الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ غَزْوَةُ ذِي الْخَلَصَةِ:
Bab: Ghazwah-e-Zul-Khalasah ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 4356
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، حدثنا إسماعيل، حدثنا قيس، قال: قال لي جرير رضي الله عنه: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" الا تريحني من ذي الخلصة؟"، وكان بيتا في خثعم يسمى الكعبة اليمانية، فانطلقت في خمسين ومائة فارس من احمس وكانوا اصحاب خيل، وكنت لا اثبت على الخيل، فضرب في صدري حتى رايت اثر اصابعه في صدري، وقال:" اللهم ثبته واجعله هاديا مهديا"، فانطلق إليها فكسرها، وحرقها، ثم بعث إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال رسول جرير: والذي بعثك بالحق، ما جئتك حتى تركتها كانها جمل اجرب، قال:" فبارك في خيل احمس ورجالها خمس مرات".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saad Qattan ne byaan kiya , kaha hum se Ismail bin Abi Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Qays bin Abi Hazim ne byaan kiya , kaha mujh se Jareer bin Abdullah Bajali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke tum mujhe Zhul Khalasah se kyun nahi be-fikar karte ? Yeh qabila Khash'am ka ek but-khana tha . Isay Kaaba Yamaniya bhi kehte thay . Chunanche main derh sau qabila Ahmas ke sawaron ko le kar rawana hua . Yeh sab achhe sheh-sawar thay . Magar main ghore ki sawari achhi tarah nahi kar sakta tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mere seene par hath maara yahan tak ke main ne Aap ki ungliyon ka asar apne seene mein paya . Phir Aap ne dua ki ke Ae Allah! Isay ghore ka achha sawar bana de aur isay rasta batlane wala aur khud rasta paya hua bana de . Phir woh is but-khane ki taraf rawana huay aur usay dha kar is mein aag laga di . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein ittila bheji . Jareer ke elchi ne aa kar arz kiya: Is zaat ki qasam! Jis ne Aap ko haq ke saath maboos kiya , main is waqt tak Aap ki khidmat mein hazir hone ke liye nahi chala jab tak woh kharish-zada oont ki tarah jal kar (siyah) nahi ho gaya . Byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne qabila Ahmas ke ghoron aur logon ke liye paanch martaba barkat ki dua farmayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4357
حدثنا يوسف بن موسى، اخبرنا ابو اسامة، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن قيس، عن جرير، قال: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الا تريحني من ذي الخلصة؟" فقلت: بلى، فانطلقت في خمسين ومائة فارس من احمس، وكانوا اصحاب خيل، وكنت لا اثبت على الخيل، فذكرت ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم، فضرب يده على صدري حتى رايت اثر يده في صدري، وقال:" اللهم ثبته واجعله هاديا مهديا"، قال: فما وقعت عن فرس بعد، قال: وكان ذو الخلصة بيتا باليمن لخثعم وبجيلة، فيه نصب تعبد، يقال له: الكعبة، قال: فاتاها، فحرقها بالنار وكسرها، قال: ولما قدم جرير اليمن كان بها رجل يستقسم بالازلام، فقيل له: إن رسول رسول الله صلى الله عليه وسلم ها هنا، فإن قدر عليك ضرب عنقك، قال: فبينما هو يضرب بها إذ وقف عليه جرير، فقال: لتكسرنها، ولتشهدن ان لا إله إلا الله، او لاضربن عنقك، قال: فكسرها وشهد، ثم بعث جرير رجلا من احمس يكنى ابا ارطاة إلى النبي صلى الله عليه وسلم يبشره بذلك، فلما اتى النبي صلى الله عليه وسلم، قال: يا رسول الله، والذي بعثك بالحق ما جئت حتى تركتها كانها جمل اجرب، قال: فبرك النبي صلى الله عليه وسلم على خيل احمس ورجالها خمس مرات.
Hum se Yusuf bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko khabar di Abu Usamah ne , unhein Ismail bin Abi Khalid ne , unhein Qays bin Abi Hazim ne aur un se Jareer bin Abdullah Bajali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mujh se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Zhul Khalasah se mujhe kyun nahi be-fikri dilate! Main ne arz kiya main hukm ki tameel karoon ga . Chunanche qabila Ahmas ke derh sau sawaron ko saath le kar main rawana hua . Yeh sab achhe sawar thay , lekin main sawari achhi tarah nahi kar pata tha . Main ne is ke mutalliq Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se zikr kiya to Aap ne apna hath mere seene par maara jis ka asar main ne apne seene mein dekha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dua farmayi ”Ae Allah! Isay achha sawar bana de aur isay hidayat karne wala aur khud hidayat paya hua bana de .“ Rawi ne byaan kiya ke phir is ke baad main kabhi kisi ghore se nahi gira . Rawi ne byaan kiya ke Zhul Khalasah ek (but-khana) tha , Yaman mein qabila Khash'am aur Bajilah ka , is mein but thay jin ki pooja ki jati thi aur isay Kaaba bhi kehte thay . Byaan kiya ke phir Jareer wahan pahunche aur usay aag laga di aur munhadim kar diya . Byaan kiya ke jab Jareer razi Allahu anhu Yaman pahunche to wahan ek shakhs tha jo teeron se faal nikala karta tha . Us se kisi ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke elchi yahan aa gaye hain . Agar unhon ne tumhein pa liya to tumhari gardan maar dein ge . Byaan kiya ke abhi woh faal nikal hi rahe thay ke Jareer razi Allahu anhu wahan pahunch gaye . Aap ne us se farmaya ke yeh faal ke teer torr kar kalma la ilaha illa Allah parh le warna main teri gardan maar doon ga . Rawi ne byaan kiya is shakhs ne teer waghaira torr dalay aur kalma e iman ki gawahi di . Is ke baad Jareer razi Allahu anhu ne qabila Ahmas ke ek sahabi Abu Artat razi Allahu anhu naami ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein bheja jab woh khidmat mein hazir huay to unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Is zaat ki qasam jis ne Aap ko haq ke saath maboos kiya hai . Main Aap ki khidmat mein hazir hone ke liye is waqt tak nahi chala jab tak is but-kada ko kharish-zada oont ki tarah jala kar siyah nahi kar diya . Byaan kiya ke phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne qabila Ahmas ke ghoron aur sawaron ke liye paanch martaba barkat ki dua farmayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غَزْوَةُ ذَاتِ السَّلاَسِلِ:
Bab: Ghazwah-e-Zaat-us-Salasil ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q4358
وهي غزوة لخم وجذام، قاله: إسماعيل بن ابي خالد، وقال ابن إسحاق، عن يزيد، عن عروة: هي بلاد بلي، وعذرة، وبني القين
Yeh woh ghazwa hai jo qabail Lakhm o Juzham ke saath pesh aaya tha . Isay Ismail bin Khalid ne kaha hai aur Ibn Ishaq ne byaan kiya un se Yazid ne aur un se Urwah ne ke Zhat al-Salasil , qabail Bali , Uzrah aur Bani al-Qayn ko kehte hain .


Show diacritics
Hadith Number: 4358
حدثنا إسحاق، اخبرنا خالد بن عبد الله، عن خالد الحذاء، عن ابي عثمان:" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم بعث عمرو بن العاص على جيش ذات السلاسل، قال: فاتيته، فقلت: اي الناس احب إليك؟ قال:" عائشة"، قلت: من الرجال؟ قال:" ابوها"، قلت: ثم من؟ قال:" عمر"، فعد رجالا فسكت مخافة ان يجعلني في آخرهم.
Hum se Ishaq bin Shaheen ne byaan kiya , kaha hum ko Khalid bin Abdullah ne khabar di , unhein Khalid Hazza ne , unhein Abu Usman Nahdi razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Amr bin al-Aas razi Allahu anhu ko Ghazwa Zhat al-Salasil ke liye ameer e lashkar bana kar bheja . Amr bin al-Aas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke (ghazwa se wapas aa kar) main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap se poocha ke Aap ko sab se zyada azeez kaun shakhs hai ? Farmaya ke Aisha , main ne poocha aur mardon mein ? Farmaya ke is ke walid , main ne poocha , is ke baad kaun ? Farmaya ke Umar . Is tarah Aap ne kai aadmiyon ke naam liye bas main khamosh ho gaya ke kahin Aap mujhe sab se baad mein na kar dein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذَهَابُ جَرِيرٍ إِلَى الْيَمَنِ:
Bab: Jareer bin Abdullah al-Bajali Radiallahu Anhu ka Yaman ki taraf jana.
Show diacritics
Hadith Number: 4359
حدثني عبد الله بن ابي شيبة العبسي، حدثنا ابن إدريس، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن قيس، عن جرير، قال: كنت باليمن فلقيت رجلين من اهل اليمن: ذا كلاع، وذا عمرو، فجعلت احدثهم عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال له ذو عمرو: لئن كان الذي تذكر من امر صاحبك لقد مر على اجله منذ ثلاث، واقبلا معي حتى إذا كنا في بعض الطريق رفع لنا ركب من قبل المدينة، فسالناهم، فقالوا: قبض رسول الله صلى الله عليه وسلم، واستخلف ابو بكر والناس صالحون، فقالا: اخبر صاحبك انا قد جئنا ولعلنا سنعود إن شاء الله، ورجعا إلى اليمن، فاخبرت ابا بكر بحديثهم، قال:" افلا جئت بهم؟" فلما كان بعد، قال لي ذو عمرو: يا جرير، إن بك علي كرامة، وإني مخبرك خبرا:" إنكم معشر العرب لن تزالوا بخير ما كنتم إذا هلك امير تامرتم في آخر، فإذا كانت بالسيف كانوا ملوكا يغضبون غضب الملوك، ويرضون رضا الملوك".
Mujh se Abdullah bin Abi Shaybah Absi ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Idrees ne byaan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Qays bin Abi Hazim ne aur un se Jareer bin Abdullah Bajali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke (Yaman se wapsi par Madinah aane ke liye) main darya ke raste se safar kar raha tha . Is waqt Yaman ke do aadmiyon Zhul Kala aur Zhul Amr se meri mulaqat hui main un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki baatein karne laga is par Zhul Amr ne kaha: Agar tumhare sahib (yani Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam) wahi hain jin ka zikr tum kar rahe ho to un ki wafat ko bhi teen din guzar chuke . Yeh donon mere saath hi (Madinah) ki taraf chal rahe thay . Raste mein hamain Madinah ki taraf se aate huay kuch sawar dikhayi diye , hum ne un se poocha to unhon ne is ki tasdeeq ki ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wafat pa gaye hain . Aap ke khaleefa Abu Bakr razi Allahu anhu muntakhab huay hain aur log ab bhi sab khairiyat se hain . In donon ne mujh se kaha ke apne sahib (Abu Bakr razi Allahu anhu) se kehna ke hum aaye thay aur In sha Allah phir Madinah aayein ge yeh keh kar donon Yaman ki taraf wapas chale gaye . Phir main ne Abu Bakr razi Allahu anhu ko un ki baaton ki ittila di to Aap ne farmaya ke phir unhein apne saath laye kyun nahi ? Bahut dinon baad khilafat e Umri mein Zhul Amr ne ek martaba mujh se kaha ke Jareer! Tumhara mujh par ihsan hai aur tumhein main ek baat bataoon ga ke tum Ahl e Arab is waqt tak khair o bhalayi ke saath raho ge jab tak tumhara tarz e amal yeh ho ga ke jab tumhara koi ameer wafat pa jaye ga to tum apna koi doosra ameer muntakhab kar liya karo ge . Lekin jab (amarat ke liye) talwar tak baat pahunch jaye to tumhare ameer baadshah ban jayein ge . Baadshahon ki tarah ghussa hua karein ge aur unhi ki tarah khush hua karein ge .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غَزْوَةُ سِيفِ الْبَحْرِ:
Bab: Ghazwah-e-Saif-ul-Bahr ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q4360
وهم يتلقون عيرا لقريش واميرهم ابو عبيدة بن الجراح رضي الله عنه.
Yeh dasta Quraysh ke qafila e tijarat ki ghaat mein tha . Is ke sardar Abu Ubaydah bin al-Jarrah razi Allahu anh thay .


Show diacritics
Hadith Number: 4360
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن وهب بن كيسان، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، انه قال:" بعث رسول الله صلى الله عليه وسلم بعثا قبل الساحل، وامر عليهم ابا عبيدة بن الجراح وهم ثلاث مائة، فخرجنا وكنا ببعض الطريق فني الزاد، فامر ابو عبيدة بازواد الجيش، فجمع، فكان مزودي تمر فكان يقوتنا كل يوم قليل قليل حتى فني، فلم يكن يصيبنا إلا تمرة تمرة، فقلت:" ما تغني عنكم تمرة"، فقال: لقد وجدنا فقدها حين فنيت، ثم انتهينا إلى البحر، فإذا حوت مثل الظرب، فاكل منها القوم ثماني عشرة ليلة، ثم امر ابو عبيدة بضلعين من اضلاعه فنصبا، ثم امر براحلة فرحلت، ثم مرت تحتهما فلم تصبهما".
Hum se Ismail bin Abi Uways ne byaan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik rahmahullah ne byaan kiya , un se Wuhayb bin Kaysan ne byaan kiya aur un se Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne sahil e samundar ki taraf ek lashkar bheja aur is ka ameer Abu Ubaydah bin Jarrah razi Allahu anhu ko banaya . Is mein teen sau aadmi shareek thay . Khair hum Madinah se rawana huay aur abhi raste hi mein thay ke rashan khatam ho gaya , jo kuch bach raha tha woh Abu Ubaydah razi Allahu anhu hamain rozana thora thora isi mein se khane ko dete rahe . Aakhir jab yeh bhi khatam ke qareeb pahunch gaya to hamare hisse mein sirf ek ek khajoor aati thi . Wahb ne kaha main ne Jabir razi Allahu anhu se poocha ke ek khajoor se kya hota raha ho ga ? Jabir razi Allahu anhu ne kaha woh ek khajoor hi ghanimat thi . Jab woh bhi na rahi to hum ko is ki qadr maloom hui thi , aakhir hum samundar ke kinare pahunch gaye . Wahan kya dekhte hain bare teele ki tarah ek machhli nikal kar pari hai . Is machhli ko saara lashkar athara raaton tak khaata raha . Baad mein Abu Ubaydah razi Allahu anhu ke hukm se is ki pasli ki do hadiyan khari ki gayin woh itni oonchi thien ke oont par kajaawah kasa gaya woh un ke talle se nikal gaya aur hadiyon ko bilkul nahi laga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4361
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: الذي حفظناه من عمرو بن دينار، قال: سمعت جابر بن عبد الله، يقول:" بعثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم ثلاث مائة راكب اميرنا ابو عبيدة بن الجراح نرصد عير قريش، فاقمنا بالساحل نصف شهر، فاصابنا جوع شديد حتى اكلنا الخبط، فسمي ذلك الجيش جيش الخبط، فالقى لنا البحر دابة، يقال لها: العنبر، فاكلنا منه نصف شهر وادهنا من ودكه حتى ثابت إلينا اجسامنا، فاخذ ابو عبيدة ضلعا من اضلاعه، فنصبه فعمد إلى اطول رجل معه، قال سفيان مرة: ضلعا من اضلاعه، فنصبه واخذ رجلا وبعيرا فمر تحته، قال جابر: وكان رجل من القوم نحر ثلاث جزائر، ثم نحر ثلاث جزائر، ثم نحر ثلاث جزائر، ثم إن ابا عبيدة نهاه، وكان عمرو يقول: اخبرنا ابو صالح، ان قيس بن سعد، قال لابيه: كنت في الجيش، فجاعوا، قال: انحر، قال: نحرت، قال: ثم جاعوا، قال: انحر، قال: نحرت، قال: ثم جاعوا، قال: انحر، قال: نحرت، ثم جاعوا، قال: انحر، قال: نهيت.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha ke hum ne Amr bin Dinar se jo yaad kiya woh yeh hai ke unhon ne byaan kiya ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke hamain Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne teen sau sawaron ke saath bheja aur hamara ameer Abu Ubaydah bin Jarrah razi Allahu anhu ko banaya . Taake hum Quraysh ke qafila e tijarat ki talash mein rahein . Sahil e samundar par hum pandrah din tak parao daale rahe . Hamain (is safar mein) bari sakht bhook aur faaqe ka samna karna para , yahan tak naubat pahunchi ke hum ne babool ke patte kha kar waqt guzara . Isi liye is fauj ka laqab patton ki fauj ho gaya . Phir ittifaq se samundar ne hamare liye ek machhli jaisa janwar sahil par phenk diya , is ka naam Ambar tha , hum ne is ko pandrah din tak khaya aur is ki charbi ko tail ke taur par (apne jismon par) mala . Is se hamare badan ki taqat o quwwat phir laut aayi . Baad mein Abu Ubaydah razi Allahu anhu ne is ki ek pasli nikal kar khari karwayi aur jo lashkar mein sab se lambe aadmi thay , unhein is ke neeche se guzara . Sufyan bin Uyaynah ne ek martaba is tarah byaan kiya ke ek pasli nikal kar khari kar di aur ek shakhs ko oont par sawar karaya woh is ke neeche se nikal gaya . Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke lashkar ke ek aadmi ne pehle teen oont zibah kiye phir teen oont zibah kiye aur jab teesri martaba teen oont zibah kiye to Abu Ubaydah ne unhein rok diya kyunke agar sab oont zibah kar dete to safar kaise hota aur Amr bin Dinar ne byaan kiya ke hum ko Abu Salih Zhakwan ne khabar di ke Qays bin Saad razi Allahu anhu ne (wapas aa kar) apne walid (Saad bin Ubadah razi Allahu anhu) se kaha ke main bhi lashkar mein tha jab logon ko bhook lagi to Abu Ubaydah razi Allahu anhu ne kaha ke oont zibah karo , Qays bin Saad razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne zibah kar diya kaha ke phir bhookay huay to unhon ne kaha ke oont zibah karo , main ne zibah kiya , byaan kiya ke jab phir bhookay huay to kaha ke oont zibah karo , main ne zibah kiya , phir bhookay huay to kaha ke oont zibah karo , phir Qays razi Allahu anhu ne byaan kiya ke is martaba mujhe ameer e lashkar ki taraf se mana kar diya gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4362
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن ابن جريج، قال: اخبرني عمرو، انه سمع جابرا رضي الله عنه، يقول: غزونا جيش الخبط وامر ابو عبيدة فجعنا جوعا شديدا، فالقى البحر حوتا ميتا لم نر مثله، يقال له: العنبر، فاكلنا منه نصف شهر، فاخذ ابو عبيدة عظما من عظامه فمر الراكب تحته، فاخبرني ابو الزبير، انه سمع جابرا، يقول: قال ابو عبيدة: كلوا، فلما قدمنا المدينة ذكرنا ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم فقال:" كلوا رزقا اخرجه الله اطعمونا إن كان معكم، فاتاه بعضهم، فاكله".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Ibn Jareer ne byaan kiya , unhein Amr bin Dinar ne khabar di aur unhon ne Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke hum patton ki fauj mein shareek thay . Abu Ubaydah razi Allahu anhu hamare ameer thay . Phir hamain shiddat se bhook lagi , aakhir samundar ne ek aisi murdah machhli bahar phenki ke hum ne waisi machhli pehle kabhi nahi dekhi thi . Isay Ambar kehte thay . Woh machhli hum ne pandrah din tak khayi . Phir Abu Ubaydah razi Allahu anhu ne is ki haddi khari karwa di to oont ka sawar is ke neeche se guzar gaya . (Ibn Jareer ne byaan kiya ke) Phir mujhe Abu al-Zubayr ne khabar di aur unhon ne Jabir razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Abu Ubaydah razi Allahu anhu ne kaha is machhli ko khao phir jab hum Madinah laut kar aaye to hum ne is ka zikr Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kiya , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh rozi khao jo Allah Ta'ala ne tumhare liye bheji hai . Agar tumhare paas is mein se kuch bachi ho to mujhe bhi khilao . Chunanche ek aadmi ne is ka gosht la kar Aap ki khidmat mein pesh kiya aur Aap ne bhi isay tanawul farmaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حَجُّ أَبِي بَكْرٍ بِالنَّاسِ فِي سَنَةِ تِسْعٍ:
Bab: Abu Bakr Radiallahu Anhu ka logon ke sath sanah 9 Hijri mein Hajj karna.
Show diacritics
Hadith Number: 4363
حدثنا سليمان بن داود ابو الربيع، حدثنا فليح، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة: ان ابا بكر الصديق رضي الله عنه بعثه في الحجة التي امره النبي صلى الله عليه وسلم عليها قبل حجة الوداع يوم النحر في رهط يؤذن في الناس:" لا يحج بعد العام مشرك، ولا يطوف بالبيت عريان".
Hum se Sulayman bin Dawood Abu al-Rabi ne byaan kiya , kaha hum se Falih bin Sulayman ne byaan kiya ke un se Zuhri ne , un se Humayd bin Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Abu Bakr razi Allahu anhu ko Hajjat al-Wida se pehle jis hajj ka ameer bana kar bheja tha , is mein Abu Bakr razi Allahu anhu ne mujhe kai aadmiyon ke saath qurbani ke din (Mina) mein aalan karne ke liye bheja tha ke is saal ke baad koi mushrik (Bayt Allah) ka hajj karne na aaye aur na koi shakhs Bayt Allah ka tawaf nange ho kar kare .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة