam ek chashma par tha jahan aam rasta tha . Sawar hamare qareeb se guzarte to hum un se poochte ‘ logon ka kya khayal hai ‘ is shakhs ka kya muamla hai ? (yeh isharah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki taraf hota tha) Log batate ke woh kehte hain ke Allah ne unhein apna Rasool bana kar bheja hai aur Allah un par wahi nazil karta hai ‘ ya Allah ne un par wahi nazil ki hai (woh Quran ki koi aayat sunate) main woh furan yaad kar leta ‘ un ki baatein mere dil ko lagti thien . Idhar saare Arab wale Fatah Makkah par apne Islam ko mauqoof kiye huay thay . Un ka kehna yeh tha ke is Nabi ko aur is ki qaum (Quraysh) ko nimatne do ‘ agar woh un par ghalib aa gaye to phir waqayi woh sache Nabi hain . Chunanche jab Makkah fatah ho gaya to har qaum ne Islam lane mein pehal ki aur mere walid ne bhi meri qaum ke Islam mein jaldi ki . Phir jab (Madinah) se wapas aaye to kaha ke main Allah ki qasam ek sache Nabi ke paas se aa raha hoon . Unhon ne farmaya hai ke falan namaaz is tarah falan waqt parha karo aur jab namaaz ka waqt ho jaye to tum mein se koi ek shakhs azaan de aur imamat woh kare jise Quran sab se zyada yaad ho . Logon ne andaza kiya ke kise Quran sab se zyada yaad hai to koi shakhs un ke qabile mein mujh se zyada Quran yaad karne wala unhein nahi mila . Kyunke main aane jaane wale sawaron se sun kar Quran Majeed yaad kar liya karta tha . Is liye mujhe logon ne Imam banaya . Haalan ke is waqt meri umr chhay ya saat saal ki thi aur mere paas ek hi chadar thi . Jab main (usay lapait kar) sajda karta to oopar ho jati (aur peeche ki jagah) khul jati . Is qabile ki ek aurat ne kaha ‘ tum apne qaari ka chotarr to pehle chhupa do . Aakhir unhon ne kapra khareeda aur mere liye ek qamees banayi , main jitna khush is qamees se hua itna kisi aur cheez se nahi hua tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4303
حدثني عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة، قالت: كان عتبة بن ابي وقاص عهد إلى اخيه سعد ان يقبض ابن وليدة زمعة، وقال عتبة: إنه ابني، فلما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم مكة في الفتح، اخذ سعد بن ابي وقاص ابن وليدة زمعة، فاقبل به إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم واقبل معه عبد بن زمعة، فقال سعد بن ابي وقاص: هذا ابن اخي عهد إلي انه ابنه، قال عبد بن زمعة: يا رسول الله، هذا اخي، هذا ابن زمعة، ولد على فراشه، فنظر رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى ابن وليدة زمعة فإذا اشبه الناس بعتبة بن ابي وقاص، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هو لك، هو اخوك يا عبد بن زمعة من اجل انه ولد على فراشه"، وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" احتجبي منه يا سودة" لما راى من شبه عتبة بن ابي وقاص، قال ابن شهاب: قالت عائشة: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الولد للفراش، وللعاهر الحجر"، وقال ابن شهاب: وكان ابو هريرة يصيح بذلك.
Mujh se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , un se Urwah bin Zubayr ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se (doosri sanad aur Layth bin Saad ne kaha mujh se Yunus ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , unhein Urwah bin Zubayr ne khabar di aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Utbah bin Abi Waqqas ne (marte waqt zamana e jahiliyat mein) apne bhai (Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu) ko wasiyat ki thi ke woh Zam'ah bin Laythi ki baandi se paida hone wale bache ko apne qabze mein le lein . Utbah ne kaha tha ke woh mera larka ho ga . Chunanche jab Fatah Makkah ke mauqa par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Makkah mein dakhil huay to Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu is bache ko le kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur un ke saath Abd bin Zam'ah bhi aaye . Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ne to yeh kaha ke yeh mere bhai ka larka hai . Lekin Abd bin Zam'ah ne kaha: ya Rasool Allah! Yeh mera bhai hai (mere walid) Zam'ah ka beta hai kyunke unhi ke bistar par paida hua hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Zam'ah ki baandi ke larke ko dekha to woh waqayi (Saad ke bhai) Utbah bin Abi Waqqas ki shakal par tha lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (qanoon e shariat ke mutabiq) faisle mein yeh kaha ke ae Abd bin Zam'ah! Tumhein is bache ko rakho , yeh tumhara bhai hai , kyunke yeh tumhare walid ke firash par (is ki baandi ke batan se paida hua hai . Lekin doosri taraf Umm al-Momineen Sawdah razi Allahu anha se jo Zam'ah ki beti thien farmaya Sawdah! Is larke se parda kiya karna kyunke Aap ne is larke mein Utbah bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ki shabahat payi thi . Ibn Shihab ne kaha un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke larka us ka hota hai jis ki joro ya laundi ke pait se paida hua ho aur zina karne wale ke hisse mein sang hi hain . Ibn Shihab ne byaan kiya ke Abu Hurairah razi Allahu anhu is hadees ko pukaar pukaar kar byaan kiya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4304
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: اخبرني عروة بن الزبير: ان امراة سرقت في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم في غزوة الفتح، ففزع قومها إلى اسامة بن زيد يستشفعونه، قال عروة: فلما كلمه اسامة فيها تلون وجه رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال:" اتكلمني في حد من حدود الله"، قال اسامة: استغفر لي يا رسول الله، فلما كان العشي قام رسول الله خطيبا فاثنى على الله بما هو اهله، ثم قال:" اما بعد، فإنما اهلك الناس قبلكم انهم كانوا إذا سرق فيهم الشريف تركوه، وإذا سرق فيهم الضعيف اقاموا عليه الحد، والذي نفس محمد بيده لو ان فاطمة بنت محمد سرقت لقطعت يدها"، ثم امر رسول الله صلى الله عليه وسلم بتلك المراة، فقطعت يدها، فحسنت توبتها بعد ذلك وتزوجت، قالت عائشة: فكانت تاتي بعد ذلك، فارفع حاجتها إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha ke hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Yunus ne khabar di , unhein Zuhri ne , kaha ke mujhe Urwah bin Zubayr ne khabar di ke Ghazwa Fatah (Makkah) ke mauqa par ek aurat ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ahad mein chori kar li thi . Is aurat ki qaum ghabrayi hui Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ke paas aayi taake woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ki sifarish kar dein (ke is ka hath chori ke jurm mein na kaata jaye) . Urwah ne byaan kiya ke jab Usamah razi Allahu anhu ne is ke baare mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se guftagu ki to Aap salla Allahu alaihi wasallam ke chehre ka rang badal gaya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya! Tum mujh se Allah ki qaim ki hui ek had ke baare mein sifarish karne aaye ho . Usamah razi Allahu anhu ne arz kiya: mere liye dua e maghfirat kijiye , ya Rasool Allah! Phir dopahar baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sahabah razi Allahu anhum ko khitab kiya , Allah Ta'ala ki us ke shaan ke mutabiq tareef karne ke baad farmaya: Amma baad! Tum mein se pehle log is liye halak ho gaye ke agar un mein se koi muazzaz shakhs chori karta to usay chhor dete lekin agar koi kamzor chori kar leta to us par had qaim karte aur is zaat ki qasam jis ke hath mein Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki jaan hai agar Fatima bint Muhammad bhi chori kar le to main is ka hath kaatoon ga . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is aurat ke liye hukm diya aur un ka hath kaat diya gaya . Phir is aurat ne sidq e dil se tauba kar li aur shaadi bhi kar li . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke baad mein woh mere yahan aati thien . Un ko aur koi zaroorat hoti to main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke samne pesh kar deti .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4305
حدثنا عمرو بن خالد، حدثنا زهير، حدثنا عاصم، عن ابي عثمان، قال: حدثني مجاشع، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم باخي بعد الفتح، قلت: يا رسول الله، جئتك باخي لتبايعه على الهجرة، قال:" ذهب اهل الهجرة بما فيها"، فقلت: على اي شيء تبايعه، قال:" ابايعه على الإسلام، والإيمان، والجهاد"، فلقيت معبدا بعد، وكان اكبرهما فسالته، فقال: صدق مجاشع.
Hum se Amr bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Zuhayr bin Muawiyah ne byaan kiya , kaha hum se Aasim bin Sulayman ne byaan kiya , un se Abu Usman Nahdi ne byaan kiya aur un se Mujashia bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Fatah Makkah ke baad main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein apne bhai (Mujalid) ko le kar hazir hua aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Main isay is liye le kar hazir hua hoon taake Aap hijrat par is se bai'at le lein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hijrat karne wale is ki fazeelat o sawab ko haasil kar chuke (yani ab hijrat karne ka zamana to guzar chuka) . Main ne arz kiya: phir Aap is se kis cheez par bai'at lein ge ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke iman , Islam aur jihad par . Abi Usman Nahdi ne kaha ke phir main (Mujashia ke bhai) Abu Ma'bad Mujalid se mila woh donon bhaiyon se bare thay , main ne un se bhi is hadees ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke Mujashia ne hadees theek tarah byaan ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4306
حدثنا عمرو بن خالد، حدثنا زهير، حدثنا عاصم، عن ابي عثمان، قال: حدثني مجاشع، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم باخي بعد الفتح، قلت: يا رسول الله، جئتك باخي لتبايعه على الهجرة، قال:" ذهب اهل الهجرة بما فيها"، فقلت: على اي شيء تبايعه، قال:" ابايعه على الإسلام، والإيمان، والجهاد"، فلقيت معبدا بعد، وكان اكبرهما فسالته، فقال: صدق مجاشع.
Hum se Amr bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Zuhayr bin Muawiyah ne byaan kiya , kaha hum se Aasim bin Sulayman ne byaan kiya , un se Abu Usman Nahdi ne byaan kiya aur un se Mujashia bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Fatah Makkah ke baad main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein apne bhai (Mujalid) ko le kar hazir hua aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Main isay is liye le kar hazir hua hoon taake Aap hijrat par is se bai'at le lein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hijrat karne wale is ki fazeelat o sawab ko haasil kar chuke (yani ab hijrat karne ka zamana to guzar chuka) . Main ne arz kiya: phir Aap is se kis cheez par bai'at lein ge ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke iman , Islam aur jihad par . Abi Usman Nahdi ne kaha ke phir main (Mujashia ke bhai) Abu Ma'bad Mujalid se mila woh donon bhaiyon se bare thay , main ne un se bhi is hadees ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke Mujashia ne hadees theek tarah byaan ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة