الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {فلما بلغا مجمع بينهما نسيا حوتهما فاتخذ سبيله فى البحر} :
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab woh dono do daryaon ke milaap ki jagah par pahunche to dono apni machhli bhool gaye, machhli ne darya mein apna rasta bana liya”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4726
سربا مذهبا يسرب يسلك ومنه، وسارب بالنهار.
«saraban» rasta «yasrabu» ( «bi-fatahatayni») yani mazhab tareeq , isi se hai «saaribun bin-nahaari» yani din mein rasta chalne wala .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 4726
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني يعلى بن مسلم، وعمرو بن دينار، عن سعيد بن جبير، يزيد احدهما على صاحبه وغيرهما قد سمعته يحدثه، عن سعيد بن جبير، قال: إنا لعند ابن عباس في بيته، إذ قال: سلوني؟ قلت: اي ابا عباس جعلني الله فداءك بالكوفة رجل قاص يقال له نوف يزعم انه ليس بموسى بني إسرائيل، اما عمرو، فقال لي: قال قد كذب عدو الله واما يعلى، فقال لي: قال ابن عباس: حدثني ابي بن كعب، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" موسى رسول الله عليه السلام، قال: ذكر الناس يوما حتى إذا فاضت العيون، ورقت القلوب ولى، فادركه رجل، فقال اي رسول الله، هل في الارض احد اعلم منك؟ قال: لا، فعتب عليه إذ لم يرد العلم إلى الله، قيل: بلى، قال: اي رب فاين؟ قال: بمجمع البحرين، قال: اي رب اجعل لي علما اعلم ذلك به، فقال لي عمرو: قال حيث يفارقك الحوت، وقال لي يعلى: قال: خذ نونا ميتا حيث ينفخ فيه الروح، فاخذ حوتا فجعله في مكتل، فقال لفتاه: لا اكلفك إلا ان تخبرني بحيث يفارقك الحوت، قال: ما كلفت كثيرا، فذلك قوله جل ذكره: وإذ قال موسى لفتاه سورة الكهف آية 60 يوشع بن نون ليست، عن سعيد، قال: فبينما هو في ظل صخرة في مكان ثريان إذ تضرب الحوت وموسى نائم، فقال فتاه: لا اوقظه حتى إذا استيقظ نسي ان يخبره، وتضرب الحوت حتى دخل البحر، فامسك الله عنه جرية البحر حتى كان اثره في حجر، قال لي عمرو: هكذا كان اثره في حجر، وحلق بين إبهاميه، واللتين تليانهما لقد لقينا من سفرنا هذا نصبا، قال: قد قطع الله عنك النصب ليست هذه عن سعيد اخبره، فرجعا فوجدا خضرا، قال لي عثمان بن ابي سليمان: على طنفسة خضراء على كبد البحر، قال سعيد بن جبير: مسجى بثوبه قد جعل طرفه تحت رجليه، وطرفه تحت راسه، فسلم عليه موسى، فكشف عن وجهه، وقال: هل بارضي من سلام من انت؟ قال: انا موسى، قال موسى: بني إسرائيل؟ قال: نعم، قال: فما شانك؟ قال: جئت لتعلمني مما علمت رشدا، قال: اما يكفيك ان التوراة بيديك، وان الوحي ياتيك يا موسى، إن لي علما لا ينبغي لك ان تعلمه، وإن لك علما لا ينبغي لي ان اعلمه، فاخذ طائر بمنقاره من البحر، وقال: والله ما علمي وما علمك في جنب علم الله إلا كما اخذ هذا الطائر بمنقاره من البحر، حتى إذا ركبا في السفينة وجدا معابر صغارا تحمل اهل هذا الساحل إلى اهل هذا الساحل الآخر عرفوه، فقالوا: عبد الله الصالح، قال: قلنا لسعيد: خضر؟ قال: نعم، لا نحمله باجر، فخرقها ووتد فيها وتدا، قال موسى: اخرقتها لتغرق اهلها، لقد جئت شيئا إمرا، قال مجاهد: منكرا، قال: الم اقل إنك لن تستطيع معي صبرا؟ كانت الاولى نسيانا، والوسطى شرطا، والثالثة عمدا، قال: لا تؤاخذني بما نسيت، ولا ترهقني من امري عسرا لقيا غلاما، فقتله، قال يعلى: قال سعيد: وجد غلمانا يلعبون، فاخذ غلاما كافرا ظريفا، فاضجعه، ثم ذبحه بالسكين، قال: اقتلت نفسا زكية بغير نفس لم تعمل بالحنث، وكان ابن عباس قراها زكية زاكية مسلمة كقولك غلاما زكيا، فانطلقا فوجدا جدارا يريد ان ينقض، فاقامه، قال سعيد: بيده هكذا ورفع يده، فاستقام، قال يعلى: حسبت ان سعيدا، قال: فمسحه بيده، فاستقام، لو شئت لاتخذت عليه اجرا، قال سعيد: اجرا ناكله، وكان وراءهم، وكان امامهم، قراها ابن عباس امامهم ملك يزعمون عن غير سعيد، انه هدد بن بدد والغلام المقتول اسمه يزعمون جيسور ملك ياخذ كل سفينة غصبا، فاردت إذا هي مرت به ان يدعها لعيبها، فإذا جاوزوا اصلحوها، فانتفعوا بها، ومنهم من يقول: سدوها بقارورة، ومنهم من يقول: بالقار كان ابواه مؤمنين، وكان كافرا فخشينا ان يرهقهما طغيانا وكفرا ان يحملهما حبه على ان يتابعاه على دينه، فاردنا ان يبدلهما ربهما خيرا منه زكاة، لقوله: اقتلت نفسا زكية واقرب رحما هما به ارحم منهما بالاول الذي قتل خضر، وزعم غير سعيد انهما ابدلا جارية، واما داود بن ابي عاصم، فقال: عن غير واحد إنها جارية".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jareer ne khabar di , kaha ke mujhe Yala bin Muslim aur Amr bin Dinar ne khabar di Saeed bin Jubayr se , donon mein se ek apne saathi aur digar rawi ke muqabla mein baaz alfaz zyada kehta hai aur un ke alawa ek aur sahab ne bhi Saeed bin Jubayr se sun kar byaan kiya ke unhon ne kaha hum Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein un ke ghar hazir thay . Unhon ne farmaya ke deen ki baatein mujh se kuch poocho . Main ne arz kiya: Ae Abu al-Abbas! Allah Aap par mujhe qurban kare Kufa mein ek waa-iz shakhs Nauf naami (Nauf Bakali) hai aur woh kehta hai ke Musa , Khidr alaihissalam se milne wale woh nahi thay jo Bani Israeel ke paighambar Musa alaihissalam huay hain (Ibn Jurayj ne byaan kiya ke) Amr bin Dinar ne to riwayat is tarah byaan ki ke Ibn Abbas ne kaha dushman e Khuda jhooti baat kehta hai aur Yala bin Muslim ne apni riwayat mein is tarah mujh se byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke mujh se Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne byaan kiya , kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musa alaihissalam Allah ke Rasool thay ek din Aap ne logon (Bani Israeel) ko aisa waaz farmaya ke logon ki aankhon se aansu nikal pare aur dil paseej gaye to Aap wapas jaane ke liye mure . Is waqt ek shakhs ne in se poocha: Ae Allah ke Rasool! Kya duniya mein Aap se bara koi aalim hai ? Unhon ne kaha ke nahi , is par Allah ne Musa alaihissalam par itab nazil kiya , kyunke unhon ne ilm ki nisbat Allah Ta'ala ki taraf nahi ki thi . (un ko yun kehna chahiye tha ke Allah hi jaanta hai) . In se kaha gaya ke haan tum se bhi bara aalim hai . Musa alaihissalam ne arz kiya , Ae Parvardigar! Woh kahan hai . Allah ne farmaya jahan (Faaris aur Room ke) do darya milay hain . Musa alaihissalam ne arz kiya: Ae Parvardigar! Mere liye un ki koi nishani aaisi batla de ke main in tak pahunch jaoon . Ab Amr bin Dinar ne mujh (Ibn Jurayj) se byaan kiya ke Allah Ta'ala ne farmaya , jahan tum se machhli tumhari zanbeel se chal de (wahin woh milein ge) aur Yala ne hadees is tarah byaan ki ke ek murdah machhli saath le lo , jahan is machhli mein jaan par jaye (wahin woh milein ge) Musa alaihissalam ne machhli saath le li aur usay ek zanbeel mein rakh liya . Aap ne apne saathi Yoosha se farmaya ke main bas tumhein itni takleef deta hoon ke jab yeh machhli zanbeel se nikal kar chal de to mujhe batana . Unhon ne arz kiya ke yeh kaun si bari takleef hai . Isi ki taraf isharah hai Allah Ta'ala ke irshad «wa izh qaala Musa lifataahu» mein woh «fata» (rafeeq e safar) Yoosha Ibn Noon thay . Saeed bin Jubayr (rawi e hadees) ne apni riwayat mein Yoosha bin Noon ka naam nahi liya . Byaan kiya ke phir Musa alaihissalam ek chatan ke saya mein thehar gaye jahan nami aur thand thi . Is waqt machhli tarpi aur darya mein kood gayi . Musa alaihissalam so rahe thay is liye Yoosha ne socha ke Aap ko jagana na chahiye . Lekin jab Musa alaihissalam bedar huay to machhli ka haal kehna bhool gaye . Isi arsa mein machhli tarap kar pani mein chali gayi . Allah Ta'ala ne machhli ki jagah pani ke bahao ko rok diya aur machhli ka nishan patthar par jis par se gayi thi ban gaya . Amr bin Dinar ne mujh (Ibn Jurayj) se byaan kiya ke is ka nishan patthar pe ban gaya aur donon angoothon aur kalma ki ungliyon ko mila kar ek halqa ki tarah is ko bataya . Bedar hone ke baad Musa alaihissalam baqi din aur baqi raat chalte rahe . Aakhir kehne lage . Hamain ab is safar mein thakan ho rahi hai . Un ke khadim ne arz kiya . Allah ne Aap ki thakan ko door kar diya hai (aur machhli zinda ho gayi hai) . Ibn Jurayj ne byaan kiya ke yeh tukra Saeed bin Jubayr ki riwayat mein nahi hai . Phir Musa alaihissalam aur Yoosha donon wapas laute aur Khidr alaihissalam se mulaqat hui (Ibn Jurayj ne kaha) mujh se Usman bin Abi Sulayman ne byaan kiya ke Khidr alaihissalam darya ke beech mein ek chhotay se sabz zeen-posh par tashreef rakhte thay . Aur Saeed bin Jubayr ne yun byaan kiya ke woh apne kapre se tamam jism lipeite huay thay . Kapre ka ek kinara un ke paon ke neeche tha aur doosra sar ke tallay tha . Musa alaihissalam ne pahunch kar salam kiya to Khidr alaihissalam ne apna chehra khola aur kaha , meri is zameen mein salam ka rawaj kahan se aa gaya . Aap kaun hain ? Musa alaihissalam ne farmaya ke main Musa hoon . Poocha , Musa Bani Israeel ? Farmaya ke haan! Poocha , Aap kyun aaye hain ? Farmaya ke mere aane ka maqsad yeh hai ke jo hidayat ka ilm Aap ko Allah ne diya hai woh mujhe bhi sikha dein . Is par Khidr alaihissalam ne farmaya ke Musa kya Aap ke liye yeh kafi nahi hai is ka poora seekhna Aap ke liye munasib nahi hai . Isi tarah Aap ko jo ilm haasil hai is ka poora seekhna mere liye munasib nahi . Is arsa mein ek chariya ne apni chonch se darya ka pani liya to Khidr alaihissalam ne farmaya: Allah ki qasam! Mera aur Aap ka ilm Allah ke ilm ke muqable mein is se zyada nahi hai . Jitna is chariya ne darya ka pani apni chonch mein liya hai . Kashti par charhne ke waqt unhon ne chhoti chhoti kashtiyaan dekhein jo ek kinare walon ko doosre kinare par le ja kar chhor aati thien . Kashti walon ne Khidr alaihissalam ko pehchan liya aur kaha ke yeh Allah ke salih bande hain hum in se kiraya nahi lein ge . Lekin Khidr alaihissalam ne kashti mein shigaaf kar diye aur is mein (takhton ki jagah) keelein gaarr dien . Musa alaihissalam ne kaha Aap ne is liye isay phaar dala ke is ke musafiron ko dubo dein . Bilashubha Aap ne yeh bara nagowar kaam kiya hai . Mujahid ne aayat mein «imran» ka tarjuma «munkaran» kiya hai . Khidr alaihissalam ne farmaya main ne pehle hi na kaha tha ke Aap mere saath sabr nahi kar sakte . Musa alaihissalam ka pehla sawal to bhoolne ki wajah se tha lekin doosra bataur shart tha aur teesra qasdan unhon ne kiya tha . Musa alaihissalam ne is pehle sawal par kaha ke jo main bhool gaya is par mujh se muakhizha na kijiye aur mere muamla mein tangi na kijiye . Phir unhein ek bacha mila to Khidr alaihissalam ne usay qatl kar diya . Yala ne byaan kiya ke Saeed bin Jubayr ne kaha ke Khidr alaihissalam ko chand bache milay jo khel rahe thay Aap ne in mein se ek bacha ko pakra jo kafir aur chalak tha aur usay lita kar chhuri se zibah kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya , Aap ne bila kisi khoon ke ek be-gunah jaan ko jis ne ke bura kaam nahi kiya tha , qatl kar dala . Ibn Abbas razi Allahu anhuma aayat mein «zakiyyatan» ki jagah «zaakiyatan» parha karte thay . Bamaani «muslimatan» jaise «ghulaman zakiyyan» mein hai . Phir woh donon buzurg aage barhay to ek diwar par nazar pari jo bas girne hi wali thi . Khidr alaihissalam ne usay theek kar diya . Saeed bin Jubayr ne apne hath se isharah kar ke bataya ke is tarah . Yala bin Muslim ne byaan kiya mera khayal hai ke Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke Khidr ne diwar par hath pher kar usay theek kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya ke agar Aap chahte to is par ujrat le sakte thay . Saeed bin Jubayr ne is ki tashreeh ki ke ujrat jise hum kha sakte . Aayat «wa kaana wara'ahum» ki Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne qirat «wa kaana amamahum» ki yani kashti jahan ja rahi thi is mulk mein ek baadshah tha . Saeed ke siwa doosre rawi se is baadshah ka naam Hudad bin Budad naqal karte hain aur jis bacha ko Khidr alaihissalam ne qatl kiya tha is ka naam log Jaysoor byaan karte hain . Woh baadshah har (nayi) kashti ko zabardasti chheen liya karta tha . Is liye main ne chaha ke jab yeh kashti is ke samne se guzre to is ke is aib ki wajah se usay na chheene . Jab kashti wale is baadshah ki sultant se guzar jayein ge to woh khud usay theek kar lein ge aur usay kaam mein laate rahein ge . Baaz logon ka to yeh khayal hai ke unhon ne kashti ko phir seesa laga kar jorra tha aur baaz kehte hain ke taar-kol se jorra tha (aur jis bacha ko qatl kar diya tha) to is ke walidain momin thay aur woh bacha (Allah ki taqdeer mein) kafir tha . Is liye hamain darr tha ke kahin (bara ho kar) woh unhein bhi kufr mein mubtala na kar de ke apne larke se intihaayi mohabbat unhein is ke deen ki ittiba par majboor kar de . Is liye hum ne chaha ke Allah is ke badle mein unhein koi naik aur is se behtar aulad de . «wa aqraba ruhman» yani is ke walidain is bacha par jo ab Allah Ta'ala unhein de ga pehle se zyada behtar meherban hon jise Khidr alaihissalam ne qatl kar diya hai . Saeed bin Jubayr razi Allahu anhu ne kaha ke in walidain ko is bache ke badle ek larki di gayi thi . Dawood bin Abi Aasim rahmahullah kai rawiyon se naqal karte hain ke woh larki hi thi .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عثمان بن أبي سليمان القرشيثقة
أبي بن كعب الأنصاري، أبو المنذر، أبو الطفيلصحابي
عبد الله بن العباس القرشي، أبو العباسصحابي
سعيد بن جبير الأسدي، أبو محمد، أبو عبد اللهثقة ثبت
عمرو بن دينار الجمحي، أبو محمدثقة ثبت
يعلى بن مسلم المكيثقة
ابن جريج المكي، أبو خالد، أبو الوليدثقة
هشام بن يوسف الأبناوي، أبو عبد الرحمنثقة
إبراهيم بن موسى التميمي، أبو إسحاقثقة حافظ
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
3400
بينما موسى في ملإ من بني إسرائيل جاءه رجل فقال هل تعلم أحدا أعلم منك قال لا فأوحى الله إلى موسى بلى عبدنا خضر فسأل موسى السبيل إليه فجعل له الحوت آية وقيل له إذا فقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه فكان يتبع الحوت في البحر فقال لموسى فتاه أرأيت إذ أوينا إلى الصخ
صحيح البخاري
7478
بينا موسى في ملإ من بني إسرائيل إذ جاءه رجل فقال هل تعلم أحدا أعلم منك فقال موسى لا فأوحي إلى موسى بلى عبدنا خضر فسأل موسى السبيل إلى لقيه فجعل الله له الحوت آية وقيل له إذا فقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه فكان موسى يتبع أثر الحوت في البحر فقال فتى موسى لموس
صحيح البخاري
3401
موسى قام خطيبا في بني إسرائيل فسئل أي الناس أعلم فقال أنا فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه فقال له بلى لي عبد بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح البخاري
4726
موسى رسول الله قال ذكر الناس يوما حتى إذا فاضت العيون ورقت القلوب ولى فأدركه رجل فقال أي رسول الله هل في الأرض أحد أعلم منك قال لا فعتب عليه إذ لم يرد العلم إلى الله قيل بلى قال أي رب فأين قال بمجمع البحرين قال أي رب اجعل لي علما أعلم ذلك به ف
صحيح البخاري
4727
موسى خطيبا في بني إسرائيل فقيل له أي الناس أعلم قال أنا فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه وأوحى إليه بلى عبد من عبادي بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح البخاري
3278
لفتاه آتنا غداءنا قال أرأيت إذ أوينا إلى الصخرة فإني نسيت الحوت وما أنسانيه إلا الشيطان أن أذكره ولم يجد موسى النصب حتى جاوز المكان الذي أمر الله به
صحيح البخاري
4725
موسى قام خطيبا في بني إسرائيل فسئل أي الناس أعلم فقال أنا فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه فأوحى الله إليه إن لي عبدا بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح البخاري
122
موسى النبي خطيبا في بني إسرائيل فسئل أي الناس أعلم فقال أنا أعلم فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه فأوحى الله إليه أن عبدا من عبادي بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح مسلم
6163
موسى خطيبا في بني إسرائيل فسئل أي الناس أعلم فقال أنا أعلم قال فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه فأوحى الله إليه أن عبدا من عبادي بمجمع البحرين هو أعلم منك
صحيح مسلم
6168
بينما موسى في ملإ من بني إسرائيل إذ جاءه رجل فقال له هل تعلم أحدا أعلم منك قال موسى لا فأوحى الله إلى موسى بل عبدنا الخضر قال فسأل موسى السبيل إلى لقيه فجعل الله له الحوت آية وقيل له إذا افتقدت الحوت فارجع فإنك ستلقاه فسار موسى ما شاء الله أن يسير ثم قال
صحيح مسلم
6165
بينما موسى في قومه يذكرهم بأيام الله وأيام الله نعماؤه وبلاؤه إذ قال ما أعلم في الأرض رجلا خيرا وأعلم مني قال فأوحى الله إليه إني أعلم بالخير منه أو عند من هو إن في الأرض رجلا هو أعلم منك قال يا رب فدلني عليه قال فقيل له تزود حوتا مالحا فإنه ح
جامع الترمذي
3149
يرحم الله موسى لوددنا أنه كان صبر حتى يقص علينا من أخبارهما قال وقال رسول الله الأولى كانت من موسى نسيان قال وجاء عصفور حتى وقع على حرف السفينة ثم نقر في البحر فقال له الخضر ما نقص علمي وعلمك من علم الله إلا مثل ما نقص هذا العصفور م
سنن أبي داود
3984
رحمة الله علينا وعلى موسى لو صبر لرأى من صاحبه العجب ولكنه قال إن سألتك عن شيء بعدها فلا تصاحبني قد بلغت من لدني