الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لِيُبَلِّغِ الْعِلْمَ الشَّاهِدُ الْغَائِبَ:
Bab: Is bare mein ke ek shakhs koi baat sune aur na samjhe to dobara darkhwast kar le taake woh usay (achhi tarah) samajh le, ye ja’iz hai.
Hadith Number: 104
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: حدثني الليث، قال: حدثني سعيد، عن ابي شريح، انه قال لعمرو بن سعيد وهو يبعث البعوث إلى مكة: ائذن لي ايها الامير احدثك قولا قام به النبي صلى الله عليه وسلم الغد من يوم الفتح، سمعته اذناي، ووعاه قلبي، وابصرته عيناي حين تكلم به، حمد الله واثنى عليه، ثم قال:" إن مكة حرمها الله ولم يحرمها الناس، فلا يحل لامرئ يؤمن بالله واليوم الآخر ان يسفك بها دما، ولا يعضد بها شجرة، فإن احد ترخص لقتال رسول الله صلى الله عليه وسلم فيها فقولوا: إن الله قد اذن لرسوله ولم ياذن لكم، وإنما اذن لي فيها ساعة من نهار، ثم عادت حرمتها اليوم كحرمتها بالامس وليبلغ الشاهد الغائب"، فقيل لابي شريح: ما قال عمرو؟ قال: انا اعلم منك يا ابا شريح، لا يعيذ عاصيا ولا فارا بدم ولا فارا بخربة.
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, un se Laith ne, un se Sa’eed bin Abi Sa’eed ne, woh Abu Shuraih se riwayat karte hain ke unhon ne ’Amr bin Sa’eed (waali-e-Madinah) se jab woh Makkah mein (Ibn-e-Zubair se ladne ke liye) faujein bhej rahe the kaha ke aye ameer! Mujhe aap ijazat den to main woh Hadees aap se bayan kar dun, jo Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Fatah-e-Makkah ke doosre din irshaad farmaayi thi, us (Hadees) ko mere dono kaanon ne suna aur mere dil ne use yaad rakha hai aur jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam yeh Hadees farmaa rahe the to meri aankhein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekh rahi thein. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (pehle) Allah ki Hamd-o-Sana bayan ki, phir farmaaya ke Makkah ko Allah ne haraam kiya hai, aadmiyon ne haraam nahi kiya. To (sun lo) ke kisi shakhs ke liye jo Allah par aur yaum-e-aakhirat par imaan rakhta ho jaaiz nahi hai ke Makkah main khoonrezi kare, ya us ka koi ped kaate, phir agar koi Allah ke Rasool (ke ladne) ki wajah se us ka jawaaz nikaale to us se keh do Allah ne apne Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye ijazat di thi, tumhaare liye nahi di aur mujhe bhi din ke kuch lamhon ke liye ijazat mili thi. Aaj is ki hurmat laut aayi, jaisi kal thi. Aur haazir ghaaib ko (yeh baat) pahuncha de. (Yeh Hadees sunne ke baad rawi-e-Hadees) Abu Shuraih se poocha gaya ke (aap ki yeh baat sun kar) ’Amr ne kya jawaab diya? Kaha yun ke aye (Abu Shuraih!) Hadees ko main tum se ziyada jaanta hun. Magar haram (Makkah) kisi khatakaar ko ya khoon kar ke aur fitnah phaila kar bhaag aane waale ko panaah nahi deta.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 105
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، قال: حدثنا حماد، عن ايوب، عن محمد، عن ابن ابي بكرة، عن ابي بكرة، ذكر النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" فإن دماءكم واموالكم، قال محمد واحسبه قال: واعراضكم عليكم حرام، كحرمة يومكم هذا في شهركم هذا، الا ليبلغ الشاهد منكم الغائب"، وكان محمد يقول: صدق رسول الله صلى الله عليه وسلم، كان ذلك الا هل بلغت مرتين.
Hum se Abdullah bin Abdul Wahhab ne bayan kiya, un se Hammad ne Ayyub ke waaste se naql kiya, woh Muhammed se aur woh Ibn-e-Abi Bakrah se riwayat karte hain ke (ek martaba) Abu Bakarah Radhiallahu Anhu ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka zikr kiya ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (yun) farmaaya, tumhaare khoon aur tumhaare maal, Muhammed kehte hain ke mere khayaal mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne «وَأَعْرَاضَكُمْ» ka lafz bhi farmaaya. (Yani) aur tumhaari aabruyen tum par haraam hain. Jis tarah tumhaare aaj ke din ki hurmat tumhaare is mahine mein. Sun lo! Yeh khabar haazir ghaaib ko pahuncha de. Aur Muhammed (rawi-e-Hadees) kehte the ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne sach farmaaya. (Phir) dobarah farmaaya ke kya main ne (Allah ka yeh hukm) tumhein nahi pahuncha diya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِثْمِ مَنْ كَذَبَ عَلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Bab: Rasoolullah ﷺ par jhoot baandhne wale ka gunah kis darje ka hai.
Hadith Number: 106
حدثنا علي بن الجعد، قال: اخبرنا شعبة، قال: اخبرني منصور، قال: سمعت ربعي بن حراش، يقول: سمعت عليا، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تكذبوا علي، فإنه من كذب علي فليلج النار".
Hum se Ali bin Ja’d ne bayan kiya, unhein Sho’bah ne khabar di, unhein Mansoor ne, unhon ne Rib’ee bin Hirash se suna ke main ne ’Ali Radhiallahu Anhu ko yeh farmaate huwe suna ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke mujh par jhoot mat bolo. Kiunki jo mujh par jhoot baandhe woh dozakh mein daakhil ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 107
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، عن جامع بن شداد، عن عامر بن عبد الله بن الزبير، عن ابيه، قال: قلت للزبير: إني لا اسمعك تحدث عن رسول الله صلى الله عليه وسلم كما يحدث فلان وفلان، قال: اما إني لم افارقه ولكن سمعته، يقول:" من كذب علي فليتبوا مقعده من النار".
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sho’bah ne, un se Jami’ bin Shaddad ne, woh Amir bin Abdullah bin Zubair se aur woh apne baap Abdullah bin Zubair Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain. Unhon ne kaha main ne apne baap yani Zubair se arz kiya ke main ne kabhi aap se Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Ahadees nahi sunein. Jaisa ke falaan, falaan bayan karte hain, kaha main kabhi Aap se alag-thalag nahi raha lekin main ne Aap ko yeh bhi farmaate huwe suna hai ke jo shakhs mujh par jhoot baandhega woh apna thikaana jahannam mein bana le.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 108
حدثنا ابو معمر، قال: حدثنا عبد الوارث، عن عبد العزيز، قال انس: إنه ليمنعني ان احدثكم حديثا كثيرا، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من تعمد علي كذبا فليتبوا مقعده من النار".
Hum se Abu Ma’mar ne bayan kiya, un se Abdul Waris ne Abdul Aziz ke waaste se naql kiya ke Anas Radhiallahu Anhu farmaate the ke mujhe bahut si hadeesein bayan karne se yeh baat rokti hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jo shakhs mujh par jaan boojh kar jhoot baandhe to woh apna thikaana jahannam mein bana le.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 109
حدثنا مكي بن إبراهيم، قال: حدثنا يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من يقل علي ما لم اقل فليتبوا مقعده من النار".
Hum se Makki Ibn-e-Ibrahim ne bayan kiya, un se Yazeed bin Abi ’Ubaid ne Salamah bin Akwa’ Radhiallahu Anhu ke waaste se bayan kiya, woh kehte hain ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh farmaate huwe suna ke jo shakhs mere naam se woh baat bayan kare jo main ne nahi kahi to woh apna thikaana jahannam mein bana le.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 110
حدثنا موسى، قال: حدثنا ابو عوانة، عن ابي حصين، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"تسموا باسمي، ولا تكتنوا بكنيتي، ومن رآني في المنام فقد رآني، فإن الشيطان لا يتمثل في صورتي، ومن كذب علي متعمدا فليتبوا مقعده من النار".
Hum se Musa ne bayan kiya, un se Abu ’Awaanah ne Abi Hussain ke waaste se naql kiya, woh Abu Saleh se riwayat karte hain, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se ke (apni aulaad) ka mere naam ke upar naam rakho. Magar meri kunniyat ikhtiyaar na karo aur jis shakhs ne mujhe khawaab mein dekha to bila-shubha us ne mujhe dekha. Kiunki shaitaan meri soorat mein nahi aa sakta aur jo shakhs mujh par jaan boojh kar jhoot bole woh dozakh mein apna thikana talaash kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كِتَابَةِ الْعِلْمِ:
Bab: (Deeni) ilm ko qalam-band karne ke jawaz mein.
Hadith Number: 111
حدثنا محمد بن سلام، قال: اخبرنا وكيع، عن سفيان، عن مطرف، عن الشعبي، عن ابي جحيفة، قال: قلت لعلي:" هل عندكم كتاب؟ قال: لا، إلا كتاب الله، او فهم اعطيه رجل مسلم او ما في هذه الصحيفة، قال: قلت، فما في هذه الصحيفة؟ قال: العقل وفكاك الاسير، ولا يقتل مسلم بكافر".
Hum se Muhammed bin Salaam ne bayan kiya, unhein Wakee’ ne Sufyan se khabar di, unhon ne Mutarrif se suna, unhon ne Sha’bi Rahimahullah se, unhon ne Abu Juhaifah se, woh kehte hain ke main ne ’Ali Radhiallahu Anhu se poocha ke kya aap ke paas koi (aur bhi) kitaab hai? Unhon ne farmaaya ke nahi, magar Allah ki kitaab Quran hai ya phir feham hai jo woh ek musalmaan ko ata karta hai. Ya phir jo kuch is saheefe mein hai. Main ne poocha, is saheefe mein kya hai? Unhon ne farmaaya, diyat aur qaidiyon ki rihaayi ka bayan hai aur yeh hukm ke musalmaan, kaafir ke badle qatl na kiya jaaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 112
حدثنا ابو نعيم الفضل بن دكين، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة،" ان خزاعة قتلوا رجلا من بني ليث عام فتح مكة بقتيل منهم قتلوه، فاخبر بذلك النبي صلى الله عليه وسلم، فركب راحلته فخطب، فقال: إن الله حبس عن مكة القتل او الفيل، شك ابو عبد الله، كذا قال ابو نعيم: واجعلوه على الشك الفيل او القتل، وغيره يقول: الفيل، وسلط عليهم رسول الله صلى الله عليه وسلم والمؤمنين، الا وإنها لم تحل لاحد قبلي ولم تحل لاحد بعدي، الا وإنها حلت لي ساعة من نهار، الا وإنها ساعتي هذه حرام لا يختلى شوكها، ولا يعضد شجرها، ولا تلتقط ساقطتها إلا لمنشد، فمن قتل فهو بخير النظرين، إما ان يعقل وإما ان يقاد اهل القتيل، فجاء رجل من اهل اليمن، فقال: اكتب لي يا رسول الله، فقال: اكتبوا لابي فلان، فقال رجل من قريش: إلا الإذخر يا رسول الله، فإنا نجعله في بيوتنا وقبورنا، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إلا الإذخر إلا الإذخر" قال ابو عبد الله: يقال يقاد بالقاف، فقيل لابي عبد الله: اي شيء كتب له، قال: كتب له هذه الخطبة.
Hum se Abu Nu’aim Al-Fazl bin Dukain ne bayan kiya, un se Shaibaan ne Yahya ke waaste se naql kiya, woh Abu Salamah se, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke qabeela-e-Khuza’ah (ke kisi shakhs) ne banu Laith ke kisi aadmi ko apne kisi maqtool ke badle mein maar diya tha, yeh Fatah-e-Makkah waale saal ki baat hai, Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh khabar di gayi, Aap ne apni oontni par sawaar ho kar khutbah padha aur farmaaya ke Allah ne Makkah se qatl ya haathi ko rok liya. Imam Bukhari Rahimahullah farmaate hain is lafz ko shak ke saath samjho, aisa hi Abu Nu’aim waghera ne «الْقَتْلَ» aur «الْفِيلَ» kaha hai. Un ke alawah doosre log «الْفِيلَ» kehte hain. (Phir Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya) ke Allah ne un par apne Rasool aur musalmaanon ko ghaalib kar diya aur samajh lo ke woh (Makkah) kisi ke liye halaal nahi huwa. Na mujh se pehle aur na (aaindah) kabhi hoga aur mere liye bhi sirf din ke thode se hisse ke liye halaal kar diya gaya tha. Sun lo ke woh is waqt haraam hai. Na us ka koi kaanta toda jaaye, na us ke darakht kaate jaayen aur us ki giri-padi cheezein bhi wahi uthaaye jis ka mansha yeh ho ke woh us cheez ka taaruf kara dega. To agar koi shakhs maara jaaye to (us ke azeezon ko) ikhtiyaar hai do baaton ka, ya diyat len ya badla. Itne mein ek Yamani aadmi (Abu Shah naami) aaya aur kehne laga (yeh masaail) mere liye likhwa dijiye. Tab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke Abu Fulan ke liye (yeh masaail) likh do. To ek Quraishi shakhs ne kaha ke ya RasoolAllah! Magar Izkhir (yani Izkhir kaatne ki ijazat de dijiye) kiunki use hum gharon ki chaton par daalte hain. (Ya mitti mila kar) aur apni qabron mein bhi daalte hain (yeh sun kar) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke (haan) magar Izkhir, magar Izkhir.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 113
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: حدثنا عمرو، قال: اخبرني وهب بن منبه، عن اخيه، قال: سمعت ابا هريرة، يقول:" ما من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم احد اكثر حديثا عنه مني، إلا ما كان من عبد الله بن عمرو، فإنه كان يكتب ولا اكتب"، تابعه معمر، عن همام، عن ابي هريرة.
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, un se Sufyan ne, un se ’Amr ne, woh kehte hain ke mujhe Wahb bin Munabbih ne apne bhai ke waaste se khabar di, woh kehte hain ke main ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ko kehte huwe suna ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba mein Abdullah bin ’Amr Radhiallahu Anhuma ke alawah mujh se ziyada koi Hadees bayan karne waala nahi tha. Magar woh likh liya karte the aur main likhta nahi tha. Doosri sanad se Ma’mar ne Wahb bin Munabbih ki Mutaba’at ki, woh Hammaam se riwayat karte hain, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة