الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيفه همام بن منبه
Sahifah Hammam ibn Munabbih
Hadith Number: 91
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفس محمد بيده، لا يسمع بي احد من هذه الامة، ولا يهودي ولا نصراني، ومات ولم يؤمن بالذي ارسلت به إلا كان من اصحاب النار"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qasam is zaat ki jis ke haath mein Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ki jaan hai! is ummat ka jo bhi shakhs khwah wo Yahudi ho, ya Isai meri bisat ka sune aur jis deen ke saath mujhe bheja gaya hai is par iman laye bagair faut ho jaye to aisa shakhs dozakhi ho ga.“
Hadith Number: 92
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " التسبيح للقوم، والتصفيق للنساء في الصلاة"
Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Namaz mein koi maamla dar-pesh ho to mardon ke liye «Subhan Allah» kehna aur aurton ke liye taali bajana mashroo' hai.“
Hadith Number: 93
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " كل كلم يكلم به المسلم في سبيل الله يكون يوم القيامة كهيئتها إذا طعنت يفجر دما، اللون لون الدم والعرف عرف المسك"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Musalman ko Allah ki raah mein jo bhi zakhm lagta hai wo roz-e-qayamat isi halat par ho ga jis tarah ke wo laga tha, is se khoon beh raha ho ga jis ka rang khoon ki tarah ho ga aur (is ki) khushbu mushk (kastoori) ki tarah ho gi.“
Hadith Number: 94
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إني لانقلب إلى اهلي فاجد التمرة ساقطة على فراشي او في بيتي فارفعها لآكلها، ثم اخشى ان تكون من الصدقة، فالقيها"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Mein jab apne ghar laut-ta hoon to wahan mein apne bister par (apne ghar mein) padi hui khajoor paata hoon aur ise khane ke liye utha leta hoon phir is khadsha se ke yeh khajoor sadqa ki ho, ise phenk deta hoon.“
Hadith Number: 95
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا تزالون تستفتون حتى يقول احدكم: هذا الله خلق الخلق، فمن خلق الله؟"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tum hamesha isi tarah sawal karte raho ge yahan tak ke tum mein se ek shakhs (yeh bhi) keh de ga ke yeh Allah hai jis ne sari makhlooq ko paida kiya lekin Allah ko kis ne paida kiya?“
Hadith Number: 96
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لان يلج احدكم بيمينه في اهله، آثم له عند الله من ان يعطي كفارته التي فرض الله عز وجل"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Allah ki qasam! tum mein se kisi shakhs ka qasam ki wajah se apne ahl o ayal se tark-e-talluqat par israr karna, Allah ke nazdeek is se zyada gunah ki baat hai ke (qasam tod kar) is ka kaffara ada kiya jaye, jo Allah Ta'ala ne is par lazim kiya hai.“
Hadith Number: 97
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا اكره الاثنان على اليمين فاستحباها، فاسهم بينهما"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab do aadmi qasam khane par majboor kiye jayein aur wo donon qasam khana pasand karte hon, to in donon ke darmiyan qur'a dalo.“
Hadith Number: 98
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا ما احدكم اشترى لقحة مصراة او شاة، فهو بخير النظرين بعد ان يحلبها، إما هي وإلا فليردها وصاعا من تمر"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab tum mein se koi shakhs «Musrat» (jis janwar ka thanon mein doodh rook diya gaya ho) oontni ya bakri khareede, to doodh dohne ke baad ise do cheezon mein se behtar ke intikhab ka ikhtiyar hai, chahe to ise apne paas rakh le ya phir wapas kar de, aur doodh dohne ke iwaz mein is ke malik ko ek «Saa'» khajoorein bhi de.“
Hadith Number: 99
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " الشيخ شاب على حب اثنتين: طول الحياة، وكثرة المال"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Boodha aadmi do cheezon ki muhabbat mein jawan hota hai: Awwal: lambi zindagi ki umeed aur khwahish rakhna, Dom: yeh ke kasrat-e-maal ki tamanna rakhna.“
Hadith Number: 100
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا يشير احدكم إلى اخيه بالسلاح، فإنه لا يدري احدكم لعل الشيطان ان ينزع في يده، فيقع في حفرة من النار"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tum mein se koi shakhs apne bhai ki taraf hathiyar se ishara na kare, (kyunke) wo nahi jaanta ke mumkin hai shaitan is ke haath se hathiyar (aslah) chhudwa de (aur wo kisi ko maar baithe) jis ke sabab wo (maarne wala) jahannum ke gaddhe mein ja gire ga.“