الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Hammam ibn Munabbih (rh)
صحيفه همام بن منبه
Sahifah Hammam ibn Munabbih
Show diacritics
Hadith Number: 111
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " يضحك الله لرجلين يقتل احدهما الآخر، كلاهما يدخل الجنة"، قالوا: وكيف يا رسول الله؟ قال:" يقتل هذا فيلج الجنة ثم يتوب الله على الآخر فيهديه إلى الإسلام، ثم يجاهد في سبيل الله فيستشهد"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Allah Ta'ala aise do aadmiyon (ki taraf dekh kar) muskura deta hai jin mein se ek doosre ka qatil ho ga, (is ke bawajood) wo donon jannat mein dakhil hon ge.“ Is par Sahabah Radi Allahu Anhum ne arz ki: Ae Allah ke Rasul! wo kaise? Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”(Wo is tarah ke) jo Allah ki raah mein lada wo to shaheed hua, aur jannat mein dakhil ho gaya. Phir Allah ne doosre yaani qatil ko tauba ki taufiq bakhshi aur Islam qabool karne ki hidayat di, phir us ne bhi Allah ki raah mein jihad kiya aur shaheed ho gaya.“


Show diacritics
Hadith Number: 112
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا يبيع احدكم على بيع اخيه، ولا يخطب على خطبة اخيه"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tum mein se koi shakhs apne bhai ke saude par sauda na kare aur na apne bhai ki mangni par mangni ka paigam bheje.“


Show diacritics
Hadith Number: 113
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " الكافر ياكل في سبعة امعاء، والمؤمن ياكل في معى واحد"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Kafir saat aanton mein khata hai, aur momin ek aant mein khata hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 114
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنما سمي الخضر لانه جلس على فروة بيضاء، فإذا هي تهتز تحته خضراء"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Khizar ka naam «Khizar» is liye rakkha gaya ke wo ek (martaba) safaid rait ya khushk zameen par baithe to achanak wo zameen Aap ke neeche sar-sabz ho kar lehlahane lagi.“


Show diacritics
Hadith Number: 115
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن الله لا ينظر إلى المسبل يوم القيامة، يعني إزاره"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Yaqeenan Allah Ta'ala qayamat ke roz takhnon se neeche tehband latkane wale ki taraf (nazar-e-rehmat se) nahi dekhe ga.“


Show diacritics
Hadith Number: 116
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " قيل لبني إسرائيل ادخلوا الباب سجدا وقولوا حطة يغفر لكم خطاياكم، فبدلوا فدخلوا الباب يزحفون على استاههم، وقالوا: حبة في شعرة"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Bani Israil ko hukm diya gaya ke darwaze se sajda ki halat mein dakhil hon aur (saath mein) yeh kehte aao (Ae Allah!) hamari magfirat farma de (taake tumhare tamam gunah maaf kar diye jayein) lekin unhon ne is mein tabdili kar daali, chunancha wo (bajaye sajda karne ke) apni sareenon par ghasat-te hue darwaze se dakhil hue aur unhon ne «Hittatun» ki bajaye «Habbatun fi sha'eera» (jau mein gehoon) kaha.“


Show diacritics
Hadith Number: 117
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا قام احدكم من الليل، فاستعجم القرآن على لسانه فلم يدر ما يقول، فليضطجع"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab tum mein se koi shakhs Qiyam-ul-Lail kare aur Quran is ki zaban par atakne lage aur wo yeh na samajh paye ke wo kya parh raha hai, to wo lait (so) jaye.“


Show diacritics
Hadith Number: 118
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: قال الله تعالى: " لا يقل ابن آدم: يا خيبة الدهر، فإني انا الدهر، ارسل الليل والنهار، فإذا شئت قبضتهما"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Allah Ta'ala ka irshad hai ke Ibn-e-Adam ko aisa nahi kehna chahiye: haye zamane ka bura ho, kyunke Mein hi zamana hoon (paida karne wala) aur lail o nahar ko (musalsal) Mein hi bhejta hoon aur jab Mein chahoon ga, to in donon ko rook loon ga.“


Show diacritics
Hadith Number: 119
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " نعما للمملوك ان يتوفاه الله بحسن طاعة ربه وطاعة سيده، نعما له، نعما له"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Kya hi khoob hai wo gulam jise Allah apne Rabb aur apne sardar ki ahsan tariqe se ita'at karte hue duniya se rukhshat kare, yeh is ke liye bahut hi khoob hai, yeh is ke liye bahut hi khoob hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 120
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا قام احدكم إلى الصلاة، فلا يبصق امامه، فإنه يناجي الله ما دام في مصلاه، ولا عن يمينه، فإن عن يمينه ملكا، ولكن ليبصق عن شماله او تحت رجله، فيدفنه"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab tum mein se koi namaz ke liye khada ho, to wo apne samne mat thooke, kyunke jab tak wo apni jaye-namaz mein hota hai, tab tak wo Allah Azza wa Jalla se munajat mein mashgool hota hai, aur (isi tarah) wo apne dayein janib (bhi) na thooke, kyunke is ki dayein taraf farishta hota hai. Haan (agar thookna chahe to) apne bayein janib ya paon ke neeche thooke, phir ise dafan kar de.“