الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ كَلاَمِ الرَّبِّ عَزَّ وَجَلَّ يَوْمَ الْقِيَامَةِ مَعَ الأَنْبِيَاءِ وَغَيْرِهِمْ:
Allah Taala ka qiyamat ke din Anbiya aur dusre logon se kalaam karna bar-haq hai.
Hadith Number: 7509
حدثنا يوسف بن راشد، حدثنا احمد بن عبد الله، حدثنا ابو بكر بن عياش، عن حميد، قال: سمعت انسا رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إذا كان يوم القيامة شفعت، فقلت: يا رب، ادخل الجنة من كان في قلبه خردلة، فيدخلون، ثم اقول ادخل الجنة من كان في قلبه ادنى شيء"، فقال انس: كاني انظر إلى اصابع رسول الله صلى الله عليه وسلم.
`Hum se Yusuf bin Rashid ne bayan kiya, kaha hum se Ahmad bin Abdullah Yarbu'i ne bayan kiya, kaha hum se Abu Bakr bin Ayash ne, un se Humaid ne bayan kiya ke mein ne Anas Radi Allahu Anhu se suna, kaha ke mein ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke qayamat ke din meri shafa'at qabool ki jaye gi. Mein kahoon ga: ay Rabb! jis ke dil mein rai ke daane ke barabar bhi iman ho is ko bhi jannat mein dakhil farma de. Aise log jannat mein dakhil kar diye jayein ge. Mein phir arz karoon ga: ay Rabb! jannat mein ise bhi dakhil kar de jis ke dil mein mamooli sa bhi iman ho. Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ke goya mein is waqt bhi Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki ungliyon ki taraf dekh raha hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7510
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا معبد بن هلال العنزي، قال: اجتمعنا ناس من اهل البصرة، فذهبنا إلى انس بن مالك وذهبنا معنا بثابت البناني إليه يساله لنا عن حديث الشفاعة، فإذا هو في قصره، فوافقناه يصلي الضحى، فاستاذنا، فاذن لنا وهو قاعد على فراشه، فقلنا لثابت لا تساله عن شيء اول من حديث الشفاعة، فقال: يا ابا حمزة هؤلاء إخوانك من اهل البصرة جاءوك يسالونك عن حديث الشفاعة، فقال: حدثنا محمد صلى الله عليه وسلم قال:" إذا كان يوم القيامة ماج الناس بعضهم في بعض، فياتون آدم، فيقولون: اشفع لنا إلى ربك، فيقول: لست لها ولكن عليكم بإبراهيم فإنه خليل الرحمن، فياتون إبراهيم، فيقول: لست لها ولكن عليكم بموسى فإنه كليم الله، فياتون موسى، فيقول: لست لها ولكن عليكم بعيسى، فإنه روح الله وكلمته فياتون عيسى، فيقول: لست لها ولكن عليكم بمحمد صلى الله عليه وسلم، فياتوني، فاقول: انا لها، فاستاذن على ربي فيؤذن لي ويلهمني محامد احمده بها لا تحضرني الآن فاحمده بتلك المحامد واخر له ساجدا، فيقول: يا محمد ارفع راسك، وقل يسمع لك، وسل تعط، واشفع تشفع، فاقول: يا رب، امتي امتي، فيقول: انطلق، فاخرج منها من كان في قلبه مثقال شعيرة من إيمان، فانطلق فافعل، ثم اعود فاحمده بتلك المحامد، ثم اخر له ساجدا، فيقال: يا محمد، ارفع راسك، وقل يسمع لك، وسل تعط، واشفع تشفع، فاقول: يا رب، امتي امتي، فيقول: انطلق، فاخرج منها من كان في قلبه مثقال ذرة او خردلة من إيمان، فاخرجه، فانطلق فافعل، ثم اعود فاحمده بتلك المحامد، ثم اخر له ساجدا، فيقول: يا محمد، ارفع راسك، وقل يسمع لك، وسل تعط، واشفع تشفع، فاقول: يا رب، امتي امتي، فيقول: انطلق، فاخرج من كان في قلبه ادنى ادنى ادنى مثقال حبة خردل من إيمان، فاخرجه من النار فانطلق فافعل، فلما خرجنا من عند انس، قلت لبعض اصحابنا: لو مررنا بالحسن وهو متوار في منزل ابي خليفة فحدثناه بما حدثنا انس بن مالك، فاتيناه فسلمنا عليه فاذن لنا، فقلنا له: يا ابا سعيد، جئناك من عند اخيك انس بن مالك، فلم نر مثل ما حدثنا في الشفاعة، فقال: هيه، فحدثناه بالحديث، فانتهى إلى هذا الموضع، فقال: هيه، فقلنا: لم يزد لنا على هذا، فقال: لقد حدثني وهو جميع منذ عشرين سنة، فلا ادري انسي ام كره ان تتكلوا، قلنا: يا ابا سعيد، فحدثنا فضحك، وقال: خلق الإنسان عجولا ما ذكرته إلا وانا اريد ان احدثكم حدثن كما حدثكم به، قال: ثم اعود الرابعة، فاحمده بتلك المحامد، ثم اخر له ساجدا، فيقال: يا محمد ارفع راسك، وقل يسمع، وسل تعطه، واشفع تشفع، فاقول: يا رب، ائذن لي فيمن قال: لا إله إلا الله، فيقول: وعزتي وجلالي وكبريائي وعظمتي، لاخرجن منها من قال: لا إله إلا الله".
`Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Said bin Hilal al-Anzi ne bayan kiya, unhon ne kaha ke Basra ke kuch log hamare paas jama ho gaye. Phir hum Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ke paas gaye aur apne saath Sabit Radi Allahu Anhu ko bhi le gaye taake wo hamare liye shafa'at ki hadees poochein. Anas Radi Allahu Anhu apne mahal mein thay aur jab hum pahunche to wo chasht ki namaz parh rahe thay. Hum ne mulaqat ki ijazat chahi aur humein ijazat mil gayi. Is waqt wo apne bister par baithe thay. Hum ne Sabit se kaha tha ke hadees-e-shafa'at se pehle un se aur kuch na poochna. Chunancha unhon ne kaha: ay Abu Hamza! yeh aap ke bhai Basra se aaye hain aur aap se shafa'at ki hadees poochna chahte hain. Unhon ne kaha ke hum se Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ne bayan kiya, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke qayamat ka din jab aaye ga to log thaathein maarte hue samandar ki tarah zahir hon ge. Phir wo Adam Alaihis Salam ke paas aayein ge aur un se kahein ge ke hamari apne Rabb ke paas shafa'at kijiye. Wo kahein ge ke mein is qabil nahi hoon tum Ibrahim Alaihis Salam ke paas jao, wo Allah ke khaleel hain. Log Ibrahim Alaihis Salam ke paas aayein ge wo bhi kahein ge ke mein is qabil nahi hoon, haan tum Musa Alaihis Salam ke paas jao ke wo Allah se sharaf-e-hum-kalami pane wale hain. Log Musa Alaihis Salam ke paas aayein ge aur wo bhi kahein ge ke mein is qabil nahi hoon, albatta tum Isa Alaihis Salam ke paas jao ke wo Allah ki rooh aur is ka kalma hain. Chunancha log Isa Alaihis Salam ke paas aayein ge wo bhi kahein ge ke mein is qabil nahi hoon, haan tum Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ke paas jao. Log mere paas aayein ge aur mein kahoon ga ke mein shafa'at ke liye hoon aur phir mein apne Rabb se ijazat chahoon ga aur mujhe ijazat di jaye gi aur Allah Ta'ala tareefon ke alfaz mujhe ilham kare ga jin ke zariya mein Allah ki hamd bayan karoon ga jo is waqt mujhe yaad nahi hain. Chunancha jab mein yeh tareefein bayan karoon ga Allah ke huzoor mein sajda karne wala ho jaoon ga to mujh se kaha jaye ga: ay Muhammad! apna sar uthao, jo kaho wo suna jaye ga, jo mango ge wo diya jaye ga, jo shafa'at karo ge qabool ki jaye gi. Phir mein kahoon ga: ay Rabb! meri ummat, meri ummat, kaha jaye ga ke jao aur in logon ko dozakh se nikal lo jin ke dil mein zarra ya rai barabar bhi iman ho. Chunancha mein jaoon ga aur aisa hi karoon ga. Phir mein lautoon ga aur yahi tareefein phir karoon ga aur Allah ke liye sajda mein chala jaoon ga mujh se kaha jaye ga. Apna sar uthao kaho, Aap ki suni jaye gi, mein kahoon ga: ay Rabb! meri ummat, meri ummat. Allah Ta'ala farmaye ga: jao aur jis ke dil mein ek rai ke daane ke kam se kam-tar hissa ke barabar bhi iman ho ise bhi jahannum se nikal lo. Phir mein jaoon ga aur nikaloong ga. Phir jab hum Anas Radi Allahu Anhu ke paas se nikle to mein ne apne baaz sathiyon se kaha ke humein Imam Hasan Basri ke paas bhi chalna chahiye, wo is waqt Abu Khalifa ke makan mein thay aur un se wo hadees bayan karni chahiye jo Anas Radi Allahu Anhu ne hum se bayan ki hai. Chunancha hum un ke paas aaye aur unhein salam kiya. Phir unhon ne humein ijazat di aur hum ne un se kaha: ay Abu Said! hum aap ke paas aap ke bhai Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ke yahan se aaye hain aur unhon ne hum se jo shafa'at ke mutalliq hadees bayan ki, is jaisi hadees hum ne nahi suni, unhon ne kaha ke bayan karo. Hum ne un se hadees bayan ki jab is maqaam tak pahunche to unhon ne kaha ke aur bayan karo, hum ne kaha ke is se zyada unhon ne nahi bayan ki. Unhon ne kaha ke Anas Radi Allahu Anhu jab sehat mand thay, bees saal ab se pehle to unhon ne mujh se yeh hadees bayan ki thi. Mujhe maloom nahi ke wo baqi bhool gaye ya is liye bayan karna napasand kiya ke kahin log bharosa na kar baithein. Hum ne kaha Abu Said! phir hum se wo hadees bayan kijiye. Aap is par hanse aur farmaya: insan bada jald-baaz paida kiya gaya hai. Mein ne is ka zikr hi is liye kiya hai ke tum se bayan karna chahta hoon. Anas Radi Allahu Anhu ne mujh se isi tarah hadees bayan ki jis tarah tum se bayan ki (aur is mein yeh lafz aur barhaye) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke phir mein chauthi martaba lautoon ga aur wahi tareefein karoon ga aur Allah ke liye sajda mein chala jaoon ga. Allah farmaye ga: ay Muhammad! apna sar uthao, jo kaho ge suna jaye ga, jo mango ge diya jaye ga, jo shafa'at karo ge qabool ki jaye gi. Mein kahoon ga: ay Rabb! mujhe un ke bare mein bhi ijazat dijiye jinhon ne La ilaha illallahu kaha hai. Allah Ta'ala farmaye ga meri izzat, Mere jalal, Meri kibriyai, Meri badayi ki qasam! is mein se (Mein) unhein bhi nikaloong ga jinhon ne kalma La ilaha illallahu kaha hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7511
حدثنا محمد بن خالد، حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسرائيل، عن منصور، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن آخر اهل الجنة دخولا الجنة، وآخر اهل النار خروجا من النار رجل يخرج حبوا، فيقول له ربه: ادخل الجنة، فيقول رب الجنة ملاى، فيقول له ذلك ثلاث مرات فكل ذلك يعيد عليه الجنة ملاى، فيقول: إن لك مثل الدنيا عشر مرار".
`Hum se Muhammad bin Khalid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya, un se Israil ne, un se Mansoor ne, un se Ibrahim ne, un se Ubaida ne aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jannat mein sab se baad mein dakhil hone wala aur dozakh se sab se baad mein nikalne wala wo shakhs ho ga jo ghasat kar nikle ga, is se is ka Rabb kahe ga jannat mein dakhil ho ja, wo kahe ga mere Rabb! jannat to bilkul bhari hui hai, phir Allah Ta'ala farmaye ga tere liye duniya ke das guna hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7512
حدثنا علي بن حجر، اخبرنا عيسى بن يونس، عن الاعمش، عن خيثمة، عن عدي بن حاتم، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما منكم احد إلا سيكلمه ربه ليس بينه وبينه ترجمان، فينظر ايمن منه فلا يرى إلا ما قدم من عمله، وينظر اشام منه فلا يرى إلا ما قدم، وينظر بين يديه فلا يرى إلا النار تلقاء وجهه، فاتقوا النار ولو بشق تمرة"، قال الاعمش، وحدثني عمرو بن مرة، عن خيثمة مثله، وزاد فيه ولو بكلمة طيبة.
`Hum se Ali bin Hajar ne bayan kiya, kaha hum ko Isa bin Yunus ne khabar di, unhein A'mash ne, unhein Khaisama ne aur un se Adi bin Hatim Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Tum mein se har shakhs se tumhara Rabb is tarah baat kare ga ke tumhare aur is ke darmiyan koi tarjuman nahi ho ga wo apne dayein taraf dekhe ga aur ise apne amaal ke siwa aur kuch nazar nahi aaye ga aur wo apne bayein taraf dekhe ga aur ise apne amaal ke siwa kuch nazar nahi aaye ga. Phir apne samne dekhe ga to apne samne jahannum ke siwa aur koi cheez na dekhe ga. Pas jahannum se bacho khwah khajoor ke ek tukre hi ke zariya ho sake.“ A'mash ne bayan kiya ke mujh se Amr bin Murra ne bayan kiya, un se Khaisama ne isi tarah aur is mein yeh lafz zyada kiye ke (jahannum se bacho) khwah ek acchi baat hi ke zariya ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7513
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" جاء حبر من اليهود، فقال: إنه إذا كان يوم القيامة جعل الله السموات على إصبع، والارضين على إصبع، والماء والثرى على إصبع، والخلائق على إصبع، ثم يهزهن، ثم يقول: انا الملك، انا الملك، فلقد رايت النبي صلى الله عليه وسلم يضحك حتى بدت نواجذه تعجبا وتصديقا لقوله، ثم قال النبي صلى الله عليه وسلم: وما قدروا الله حق قدره إلى قوله يشركون سورة الزمر آية 67.
`Hum se Usman bin Abi Shaiba ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Jareer ne bayan kiya, un se Mansoor ne bayan kiya, un se Ibrahim ne bayan kiya, un se Ubaida ne aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Yahudiyon ka ek aalim khidmat-e-nabwi mein hazir hua aur kaha ke jab qayamat qaim ho gi to Allah Ta'ala aasmanon ko ek ungli par, zameen ko ek ungli par, pani aur keechad ko ek ungli par, aur tamam makhlooqat ko ek ungli par utha le ga aur phir ise hilaye ga aur kahe ga Mein badshah hoon, Mein badshah hoon. Mein ne dekha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم hansne lage yahan tak ke Aap ke dandan-e-mubarak khul gaye, is baat ki tasdeeq aur ta'ajub karte hue. Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh ayat parhi «Wa ma qadarullaha haqqa qadrihi» ”Unhon ne Allah ki shan ke mutabiq qadar nahi ki“ Allah Ta'ala ke irshad «yushrikoon» tak.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7514
حدثنا مسدد، حدثنا ابو عوانة، عن قتادة، عن صفوان بن محرز، ان رجلا سال ابن عمر كيف سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول في النجوى، قال: يدنو احدكم من ربه حتى يضع كنفه عليه، فيقول: اعملت كذا وكذا؟، فيقول: نعم، ويقول: عملت كذا وكذا، فيقول: نعم، فيقرره، ثم يقول:" إني سترت عليك في الدنيا وانا اغفرها لك اليوم"،
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya, un se Qatada ne bayan kiya, un se Safwan bin Muhriz ne bayan kiya ke ek shakhs ne Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se poocha: sargoshi ke bare mein aap ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se kis tarah suna hai? Unhon ne bayan kiya ke tum mein se koi apne Rabb ke qareeb jaye ga yahan tak ke Allah Ta'ala apna parda is par daal de ga aur kahe ga tu ne yeh yeh amal kiya tha? Banda kahe ga ke haan. Chunancha wo is ka iqrar kare ga. Phir Allah Ta'ala farmaye ga ke Mein ne duniya mein tere gunah par parda dala tha aur aaj bhi tujhse maaf karta hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7514M
Adam bin Abi Ayas ne bayan kiya, kaha hum se Shaiban ne bayan kiya, kaha hum se Qatada ne bayan kiya, kaha hum se Safwan ne bayan kiya, un se Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَكَلَّمَ اللَّهُ مُوسَى تَكْلِيمًا}:
Allah Taala ka (Surat An-Nisa) mein irshaad ke "Allah ne Musa se kalaam kiya".
Hadith Number: 7515
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، حدثنا عقيل، عن ابن شهاب، حدثنا حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" احتج آدم، وموسى، فقال موسى: انت آدم الذي اخرجت ذريتك من الجنة، قال آدم: انت موسى الذي اصطفاك الله برسالاته وكلامه، ثم تلومني على امر قد قدر علي قبل ان اخلق، فحج آدم موسى".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, kaha hum se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, kaha hum se Hamid bin Abdur Rahman ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Adam Alaihis Salam aur Musa Alaihis Salam ne bahs ki, Musa Alaihis Salam ne kaha ke aap Adam hain jinhon ne apni nasl ko jannat se nikala. Adam Alaihis Salam ne kaha ke aap Musa hain jinhein Allah ne apne paigam aur kalam ke liye muntakhab kiya aur phir bhi aap mujhe ek aisi baat ke liye malamat karte hain jo Allah ne meri paidaish se pehle hi meri taqdeer mein likh di thi, chunancha Adam Alaihis Salam Musa Alaihis Salam par galib aaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7516
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يجمع المؤمنون يوم القيامة، فيقولون: لو استشفعنا إلى ربنا فيريحنا من مكاننا هذا، فياتون آدم، فيقولون: له انت آدم ابو البشر خلقك الله بيده، واسجد لك الملائكة وعلمك اسماء كل شيء، فاشفع لنا إلى ربنا حتى يريحنا، فيقول لهم: لست هناكم، فيذكر لهم خطيئته التي اصاب".
`Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Qatada ne bayan kiya, un se Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Iman wale qayamat ke din jama kiye jayein ge aur wo kahein ge ke kash koi hamari shafa'at karta taake hum apni is halat se najat pate, chunancha wo Adam Alaihis Salam ke paas aayein ge aur kahein ge ke aap Adam hain insaanon ke pardada. Allah ne aap ko apne haath se paida kiya, aap ko sajda karne ka farishton ko hukm diya aur har cheez ke naam aap ko sikhaye pas aap apne Rabb ke huzoor mein hamari shafa'at karein, aap jawab dein ge ke mein is qabil nahi hoon aur aap apni galti unhein yaad dilayein ge jo aap se sarzad hui thi.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7517
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثني سليمان، عن شريك بن عبد الله، انه قال: سمعت انس بن مالك، يقول:" ليلة اسري برسول الله صلى الله عليه وسلم من مسجد الكعبة انه جاءه ثلاثة نفر قبل ان يوحى إليه وهو نائم في المسجد الحرام، فقال: اولهم ايهم هو، فقال: اوسطهم هو خيرهم، فقال: آخرهم خذوا خيرهم، فكانت تلك الليلة فلم يرهم حتى اتوه ليلة اخرى فيما يرى قلبه، وتنام عينه، ولا ينام قلبه، وكذلك الانبياء تنام اعينهم ولا تنام قلوبهم، فلم يكلموه حتى احتملوه فوضعوه عند بئر زمزم، فتولاه منهم جبريل، فشق جبريل ما بين نحره إلى لبته حتى فرغ من صدره وجوفه، فغسله من ماء زمزم بيده حتى انقى جوفه، ثم اتي بطست من ذهب فيه تور من ذهب محشوا إيمانا وحكمة، فحشا به صدره ولغاديده يعني عروق حلقه ثم اطبقه، ثم عرج به إلى السماء الدنيا، فضرب بابا من ابوابها، فناداه اهل السماء من هذا، فقال جبريل: قالوا: ومن معك؟، قال: معي محمد، قال: وقد بعث؟، قال: نعم، قالوا: فمرحبا به واهلا، فيستبشر به اهل السماء لا يعلم اهل السماء بما يريد الله به في الارض حتى يعلمهم، فوجد في السماء الدنيا آدم، فقال له جبريل: هذا ابوك آدم فسلم عليه، فسلم عليه ورد عليه آدم، وقال: مرحبا واهلا بابني نعم الابن انت فإذا هو في السماء الدنيا بنهرين يطردان، فقال: ما هذان النهران يا جبريل؟، قال: هذا النيل والفرات عنصرهما، ثم مضى به في السماء، فإذا هو بنهر آخر عليه قصر من لؤلؤ وزبرجد، فضرب يده، فإذا هو مسك اذفر، قال: ما هذا يا جبريل؟، قال: هذا الكوثر الذي خبا لك ربك، ثم عرج به إلى السماء الثانية، فقالت الملائكة له: مثل ما قالت له الاولى من هذا قال جبريل: قالوا ومن معك؟، قال محمد صلى الله عليه وسلم، قالوا: وقد بعث إليه؟، قال: نعم، قالوا: مرحبا به واهلا، ثم عرج به إلى السماء الثالثة، وقالوا له: مثل ما قالت الاولى والثانية، ثم عرج به إلى الرابعة، فقالوا له: مثل ذلك، ثم عرج به إلى السماء الخامسة، فقالوا: مثل ذلك، ثم عرج به إلى السماء السادسة، فقالوا له: مثل ذلك، ثم عرج به إلى السماء السابعة، فقالوا له: مثل ذلك كل سماء فيها انبياء قد سماهم، فاوعيت منهم إدريس في الثانية، وهارون في الرابعة، وآخر في الخامسة، لم احفظ اسمه، وإبراهيم في السادسة، وموسى في السابعة، بتفضيل كلام الله، فقال موسى: رب لم اظن ان يرفع علي احد، ثم علا به فوق ذلك بما لا يعلمه إلا الله، حتى جاء سدرة المنتهى، ودنا للجبار رب العزة، فتدلى، حتى كان منه قاب قوسين او ادنى، فاوحى الله فيما اوحى إليه خمسين صلاة على امتك كل يوم وليلة، ثم هبط حتى بلغ موسى، فاحتبسه موسى، فقال يا محمد: ماذا عهد إليك ربك، قال: عهد إلي خمسين صلاة كل يوم وليلة، قال: إن امتك لا تستطيع ذلك فارجع، فليخفف عنك ربك وعنهم، فالتفت النبي صلى الله عليه وسلم إلى جبريل كانه يستشيره في ذلك، فاشار إليه جبريل، ان نعم إن شئت فعلا به إلى الجبار، فقال وهو مكانه:" يا رب، خفف عنا فإن امتي لا تستطيع هذا فوضع عنه عشر صلوات، ثم رجع إلى موسى، فاحتبسه فلم يزل يردده موسى إلى ربه حتى صارت إلى خمس صلوات، ثم احتبسه موسى عند الخمس، فقال: يا محمد، والله لقد راودت بني إسرائيل قومي على ادنى من هذا، فضعفوا، فتركوه، فامتك اضعف اجسادا وقلوبا وابدانا وابصارا واسماعا، فارجع، فليخفف عنك ربك كل ذلك يلتفت النبي صلى الله عليه وسلم إلى جبريل ليشير عليه ولا يكره ذلك جبريل، فرفعه عند الخامسة، فقال: يا رب، إن امتي ضعفاء اجسادهم وقلوبهم واسماعهم وابصارهم وابدانهم، فخفف عنا، فقال الجبار: يا محمد، قال: لبيك وسعديك، قال: إنه لا يبدل القول لدي كما فرضته عليك في ام الكتاب، قال: فكل حسنة بعشر امثالها فهي خمسون في ام الكتاب وهي خمس عليك، فرجع إلى موسى، فقال: كيف فعلت؟، فقال: خفف عنا اعطانا بكل حسنة عشر امثالها، قال موسى: قد والله راودت بني إسرائيل على ادنى من ذلك، فتركوه ارجع إلى ربك فليخفف عنك ايضا، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: يا موسى، قد والله استحييت من ربي مما اختلفت إليه، قال: فاهبط باسم الله، قال: واستيقظ وهو في مسجد الحرام".
Hum se Abd-ul-Aziz bin Abdullah Owaysi ne bayan kiya , unhon ne kaha mujh se Sulayman bin Bilal ne bayan kiya , in se Shareek bin Abdullah bin Abi ne bayan kiya , unhon ne bayan kiya ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna unhon ne woh waqia bayan kiya jis raat Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Masjid e Kaaba se Mearaj ke liye le jaya gaya ke wahi aane se pehle Aap ke paas farishte aaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Masjid-ul-Haram mein soye huay thay . In mein se ek ne poochha ke woh kaun hain ? Doosre ne jawab diya ke woh in mein sab se behtar hain teesre ne kaha ke in mein jo sab se behtar hain unhein le lo . Is raat ko bas itna hi waqia pesh aaya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ke baad unhein nahi dekha . Yahan tak ke woh doosri raat aaye jabke Aap ka dil dekh raha thu aur Aap ki aankhen so rahi thien . Lekin dil nahi so raha thu . Ambiya ka yahi haal hota hai . In ki aankhen soti hain lekin in ke dil nahi sote . Chunanche unhon ne Aap se baat nahi ki . Balkay Aap ko utha kar Zamzam ke kunwien ke paas laaye . Yahan Jibrail alaihissalam ne Aap ka kaam sanbhala aur Aap ke galay se dil ke neeche tak seena chaak kiya aur seene aur pait ko paak kar ke Zamzam ke pani se usay apne hath se dhoya yahan tak ke Aap ka pait saaf ho gaya . Phir Aap ke paas sone ka tasht laya gaya jis mein sone ka ek bartan iman o hikmat se bhara hua thu . Is se Aap ke seene aur halaq ki ragon ko siya aur usay barabar kar diya . Phir Aap ko le kar aasman e duniya par charhe aur is ke darwazon mein se ek darwaze par dastak di . Aasman walon ne in se poochha Aap kaun hain ? Unhon ne kaha ke Jibrail unhon ne poochha aur Aap ke saath kaun hai ? Jawab diya ke meere saath Muhammad salla Allahu alaihi wasallam hain . Poochha: kiya unhein bulaya gaya hai ? Jawab diya ke haan . Aasman walon ne kaha khoob achhe aane aur apne hi logon mein aane ho . Aasman wale is se khush huay . In mein se kisi ko maloom nahi hota ke Allah Ta'ala zameen mein kiya karna chahta hai jab tak woh unhein bata na de . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aasman e duniya par Adam alaihissalam ko paya . Jibrail alaihissalam ne Aap se kaha ke yeh Aap ke buzurg tareen dada Adam hain Aap unhein salam kijiye . Adam alaihissalam ne salam ka jawab diya . Kaha ke khoob achhe aane aur apne hi logon mein aane ho . Mubarak ho apne bete ko , Aap kiya hi achhe bete hain . Aap ne aasman e duniya mein do neharein dekhein jo beh rahi thien . Poochha Ae Jibrail! yeh neharein kaisi hain ? Jibrail alaihissalam ne jawab diya ke yeh Neel aur Furaat ka manba hai . Phir Aap aasman par aur chale to dekha ke ek doosri nehar hai jis ke oopar moti aur zabar-jad ka mahal hai . Is par apna hath mara to woh mushk hai . Poochha: Jibrail! yeh kiya hai ? Jawab diya ke yeh Kausar hai jise Allahne Aap ke liye mahfooz rakkha hai . Phir Aap doosre aasman par charhe . Farishton ne yahan bhi wahi sawal kiya jo pehle aasman par kiya thu . Kaun hain ? Kaha: Jibrail . Poochha Aap ke saath kaun hain ? Kaha Muhammad salla Allahu alaihi wasallam . Poochha kiya unhein bulaya gaya hai ? Unhon ne kaha ke haan . Farishte bole unhein marhaba aur bisharat ho . Phir Aap ko le kar teesre aasman par charhe aur yahan bhi wahi sawal kiya jo pehle aur doosre aasman par kiya thu . Phir chouthe aasman par le kar charhe aur yahan bhi wahi sawal kiya . Phir paanchvein aasman par Aap ko le kar charhe aur yahan bhi wahi sawal kiya phir chhatte aasman par Aap ko le kar charhe aur yahan bhi wahi sawal kiya . Phir Aap ko le kar saatvein aasman par charhe aur yahan bhi wahi sawal kiya . Har aasman par ambiya hain jin ke naam Aap ne liye . Mujhe yeh yaad hai ke Idrees alaihissalam doosre aasman par , Haroon alaihissalam chouthe aasman par , aur doosre Nabi paanchvein aasman par . Jin ke naam mujhe yaad nahi aur Ibrahim alaihissalam chhatte aasman par aur Musa alaihissalam saatvein aasman par . Yeh unhein Allah Ta'ala ne sharaf e ham-kalaami ki wajah se fazeelat mili thi . Musa alaihissalam ne kaha: meere Rabb! mera khayal nahi thu ke kisi ko mujh se barhaya jaye ga . Phir Jibrail alaihissalam unhein le kar is se bhi oopar gaye jis ka ilm Allahke siwa aur kisi ko nahi yahan tak ke Aap ko Sidrat-ul-Muntaha par le kar aane aur Rabb-ul-Izzat Allah Tabarak wa Ta'ala se qareeb huay aur itne qareeb jaise kaman ke donon kinare ya is se bhi qareeb . Phir Allahne aur doosri baaton ke saath Aap ki ummat par din aur raat mein pachaas namazon ki wahi ki . Phir Aap utre aur jab Musa alaihissalam ke paas pahunche to unhon ne Aap ko روک liya aur poochha: Ae Muhammad! Aap ke Rabb ne Aap se kiya ahad liya hai ? Farmaya ke meere Rabb ne mujh se din aur raat mein pachaas namazon ka ahad liya hai . Musa alaihissalam ne farmaya ke Aap ki ummat mein is ki taqat nahi . Wapas jayiye aur apni aur apni ummat ki taraf se kami ki darkhast kijiye . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Jibrail alaihissalam ki taraf mutawaj-jo huay aur unhon ne bhi isharah kiya ke haan agar chahein to behtar hai . Chunanche Aap phir unhein le kar Allah Ta'ala ki bargah mein hazir huay aur apne maqam par khare ho kar arz kiya: Ae Rabb! hamase kami kar de kyunke meri ummat is ki taqat nahi rakhti . Chunanche Allah Ta'ala ne das namazon ki kami kar di . Phir Aap Musa alaihissalam ke paas aane to unhon ne Aap ko roka . Musa alaihissalam Aap ko isi tarah barabar Allah Rabb-ul-Izzat ke paas wapas karte rahe . Yahan tak ke paanch namazein ho gayiein . Paanch namazon par bhi unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko roka aur kaha: Ae Muhammad! main ne apni qaum Bani Israeel ka tajurba is se kam par kiya hai woh natawan sabit huay aur unhon ne chhorr diya . Aap ki ummat to jism , dil , badan , nazar aur kaan har aitbar se kamzor hai , Aap wapas jayiye aur Allah Rabb-ul-Izzat is mein bhi kami kar de ga . Har martaba Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Jibrail alaihissalam ki taraf mutawaj-jo hote thay taake in se mashwara lein aur Jibrail alaihissalam usay napasand nahi karte thay . Jab woh Aap ko paanchvein martaba bhi le gaye to arz kiya: Ae meere Rabb! meri ummat jism , dil , nigah aur band har haisi-yat se kamzor hai , pas hamase aur kami kar de . Allah Ta'ala ne is par farmaya ke woh qaul meere yahan badla nahi jata jaisa ke main netum par Umm-ul-Kitab mein farzh kiya hai . Aur farmaya ke har naiki ka sawab das guna hai pas yeh Umm-ul-Kitab mein pachaas namazein hain lekintum par farzh paanch hi hain . Chunanche Aap Musa alaihissalam ke paas wapas aane aur unhon ne poochha: kiya hua ? Aap ne kaha ke hamase yeh takh-feef ki ke har naiki ke badle das ka sawab mile ga . Musa alaihissalam ne kaha ke main ne Bani Israeel ko is se kam par aazmaya hai aur unhon ne chhorr diya . Pas Aap wapas jayiye aur mazeed kami karaiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par kaha: Ae Musa , wallah! mujhe apne Rabb se ab sharm aati hai kyunke baar baar aa ja chuka hoon . Unhon ne kaha ke phir Allahka naam le kar utar jao . Phir jab tum bedar huay to Masjid-ul-Haram mein thay . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Masjid-ul-Haram hi mein thay ke jaag uthe , jaag uthne se yeh murad hai ke woh halat e Mearaj ki jaati rahi aur Aap apni halat mein aa gaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة