الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Hammam ibn Munabbih (rh)
صحيفه همام بن منبه
Sahifah Hammam ibn Munabbih
Show diacritics
Hadith Number: 131
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " العين حق"
ونهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الوشم".
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Nazar ka lag jaana haqq hai. Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne «Washm» yaani goad kar surma bhrwane se mana farmaya.“


Show diacritics
Hadith Number: 132
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا يزال احدكم في صلاة ما كانت تحبسه، ولا يمنعه ان يخرج إلا انتظارها"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tum mein se koi shakhs hamesha namaz mein rehta hai jab tak namaz ise rooke rakhti hai, aur namaz se nikalne se is ke intezar ke siwa koi aur amr mani' na ho.“


Show diacritics
Hadith Number: 133
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " اليد العليا خير من اليد السفلى، وابدا بمن تعول"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Oopar wala haath nichle haath se behtar hai. Aur sadqa ki ibtida apne qareebi rishta-daron se karo.“


Show diacritics
Hadith Number: 134
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " انا اولى الناس بعيسى ابن مريم في الاولى والآخرة"، قالوا: كيف يا رسول الله؟ قال:" الانبياء إخوة من علات، وامهاتهم شتى، ودينهم واحد، فليس بيننا نبي"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Mein duniya wa aakhirat (donon jahanon) mein Isa bin Maryam Alaihis Salam ke sab se zyada qareeb hoon.“ Sahabah-e-kiram Radi Allahu Anhum ne arz ki: ya Rasul Allah! wo kaise? Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”(Tamam) Anbiya alaati bhai hain, in ki maayein alag alag hain, magar deen sab ka ek (hi) hai. Pas hum donon ke darmiyan koi Nabi nahi.“


Show diacritics
Hadith Number: 135
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " بينما انا نائم، إذ اوتيت من خزائن الارض، فوضع في يدي سواران من ذهب، فكبرا علي واهماني، فاوحي إلي ان انفخهما فنفختهما فذهبا، فاولتهما الكذابين اللذين انا بينهما: صاحب صنعاء وصاحب اليمامة"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Ek martaba mein so raha tha jab mujhe zameen ke khazane pesh kiye gaye, aur mere haathon mein sone ke do kangan rakkhe gaye. Wo mujh par bade garaan guzre aur mujhe intihaayi pareshan kiya, phir mujhe wahi ki gayi ke unhein phoonk do, chunancha mein ne phoonk maari to wo (donon) ud gaye, mein ne is khwab ki ta'beer nikali ke mein do jhooton ke darmiyan hoon (jin mein se) ek Sana'a wala aur doosra Yamama wala hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 136
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " ليس احد منكم بمنجيه عمله، ولكن سددوا وقاربوا" قالوا: ولا انت يا رسول الله؟ قال:" ولا انا، إلا ان يتغمدني الله منه برحمة وفضل"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tum mein se kisi bhi shakhs ko (mahz) is ka amal is ka najat-dehinda nahi hai. Lehaza raah-e-raast par raho aur (Sirat-e-Mustaqeem ke) qareeb qareeb raho.“ Sahabah Radi Allahu Anhum ne arz kiya: ya Rasul Allah! Aap ka amal bhi Aap ki khalasi ka baais nahi hai? Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Mein bhi amal se najat hasil nahi kar paoon ga, albatta Allah Ta'ala apne fazl o rehmat se mujhe dhaanp le (to alag baat hai).“


Show diacritics
Hadith Number: 137
قال: قال:" ونهى رسول الله صلى الله عليه وسلم: عن بيعتين ولبستين، ان يحتبي احدكم في الثوب الواحد ليس على فرجه منه شيء، وان يشتمل في إزاره إذا ما صلى إلا ان يخالف بين طرفيه على عاتقه".
" ونهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن اللمس والإلقاء والنجش".
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne khareed o farokht ke do tariqon aur libas pehnne ki do suraton se mana farmaya: (Libas ki mamnoo'a suratein yeh hain) tum mein se koi shakhs is haal mein ek kapre mein «Habwa» kare ke is ki sharm-gah par kapre na hon, jab wo (ek chadar mein) namaz parhe to ise is andaz se lapate ke is chadar ke donon kinare is ki gardan par mukhalif atraf se bandhe hon. Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne khareed o farokht ka saman chhoo kar, ya kankari phenk kar sauda karne aur «Bai' Bakhsh» (dalali ki bai') se mana kiya.“


Show diacritics
Hadith Number: 138
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " العجماء جرحها جبار، والبئر جبار، والمعدن جبار، والنار جبار، وفي الركاز الخمس"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Janwar ke zakhmi (ya maarne ka), kaan mein girne aur zakhmi hone par koi tawan nahi hai. Aag mein gir kar mar jaane par bhi koi tawan nahi hai aur dafeene mein se 1/5 hissa (Allah aur is ke Rasul صلی اللہ علیہ وسلم ka) hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 139
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " ايما قرية اتيتموها واقمتم فيها فسهمكم"، واظنه قال: فهي لكم او نحوه من الكلام، وايما قرية عصت الله ورسوله، فإن خمسها لله ورسوله ثم هي لكم"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tum jis basti mein jao aur wahan qiyam karo,“ mera khayal hai ke phir Aap ne farmaya: ”to tumhara hissa is basti mein ho ga ya wo tumhari milkiyat hai.“ Ya aisa hi koi aur kalam. ”Aur jo basti (wale) Allah aur is ke Rasul ki nafarmani kare to fatah ki surat mein un ka paanchwan hissa Allah aur is ke Rasul ka hai, phir wo bhi tumhare hi liye hai.“