الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {فلما جاوزا قال لفتاه آتنا غداءنا لقد لقينا من سفرنا هذا نصبا} إلى قوله: {عجبا} :
Bab: Ayat ki tafseer“Pas jab woh dono us jagah se aage barh gaye to Musa ne apne saathi se farmaya ke hamara khana lao safar se hamein ab to thakan hone lagi hai”lafz «ajaban» tak.
Show diacritics
Hadith Number: Q4727
صنعا: عملا، حولا: تحولا، قال ذلك ما كنا نبغ فارتدا على آثارهما قصصا، إمرا، ونكرا: داهية، ينقض: ينقاض كما تنقاض السن لتخذت واتخذت واحد، رحما: من الرحم وهي اشد مبالغة من الرحمة ونظن انه من الرحيم وتدعى مكة ام رحم اي الرحمة تنزل بها.
Lafz «sun'an» amal ke maani mein hai . «hiwalan» bamaani phir jana . Musa alaihissalam ne farmaya yahi to woh cheez thi jo hum chahte thay . Chunanche woh donon ulte paon wapas laute . «imran» ka maani ajeeb baat . «nukran» ka bhi yahi maani hai . «yanqaddu» aur «yanqaaddu» donon ka ek hi maani hai jaise kehte hain «tanqaaddu-ssinnu» yani daant gir raha hai . «lattakhazhta» aur «wattakhazhta» (donon riwayatein hain) donon ka maani ek hain . «ruhman» , «rahmun» se nikla hai jis ke maani bahut rahmat to yeh mubalgha hai rahmat ka aur hum samajhte hain (ya log samajhte hain) ke yeh «rahmun» se nikla hai . Isi liye Makkah ko «ummu ruhmin» kehte hain kyunke wahan Parvardigar ki rahmat utarti hai .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 4727
حدثني قتيبة بن سعيد، قال: حدثني سفيان بن عيينة، عن عمرو بن دينار، عن سعيد بن جبير، قال: قلت لابن عباس: إن نوفا البكاليي زعم ان موسى بني إسرائيل ليس بموسى الخضر، فقال: كذب عدو الله، حدثنا ابي بن كعب، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" قام موسى خطيبا في بني إسرائيل، فقيل له: اي الناس اعلم؟ قال: انا، فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه، واوحى إليه، بلى عبد من عبادي بمجمع البحرين هو اعلم منك، قال: اي رب كيف السبيل إليه؟ قال: تاخذ حوتا في مكتل، فحيثما فقدت الحوت فاتبعه، قال: فخرج موسى ومعه فتاه يوشع بن نون ومعهما الحوت حتى انتهيا إلى الصخرة، فنزلا عندها، قال: فوضع موسى راسه فنام، قال سفيان: وفي حديث غير عمرو، قال: وفي اصل الصخرة عين يقال لها الحياة لا يصيب من مائها شيء إلا حيي، فاصاب الحوت من ماء تلك العين، قال: فتحرك وانسل من المكتل، فدخل البحر، فلما استيقظ موسى، قال لفتاه آتنا غداءنا سورة الكهف آية 62 الآية، قال: ولم يجد النصب حتى جاوز ما امر به، قال له فتاه يوشع بن نون، ارايت إذ اوينا إلى الصخرة فإني نسيت الحوت سورة الكهف آية 63 الآية، قال: فرجعا يقصان في آثارهما، فوجدا في البحر كالطاق ممر الحوت، فكان لفتاه عجبا وللحوت سربا، قال: فلما انتهيا إلى الصخرة إذ هما برجل مسجى بثوب فسلم عليه موسى، قال: وانى بارضك السلام، فقال: انا موسى، قال موسى: بني إسرائيل، قال: نعم، قال: هل اتبعك على ان تعلمني مما علمت رشدا؟ قال له الخضر: يا موسى إنك على علم من علم الله علمكه الله لا اعلمه، وانا على علم من علم الله علمنيه الله لا تعلمه، قال: بل اتبعك، قال: فإن اتبعتني فلا تسالني عن شيء حتى احدث لك منه ذكرا، فانطلقا يمشيان على الساحل، فمرت بهم سفينة، فعرف الخضر، فحملوهم في سفينتهم بغير نول، يقول: بغير اجر، فركبا السفينة، قال: ووقع عصفور على حرف السفينة، فغمس منقاره في البحر، فقال الخضر لموسى: ما علمك وعلمي وعلم الخلائق في علم الله إلا مقدار ما غمس هذا العصفور منقاره، قال: فلم يفجا موسى إذ عمد الخضر إلى قدوم، فخرق السفينة، فقال له موسى: قوم حملونا بغير نول عمدت إلى سفينتهم فخرقتها لتغرق اهلها لقد جئت سورة الكهف آية 71 الآية، فانطلقا إذا هما بغلام يلعب مع الغلمان، فاخذ الخضر براسه فقطعه، قال له موسى: اقتلت نفسا زكية بغير نفس لقد جئت شيئا نكرا قال الم اقل لك إنك لن تستطيع معي صبرا إلى قوله فابوا ان يضيفوهما فوجدا فيها جدارا يريد ان ينقض سورة الكهف آية 75 - 77، فقال بيده: هكذا، فاقامه، فقال له موسى: إنا دخلنا هذه القرية فلم يضيفونا ولم يطعمونا، لو شئت لاتخذت عليه اجرا، قال: هذا فراق بيني وبينك، سانبئك بتاويل ما لم تستطع عليه صبرا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" وددنا ان موسى صبر حتى يقص علينا من امرهما، قال: وكان ابن عباس يقرا 0 وكان امامهم ملك ياخذ كل سفينة صالحة غصبا واما الغلام فكان كافرا 0".
Mujh se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke mujh se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha un se Amr bin Dinar ne aur un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se arz kiya . Nauf Bakali kehte hain ke Musa alaihissalam jo Allah ke Nabi thay woh nahi hain jinon ne Khidr alaihissalam se mulaqat ki thi . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha , dushman e Khuda ne ghalat baat kahi hai . Hum se Ubayy bin Kabb ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musa alaihissalam Bani Israeel ko waaz karne ke liye kharay huay to in se poocha gaya ke sab se bara aalim kaun shakhs hai . Musa alaihissalam ne farmaya ke main hoon . Allah Ta'ala ne is par ghussa kiya , kyunke unhon ne ilm ki nisbat Allah ki taraf nahi ki thi aur un ke paas wahi bheji ke haan , mere bandon mein se ek banda do daryaon ke milne ki jagah par hai aur woh tum se bara aalim hai . Musa alaihissalam ne arz kiya: Ae Parvardigar! In tak pahunchne ka tariqa kya ho ga ? Allah Ta'ala ne farmaya ke ek machhli zanbeel mein saath le lo . Phir jahan woh machhli gum ho jaye wahin unhein talash karo . Byaan kiya ke Musa alaihissalam nikal pare aur Aap ke saath Aap ke rafeeq e safar Yoosha bin Noon bhi thay . Machhli saath thi . Jab chatan tak pahunche to wahan thehar gaye . Musa alaihissalam apna sar rakh kar wahin so gaye , Amr ki riwayat ke siwa doosri riwayat ke hawala se Sufyan ne byaan kiya ke is chatan ki jarr mein ek chashma tha , jise ”hayat“ kaha jata tha . Jis cheez par bhi is ka pani par jata woh zinda ho jati thi . Is machhli par bhi is ka pani para to is ke andar harakat paida ho gayi aur woh apni zanbeel se nikal kar darya mein chali gayi . Musa alaihissalam jab bedar huay to unhon ne apne saathi se farmaya «qaala lifataahu aatina ghada'ana» ke ”hamara nashta lao“ al-aayat . Byaan kiya ke safar mein Musa alaihissalam ko is waqt tak koi thakan nahi hui jab tak woh muqarrara jagah se aage nahi barh gaye . Rafeeq e safar Yoosha bin Noon ne is par kaha «ara'ayta izh awayna ilas-sakhrati fa-inni naseetul hoota» ”Aap ne dekha jab hum chatan ke neeche baithe huay thay to main machhli ke mutalliq kehna bhool gaya“ al-aayat . Byaan kiya ke phir woh donon ulte paon wapas laute . Dekha ke jahan machhli pani mein giri thi wahan is ke guzarne ki jagah taaq ki si surat bani hui hai . Machhli to pani mein chali gayi thi lekin Yoosha bin Noon ko is tarah pani ke ruk jaane par tajub tha . Jab chatan par pahunche to dekha ke ek buzurg kapre mein lipte huay wahan maujood hain . Musa alaihissalam ne unhein salam kiya to unhon ne farmaya ke tumhari zameen mein salam kahan se aa gaya ? Aap ne farmaya ke main Musa hoon . Poocha Bani Israeel ke Musa ? Farmaya ke ji haan! Musa alaihissalam ne un se kaha kya Aap ke saath reh sakta hoon taake jo hidayat ka ilm Allah Ta'ala ne Aap ko diya hai woh Aap mujhe bhi sikha dein . Khidr alaihissalam ne jawab diya ke Aap ko Allah ki taraf se aisa ilm haasil hai jo main nahi jaanta aur isi tarah mujhe Allah ki taraf se aisa ilm haasil hai jo Aap nahi jaante . Musa alaihissalam ne farmaya , lekin main Aap ke saath rahoon ga . Khidr alaihissalam ne is par kaha ke agar Aap ko mere saath rehna hi hai to phir mujh se kisi cheez ke mutalliq na poochiye ga , main khud Aap ko bataoon ga . Chunanche donon hazrat darya ke kinare rawana huay , un ke qareeb se ek kashti guzri to Khidr alaihissalam ko kashti walon ne pehchan liya aur apni kashti mein in ko baghair kiraya ke charha liya donon kashti mein sawar ho gaye . Byaan kiya ke isi arsa mein ek chariya kashti ke kinare aa ke baithi aur is ne apni chonch ko darya mein dala to Khidr alaihissalam ne Musa alaihissalam se farmaya ke mera , Aap ka aur tamam makhlooqat ka ilm Allah ke ilm ke muqabla mein is se zyada nahi hai jitna is chariya ne apni chonch mein darya ka pani liya hai . Byaan kiya ke phir yak-dam jab Khidr alaihissalam ne basoola uthaya aur kashti ko phaar dala to Musa alaihissalam is taraf mutawajja huay aur farmaya in logon ne hamain baghair kisi kiraya ke apni kashti mein sawar kar liya tha aur Aap ne is ka badla yeh diya hai ke in ki kashti hi cheer daali taake is ke musafir doob marein . Bilashubha Aap ne bara na-munasib kaam kiya hai . Phir woh donon aage barhay to dekha ke ek bacha jo bahut se doosre bachon ke saath khel raha tha , Khidr ne is ka sar pakra aur kaat dala . Is par Musa alaihissalam bol pare ke Aap ne bila kisi khoon o badla ke ek masoom bache ki jaan le li , yeh to bari buri baat hai . Khidr alaihissalam ne farmaya , main ne Aap se pehle hi nahi keh diya tha ke Aap mere saath sabr nahi kar sakte , Allah Ta'ala ke irshad ”pas is basti walon ne in ki mezbani se inkar kiya , phir is basti mein unhein ek diwar dikhayi di jo bas girne hi wali thi . Khidr alaihissalam ne apna hath yun is par phera aur usay seedha kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya hum is basti mein aaye to unhon ne hamari mezbani se inkar kiya aur hamain khana bhi nahi diya agar Aap chahte to is par ujrat le sakte thay . Khidr alaihissalam ne farmaya bas yahan se ab mere aur Aap ke darmiyan judayi hai aur main Aap ko in kaamon ki wajah bataoon ga jin par Aap sabr nahi kar sakte thay . Is ke baad Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Kaash Musa alaihissalam ne sabr kiya hota aur Allah Ta'ala un ke silsile mein aur waqiaat hum se byaan karta . Byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma «wa kaana wara'ahum malikun» ki bajaye «wa kaana amamahum malikun ya'khuzhu kulla safeenatin saalihatin ghasban» qirat karte thay aur bacha (jise qatl kiya tha) is ke walidain momin thay . Aur yeh bacha (mashiyat e Ilahi mein) kafir tha .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أبي بن كعب الأنصاري، أبو المنذر، أبو الطفيلصحابي
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
سعيد بن جبير الأسدي، أبو محمد، أبو عبد اللهثقة ثبت
عمرو بن دينار الجمحي، أبو محمدثقة ثبت
سفيان بن عيينة الهلالي، أبو محمدثقة حافظ حجة
قتيبة بن سعيد الثقفي، أبو رجاءثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
3400
بينما موسى في ملإ من بني إسرائيل جاءه رجل فقال هل تعلم أحدا أعلم منك قال لا فأوحى الله إلى موسى بلى عبدنا خضر فسأل موسى السبيل إليه فجعل له الحوت آية وقيل له إذا فقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه فكان يتبع الحوت في البحر فقال لموسى فتاه أرأيت إذ أوينا إلى الصخ
صحيح البخاري
7478
بينا موسى في ملإ من بني إسرائيل إذ جاءه رجل فقال هل تعلم أحدا أعلم منك فقال موسى لا فأوحي إلى موسى بلى عبدنا خضر فسأل موسى السبيل إلى لقيه فجعل الله له الحوت آية وقيل له إذا فقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه فكان موسى يتبع أثر الحوت في البحر فقال فتى موسى لموس
صحيح البخاري
3401
موسى قام خطيبا في بني إسرائيل فسئل أي الناس أعلم فقال أنا فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه فقال له بلى لي عبد بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح البخاري
4726
موسى رسول الله قال ذكر الناس يوما حتى إذا فاضت العيون ورقت القلوب ولى فأدركه رجل فقال أي رسول الله هل في الأرض أحد أعلم منك قال لا فعتب عليه إذ لم يرد العلم إلى الله قيل بلى قال أي رب فأين قال بمجمع البحرين قال أي رب اجعل لي علما أعلم ذلك به ف
صحيح البخاري
4727
موسى خطيبا في بني إسرائيل فقيل له أي الناس أعلم قال أنا فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه وأوحى إليه بلى عبد من عبادي بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح البخاري
3278
لفتاه آتنا غداءنا قال أرأيت إذ أوينا إلى الصخرة فإني نسيت الحوت وما أنسانيه إلا الشيطان أن أذكره ولم يجد موسى النصب حتى جاوز المكان الذي أمر الله به
صحيح البخاري
4725
موسى قام خطيبا في بني إسرائيل فسئل أي الناس أعلم فقال أنا فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه فأوحى الله إليه إن لي عبدا بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح البخاري
122
موسى النبي خطيبا في بني إسرائيل فسئل أي الناس أعلم فقال أنا أعلم فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه فأوحى الله إليه أن عبدا من عبادي بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح مسلم
6163
موسى خطيبا في بني إسرائيل فسئل أي الناس أعلم فقال أنا أعلم قال فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه فأوحى الله إليه أن عبدا من عبادي بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح مسلم
6168
بينما موسى في ملإ من بني إسرائيل إذ جاءه رجل فقال له هل تعلم أحدا أعلم منك قال موسى لا فأوحى الله إلى موسى بل عبدنا الخضر قال فسأل موسى السبيل إلى لقيه فجعل الله له الحوت آية وقيل له إذا افتقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه فسار موسى ما شاء الله أن يسير ثم قال
صحيح مسلم
6165
بينما موسى في قومه يذكرهم بأيام الله وأيام الله نعماؤه وبلاؤه إذ قال ما أعلم في الأرض رجلا خيرا وأعلم مني قال فأوحى الله إليه إني أعلم بالخير منه أو عند من هو إن في الأرض رجلا هو أعلم منك قال يا رب فدلني عليه قال فقيل له تزود حوتا مالحا فإنه ح
جامع الترمذي
3149
يرحم الله موسى لوددنا أنه كان صبر حتى يقص علينا من أخبارهما قال وقال رسول الله الأولى كانت من موسى نسيان قال وجاء عصفور حتى وقع على حرف السفينة ثم نقر في البحر فقال له الخضر ما نقص علمي وعلمك من علم الله إلا مثل ما نقص هذا العصفور م
سنن أبي داود
3984
رحمة الله علينا وعلى موسى لو صبر لرأى من صاحبه العجب ولكنه قال إن سألتك عن شيء بعدها فلا تصاحبني قد بلغت من لدني