الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ عَزْمِ الإِمَامِ عَلَى النَّاسِ فِيمَا يُطِيقُونَ:
Bab: Badshah-e-Islami ki ita’at logon par wajib hai jahan tak woh taaqat rakhen.
Show diacritics
Hadith Number: 2964
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، قال: قال عبد الله رضي الله عنه، لقد اتاني اليوم رجل فسالني عن امر ما دريت ما ارد عليه، فقال: ارايت رجلا مؤديا نشيطا يخرج مع امرائنا في المغازي، فيعزم علينا في اشياء لا نحصيها، فقلت له: والله ما ادري ما اقول لك إلا انا كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم فعسى ان لا يعزم علينا في امر إلا مرة حتى نفعله، وإن احدكم لن يزال بخير ما اتقى الله، وإذا شك في نفسه شيء سال رجلا فشفاه منه، واوشك ان لا تجدوه والذي لا إله إلا هو ما اذكر ما غبر من الدنيا، إلا كالثغب شرب صفوه وبقي كدره.
Hum se Usman Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, kaha hum se Jarir ne bayan kiya, un se Mansur ne, un se Abu Wail ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mere paas ek shakhs aaya, aur aaisi baat poochi ke meri kuch samajh mein na aaya ke is ka jawab kya doon. Us ne poocha, mujhe ye masla batayein ke ek shakhs bahut hi khush aur hathiyar band ho kar hamare ameeron ke sath jihad ke liye jata hai. Phir wo ameer humein aaisi cheezon ka mukallaf qarar dete hain ke hum in ki taqat nahi rakhte. Mein ne kaha, Allah ki qasam! Meri kuch samajh mein nahi aata ke tumhari baat ka jawab kya doon, albatta jab hum Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath (aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki hayat mubarak mein) thay to aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko kisi bhi mamle mein sirf ek martaba hukm ki zaroorat pesh aati thi aur hum fauran hi ise baja late thay, ye yaad rakhne ki baat hai ke tum logon mein is waqt tak khair rahe gi jab tak tum Allah se darte raho ge, aur agar tumhare dil mein kisi mamle mein shubha paida ho jaye (ke kya chahiye ya nahi) to kisi aalim se is ke mutalliq pooch lo taake tashaffi ho jaye, wo dour bhi aane wala hai ke koi aisa aadmi bhi (jo sahi sahi masle bata de) tumhein nahi mile ga. Is zat ki qasam jis ke siwa koi mabood nahi! Jitni duniya baqi reh gayi hai wo wadi ke is pani ki tarah hai jis ka saaf aur accha hissa to piya ja chuka hai aur gudla hissa baqi reh gaya hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا لَمْ يُقَاتِلْ أَوَّلَ النَّهَارِ أَخَّرَ الْقِتَالَ حَتَّى تَزُولَ الشَّمْسُ:
Bab: Nabi Karim ﷺ din hote hi agar jang na shuru kar dete to sooraj ke dhalne tak larai multawi rakhte.
Show diacritics
Hadith Number: 2965
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا معاوية بن عمرو، حدثنا ابو إسحاق، عن موسى بن عقبة، عن سالم ابي النضر مولى عمر بن عبيد الله وكان كاتبا له، قال: كتب إليه عبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنهما فقراته إن رسول الله صلى الله عليه وسلم في بعض ايامه التي لقي فيها انتظر حتى مالت الشمس.
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muawiyah Bin Amr ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu Ishaq Fazari ne bayan kiya, un se Musa Bin Uqba ne bayan kiya, un se Umar Bin Ubaidullah ke ghulam Salim Abi al-Nazr ne, (Salim un ke munshi thay) bayan kiya ke Abdullah Bin Abi Aufa (Radi Allahu Anhuma) ne unhein khat likha aur mein ne use parha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) apne baaz dinon mein jin mein Aap jung karte thay Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) intezar karte yahan tak ke sooraj dhal jata (phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam larayi shuru karte)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2966
ثم قام في الناس خطيبا، قال: ايها الناس لا تتمنوا لقاء العدو وسلوا الله العافية، فإذا لقيتموهم فاصبروا واعلموا ان الجنة تحت ظلال السيوف، ثم قال:" اللهم منزل الكتاب، ومجري السحاب، وهازم الاحزاب اهزمهم، وانصرنا عليهم".
Is ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Sahaba (Radi Allahu Anhum) ko khitab karte hue farmaya: "Logo! Dushman ke sath jung ki khwahish aur tamanna dil mein na rakha karo, balke Allah Ta'ala se aman o aafiyat ki dua kiya karo, albatta jab dushman se mud-bher ho hi jaye to phir sabr o istaqamat ka saboot do, yaad rakho ke jannat talwaron ke saye tale hai, is ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne yun dua ki «allhm mnzl alktab wmjry als hab whazm alahzab , ahzmhm wansrna elyhm .» "Ae Allah! Kitab ke nazil karne wale, badal bhejne wale, Ahzab (dushman ke daston) ko shikast dene wale, unhein shikast de aur un ke muqable mein hamari madad kar."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اسْتِئْذَانِ الرَّجُلِ الإِمَامَ:
Bab: Agar koi jihad mein se lautna chahe ya jihad mein na jana chahe to imam se ijazat le.
Show diacritics
Hadith Number: Q2967
لقوله: {إنما المؤمنون الذين آمنوا بالله ورسوله وإذا كانوا معه على امر جامع لم يذهبوا حتى يستاذنوه إن الذين يستاذنونك} إلى آخر الآية.
Allah Ta'ala ke is farman «inma almwmny n alzyn amnw ballh wrswlh waiza kanw meh ely amr jame lm yzhbw hty ystaznwh in alzyn ystaznw nk» ki roshni mein ke "Beshak momin wo log hain jo Allah aur us ke Rasul par iman laye aur jab wo Allah ke Rasul ke sath kisi jihad ke kaam mein masroof hote hain to un se ijazat liye baghair un ke yahan se chale nahi jate. Beshak wo log jo Aap se ijazat lete hain." Aakhir aayat tak
.


Show diacritics
Hadith Number: 2967
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا جرير، عن المغيرة، عن الشعبي، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: غزوت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: فتلاحق بي النبي صلى الله عليه وسلم وانا على ناضح لنا قد اعيا فلا يكاد يسير، فقال لي: ما لبعيرك، قال: قلت: عيي، قال: فتخلف رسول الله صلى الله عليه وسلم فزجره ودعا له فما زال بين يدي الإبل قدامها يسير، فقال لي:" كيف ترى بعيرك؟، قال: قلت: بخير قد اصابته بركتك، قال: افتبيعنيه، قال: فاستحييت ولم يكن لنا ناضح غيره، قال: فقلت: نعم، قال: فبعنيه فبعته إياه على ان لي فقار ظهره حتى ابلغ المدينة، قال: فقلت يا رسول الله، إني عروس فاستاذنته فاذن لي، فتقدمت الناس إلى المدينة حتى اتيت المدينة فلقيني خالي فسالني عن البعير، فاخبرته بما صنعت فيه فلامني، قال: وقد كان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال لي: حين استاذنته، هل تزوجت بكرا ام ثيبا؟ فقلت: تزوجت ثيبا، فقال: هلا تزوجت بكرا تلاعبها وتلاعبك، قلت: يا رسول الله توفي والدي او استشهد ولي اخوات صغار فكرهت ان اتزوج مثلهن فلا تؤدبهن، ولا تقوم عليهن فتزوجت ثيبا لتقوم عليهن وتؤدبهن، قال: فلما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة غدوت عليه بالبعير، فاعطاني ثمنه ورده علي، قال المغيرة: هذا في قضائنا حسن لا نرى به باسا".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum ko Jarir ne khabar di, unhein Mugheera ne, unhein Shabi ne aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath ek ghazwah (jung Tabook) mein shareek tha. Unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) peeche se aa kar mere paas tashreef laye. Mein apne pani ladne wale ek oont par sawar tha. Chunke wo thak chuka tha, is liye aahista aahista chal raha tha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujh se daryaft farmaya ke Jabir! Tumhare oont ko kya ho gaya hai? Mein ne arz kiya ke thak gaya hai. Jabir (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) peeche gaye aur use danta aur us ke liye dua ki. Phir to wo barabar doosre oonton ke aage aage chalta raha. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya, apne oont ke mutalliq kya khayal hai? Mein ne kaha ke ab accha hai. Aap ki barkat se aisa ho gaya hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya phir kya ise becho ge? Unhon ne bayan kiya ke mein sharminda ho gaya, kyunke hamare paas pani lane ko is ke siwa aur koi oont nahi raha tha. Magar mein ne arz kiya, ji haan! Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya phir bech de. Chunancha mein ne wo oont Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko bech diya aur ye tay paya ke Madinah tak mein isi par sawar ho kar jaun ga. Bayan kiya ke mein ne arz kiya, ya Rasul Allah! Meri shadi abhi nayi hui hai. Mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se (aage barh kar apne ghar jaane ki) ijazat chahi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ijazat inayat farma di. Is liye mein sab se pehle Madinah pahunch aaya. Jab mamun se mulaqat hui to unhon ne mujh se oont ke mutalliq poocha. Jo mamla mein kar chuka tha is ki unhein itla di. To unhon ne mujhe bura bhala kaha. (Ek oont tha tere paas wo bhi bech dala ab pani kis par laye ga) Jab mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ijazat chahi thi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujh se daryaft farmaya tha ke kunwari se shadi ki hai ya bewa se? Mein ne arz kiya tha bewa se is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke bakira se kyun na ki, wo bhi tumhare sath khelti aur tum bhi us ke sath khelte. (Kyunke Jabir Radi Allahu Anhu bhi abhi kunware thay) Mein ne kaha ya Rasul Allah! Mere baap ki wafat ho gayi hai ya (ye kaha ke) wo (Uhud) mein shaheed ho chuke hain aur meri chhoti chhoti behenein hain. Is liye mujhe accha nahi maloom hua ke unhein jaisi kisi larki ko byah ke laun, jo na unhein adab sikha sake na un ki nigrani kar sake. Is liye mein ne bewa se shadi ki taake wo un ki nigrani kare aur unhein adab sikhaye. Unhon ne bayan kiya, phir jab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madinah pahunche to subah ke waqt mein isi oont par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhe is oont ki qeemat ata farmai aur phir wo oont bhi wapas kar diya. Mugheera rawi (Rahimahullah) ne kaha ke hamare nazdeek baia mein ye shart lagana accha hai kuch bura nahi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ غَزَا وَهُوَ حَدِيثُ عَهْدٍ بِعُرْسِهِ:
Bab: Nai nai shadi hone ke bawajood jinhon ne jihad kiya.
Show diacritics
Hadith Number: Q2968-2
فيه جابر عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is baab mein Jabir (Radi Allahu Anhu) ki riwayat Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hawala se hai (jo mazkoor hui)
.


بَابُ مَنِ اخْتَارَ الْغَزْوَ بَعْدَ الْبِنَاءِ:
Bab: Shab-e-zafaf ke baad hi jis ne fauran jihad mein shirkat ko pasand kiya.
Show diacritics
Hadith Number: Q2968
فيه ابو هريرة عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is bare mein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ki riwayat Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hawale se maujood hai
.


بَابُ مُبَادَرَةِ الإِمَامِ عِنْدَ الْفَزَعِ:
Bab: Khauf aur dehshat ke waqt (halaat maloom karne ke liye) imam ka aage barhna.
Show diacritics
Hadith Number: 2968
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، حدثني قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: كان بالمدينة فزع فركب رسول الله صلى الله عليه وسلم فرسا لابي طلحة، فقال:" ما راينا من شيء وإن وجدناه لبحرا".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Qatada ne bayan kiya aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Madinah mein ek dafa kuch dahshat phail gayi to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ke ek ghore par sawar ho kar (halat maloom karne ke liye sab se aage thay) phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke hum ne to koi baat nahi dekhi. Albatta is ghore ko hum ne dorne mein darya ki rawani jaisa tez paya hai (baab aur hadees mein mutabiqat zahir hai)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السُّرْعَةِ وَالرَّكْضِ فِي الْفَزَعِ:
Bab: Khauf ke waqt jaldi se ghore ko aer lagana.
Show diacritics
Hadith Number: 2969
حدثنا الفضل بن سهل، حدثنا حسين بن محمد، حدثنا جرير بن حازم، عن محمد، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: فزع الناس فركب رسول الله صلى الله عليه وسلم فرسا لابي طلحة بطيئا، ثم خرج يركض وحده فركب الناس يركضون خلفه، فقال:" لم تراعوا إنه لبحر فما سبق بعد ذلك اليوم".
Hum se Fazl Bin Sahl ne bayan kiya, kaha hum se Husain Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Jarir Bin Hazim ne bayan kiya, un se Muhammad ne un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke (Madinah mein) logon mein dahshat phail gayi thi to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ke ek ghore par jo bahut sust tha, sawar hue aur tanha eer lagate hue aage barhe. Sahaba (Radi Allahu Anhum) bhi Aap ke peeche sawar ho kar nikle. Is ke baad wapasi par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke khaufzada hone ki koi baat nahi hai, albatta ye ghora darya hai. Is din ke baad phir wo ghora (dour waghaira ke mauqe par) kabhi peeche nahi raha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْخُرُوجِ فِي الْفَزَعِ وَحْدَهُ:
Bab: Khauf ke waqt akela nikalna.
Show diacritics
Hadith Number: Q2970-2
n
(Mazkoora bala baab baaz nuskhon mein nahi, albatta Sheikh Fouad Abdul Baqi ki tahqeeq wale nuskhe mein hai)
.