الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ أَيْنَ رَكَزَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الرَّايَةَ يَوْمَ الْفَتْحِ:
Bab: Fath-e-Makkah ke din Nabi Karim ﷺ ne jhanda kahan gaara tha?
Show diacritics
Hadith Number: 4287
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، عن ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: دخل النبي صلى الله عليه وسلم مكة يوم الفتح، وحول البيت ستون وثلاث مائة نصب، فجعل يطعنها بعود في يده، ويقول:" جاء الحق وزهق الباطل، جاء الحق وما يبدئ الباطل وما يعيد".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya ‘ kaha hum ko Sulayman bin Uyaynah ne khabar di ‘ unhein Ibn Abi Najih ne ‘ unhein Mujahid ne ‘ unhein Abu Mamar ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Fatah Makkah ke din jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Makkah mein dakhil huay to Bayt Allah ke charon taraf teen sau saath but thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek chhari se jo dast e mubarak mein thi ‘ maarte jate thay aur is aayat ki tilawat karte jate «jaa'al haqqu wa zahaqal baatilu , jaa'al haqqu , wa ma yubdi'ul baatilu wa ma yua'eed» ke ”haq qaim ho gaya aur baatil maghloob ho gaya ‘ haq qaim ho gaya aur baatil se na shuru mein kuch ho saka hai na aainda kuch ho sakta hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4288
حدثني إسحاق، حدثنا عبد الصمد، قال: حدثني ابي، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما:" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم لما قدم مكة ابى ان يدخل البيت وفيه الآلهة، فامر بها، فاخرجت، فاخرج صورة إبراهيم وإسماعيل في ايديهما من الازلام، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" قاتلهم الله، لقد علموا ما استقسما بها قط"، ثم دخل البيت فكبر في نواحي البيت، وخرج ولم يصل فيه".تابعه معمر، عن ايوب، وقال وهيب: حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abdus Samad ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere walid Abdul Waris ne byaan kiya ‘ un se Ayub Sakhtiyani ne byaan kiya ‘ un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jab Makkah aaye to Bayt Allah mein is waqt tak dakhil nahi huay jab tak is mein but maujood rahe balkay Aap ne hukm diya to buton ko bahar nikal diya gaya . Unhein mein ek tasveer Ibrahim aur Ismail alaihimassalam ki bhi thi aur un ke hathon mein (pansa) ke teer thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah in mushrikeen ka naas kare ‘ unhein khoob maloom tha ke in buzurgon ne kabhi pansa nahi phenka . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam Bayt Allah mein dakhil huay aur andar charon taraf takbeer kahi phir bahar tashreef laye . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne andar namaaz nahi parhi thi . Abdus Samad ke saath is hadees ko Mamar ne bhi Ayub se riwayat kiya aur Wuhayb bin Khalid ne yun kaha ‘ hum se Ayub ne byaan kiya ‘ unhon ne Ikrimah se ‘ unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ دُخُولُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنْ أَعْلَى مَكَّةَ:
Bab: Nabi Karim ﷺ ka shehr ke bala’i janib se Makkah mein dakhil hona.
Show diacritics
Hadith Number: 4289
وقال الليث: حدثني يونس، قال: اخبرني نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم اقبل يوم الفتح من اعلى مكة على راحلته مردفا اسامة بن زيد، ومعه بلال، ومعه عثمان بن طلحة من الحجبة حتى اناخ في المسجد، فامره ان ياتي بمفتاح البيت، فدخل رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه اسامة بن زيد، وبلال، وعثمان بن طلحة، فمكث فيه نهارا طويلا، ثم خرج، فاستبق الناس، فكان عبد الله بن عمر اول من دخل، فوجد بلالا، وراء الباب قائما، فساله اين صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ فاشار له إلى المكان الذي صلى فيه، قال عبد الله: فنسيت ان اساله كم صلى من سجدة.
Aur Layth ne byaan kiya ke mujh se Yunus ne byaan kiya ‘ kaha ke mujhe Nafi ne khabar di aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apni sawari par Fatah Makkah ke din Makkah ke balayi ilaqa ki taraf se shehar mein dakhil huay . Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma Aap ki sawari par Aap salla Allahu alaihi wasallam ke peeche baithe huay thay . Aap ke saath Bilal razi Allahu anhu aur Kaaba ke haajib Usman bin Talhah razi Allahu anhu bhi thay . Aakhir apne oont ko Aap ne masjid (ke qareeb bahar) bithaya aur Bayt Allah ki kunji lane ka hukm diya phir Aap Bayt Allah ke andar tashreef le gaye . Aap ke saath Usamah bin Zayd ‘ Bilal aur Usman bin Talhah razi Allahu anhum bhi thay . Aap andar kafi der tak thehray ‘ jab bahar tashreef laye to log jaldi se aage barhay . Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma sab se pehle andar jane walon mein thay . Unhon ne Bayt Allah ke darwaze ke peeche Bilal razi Allahu anhu ko kharay huay dekha aur un se poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kahan namaaz parhi thi . Unhon ne woh jagah batlayi jahan Aap salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz parhi thi . Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke main yeh poochna bhool gaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz mein kitni rakaton parhi thien .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4290
حدثنا الهيثم بن خارجة، حدثنا حفص بن ميسرة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، ان عائشة رضي الله عنها، اخبرته: ان النبي صلى الله عليه وسلم" دخل عام الفتح من كداء التي باعلى مكة"، تابعه ابو اسامة، ووهيب: في كداء.
Hum se Hushaym bin Kharijah ne byaan kiya ‘ kaha hum se Hafs bin Maysarah ne byaan kiya ‘ un se Hisham bin Urwah ne ‘ un se un ke walid ne aur unhein Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Fatah Makkah ke din Makkah ke balayi ilaqa Kada se shehar mein dakhil huay thay . Is riwayat ki mutaba'at Abu Usamah aur Wuhayb ne Kada ke zikr ke saath ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4291
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه:" دخل النبي صلى الله عليه وسلم عام الفتح من اعلى مكة من كداء".
Hum se Ubayd bin Ismail ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya ‘ un se Hisham ne aur un se un ke walid ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Fatah Makkah ke din Makkah ke balayi ilaqa Kada ki taraf se dakhil huay thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 4292
حدثنا ابو الوليد ، حدثنا شعبة ، عن عمرو ، عن ابن ابي ليلى : " ما اخبرنا احد انه راى النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الضحى غير ام هانئ ، فإنها ذكرت انه يوم فتح مكة اغتسل في بيتها، ثم صلى ثماني ركعات، قالت: لم اره صلى صلاة اخف منها غير انه يتم الركوع والسجود ".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya ‘ kaha hum se Shubah ne byaan kiya ‘ un se Amr ne ‘ un se Ibn Abi Layla ne ke Umm Hani razi Allahu anha ke siwa hamain kisi ne yeh khabar nahi di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne chasht ki namaaz parhi ‘ unhi ne kaha ke jab Makkah fatah hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke ghar ghusl kiya aur aath rakat namaaz parhi . Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko main ne itni halki namaaz parhte kabhi nahi dekha tha . Phir bhi is mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ruku aur sajda poori tarah karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْزِلُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَوْمَ الْفَتْحِ:
Bab: Fath-e-Makkah ke din qiyam-e-Nabawi ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4293
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن منصور، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقول في ركوعه وسجوده: سبحانك اللهم ربنا وبحمدك، اللهم اغفر لي".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya ‘ kaha hum se Ghundar ne byaan kiya ‘ kaha hum se Shubah ne byaan kiya ‘ un se Mansoor ne ‘ un se Abu al-Duha ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne ruku aur sajda mein yeh parhte thay «subhanakallahumma , rabbana wa bihamdika , allahummaghfirli» .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4294
حدثنا ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان عمر يدخلني مع اشياخ بدر، فقال بعضهم: لم تدخل هذا الفتى معنا ولنا ابناء مثله؟ فقال: إنه ممن قد علمتم، قال: فدعاهم ذات يوم ودعاني معهم، قال: وما رئيته دعاني يومئذ إلا ليريهم مني، فقال: ما تقولون في: إذا جاء نصر الله والفتح {1} ورايت الناس يدخلون في دين الله افواجا {2} سورة النصر آية 1-2؟ حتى ختم السورة، فقال بعضهم: امرنا ان نحمد الله ونستغفره إذا نصرنا وفتح علينا، وقال بعضهم: لا ندري او لم يقل بعضهم شيئا؟ فقال لي: يا ابن عباس، اكذاك تقول؟ قلت: لا، قال: فما تقول؟ قلت: هو اجل رسول الله صلى الله عليه وسلم اعلمه الله له إذا جاء نصر الله والفتح سورة النصر آية 1 فتح مكة، فذاك علامة اجلك فسبح بحمد ربك واستغفره إنه كان توابا سورة النصر آية 3، قال عمر: ما اعلم منها إلا ما تعلم".
Hum se Abu al-Nu'man ne byaan kiya ‘ kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya ‘ un se Abu Bishr ne ‘ un se Saeed bin Jubayr ne ‘ un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Umar razi Allahu anhu mujhe apni majlis mein is waqt bhi bula lete jab wahan Badr ki jang mein shareek hone wale buzurg sahabah razi Allahu anhum baithe hote . Is par baaz log kehne lage is jawan ko Aap hamari majlis mein kyun bulate hain ? Is ke jaise to hamare bache bhi hain . Is par Umar razi Allahu anhu ne kaha woh to in logon mein se hai jin ka ilm o fazl tum jaante ho . Unhon ne byaan kiya ke phir in buzurg sahabiyon ko ek din Umar razi Allahu anhu ne bulaya aur mujhe bhi bulaya . Byaan kiya ke main samajhta tha ke mujhe is din Aap ne is liye bulaya tha taake Aap mera ilm bata sakein . Phir Aap ne daryaft kiya «izha jaa'a nasrullahi wal fathu * wa ra'aytan naasa yadkhuloon» ‘ khatm surat tak ‘ ke mutalliq tum logon ka kya khayal hai ? Kisi ne kaha ke hamain is aayat mein hukm diya gaya hai ke hum Allah ki hamd byaan karein aur us se istighfar karein ke us ne hamari madad ki aur hamain fatah inayat farmayi . Baaz ne kaha ke hamain is ke mutalliq kuch maloom nahi hai aur baaz ne koi jawab nahi diya phir unhon ne mujh se daryaft kiya: Ibn Abbas! Kya tumhara bhi yahi khayal hai ? Main ne jawab diya ke nahi ‘ poocha ‘ phir tum kya kehte ho ? Main ne kaha ke is mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ki taraf isharah hai ke jab Allah Ta'ala ki madad aur fatah haasil ho gayi . Yani Fatah Makkah to yeh Aap salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ki nishani hai . Is liye Aap apne Rabb ki hamd aur tasbeeh aur us ki maghfirat talab karein ke woh tauba qabool karne wala hai . Umar razi Allahu anhu ne kaha ke jo kuch tum ne kaha wahi main bhi samajhta hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4295
حدثنا سعيد بن شرحبيل، حدثنا الليث، عن المقبري، عن ابي شريح العدوي: انه قال لعمرو بن سعيد وهو يبعث البعوث إلى مكة: ائذن لي ايها الامير احدثك قولا قام به رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الغد يوم الفتح سمعته اذناي ووعاه قلبي وابصرته عيناي حين تكلم به إنه حمد الله واثنى عليه، ثم قال:" إن مكة حرمها الله، ولم يحرمها الناس، لا يحل لامرئ يؤمن بالله واليوم الآخر ان يسفك بها دما، ولا يعضد بها شجرا، فإن احد ترخص لقتال رسول الله صلى الله عليه وسلم فيها، فقولوا له: إن الله اذن لرسوله ولم ياذن لكم، وإنما اذن لي فيها ساعة من نهار، وقد عادت حرمتها اليوم كحرمتها بالامس، وليبلغ الشاهد الغائب"، فقيل لابي شريح: ماذا قال لك عمرو؟ قال: قال: انا اعلم بذلك منك يا ابا شريح، إن الحرم لا يعيذ عاصيا، ولا فارا بدم، ولا فارا بخربة، قال ابو عبد الله: الخربة: البلية.
Hum se Saeed bin Sharahbeel ne byaan kiya ‘ kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya ‘ un se Maqbari ne ke Abu Shurayh Adawi razi Allahu anhu ne (Madinah ke ameer) Amr bin Saeed se kaha jabke Amr bin Saeed (Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ke khilaf) Makkah ki taraf lashkar bhej rahe thay ke ae ameer! Mujhe ijazat dijiye ke main Aap se ek hadees byaan karoon jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Fatah Makkah ke doosre din irshad farmayi thi . Is hadees ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam irshad farma rahe thay to main apni aankhon se Aap ko dekh raha tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne pehle Allah ki hamd o sana byaan ki aur phir farmaya ‘ bilashubba Makkah ko Allah Ta'ala ne hurmat wala shehar qarar diya hai kisi insan ne usay apni taraf se hurmat wala qarar nahi diya . Is liye kisi shakhs ke liye bhi jo Allah aur yaum e aakhirat par iman rakhta ho ‘ jaiz nahi ke is mein kisi ka khoon bahaye aur koi is sar zameen ka koi darakht kaate aur agar koi shakhs Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke (Fatah Makkah ke mauqa par) jang se apne liye bhi rukhsat nikale to tum us se keh dena ke Allah Ta'ala ne sirf apne Rasool ko (thori der ke liye) is ki ijazat di thi . Hamare liye bilkul ijazat nahi hai aur mujhe bhi is ki ijazat din ke thore se hisse ke liye mili thi aur aaj phir is ki hurmat isi tarah laut aayi hai jis tarah kal yeh shehar hurmat wala tha . Pas jo log yahan maujood hain woh (in ko mera kalam) pahuncha dein jo maujood nahi . Abu Shurayh se poocha gaya ke Amr bin Saeed ne Aap ko phir jawab kya diya tha ? To unhon ne bataya ke us ne kaha ke main yeh masail tum se zyada jaanta hoon ‘ Haram kisi gunahgar ko panah nahi deta ‘ na kisi ka khoon kar ke bhagne wale ko panah deta hai ‘ mufsid ko bhi panah nahi deta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4296
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن عطاء بن ابي رباح، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" عام الفتح وهو بمكة إن الله ورسوله حرم بيع الخمر".
Hum se Qutaybah ne byaan kiya ‘ kaha hum se Layth ne byaan kiya ‘ un se Yazid bin Abi Habib ne ‘ un se Ata bin Abi Rabah ne aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne byaan kiya unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna Aap ne Fatah Makkah ke mauqa par Makkah Mukarramah mein farmaya tha ke Allah aur us ke Rasool ne sharab ki khareed o farokht mutlaq haram qarar de di hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة