الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَتَى يَسْجُدُ مَنْ خَلْفَ الإِمَامِ:
Bab: Imam ke peechhe muqtadi kab sajda karen?
Show diacritics
Hadith Number: Q690
قال انس: فإذا سجد فاسجدوا.
Aur Anas razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya hai ke jab imam sajda kare to tum log bhi sajda karo (yeh hadees pehle guzar chuki hai) .


Show diacritics
Hadith Number: 690
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن سفيان، قال: حدثني ابو إسحاق، قال: حدثني عبد الله بن يزيد، قال: حدثني البراء وهو غير كذوب، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا قال: سمع الله لمن حمده، لم يحن احد منا ظهره حتى يقع النبي صلى الله عليه وسلم ساجدا، ثم نقع سجودا بعده"، حدثنا ابو نعيم، عن سفيان، عن ابي إسحاق نحوه بهذا.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Saeed ne Sufyan se byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Ishaq ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Yazid ne byaan kiya , kaha ke mujh se Bara bin Aazib razi Allahu anhu ne byaan kiya , woh jhootay nahi thay . (balkay nihayat hi sachay thay) unhon ne batlaya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam «sami Allahu liman hamidah» kehtay to hum mein se koi bhi us waqt tak na jhukta jab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam sajde mein na chalay jatay phir hum log sajde mein jatay . Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Thauri ne , unhon ne Abu Ishaq se jaise upar guzra .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِثْمِ مَنْ رَفَعَ رَأْسَهُ قَبْلَ الإِمَامِ:
Bab: (Ruku’ ya sajde mein) imam se pehle sar uthane wale ka gunah kitna hai?
Show diacritics
Hadith Number: 691
حدثنا حجاج بن منهال، قال: حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اما يخشى احدكم او لا يخشى احدكم إذا رفع راسه قبل الإمام ان يجعل الله راسه راس حمار او يجعل الله صورته صورة حمار".
Hum se Hajjaj bin Minhaal ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne Muhammad bin Ziyad se byaan kiya , kaha ke main ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se suna , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat karte thay ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya tum mein woh shakhs jo (ruku ya sajde mein) imam se pehle apna sar utha leta hai us baat se nahi darta ke kahin Allah Paak us ka sar gadhe ke sar ki tarah bana de ya us ki soorat ko gadhe ki si soorat bana de .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِمَامَةِ الْعَبْدِ وَالْمَوْلَى:
Bab: Ghulam ki aur azaad kiye hue ghulam ki imamat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q692
وكانت عائشة يؤمها عبدها ذكوان من المصحف وولد البغي والاعرابي والغلام الذي لم يحتلم، لقول النبي صلى الله عليه وسلم: يؤمهم اقرؤهم لكتاب الله.
Aur Aishah razi Allahu anha ki imamat un ka ghulam Zakwan Quran dekh kar kiya karta tha aur walad uz zina aur ganwar aur nabaligh larke ki imamat ka bayan kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka irshaad hai ke Kitaab Allah ka sab se behtar parhne wala imamat karaye aur ghulam ko baghair kisi khaas uzr ke jamaat mein shirkat se na roka jayega .


Show diacritics
Hadith Number: 692
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثنا انس بن عياض، عن عبيد الله، عن نافع، عن بن عمر، قال:" لما قدم المهاجرون الاولون العصبة موضع بقباء قبل مقدم رسول الله صلى الله عليه وسلم، كان يؤمهم سالم مولى ابي حذيفة، وكان اكثرهم قرآنا".
Hum se Ibrahim bin al-Munzir Hizami ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Anas bin Iyaad ne byaan kiya unhon ne Ubaydullah Umari se , unhon ne Nafi se unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se ke jab pehle muhajireen Rasool Allah salla Allahu a se pehle Quba ke maqaam Asbah mein pohanche to un ki imamat Abu Huzayfah ke ghulam Salim razi Allahu anhu kiya karte thay . Aap ko Quran Majeed sab se zyada yaad tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 693
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا يحيى، حدثنا شعبة، قال: حدثني ابو التياح، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"اسمعوا واطيعوا، وإن استعمل حبشي كان راسه زبيبة".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abut Tayyah Yazid bin Humayd Dubayi ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se byaan kiya , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (apne haakim ki) suno aur itaat karo , khwah ek aisa Habshi (ghulam tum par) kyun na haakim bana diya jaye jis ka sar sookhe huay angoor ke barabar ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا لَمْ يُتِمَّ الإِمَامُ وَأَتَمَّ مَنْ خَلْفَهُ:
Bab: Agar imam apni namaz ko poora na kare aur muqtadi poora karen.
Show diacritics
Hadith Number: 694
حدثنا الفضل بن سهل، قال: حدثنا الحسن بن موسى الاشيب، قال: حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله بن دينار، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" يصلون لكم، فإن اصابوا فلكم، وإن اخطئوا فلكم وعليهم".
Hum se Fadl bin Sahl ne byaan kiya , kaha ke hum se Hasan bin Musa Ashyab ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Abdur Rahman bin Abdullah bin Dinar ne byaan kiya Zaid bin Aslam se , unhon ne Ata bin Yasar se , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke imam logon ko namaaz parhate hain . Pas agar imam ne theek namaaz parhayi to us ka sawab tumhein mile ga aur agar ghalti ki to bhi (tumhari namaaz ka) sawab tum ko mile ga aur ghalti ka wabaal un par rahe ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِمَامَةِ الْمَفْتُونِ وَالْمُبْتَدِعِ:
Bab: Baaghi aur bid’ati ki imamat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q695
وقال الحسن: صل وعليه بدعته.
Aur badati ke mutalliq Imam Hasan Basri rahimahullah ne kaha ke to us ke peeche namaaz parh le us ki badat us ke sar rahe gi .


Show diacritics
Hadith Number: 695
قال ابو عبد الله: وقال لنا: محمد بن يوسف، حدثنا الاوزاعي، حدثنا الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن عبيد الله بن عدي بن خيار، انه دخل على عثمان بن عفان رضي الله عنه وهو محصور، فقال: إنك إمام عامة، ونزل بك ما نرى، ويصلي لنا إمام فتنة ونتحرج، فقال:" الصلاة احسن ما يعمل الناس، فإذا احسن الناس فاحسن معهم، وإذا اساءوا فاجتنب إساءتهم"، وقال الزبيدي: قال الزهري: لا نرى ان يصلى خلف المخنث إلا من ضرورة لا بد منها.
Imam Bukhari rahimahullah ne kaha ke hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne kaha ke hum se Imam Awzai ne byaan kiya , kaha hum se Imam Zuhri ne Humayd bin Abdur Rahman se naql kiya . Unhon ne Ubaydullah bin Adi bin Khiyar se ke woh khud Usman Ghani razi Allahu anhu ke paas gaye . Jab ke baghiyon ne un ko gher rakha tha . Unhon ne kaha ke Aap hi aam musalmanon ke imam hain magar Aap par jo museebat hai woh Aap ko maloom hai . In halaat mein baghiyon ka muqarrara imam namaaz parha raha hai . Hum darte hain ke us ke peeche namaaz parh kar gunahgaar na ho jayen . Usman razi Allahu anhu ne jawab diya namaaz to jo log kaam karte hain un kaamon mein sab se behtar kaam hai . To woh jab achha kaam karen tum bhi us ke saath mil kar achha kaam karo aur jab woh bura kaam karen to tum un ki burai se alag raho aur Muhammad bin Yazid Zubaydi ne kaha ke Imam Zuhri ne farmaya ke hum to yeh samajhte hain ke hijre ke peeche namaaz na parheen . Magar aisi hi lachari ho to aur baat hai jis ke baghair koi chara na ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 696
حدثنا محمد بن ابان، حدثنا غندر، عن شعبة عن ابي التياح، انه سمع انس بن مالك، قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي ذر:"اسمع واطع ولو لحبشي كان راسه زبيبة".
Hum se Muhammad bin Aban ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne byaan kiya Shubah se , unhon ne Abut Tayyah se , unhon ne Anas bin Malik se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Abu Zar se farmaya (haakim ki) sun aur itaat kar . Khwah woh ek aisa Habshi ghulam hi kyun na ho jis ka sar munqay ke barabar ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة