الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Hammam ibn Munabbih (rh)
صحيفه همام بن منبه
Sahifah Hammam ibn Munabbih
Show diacritics
Hadith Number: 81
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن الله عز وجل قال: إذا تلقاني عبدي بشبر تلقيته بذراع، وإذا تلقاني بذراع تلقيته بباع، وإذا تلقاني بباع جئته، او قال: اتيته باسرع"
Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Yaqeenan Allah Ta'ala ka irshad hai ke jab Mera banda Meri taraf ek balisht aage barhta hai to Mein is ke liye do balisht (ek haath) aage barhta hoon, jab wo Meri taraf ek haath barhta hai to Mein is ki janib do haath barhta hoon, aur jab Mera banda Meri taraf do haath barhta hai to Mein is ki taraf aur tezi se (lapak kar) jata hoon ya farmaya aata hoon.“


Show diacritics
Hadith Number: 82
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا توضا احدكم، فليستنشق بمنخريه من ماء، ثم لينتثر"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab tum mein se koi shakhs wuzu kare to wo naak ke (donon) nathnon mein pani chadhaye phir naak jhaade.“


Show diacritics
Hadith Number: 83
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفس محمد بيده، لو ان عندي احدا ذهبا، لاحببت الا ياتي علي ثلاث ليال وعندي منه دينار اجد من يتقبله مني ليس شيء ارصده في دين علي"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qasam is zaat ki jis ke haath mein Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ki jaan hai! agar mere paas Uhud pahad jitna sona hota to mein pasand karta ke teen raatein guzarne se pehle pehle de doon aur apne paas ek dinar tak na chhodoon illa yeh ke qarz chukane ke liye kuch rakkhoon.“


Show diacritics
Hadith Number: 84
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا جاءكم الصانع بطعامكم قد اغنى عنكم حره ودخانه، فادعوه فلياكل معكم، وإلا فالقموه في يده او ليناوله في يده"
Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab bawarchi tumhare paas khana laye, jis ne tumhein khane ki tapish aur is ke dhuwein se mustagni kiya hai, to ise dawat do ke wo tumhare saath khana tanawul kare warna is ke haath mein chand luqme thama do.“


Show diacritics
Hadith Number: 85
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا يقل احدكم: اسق ربك او اطعم ربك وضئ ربك ولا يقل احدكم: ربي، وليقل: سيدي ومولاي، ولا يقل احدكم: عبدي، امتي، وليقل: فتاي، فتاتي غلامي"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tum mein se koi yun na kahe: apne ”Rabb“ ko pilao, apne Rabb ko khana khilao ya apne Rabb ko wuzu karao, aur na koi (apne aqa ko) mera ”Rabb“ keh kar pukare balki wo (apne aqa ko) ”Sayyidi wa Maula-ya“ mera sardar, mera maula keh kar pukare. Kisi ke liye ”Abdi“ mera banda, ya ”Amati“ meri bandi kehna theek nahi, balki ise chahiye wo yun kahe: ”Gulami“ mera naukar, meri naukarani, mera gulam.“


Show diacritics
Hadith Number: 86
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " اول زمرة تلج الجنة صورهم على صورة القمر ليلة البدر، لا يبصقون فيها ولا يمتخطون ولا يتغوطون فيها، آنيتهم وامشاطهم من الذهب والفضة، ومجامرهم من الالوة، ورشحهم المسك، ولكل واحد منهم زوجتان، يرى مخ ساقها من وراء اللحم من الحسن، لا اختلاف بينهم ولا تباغض، قلوبهم على قلب واحد، يسبحون الله بكرة وعشيا"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Pehla giroh jo jannat mein dakhil ho ga un ki suratein chaudhwin raat ke chand ki tarah hon gi. Wo (jannati) na to is mein thookein ge, na naak saaf karein ge aur na hi rafa-e-hajat karein ge, un ke bartan aur kanghiyan sone aur chandi ki hon gi. In ki angeethiyon (ka eendhan) Ood-e-Hindi (khushbu-dar lakri) hai. In ka paseena kastoori ki manind (khushbu-dar) ho ga aur har ek jannati ki do do biwiyan hon gi, jin ki pindliyon ka goda khoobsurti ki wajah se gosht ke beech se nazar aaye ga. Neez jannatiyon ke darmiyan kisi qism ka na koi ikhtilaf ho ga aur na koi bugz, sab ke dil ek dil ki manind hon ge aur subah shaam Allah ki tasbeeh bayan karte hon ge.“


Show diacritics
Hadith Number: 87
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " اللهم إني اتخذ عندك عهدا لن تخلفه، إنما انا بشر، فاي المؤمنين آذيته او شتمته او جلدته او لعنته، فاجعلها صلاة وزكاة وقربة تقربه بها يوم القيامة"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Ae Allah! Mein Tujh se ahd leta hoon, jis ki hargiz Tu khilaf-warzi nahi kare ga, Mein to ek bashar (insan) hoon, chunancha Mein ne jis kisi momin ko takleef pahunchayi ho, ya bura bhala kaha ho, ya saza di ho, ya la'n-ta'n ki ho, to yeh (sab) is ke liye rehmat, pakeezgi aur qurb ka zariya bana jis se Tu ise roz-e-qayamat apne qareeb kar le.“


Show diacritics
Hadith Number: 88
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لم تحل الغنائم لمن كان قبلنا، ذلك بان الله راى ضعفنا وعجزنا فطيبها لنا"
Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Hum se pehli ummaton ke liye ganimat ka maal jaiz nahi tha (lekin hamare liye is ki hillat ka sabab yeh hai ke) Allah Ta'ala ne hamari kamzori aur aajzi ko dekh kar is maal ko hamare liye tayyib (jaiz) bana diya.“


Show diacritics
Hadith Number: 89
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " دخلت امراة النار من جراء هرة لها او هرة ربطتها، فلا هي اطعمتها ولا هي ارسلتها تتقمم من خشاش الارض، حتى ماتت هزلا"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Ek aurat apni billi ko baandhne ke jurm ke sabab dakhil-e-jahannum hui, na to us ne ise kuch khilaya aur na ise azad chhoda ke hashrat-ul-arz kha leti, hatta ke wo lagar ho kar mar gayi.“


Show diacritics
Hadith Number: 90
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا يسرق سارق وهو حين يسرق مؤمن، ولا يزني زان وهو حين يزني مؤمن، ولا يشرب الحدود احدكم يعني الخمر وهو حين يشربها مؤمن، والذي نفس محمد بيده لا ينتهب احدكم نهبة ذات شرف يرفع إليه المؤمنون اعينهم فيها وهو حين ينتهبها مؤمن ولا يغل احدكم حين يغل وهو مؤمن وإياكم وإياكم"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Chor ba-waqt-e-chori momin nahi hota, zaani zina karte waqt momin nahi hota, aur sharabi ba-waqt-e-sharab-noshi momin nahi hota, aur is zaat ki qasam jis ke haath mein Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ki jaan hai! tum mein koi izzat-dar shakhs loot-maar karta hai, jis ki taraf ahl-e-iman apni nigahein utha kar dekhte hain to wo shakhs is loot-maar ke waqt momin nahi hota, aur khiyanat karte waqt khayin momin nahi hota, pas tum in (shanee'a wa qabeeha aadat) se zaroor ijtinab karo! bacho.“