الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ فَضْلِ مَنْ عَلِمَ وَعَلَّمَ:
Bab: Parhne aur parhane wale ki fazilat ke bayan mein.
Hadith Number: 79
حدثنا محمد بن العلاء، قال: حدثنا حماد بن اسامة، عن بريد بن عبد الله، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مثل ما بعثني الله به من الهدى والعلم، كمثل الغيث الكثير اصاب ارضا فكان منها نقية قبلت الماء، فانبتت الكلا والعشب الكثير، وكانت منها اجادب امسكت الماء، فنفع الله بها الناس فشربوا وسقوا وزرعوا، واصابت منها طائفة اخرى إنما هي قيعان لا تمسك ماء ولا تنبت كلا، فذلك مثل من فقه في دين الله ونفعه ما بعثني الله به فعلم وعلم، ومثل من لم يرفع بذلك راسا ولم يقبل هدى الله الذي ارسلت به"، قال ابو عبد الله: قال إسحاق: وكان منها طائفة قيلت الماء قاع يعلوه الماء والصفصف المستوي من الارض.
Hum se Muhammed bin ’Alaa ne bayan kiya, un se Hammad bin Usamah ne Buraid bin Abdullah ke waaste se naql kiya, woh Abi Burdah se riwayat karte hain, woh Abu Musa se aur woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke Allah Ta’ala ne mujhe jis ilm o hidaayat ke saath bheja hai us ki misaal zabardast baarish ki si hai jo zameen par (khoob) barse. Ba’z zameen jo saaf hoti hai woh paani ko pi leti hai aur bahut bahut sabza aur ghaas ugaati hai aur ba’z zameen jo sakht hoti hai woh paani ko rok leti hai us se Allah Ta’ala logon ko faida pahunchaata hai. Woh us se sairaab hote hain aur sairaab karte hain. Aur kuch zameen ke ba’z khitton par paani padta hai jo bilkul chatyal maidaan hote hain. Na paani rokte hain aur na hi sabza ugaate hain. To yeh us shakhs ki misaal hai jo deen mein samajh paida kare aur nafa’ de us ko woh cheez jis ke saath main mab’oos kiya gaya hun. Us ne ilm-e-deen seekha aur sikhaaya aur us shakhs ki misaal jis ne sar nahi uthaaya (yani tawajjo nahi ki) aur jo hidaayat de kar main bheja gaya hun use qabool nahi kiya. Imam Bukhari Rahimahullah farmaate hain ke Ibn-e-Ishaq ne Abu Usamah ki riwayat se «قَيَّلَتِ الْمَاءَ» ka lafz naql kiya hai. «قَاع» Us khitta-e-zameen ko kehte hain jis par paani chadh jaaye (magar thehre nahi) aur «صَفْصَف» us zameen ko kehte hain jo bilkul hamwaar ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ رَفْعِ الْعِلْمِ وَظُهُورِ الْجَهْلِ:
Bab: Ilm ke zawaal aur jahl ki isha’at ke bayan mein.
Hadith Number: Q80
وقال ربيعة لا ينبغي لاحد عنده شيء من العلم ان يضيع نفسه.
Aur Rabee’ah ka qaul hai ke jis ke paas kuch ilm ho, use yeh jaaiz nahi ke (doosre kaam mein lag kar ilm ko chor de aur) apne aap ko zaaye’ kar de.
Hadith Number: 80
حدثنا عمران بن ميسرة، قال: حدثنا عبد الوارث، عن ابي التياح، عن انس بن مالك، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن من اشراط الساعة ان يرفع العلم، ويثبت الجهل، ويشرب الخمر، ويظهر الزنا".
Hum se Imran bin Maisarah ne bayan kiya, un se Abdul Waris ne Abu Tayyah ke waaste se naql kiya, woh Anas se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya. Alaamat-e-qiyamat mein se yeh hai ke (deeni) ilm uth jaayega aur jahl hi jahl zahir ho jaayega. Aur (elaaniya) sharaab pi jaayegi aur zina phail jaayega.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 81
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن شعبة، عن قتادة، عن انس، قال: لاحدثنكم حديثا لا يحدثكم احد بعدي، سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" من اشراط الساعة، ان يقل العلم، ويظهر الجهل، ويظهر الزنا، وتكثر النساء، ويقل الرجال حتى يكون لخمسين امراة القيم الواحد".
Hum se Musaddad ne bayan kiya un se Yahya ne Sho’bah se naql kiya, woh Qatadah se aur Qatadah Anas se riwayat karte hain, unhon ne farmaaya ke main tum se ek aisi Hadees bayan karta hun jo mere baad tum se koi nahi bayan karega, main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh farmaate huwe suna ke alaamat-e-qiyamat mein se yeh hai ke ilm (deen) kam ho jaayega. Jahl zahir ho jaayega. Zina bakasrat hoga. Aurtein badh jaayengi aur mard kam ho jaayenge. Hatta ke 50 aurton ka nigraan sirf ek mard reh jaayega.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ الْعِلْمِ:
Bab: Ilm ki fazilat ke bayan mein.
Hadith Number: 82
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، عن حمزة بن عبد الله بن عمر، ان ابن عمر، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا انا نائم، اتيت بقدح لبن فشربت حتى إني لارى الري يخرج في اظفاري، ثم اعطيت فضلي عمر بن الخطاب، قالوا: فما اولته يا رسول الله، قال: العلم".
Hum se Sa’eed bin ’Ufair ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Laith ne, un se ’Aqeel ne Ibn-e-Shihaab ke waaste se naql kiya, woh Hamzah bin Abdullah bin Umar se naql karte hain ke Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma ne farmaaya main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh farmaate huwe suna hai ke main so raha tha (usi haalat mein) mujhe doodh ka ek pyaala diya gaya. Main ne (khoob achchi tarah) pi liya. Hatta ke main ne dekha ke taazgi mere nakhunon se nikal rahi hai. Phir main ne apna bacha huwa (doodh) Umar bin Khattab ko de diya. Sahaba Radhiallahu Anhum ne poocha Aap ne us ki kiya ta’beer li? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ilm.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْفُتْيَا وَهُوَ وَاقِفٌ عَلَى الدَّابَّةِ وَغَيْرِهَا:
Bab: Janwar waghera par sawaar ho kar fatwa dena ja’iz hai.
Hadith Number: 83
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن عيسى بن طلحة بن عبيد الله، عن عبد الله بن عمرو بن العاص،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم وقف في حجة الوداع بمنى للناس يسالونه فجاءه رجل، فقال: لم اشعر فحلقت قبل ان اذبح؟ فقال: اذبح ولا حرج، فجاء آخر، فقال: لم اشعر فنحرت قبل ان ارمي؟ قال: ارم ولا حرج، فما سئل النبي صلى الله عليه وسلم عن شيء قدم ولا اخر إلا قال: افعل ولا حرج".
Hum se Ismail ne bayan kiya, un se Malik ne Ibn-e-Shihaab ke waaste se bayan kiya, woh Esa bin Talha bin Ubaidullah se riwayat karte hain, woh Abdullah bin Amr bin Al-’Aas se naql karte hain ke Hajjat-ul-Wada’ mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam logon ke masaail daryaaft karne ki wajah se Minaa main thehar gaye. To ek shakhs aaya aur us ne kaha ke main ne bekhabri mein zabah karne se pehle sar munda liya. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya (ab) zabah kar le aur kuch harj nahi. Phir doosra aadmi aaya, us ne kaha ke main ne bekhabri mein Rami karne se pehle qurbani kar li. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya (ab) Rami kar le. (Aur pehle kar dene se) kuch harj nahi. Ibn-e-Amr kehte hain (us din) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se jis cheez ka bhi sawaal huwa, jo kisi ne aage aur peeche kar li thi. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yahi farmaaya ke ab kar le aur kuch harj nahi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَجَابَ الْفُتْيَا بِإِشَارَةِ الْيَدِ وَالرَّأْسِ:
Bab: Is shakhs ke bare mein jo haath ya sar ke ishaare se fatwe ka jawab de.
Hadith Number: 84
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس،" ان النبي صلى الله عليه وسلم سئل في حجته، فقال: ذبحت قبل ان ارمي؟ فاوما بيده، قال: ولا حرج، قال: حلقت قبل ان اذبح؟ فاوما بيده، ولا حرج".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, un se Wuhaib ne, un se Ayyub ne ’Ikrimah ke waaste se naql kiya, woh Ibne-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Aap ke (aakhiri) Hajj mein kisi ne poocha ke main ne rami karne (yani kankar phenkne) se pehle zabah kar liya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne haath se ishaara kiya (aur) farmaaya kuch harj nahi. Kisi ne kaha ke main ne zabah se pehle halq kara liya. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne sar se ishaara farmaa diya ke kuch harj nahi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 85
حدثنا المكي بن إبراهيم، قال: اخبرنا حنظلة بن ابي سفيان، عن سالم، قال: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يقبض العلم، ويظهر الجهل والفتن، ويكثر الهرج، قيل: يا رسول الله، وما الهرج؟ فقال: هكذا بيده، فحرفها كانه يريد القتل".
Hum se Makki Ibn-e-Ibrahim ne bayan kiya, unhein Hanzalah ne Salim se khabar di, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke (ek waqt aisa aayega ke jab) ilm utha liya jaayega. Jahaalat aur fitne phail jaayenge aur Harj badh jaayega. Aap se poocha gaya ke ya RasoolAllah! Harj se kya muraad hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne haath ko harkat de kar farmaaya is tarah, goya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us se qatl muraad liya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 86
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا هشام، عن فاطمة، عن اسماء، قالت:" اتيت عائشة وهي تصلي، فقلت: ما شان الناس، فاشارت إلى السماء، فإذا الناس قيام، فقالت: سبحان الله، قلت: آية، فاشارت براسها اي نعم، فقمت حتى تجلاني الغشي، فجعلت اصب على راسي الماء، فحمد الله عز وجل النبي صلى الله عليه وسلم واثنى عليه، ثم قال: ما من شيء لم اكن اريته إلا رايته في مقامي حتى الجنة والنار، فاوحي إلي انكم تفتنون في قبوركم مثل او قريبا لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: من فتنة المسيح الدجال، يقال: ما علمك بهذا الرجل؟ فاما المؤمن او الموقن لا ادري بايهما، قالت اسماء، فيقول: هو محمد رسول الله جاءنا بالبينات والهدى فاجبنا واتبعنا هو محمد ثلاثا، فيقال: نم صالحا، قد علمنا إن كنت لموقنا به، واما المنافق او المرتاب لا ادري اي ذلك، قالت اسماء: فيقول: لا ادري، سمعت الناس يقولون شيئا فقلته".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, un se Wuhaib ne, un se Hishaam ne Fatima ke waaste se naql kiya, woh Asma se riwayat karti hain ke main Aisha Radhiallahu Anha ke paas aayi, woh Namaz padh rahi thein, main ne kaha ke logon ka kya haal hai? To unhon ne aasman ki taraf ishaara kiya (yani suraj ko gahan laga hai) itne mein log (Namaz ke liye) khade ho gaye. Aisha Radhiallahu Anha ne kaha, Allah paak hai. Main ne kaha (kya yeh gahan) koi (khaas) nishaani hai? Unhon ne sar se ishaara kiya yani haan! Phir main (bhi Namaz ke liye) khadi ho gayi. Hatta ke mujhe ghash aane laga, to main apne sar par paani daalne lagi. Phir (Namaz ke baad) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Allah Ta’ala ki ta’reef aur us ki sifat bayan farmaayi, phir farmaaya, jo cheez mujhe pehle dikhlaayi nahi gayi thi aaj woh sab is jagah main ne dekh li, yahan tak ke jannat aur dozakh ko bhi dekh liya aur mujh par yeh Wahi ki gayi ke tum apni qabron mein aazmaaye jaaoge, «مِثْل» ya «قَرِيب» ka kaun sa lafz Asma ne farmaaya, main nahi jaanti, Fatima kehti hain (yani) fitna-e-Dajjaal ki tarah (aazmaaye jaaoge) kaha jaayega (qabr ke andar ke) tum is aadmi ke baare mein kya jaante ho? To jo sahib-e-imaan ya sahib-e-yaqeen hoga, kaun sa lafz farmaaya Asma Radhiallahu Anha ne, mujhe yaad nahi. Woh kahega woh Muhammed Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hain, jo hamaare paas Allah ki hidaayat aur daleelen le kar aaye to hum ne un ko qabool kar liya aur un ki pairwi ki woh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam hain. Teen baar (isi tarah kahega) phir (us se) keh diya jaayega ke aaraam se so jaa be-shak hum ne jaan liya ke tu Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam par yaqeen rakhta tha. Aur beher-haal munafiq ya shakki aadmi, main nahi jaanti ke in mein se kaun sa lafz Asma Radhiallahu Anha ne kaha. To woh (munafiq ya shakki aadmi) kahega ke jo logon ko main ne kehte suna main ne (bhi) wahi keh diya. (Baaqi main kuch nahi jaanta.)
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَحْرِيضِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَفْدَ عَبْدِ الْقَيْسِ عَلَى أَنْ يَحْفَظُوا الإِيمَانَ وَالْعِلْمَ وَيُخْبِرُوا مَنْ وَرَاءَهُمْ:
Bab: Rasoolullah ﷺ ka qabilah Abd-ul-Qais ke wafd ko us par aamada karna ke woh imaan layen aur ilm ki baatein yaad rakhen aur apne peechhe reh jane walon ko bhi khabar kar den.
Hadith Number: Q87
وقال مالك بن الحويرث قال لنا النبي صلى الله عليه وسلم: «ارجعوا إلى اهليكم، فعلموهم» .
Aur Malik bin Al-Huwairith ne farmaaya ke hamein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke apne ghar waalon ke paas laut kar unhein (deen) ilm sikhaao.