الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيفه همام بن منبه
Sahifah Hammam ibn Munabbih
Hadith Number: 101
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " اشتد غضب الله على قوم فعلوا برسول الله صلى الله عليه وسلم وهو حينئذ يشير إلى رباعيته"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Allah Ta'ala ka is qaum par intihaayi sakht gazab hua jis ne is ke Rasul ke saath aisa kiya jabke is waqt Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم apne samne wale chaar dandan-e-mubarak (jo shaheed kiye gaye thay) ki taraf ishara farma rahe thay.“
Hadith Number: 102
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " اشتد غضب الله على رجل يقتله رسول الله صلى الله عليه وسلم في سبيل الله"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Allah Ta'ala ka is qaum par intihaayi sakht gazab hua, jise Allah ke Rasul ne Allah ki raah mein qatl kiya.“
Hadith Number: 103
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " على ابن آدم نصيب من الزنا ادرك ذلك لا محالة، قال: فالعين زنيتها النظر وتصديقها الإعراض، واللسان زنيته المنطق، والقلب زنيته التمني، والفرج يصدق بما ثم او يكذب"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Ibn-e-Adam par zina ka kuch hissa muqarrar kiya gaya hai, jise wo bahar-surat paye ga, aankh ka zina (haram cheez ko) dekhna hai, aur is ki tasdeeq nazar hata lena hai (agar is shakhs ne apni pehli nazar ke baad ayraz kiya aur muharramat ko dekhte hi apni nazron ko jhuka liya, to yeh sacchi nazar hai wagarna nahi), zaban ka zina (fuhsh) baat ka kehna hai, dil ka zina tamanna aur khwahish karna hai, aur sharm-gah gunah ki tasdeeq karti hai ya takzeeb.“
Hadith Number: 104
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا احسن احدكم إسلامه، فكل حسنة يعملها تكتب بعشر امثالها إلى سبع مائة ضعف، وكل سيئة يعملها تكتب له بمثلها حتى يلقى الله عز وجل"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab tum mein se koi shakhs apne Islam ko (naiki wa ita'at se) accha banata hai to is ki har naiki jis par wo amal-paira hota hai, das se le kar saat sau guna tak likhi jati hai aur is ka har gunah jis par wo amal mein lata hai is gunah ki misl (yaani sirf ek gunah) likha jata hai. Yahan tak ke wo Allah Ta'ala se ja milta hai.“
Hadith Number: 105
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا ام احدكم للناس، فليخفف الصلاة، فإن فيهم الكبير وفيهم الضعيف وفيهم السقيم، وإن قام وحده فليطل صلاته ما شاء"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab tum se koi shakhs logon ko namaz parhaye ise chahiye ke wo namaz mein ikhtisar kare, kyunke muqtadiyon mein baaz boodhe, baaz kamzor aur baaz bimar hote hain, aur agar wo tanha namaz parhe to jis qadar chahe lambi namaz parhe.“
Hadith Number: 106
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " قالت الملائكة: يا رب، ذاك عبد يريد ان يعمل سيئة وهو ابصر به، فقال: ارقبوه، فإن عملها فاكتبوها له بمثلها، وإن تركها فاكتبوها له حسنة، إنما تركها من جراي"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Farishte arz karte hain: Ae Rabb! Tera (falan) banda burayi ka irada rakhta hai. Daran-halanke Allah Ta'ala ko is baat ka acchi tarah ilm hota hai. Allah Ta'ala farmata hai: is ki nigrani rakkho, agar wo burayi ka irtikab kar le to is ke liye ek burayi likh do, aur agar ise tark kar de to is ke liye ek naiki likh do, kyunke is bande ne Mere darr se (yeh) burayi tark ki hai.“
Hadith Number: 107
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: يقول الله تعالى: " كذبني عبدي ولم يكن ذلك له، وشتمني عبدي ولم يكن ذلك له، اما تكذيبه إياي ان يقول: لن يعيدنا كما بدانا، واما شتمه إياي ان يقول: اتخذ الله ولدا، وانا الصمد، لم الد ولم اولد، ولم يكن لي كفوا احد"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Allah Ta'ala ka irshad hai ke Mere bande ne Meri takzeeb ki halanke ise yeh zaib nahi deta, aur Mere bande ne Mujhe gaali di jabke yeh is ke shayan-e-shan nahi hai. (Be-har-haal) is ka Mujhe jhutlana yeh hai ke wo kehta hai: Allah Ta'ala humein dobara hargiz paida nahi kare ga, jaise us ne humein ibtida paida kiya hai. Aur is ka Mujhe gaali dena yeh hai ke wo kehta hai: Allah ne beta bana liya hai, halanke Mein be-niyaz hoon, na Meri koi aulad hai, aur na Mein kisi ki aulad hoon aur Mera koi hamsar nahi.“
Hadith Number: 108
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " ابردوا عن الحر في الصلاة، فإن شدة الحر من فيح جهنم"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Garmi mein namaz thande waqt mein ada karo, kyunke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap hai.“
Hadith Number: 109
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا تقبل صلاة احدكم إذا احدث حتى يتوضا"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab tum mein se koi shakhs be-wuzu ho jaye to is ki namaz tab tak qabool nahi hoti, jab tak wuzu na kar le.“
Hadith Number: 110
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا نودي بالصلاة، فاتوها وانتم تمشون وعليكم السكينة، فما ادركتم فصلوا، وما سبقتم فاتموا"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab namaz ki azan kahi jaye to namaz ke liye sukoon aur itminan se chalte hue aao, phir jo namaz tum pa lo, ise parh lo aur jo reh jaye, ise (baad mein) poora kar lo.“