الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَغَازِي
The Book of Al- Maghazi
بَابُ حَجَّةُ الْوَدَاعِ:
Chapter. Hajjat-ul-Wada.
Show diacritics
Hadith Number: 4405
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن علي بن مدرك، عن ابي زرعة بن عمرو بن جرير، عن جرير، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال في حجة الوداع لجرير:" استنصت الناس"، فقال:" لا ترجعوا بعدي كفارا يضرب بعضكم رقاب بعض".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne byaan kiya , un se Ali bin Mudrik ne byaan kiya , un se Abu Zurah Haram bin Amr bin Jareer ne byaan kiya aur un se Jareer bin Abdullah Bajali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Hajjat al-Wida ke mauqa par Jareer razi Allahu anhu se farmaya tha logon ko khamosh kar do , phir farmaya , mere baad kafir na ban jana ke ek doosre ki gardan maarne lago .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4406
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، عن محمد، عن ابن ابي بكرة، عن ابي بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" الزمان قد استدار كهيئة يوم خلق السموات والارض، السنة: اثنا عشر شهرا، منها اربعة حرم، ثلاثة متواليات: ذو القعدة، وذو الحجة، والمحرم، ورجب مضر الذي بين جمادى، وشعبان، اي شهر هذا؟" قلنا: الله ورسوله اعلم، فسكت حتى ظننا انه سيسميه بغير اسمه، قال:" اليس ذو الحجة؟" قلنا: بلى، قال:" فاي بلد هذا؟" قلنا: الله ورسوله اعلم، فسكت حتى ظننا انه سيسميه بغير اسمه، قال:" اليس البلدة؟" قلنا: بلى، قال:" فاي يوم هذا؟" قلنا: الله ورسوله اعلم، فسكت حتى ظننا انه سيسميه بغير اسمه، قال:" اليس يوم النحر؟" قلنا: بلى، قال:" فإن دماءكم واموالكم"، قال محمد واحسبه، قال:" واعراضكم عليكم حرام كحرمة يومكم هذا، في بلدكم هذا، في شهركم هذا، وستلقون ربكم فسيسالكم عن اعمالكم، الا فلا ترجعوا بعدي ضلالا يضرب بعضكم رقاب بعض، الا ليبلغ الشاهد الغائب فلعل بعض من يبلغه ان يكون اوعى له من بعض من سمعه"، فكان محمد إذا ذكره، يقول: صدق محمد صلى الله عليه وسلم ثم قال:" الا هل بلغت مرتين؟".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahhab Saqafi ne byaan kiya , kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne byaan kiya , un se Muhammad bin Sireen ne , un se Abdur Rahman bin Abu Bakrah razi Allahu anhuma ne aur un se Abu Bakrah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke zamana apni asal halat par ghoom kar aa gaya hai . Is din ki tarah jab Allah ne zameen o aasman ko paida kiya tha . Dekho! Saal ke barah mahine hote hain . Char in mein se hurmat wale mahine hain . Teen lagatar hain , Zhul Qadah , Zhul Hijjah aur Muharram (aur chautha) Rajab Mudar jo Jumadi al-Ula aur Shaban ke beech mein parta hai . (phir Aap ne daryaft farmaya) yeh kaun sa mahina hai ? Hum ne kaha ke Allah aur un ke Rasool ko behtar ilm hai . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam khamosh ho gaye . Hum ne samjha shayad Aap mashhoor naam ke siwa is ka koi aur naam rakhein ge . Lekin Aap ne farmaya: kya yeh Zhul Hijjah nahi hai ? Hum bolay ke kyun nahi . Phir daryaft farmaya aur yeh shehar kaun sa hai ? Hum bolay ke Allah aur us ke Rasool ko zyada behtar ilm hai . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam khamosh ho gaye . Hum ne samjha shayad is ka koi aur naam Aap salla Allahu alaihi wasallam rakhein ge , jo mashhoor naam ke alawa ho ga . , lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: kya yeh Makkah nahi hai ? Hum bolay kyun nahi (yeh Makkah hi hai) phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya aur yeh din kaun sa hai ? Hum bolay ke Allah aur us ke Rasool ko zyada behtar ilm hai , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam khamosh ho gaye aur hum ne samjha shayad is ka Aap salla Allahu alaihi wasallam is ke mashhoor naam ke siwa koi aur naam rakhein ge , lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: kya yeh Yaum al-Nahr (qurbani ka din) nahi hai ? Hum bolay ke kyun nahi . Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: pas tumhara khoon aur tumhara maal . Muhammad ne byaan kiya ke mera khayal hai ke Abu Bakrah razi Allahu anhu ne yeh bhi kaha , aur tumhari izzat tum par isi tarah haram hai jis tarah yeh din ka tumhare is shehar aur tumhare is mahine mein aur tum bahut jald apne Rabb se milo ge aur woh tum se tumhare aamal ke baare mein sawal kare ga . Haan , pas mere baad tum gumrah na ho jana ke ek doosre ki gardan maarne lago . Haan aur jo yahan maujood hain woh in logon ko pahuncha dein jo maujood nahi hain , ho sakta hai ke jise woh pahunchayein in mein se koi aisa bhi ho jo yahan baaz sunne walon se zyada is (hadees) ko yaad rakh sakta ho . Muhammad bin Sireen jab is hadees ka zikr karte to farmate ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne sach farmaya . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke to kya main ne pahuncha diya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne do martaba yeh jumla farmaya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4407
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان الثوري، عن قيس بن مسلم، عن طارق بن شهاب: ان اناسا من اليهود، قالوا: لو نزلت هذه الآية فينا لاتخذنا ذلك اليوم عيدا، فقال عمر:" اية آية؟" فقالوا: اليوم اكملت لكم دينكم واتممت عليكم نعمتي ورضيت لكم الإسلام دينا سورة المائدة آية 3، فقال عمر: إني لاعلم اي مكان انزلت، انزلت ورسول الله صلى الله عليه وسلم واقف بعرفة".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Qays bin Muslim ne , un se Tariq bin Shihab ne ke chand Yahudiyon ne kaha ke agar yeh aayat hamare yahan nazil hui hoti to hum is din eid manaya karte . Umar razi Allahu anhu ne farmaya , kaun si aayat ? Unhon ne kaha «alyawma akmaltu lakum deenakum wa atmamtu alaykum niamati» ”aaj main ne tum par apne deen ko mukammal kiya aur apni ni'mat tum par poori kar di .“ Is par Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke mujhe khoob maloom hai ke yeh aayat kahan nazil hui thi . Jab yeh aayat nazil hui to Rasool salla Allahu alaihi wasallam maidan e Arafat mein kharay huay thay (yani Hajjat al-Wida mein) .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4408
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابي الاسود محمد بن عبد الرحمن بن نوفل، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم فمنا من اهل بعمرة، ومنا من اهل بحجة، ومنا من اهل بحج وعمرة، واهل رسول الله صلى الله عليه وسلم بالحج، فاما من اهل بالحج او جمع الحج والعمرة، فلم يحلوا حتى يوم النحر". حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، وقال مع رسول الله صلى الله عليه وسلم: في حجة الوداع، حدثنا إسماعيل، حدثنا مالك، مثله.
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , un se Imam Malik ne byaan kiya , un se Abu al-Aswad Muhammad bin Abdur Rahman bin Naufal ne , un se Urwah bin Zubayr razi Allahu anhu ne byaan kiya aur un se Umm al-Momineen Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne byaan kiya ke hum jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath (Hajj ke liye) niklay to kuch log hum mein se Umrah ka ihram bandhe huay thay , kuch Hajj ka aur kuch Umrah aur Hajj donon ka . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bhi Hajj ka ihram bandha tha . Jo log Hajj ka ihram bandhe huay thay ya jinon ne Hajj aur Umrah donon ka ihram bandha tha , woh qurbani ke din halal huay thay . Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , phir yahi hadees byaan ki . Is mein yun hai ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Hajjat al-Wida (ke liye hum niklay) hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya , hum se Imam Malik ne byaan kiya , isi tarah jo pehle mazkoor hua . Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , phir yahi hadees byaan ki . Is mein yun hai ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Hajjat al-Wida (ke liye hum niklay) hum se Ismail bin Abi Oways ne byaan kiya , hum se Imam Malik ne byaan kiya , isi tarah jo pehle mazkoor hua .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4409
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا إبراهيم هو ابن سعد، حدثنا ابن شهاب، عن عامر بن سعد، عن ابيه، قال: عادني النبي صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع من وجع اشفيت منه على الموت، فقلت: يا رسول الله، بلغ بي من الوجع ما ترى وانا ذو مال، ولا يرثني إلا ابنة لي واحدة، افاتصدق بثلثي مالي؟ قال:" لا"، قلت: افاتصدق بشطره؟ قال:" لا"، قلت: فالثلث؟ قال:" والثلث كثير، إنك ان تذر ورثتك اغنياء خير من ان تذرهم عالة يتكففون الناس، ولست تنفق نفقة تبتغي بها وجه الله إلا اجرت بها حتى اللقمة تجعلها في في امراتك"، قلت: يا رسول الله، ااخلف بعد اصحابي؟ قال:" إنك لن تخلف، فتعمل عملا تبتغي به وجه الله إلا ازددت به درجة ورفعة، ولعلك تخلف حتى ينتفع بك اقوام، ويضر بك آخرون، اللهم امض لاصحابي هجرتهم ولا تردهم على اعقابهم"، لكن البائس سعد بن خولة رثى له رسول الله صلى الله عليه وسلم ان توفي بمكة.
Hum se Ahmad bin Yunus ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Shihab ne , un se Aamir bin Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu ne aur un se un ke walid Saad razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Hajjat al-Wida ke mauqa par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam meri iyadat ke liye tashreef laye . Beemari ne mujhe maut ke munh mein la dala tha . Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Jaisa ke Aap ne mulahiza farmaya hai , mera marz is had ko pahunch gaya hai aur mere paas maal hai , jis ki waris khali meri ek larki hai , to kya main apna do tihayi maal khairat kar doon ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi . Main ne arz kiya , aadha kar doon . Farmaya ke nahi . Main ne farmaya kya phir tihayi kar doon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tihayi bhi bahut hai . Tum apne warison ko maldar chhor kar jao to yeh is se behtar hai ke unhein muhtaj chhoro aur woh logon ke samne hath phailate phirein aur tum jo kuch bhi kharch karo ge , agar is se Allah ki raza maqsood rahi to tumhein is par sawab mile ga . Hatta ke is luqma par bhi tumhein sawab mile ga jo tum apni biwi ke munh mein rakho ge . Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! (beemari ki wajah se) kya main apne sathiyon ke saath (Madinah) nahi ja sakoon ga ? Farmaya agar tum nahi ja sake tab bhi agar tum Allah ki raza joyi ke liye koi amal karo ge to tumhara darja Allah ke yahan aur buland ho ga aur umeed hai ke tum abhi zinda raho ge aur tum se kuch logon (Musalmanon) ko nafa pahunche ga aur kuch logon (Islam ke dushmanon) ko nuqsan pahunche ga . Ae Allah! Mere sathiyon ki Hijrat ko kamil farma aur unhein peeche na hata lekin nuqsan mein to Saad bin Khawlah rahe . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke Makkah mein wafat pa jaane ki wajah se zahir farmaya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4410
حدثني إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، ان ابن عمر رضي الله عنهما اخبرهم:" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم حلق راسه في حجة الوداع".
Mujh se Ibrahim bin Munzhir Khuzami ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Zamrah Anas bin Ayadh ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Musa bin Uqbah ne byaan kiya , un se Nafi ne aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Hajjat al-Wida mein apna sar mundwaya tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4411
حدثنا عبيد الله بن سعيد، حدثنا محمد بن بكر، حدثنا ابن جريج، اخبرني موسى بن عقبة، عن نافع، اخبره ابن عمر:" ان النبي صلى الله عليه وسلم حلق في حجة الوداع واناس من اصحابه وقصر بعضهم".
Hum se Ubaydullah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Bakr ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Jurayj ne byaan kiya , in se Musa bin Uqbah ne , unhein Nafi ne aur unhein Ibn Umar razi Allahu anhuma ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath Aap ke baaz as-haab ne Hajjat al-Wida ke mauqa par sar mundwaya tha aur baaz doosre sahabah razi Allahu anhum ne sirf turshwa liya tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4412
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا مالك، عن ابن شهاب، وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، حدثني عبيد الله بن عبد الله، انعبد الله بن عباس رضي الله عنهما اخبره:" انه اقبل يسير على حمار ورسول الله صلى الله عليه وسلم قائم بمنى في حجة الوداع يصلي بالناس، فسار الحمار بين يدي بعض الصف، ثم نزل عنه فصف مع الناس".
Hum se Yahya bin Qazah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , un se Shihab ne byaan kiya (doosri sanad) aur Layth bin Saad ne byaan kiya ke mujh se Yunus ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , un se Ubaydullah bin Abdullah ne byaan kiya aur unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke woh ek gadhe par sawar ho kar aaye to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Mina mein kharay logon ko namaz parha rahe thay . Yeh Hajjat al-Wida ka mauqa tha . Un ka gadha saff ke kuch hisse se guzra , phir woh utar kar logon ke saath saff mein kharay ho gaye .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4413
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن هشام، قال: حدثني ابي، قال: سئل اسامة وانا شاهد، عن سير النبي صلى الله عليه وسلم في حجته، فقال العنق:" فإذا وجد فجوة نص".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne byaan kiya ke mujh se mere walid Urwah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke Usamah razi Allahu anhu se Hajjat al-Wida ke mauqa par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki (safar mein) raftar ke mutalliq poocha gaya to unhon ne kaha ke beech ki chaal chalte thay aur jab kushada jagah milti to is se taiz chalte thay .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4414
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن يحيى بن سعيد، عن عدي بن ثابت، عن عبد الله بن يزيد الخطمي، ان ابا ايوب اخبره:" انه صلى مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع المغرب والعشاء جميعا".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne byaan kiya , un se Imam Malik ne byaan kiya , un se Yahya bin Saeed ne , un se Adi bin Sabit ne aur un se Abdullah bin Yazid Khatmi ne aur unhein Abu Ayub razi Allahu anhu ne khabar di ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Hajjat al-Wida ke mauqa par Maghrib aur Isha mila kar ek saath parhi thien .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain