الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنِ اسْتَحْيَا فَأَمَرَ غَيْرَهُ بِالسُّؤَالِ:
Bab: Is bayan mein ke masa’il-e-shar’iyyah maloom karne mein jo shakhs (kisi ma’qool wajah se) sharmaaye woh kisi doosre aadmi ke zariye se mas’ala maloom kar le.
Hadith Number: 132
حدثنا مسدد، قال: حدثنا عبد الله بن داود، عن الاعمش، عن منذر الثوري، عن محمد ابن الحنفية، عن علي، قال:" كنت رجلا مذاء، فامرت المقداد ان يسال النبي صلى الله عليه وسلم، فساله، فقال: فيه الوضوء".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, un se Abdullah Ibn-e-Dawood ne A’mash ke waaste se bayan kiya, unhon ne Munzir Thauri se naql kiya, unhon ne Muhammed Ibn-ul-Hanafiyyah se naql kiya, woh ’Ali Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke main aisa shakhs tha jise jiryan-e-mazi ki shikaayat thi, to main ne (apne shagird) Miqdad ko hukm diya ke woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se daryaaft karen. To unhon ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se is baare mein poocha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke is (marz) mein ghusl nahi hai (haan) Wuzu farz hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذِكْرِ الْعِلْمِ وَالْفُتْيَا فِي الْمَسْجِدِ:
Bab: Masjid mein ilmi mukalama karna aur fatwa dena ja’iz hai.
Hadith Number: 133
حدثني قتيبة بن سعيد، قال: حدثنا الليث بن سعد، قال: حدثنا نافع مولى عبد الله بن عمر بن الخطاب، عن عبد الله بن عمر، ان رجلا قام في المسجد، فقال: يا رسول الله، من اين تامرنا ان نهل؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يهل اهل المدينة من ذي الحليفة، ويهل اهل الشام من الجحفة، ويهل اهل نجد من قرن"، وقال ابن عمر: ويزعمون ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: ويهل اهل اليمن من يلملم، وكان ابن عمر، يقول: لم افقه هذه من رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Qutaibah bin Sa’eed ne bayan kiya, kaha hum ko Laith bin Sa’d ne khabar di, un se Nafe’ Maula Abdullah bin Umar bin Al-Khattaab ne, unhon ne Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat kiya ke (ek martaba) ek aadmi ne Masjid mein khade ho kar arz kiya, ya Rasoolallah! Aap hamein kis jagah se Ehraam baandhne ka hukm dete hain? To Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, Madinah waale Zul-Hulaifah se Ehraam baandhein, aur Ahl-e-Sham Juhfa se aur Najd waale Qarn-ul-Manazil se. Ibn-e-Umar Radhiallahu Anhuma ne farmaaya, ke logon ka khayaal hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke Yemen waale Yalamlam se Ehraam baandhein. Aur Ibn-e-Umar Radhiallahu Anhuma kaha karte the ke mujhe yeh (aakhiri jumla) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se yaad nahi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَجَابَ السَّائِلَ بِأَكْثَرَ مِمَّا سَأَلَهُ:
Bab: Sa’il ko us ke sawal se zyada jawab dena, (taake usay tafseeli maloomat ho jayen).
Hadith Number: 134
حدثنا آدم، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، عن نافع، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وعن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ان رجلا ساله ما يلبس المحرم؟ فقال:" لا يلبس القميص ولا العمامة ولا السراويل ولا البرنس ولا ثوبا مسه الورس او الزعفران، فإن لم يجد النعلين فليلبس الخفين وليقطعهما حتى يكونا تحت الكعبين".
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha un ko Ibn-e-Abi Zi’b ne Nafe’ ke waaste se khabar di, woh Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se aur (doosri sanad mein) Zohri Salim se, kaha woh Ibn-e-Umar Radhiallahu Anhuma se, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain ke ek shakhs ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke Ehraam baandhne waale ko kya pahanna chaahiye? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke na qamees pahne na Saafa baandhe aur na pajamah aur na koi Sarposh oodhe aur na koi Za’faran aur Wars se ranga huwa kapda pahne aur agar joote na milen to moze pahan le aur jnhein (is tarah) kaat de ke takhnon se neeche ho jaayen.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة