الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَغَازِي
The Book of Al- Maghazi
بَابُ حَجَّةُ الْوَدَاعِ:
Chapter. Hajjat-ul-Wada.
Show diacritics
Hadith Number: 4395
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، حدثنا مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع، فاهللنا بعمرة، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من كان معه هدي، فليهلل بالحج مع العمرة، ثم لا يحل حتى يحل منهما جميعا"، فقدمت معه مكة وانا حائض، ولم اطف بالبيت، ولا بين الصفا والمروة، فشكوت إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال:" انقضي راسك وامتشطي، واهلي بالحج ودعي العمرة"، ففعلت، فلما قضينا الحج ارسلني رسول الله صلى الله عليه وسلم مع عبد الرحمن بن ابي بكر الصديق إلى التنعيم، فاعتمرت، فقال:" هذه مكان عمرتك"، قالت: فطاف الذين اهلوا بالعمرة بالبيت وبين الصفا والمروة، ثم حلوا، ثم طافوا طوافا آخر بعد ان رجعوا من منى، واما الذين جمعوا الحج والعمرة، فإنما طافوا طوافا واحدا.
Hum se Ismail bin Abdullah ne byaan kiya , kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , un se Urwah bin Zubayr ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Hajjat al-Wida ke mauqa par hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath rawana huay . Hum ne umrah ka ihram bandha tha phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ke saath hadi ho woh umrah ke saath hajj ka bhi ihram bandh le aur jab tak donon ke arkan na ada kar le ihram na khole . Phir main Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath jab Makkah aayi to mujh ko haiz aa gaya . Is liye na Bayt Allah ka tawaf kar saki aur na Safa aur Marwah ki sayi kar saki . Main ne is ki shikayat Aap salla Allahu alaihi wasallam se ki to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sar khol le aur kangha kar le . Is ke baad hajj ka ihram bandh lo aur umrah chhor do . Main ne aisa hi kiya . Phir jab hum hajj ada kar chuke to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe (mere bhai) Abdur Rahman bin Abi Bakr razi Allahu anhuma ke saath Taneem se (umrah ki) niyat karne ke liye bheja aur main ne umrah kiya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh tumhare is chhoti huay umrah ki qaza hai . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jin logon ne sirf umrah ka ihram bandha tha . Unhon ne Bayt Allah ke tawaf aur Safa aur Marwah ki sayi ke baad ihram khol diya . Phir Mina se wapsi ke baad unhon ne doosra tawaf (hajj ka) kiya , lekin jin logon ne hajj aur umrah donon ka ihram ek saath bandha tha , unhon ne ek hi tawaf kiya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4396
حدثني عمرو بن علي، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا ابن جريج، قال: حدثني عطاء، عن ابن عباس: إذا طاف بالبيت فقد حل، فقلت: من اين؟ قال: هذا ابن عباس، قال: من قول الله تعالى: ثم محلها إلى البيت العتيق سورة الحج آية 33، ومن امر النبي صلى الله عليه وسلم اصحابه ان:" يحلوا في حجة الوداع"، قلت: إنما كان ذلك بعد المعرف، قال: كان ابن عباس يراه قبل وبعد.
Mujh se Amr bin Ali Fallas ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Jurayj ne byaan kiya , kaha mujh se Ata bin Abi Rabah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke (umrah karne wala) sirf Bayt Allah ke tawaf se halal ho sakta hai . (Ibn Jurayj ne kaha) Main ne Ata se poocha ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne yeh masla kahan se nikala ? Unhon ne bataya ke Allah Ta'ala ke irshad «summa mahilluha ilal Baytil Ateeq» (Surah al-Hajj) se aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke is hukm ki wajah se jo Aap ne apne as-haab ko Hajjat al-Wida mein ihram khol dene ke liye diya tha main ne kaha ke yeh hukm to Arafat mein theharne ke baad ke liye hai . Unhon ne kaha lekin Ibn Abbas razi Allahu anhuma ka yeh mazhab tha ke Arafat mein theharne se pehle aur baad har haal mein jab tawaf kar le to ihram khol daalna durust hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4397
حدثني بيان، حدثنا النضر، اخبرنا شعبة، عن قيس، قال: سمعت طارقا، عن ابي موسى الاشعري رضي الله عنه، قال: قدمت على النبي صلى الله عليه وسلم بالبطحاء، فقال:" احججت؟" قلت: نعم، قال:" كيف اهللت؟" قلت: لبيك بإهلال كإهلال رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" طف بالبيت وبالصفا والمروة، ثم حل"، فطفت بالبيت وبالصفا والمروة، واتيت امراة من قيس ففلت راسي.
Mujh se Bayan bin Amr ne byaan kiya , kaha hum se Nadr bin Shumayl ne byaan kiya , unhein Shubah ne khabar di , un se Qays bin Muslim ne byaan kiya , unhon ne Tariq bin Shihab se suna aur un se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua . Is waqt Aap salla Allahu alaihi wasallam Wadi e Bathaa (sang-rezi zameen) mein qiyam kiye huay thay . Aap ne poocha tum ne hajj ka ihram bandh liya ? Main ne arz kiya ke ji haan . Daryaft farmaya , ihram kis tarah bandha hai ? Arz kiya (is tarah) ke main bhi isi tarah ihram bandhta hoon jis tarah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bandha hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke pehle (umrah karne ke liye) Bayt Allah ka tawaf kar , phir Safa aur Marwah ki sayi kar , phir halal ho ja . Chunanche main Bayt Allah ka tawaf aur Safa aur Marwah ki sayi kar ke qabila Qays ki ek aurat ke ghar aaya aur unhon ne mere sar se juein nikalein .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4398
حدثني إبراهيم بن المنذر، اخبرنا انس بن عياض، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، ان ابن عمر اخبره، ان حفصة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم اخبرته: ان النبي صلى الله عليه وسلم:" امر ازواجه ان يحللن عام حجة الوداع"، فقالت حفصة: فما يمنعك؟ فقال:" لبدت راسي، وقلدت هديي، فلست احل حتى انحر هديي".
Mujh se Ibrahim bin al-Munzhir ne byaan kiya , kaha hum ko Anas bin Ayadh ne khabar di , kaha hum se Musa bin Uqbah ne byaan kiya , un se Nafi ne unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Hafsa razi Allahu anha ne unhein khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Hajjat al-Wida ke mauqa par apni biwiyon ko hukm diya ke (umrah karne ke baad) halal ho jayein (yani ihram khol dein) Hafsa razi Allahu anha ne arz kiya (ya Rasool Allah!) phir Aap kyun nahi halal hote ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne to apne baalon ko jama liya hai aur apni qurbani ko haar pehna diya hai , is liye main jab tak qurbani na kar loon is waqt tak ihram nahi khol sakta .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4399
حدثنا ابو اليمان، قال: حدثني شعيب، عن الزهري، وقال محمد بن يوسف: حدثنا الاوزاعي، قال: اخبرني ابن شهاب، عن سليمان بن يسار، عن ابن عباس رضي الله عنهما: ان امراة من خثعم استفتت رسول الله صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع والفضل بن عباس رديف رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، إن فريضة الله على عباده ادركت ابي شيخا كبيرا لا يستطيع ان يستوي على الراحلة، فهل يقضي ان احج عنه؟ قال:" نعم".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha ke mujh se Shuayb ne byaan kiya , un se Zuhri ne , (doosri sanad) (aur Imam Bukhari rahmahullah alaihi ne kaha) aur mujh se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , kaha hum se Imam Awzai ne byaan kiya , kaha ke mujhe Ibn Shihab ne khabar di , unhein Sulayman bin Yasar ne aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke qabila Khash'am ki ek aurat ne Hajjat al-Wida ke mauqa par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se ek masla poocha , Fadl bin Abbas razi Allahu anhuma Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hi ki sawari par Aap ke peeche baithe huay thay . Unhon ne poocha ke ya Rasool Allah! Allah ka jo fareeza is ke bandon par hai (yani hajj) mere walid par bhi farz ho chuka hai lekin burhapay ki wajah se un ki halat yeh hai ke woh sawari par nahi baith sakte . To kya main un ki taraf se hajj ada kar sakti hoon ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan! Kar sakti ho .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4400
حدثني محمد، حدثنا سريج بن النعمان، حدثنا فليح، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" اقبل النبي صلى الله عليه وسلم عام الفتح وهو مردف اسامة على القصواء ومعه بلال وعثمان بن طلحة حتى اناخ عند البيت، ثم قال لعثمان:" ائتنا بالمفتاح"، فجاءه بالمفتاح، ففتح له الباب، فدخل النبي صلى الله عليه وسلم واسامة، وبلال، وعثمان، ثم اغلقوا عليهم الباب، فمكث نهارا طويلا، ثم خرج وابتدر الناس الدخول، فسبقتهم فوجدت بلالا قائما من وراء الباب، فقلت له: اين صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ فقال: صلى بين ذينك العمودين المقدمين، وكان البيت على ستة اعمدة سطرين صلى بين العمودين من السطر المقدم، وجعل باب البيت خلف ظهره، واستقبل بوجهه الذي يستقبلك حين تلج البيت بينه وبين الجدار، قال: ونسيت ان اساله كم صلى وعند المكان الذي صلى فيه مرمرة حمراء".
Mujh se Muhammad bin Rafi ne byaan kiya , kaha hum se Surayj bin Numan ne byaan kiya , un se Falih bin Sulayman ne byaan kiya un se Nafi ne aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Fatah Makkah ke din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye , Aap salla Allahu alaihi wasallam ki Qaswa oontni par peeche Usamah razi Allahu anhu baithe huay thay aur Aap ke saath Bilal aur Usman bin Talha razi Allahu anhuma bhi thay Aap ne Kaaba ke paas apni oontni bitha di aur Usman razi Allahu anhu se farmaya ke Kaaba ki kunji lao , woh kunji laye aur darwaza khola . Aap andar dakhil huay to Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath Usamah , Bilal aur Usman razi Allahu anhum bhi andar gaye , phir darwaza andar se band kar liya aur der tak andar (namaz aur duaon mein mashghool) rahe . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef laye to log andar jane ke liye ek doosre se aage barhne lage aur main sab se aage barh gaya . Main ne dekha ke Bilal razi Allahu anhu darwaze ke peeche kharay huay hain . Main ne un se poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne namaz kahan parhi thi ? Unhon ne bataya ke Khana Kaaba mein chhay satoon thay . Do qataron mein aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aage ki qatar ke do satoonon ke darmiyan namaz parhi thi . Kaaba ka darwaza Aap salla Allahu alaihi wasallam ki peeth ki taraf tha aur chehra mubarak is taraf tha , jidhar darwaze se andar jate huay chehra karna parta hai . Aap ke aur diwar ke darmiyan (teen hath ka fasla tha) . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke yeh poochna main bhool gaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kitni rakat namaz parhi thi . Jis jagah Aap ne namaz parhi thi wahan surkh sang e marmar bichha hua tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4401
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني عروة بن الزبير، وابو سلمة بن عبد الرحمن، ان عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم اخبرتهما، ان صفية بنت حيي زوج النبي صلى الله عليه وسلم حاضت في حجة الوداع، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:"احابستنا هي"، فقلت: إنها قد افاضت يا رسول الله، وطافت بالبيت، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" فلتنفر".
Hum se Abu al-Yaman Hakam bin Nafi ne byaan kiya ke hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne , kaha mujh se Urwah bin Zubayr aur Abu Salamah bin Abdur Rahman ne byaan kiya aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja Safiya razi Allahu anha Hajjat al-Wida ke mauqa par haiza ho gayi thien . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke kya abhi hamain un ki wajah se rukna pare ga ? Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Yeh to Makkah laut kar tawaf e ziyarat kar chuki hain . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir usay chalna chahiye (tawaf e wida ki zaroorat nahi) .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4402
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: اخبرني ابن وهب، قال: حدثني عمر بن محمد، ان اباه حدثه، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: كنا نتحدث بحجة الوداع والنبي صلى الله عليه وسلم بين اظهرنا، ولا ندري ما حجة الوداع، فحمد الله واثنى عليه، ثم ذكر المسيح الدجال، فاطنب في ذكره وقال:" ما بعث الله من نبي إلا انذر امته، انذره نوح والنبيون من بعده، وإنه يخرج فيكم فما خفي عليكم من شانه، فليس يخفى عليكم ان ربكم ليس على ما يخفى عليكم ثلاثا، إن ربكم ليس باعور، وإنه اعور عين اليمنى، كان عينه عنبة طافية.
Hum se Yahya bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke mujhe Abdullah bin Wahb ne khabar di , kaha ke mujh se Amr bin Muhammad ne byaan kiya , un se un ke walid ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke hum (Hajjat al-Wida) kaha karte thay , jabke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam maujood thay aur hum nahi samajhte thay ke Hajjat al-Wida ka mafhoom kya hai . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Allah ki hamd aur us ki sana byaan ki phir Maseeh Dajjal ka zikr tafseel ke saath kiya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jitne bhi anbiya Allah ne bheje hain , sab ne Dajjal se apni ummat ko daraya hai . Nuh alaihissalam ne apni ummat ko is se daraya aur doosre baad mein aane wale anbiya ne bhi aur woh tum hi mein se nikle ga . Pas yaad rakhna ke tum ko is ke jhoote hone ki aur koi daleel na maloom ho to yahi daleel kafi hai ke woh mardood kaana ho ga aur tumhara Rabb kaana nahi hai us ki aankh aisi maloom ho gi jaise angoor ka dana! .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4403
الا إن الله حرم عليكم دماءكم واموالكم كحرمة يومكم هذا، في بلدكم هذا، في شهركم هذا، الا هل بلغت؟" قالوا: نعم، قال:" اللهم اشهد ثلاثا ويلكم او ويحكم، انظروا لا ترجعوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض".
Khoob sun lo ke Allah Ta'ala ne tum par tumhare aapas ke khoon aur amwaal isi tarah haram kiye hain jaise is din ki hurmat is shehar aur is mahine mein hai . Haan bolo! Kya main ne pahuncha diya ? Sahabah razi Allahu anhum bolay ke Aap ne pahuncha diya . Farmaya: Ae Allah! Tu gawah rahiyo , teen martaba Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh jumla dohraya . Afsos! (Aap ne «waylakum» farmaya ya «wayhakum» , rawi ko shak hai) Dekho , mere baad kafir na ban jana ke ek doosre (Musalman) ki gardan maarne lag jao .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4404
حدثنا عمرو بن خالد، حدثنا زهير، حدثنا ابو إسحاق، قال: حدثني زيد بن ارقم:" ان النبي صلى الله عليه وسلم غزا تسع عشرة غزوة، وانه حج بعد ما هاجر حجة واحدة لم يحج بعدها حجة الوداع"، قال ابو إسحاق: وبمكة اخرى.
Hum se Amr bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Zuhayr bin Muawiyah ne byaan kiya , kaha hum se Abu Ishaq Sabii ne byaan kiya , kaha ke mujh se Zayd bin Arqam razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unnees ghazwe kiye aur Hijrat ke baad sirf ek Hajj kiya . Is Hajj ke baad phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne koi Hajj nahi kiya . Yeh Hajj , Hajjat al-Wida tha . Abu Ishaq ne byaan kiya ke doosra Hajj Aap salla Allahu alaihi wasallam ne (Hijrat se pehle) Makkah mein kiya tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain