الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {يَا أَيُّهَا الرَّسُولُ بَلِّغْ مَا أُنْزِلَ إِلَيْكَ مِنْ رَبِّكَ وَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَمَا بَلَّغْتَ رِسَالاَتِهِ}:
Allah Taala ka (Surat Al-Maida mein) farmaan "aye Rasool! tere Parwardigaar ki taraf se jo tujh par utra us ko logon tak pahuncha de".
Show diacritics
Hadith Number: 7531
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن إسماعيل، عن الشعبي، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: من حدثك ان محمدا صلى الله عليه وسلم كتم شيئا، وقال محمد، حدثنا ابو عامر العقدي، حدثنا شعبة، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن الشعبي، عن مسروق، عن عائشة، قالت:" من حدثك ان النبي صلى الله عليه وسلم كتم شيئا من الوحي فلا تصدقه، إن الله تعالى يقول: يايها الرسول بلغ ما انزل إليك من ربك وإن لم تفعل فما بلغت رسالته سورة المائدة آية 67.
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , kaha hamase Ismail ne , in se Shabi ne , in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke agar koi tum se yeh bayan karta hai ke Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ne koi cheez chhupayi , (aur doosri sanad) aur Muhammad bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya , kaha hamase Abu Aamir Aqadi ne bayan kiya , kaha hamase Shubah bin Hajjaj ne , in se Ismail bin Abi Khalid ne , in se Shabi ne , in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke agartum se koi yeh bayan karta hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne wahi mein kuch chhupa liya to is ki tasdeeq na karna (woh jhoota hai) kyunke Allah Ta'ala khud farmata hai «yaaa ay-yuhan-rasoolu bal-ligh maaa unzhila ilaika mir-rab-bika wa il-lam taf-al fa-maa bal-laghta risaalatahoo» ke ”Ae Rasool! pahuncha dijiye woh paigham jo Aap ke paas Aap ke Rabb ki taraf se nazil hua hai aur agar Aap ne yeh nahi kiya to Aap apne Rabb ka paigham nahi pahunchaya .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7532
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن عمرو بن شرحبيل، قال: قال عبد الله، قال رجل:" يا رسول الله، اي الذنب اكبر عند الله؟، قال: ان تدعو لله ندا وهو خلقك، قال: ثم اي؟، قال: ثم ان تقتل ولدك مخافة ان يطعم معك، قال: ثم اي؟، قال: ان تزاني حليلة جارك، فانزل الله تصديقها: والذين لا يدعون مع الله إلها آخر ولا يقتلون النفس التي حرم الله إلا بالحق ولا يزنون ومن يفعل ذلك يلق اثاما {68} يضاعف له العذاب سورة الفرقان آية 68-69.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Jareer ne bayan kiya , in se Aamash ne , in se Abu Wail ne , in se Amr bin Sharjeel ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhune bayan kiya ke ek sahab ne arz kiya: ya Rasool Allah! kaun sa gunah Allah ke nazdeek sab se bada hai ? Farmaya ketum Allah ki ibadat mein kisi ko bhi saajhi banao haalan-ke tumhein Allahne paida kiya hai . Poochha phir kaun sa ? Farmaya yeh ketum apne bache ko is khauf se maar daalo ke woh tumhare saath khaye ga . Poochha phir kaun sa ? Farmaya yeh ke tum apne parosi ki biwi se zina karo . Chunanche Allah Ta'ala ne (Surah al-Furqan mein) is ki tasdeeq mein Quran nazil farmaya «wal-lazheena laa yad-oona maal-laahi ilaahan aakhara wa laa yaqtuloonan-nafsal-latee harramallaahu il-laa bil-haqqi wa laa yaznoona wa may-yaf-al zhaalika» ”aur woh log jo Allah ke saath kisi doosre mabood e batil ko nahi pukaarte aur jo kisi aise ki jaan nahi laite jise Allahne haram kiya hai siwa haq ke aur jo zina nahi karte aur jo koi aisa kare ga woh gunah se bharr jaye ga .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {قُلْ فَأْتُوا بِالتَّوْرَاةِ فَاتْلُوهَا}:
Allah Taala ka (Surat Aal-e-Imran mein) yun farmana "aye Rasool! keh de achha Taurat lao aur isay parho".
Show diacritics
Hadith Number: Q7533
وقول النبي صلى الله عليه وسلم: اعطي اهل التوراة التوراة فعملوا بها واعطي اهل الإنجيل الإنجيل فعملوا به واعطيتم القرآن فعملتم به، وقال ابو رزين يتلونه حق تلاوته يتبعونه ويعملون به حق عمله يقال يتلى يقرا حسن التلاوة حسن القراءة للقرآن لا يمسه لا يجد طعمه ونفعه إلا من آمن بالقرآن، ولا يحمله بحقه إلا الموقن لقوله تعالى: مثل الذين حملوا التوراة ثم لم يحملوها كمثل الحمار يحمل اسفارا بئس مثل القوم الذين كذبوا بآيات الله والله لا يهدي القوم الظالمين سورة الجمعة آية 5 وسمى النبي صلى الله عليه وسلم الإسلام، والإيمان، والصلاة عملا، قال ابو هريرة، قال النبي صلى الله عليه وسلم لبلال: اخبرني بارجى عمل عملته في الإسلام، قال: ما عملت عملا ارجى عندي اني لم اتطهر إلا صليت، وسئل اي العمل افضل؟، قال: إيمان بالله ورسوله، ثم الجهاد، ثم حج مبرور.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yun farmana ke Tauraat wale Tauraat diye gaye unhon ne is par amal kiya . Injeel wale Injeel diye gaye unhon ne is par amal kiya . tum Quran diye gayetum ne is par amal kiya . Aur Abu Razeen ne kaha «yat-loonahoo» ka matlab yeh hai ke is ki pairwi karte hain . Is par jaisa amal karna chahiye waisa amal karte hain to tilawat karna ek amal thehra . Arab kehte hain «yut-laa» yani parha jata hai aur kehte hain falan shakhs ki tilawat ya qiraat achhi hai aur Quran mein (Surah al-Waqia mein) hai «laa yamas-suhoo» yani Quran ka maza wahi paayein ge is ka faida wahi uthayein ge jo kufr se paak yani Quran par iman laate hain aur Quran ko is ke haq ke saath wahi uthaye ga jis ko aakhirat par yaqeen ho ga kyunke (Surah al-Jumu'ah mein) farmaya «masal-ul-lazheena hum-milut-tauraata sum-ma lam yah-miloohaa ka-masal-il-himaari yah-milu as-faaran bi'-sa masal-ul-qaumil-lazheena kazh-zhaboo bi-aayaatillaahi wal-laahu laa yahdil-qaumazh-zhaalimeena» ”in logon ki misal jin se Tauraat uthayi gayi phir unhon ne is ko nahi uthaya , (is par amal nahi kiya) aaisi hai jaise gadhe ki misal jis par kitabein ladi hon . Jin logon ne Allah kibaaton ko jhutlaya in ki aaisi hi buri misal hai aur Allahaise shareer logon ko raah par nahi lagata .“ Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Islam aur iman donon ko mukammal farmaya . Abu Hurairah razi Allahu anhune kaha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Bilal razi Allahu anhuse farmaya ke tum mujh se apna woh zyada umeed ka amal bayan karo jis kotum ne Islam ke zamana mein kiya ho . Unhon ne kaha: ya Rasool Allah! main ne Islam ke zamana mein is se zyada umeed ka koi kaam nahi kiya hai ke main ne jab wuzu kiya to is ke baad Tahiy-yat-ul-Wuzu ki do rakaat namaz parhi aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha gaya: kaun sa amal afzhal hai ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allahaur is ke Rasool par iman laana phir Allah kiraah mein jihad karna phir woh Hajj jis ke baad gunah na ho .


Show diacritics
Hadith Number: 7533
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، اخبرني سالم، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إنما بقاؤكم فيمن سلف من الامم كما بين صلاة العصر إلى غروب الشمس اوتي اهل التوراة التوراة، فعملوا بها حتى انتصف النهار ثم عجزوا، فاعطوا قيراطا قيراطا، ثم اوتي اهل الإنجيل الإنجيل، فعملوا به حتى صليت العصر، ثم عجزوا فاعطوا قيراطا قيراطا، ثم اوتيتم القرآن فعملتم به حتى غربت الشمس، فاعطيتم قيراطين قيراطين، فقال اهل الكتاب: هؤلاء اقل منا عملا واكثر اجرا، قال الله: هل ظلمتكم من حقكم شيئا؟، قالوا: لا، قال: فهو فضلي اوتيه من اشاء".
Hum se Abdan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , unhein Yunus ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Salim ne khabar di aur unhein Abdullah bin Umar raziAllahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”guzashta ummaton ke muqabla mein tumhara wujood aisa hai jaise Asr aur Maghrib ke darmiyan ka waqt , Ahl e Tauraat ko Tauraat di gayi to unhon ne is par amal kiya yahan tak ke din aadha ho gaya aur woh aajizh ho gaye . Phir unhein ek ek qiraat diya gaya . Phir Ahl e Injeel ko Injeel di gayi aur unhon ne is par amal kiya yahan tak ke Asr ki namaz ka waqt ho gaya , unhein bhi ek ek qiraat diya gaya . Phir tumhein Quran diya gaya aurtum ne is par amal kiya yahan tak ke Maghrib ka waqt ho gaya , tumhein do do qiraat diye gaye , is par Ahl e Kitab ne kaha ke yeh hamase amal mein kam hain aur ajar mein zyada . Allah Ta'ala ne farmaya kiya main ne tumhara haq dene mein koi zhulm kiya hai ? Unhon ne jawab diya ke nahi . Allah Ta'ala ne farmaya ke phir yeh mera fazhl hai main jise chahoon doon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَسَمَّى النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الصَّلاَةَ عَمَلاً:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ne namaz ko amal kaha.
Show diacritics
Hadith Number: Q7534
وقال: لا صلاة لمن لم يقرا بفاتحة الكتاب.
Aur (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne) farmaya ke jo Surah Fatiha na parhe is ki namaz nahi .


Show diacritics
Hadith Number: 7534
حدثني سليمان، حدثنا شعبة، عن الوليد. ح وحدثني عباد بن يعقوب الاسدي، اخبرنا عباد بن العوام، عن الشيباني، عن الوليد بن العيزار، عن ابي عمرو الشيباني، عن ابن مسعود رضي الله عنه،" ان رجلا سال النبي صلى الله عليه وسلم اي الاعمال افضل؟، قال: الصلاة لوقتها، وبر الوالدين، ثم الجهاد في سبيل الله".
Mujh se Sulayman bin Harb ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah bin Hajjaj ne bayan kiya , in se Waleed bin Aizhaar ne (doosri sanad) aur Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke mujh se Abbad bin Yaqub Asadi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abbad bin al-Awam ne khabar di , unhein Shaybani ne aur unhein Abdullah bin Masood razi Allahu anhune ke ek shakhs ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha: kaun sa amal sab se afzhal hai ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apne waqt par namaz parhna aur walidain ke saath naik muamla karna , phir Allahke raaste mein jihad karna .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {إِنَّ الإِنْسَانَ خُلِقَ هَلُوعًا إِذَا مَسَّهُ الشَّرُّ جَزُوعًا وَإِذَا مَسَّهُ الْخَيْرُ مَنُوعًا}:
Allah Taala ka (Surat Al-Ma'aarij mein) farmaan ke "Adam zaad dil ka kacha paida kiya gaya hai, jab us par koi musibat aayi to aah o zaari karne lag jata hai aur jab raahat milti hai to bakheel ban jata hai".
Show diacritics
Hadith Number: Q7535
هلوعا ضجورا.
«haloo-an» bamaani «zhajooran» be-sabra .


Show diacritics
Hadith Number: 7535
حدثنا ابو النعمان، حدثنا جرير بن حازم، عن الحسن، حدثنا عمرو بن تغلب، قال:" اتى النبي صلى الله عليه وسلم مال، فاعطى قوما ومنع آخرين، فبلغه انهم عتبوا، فقال: إني اعطي الرجل وادع الرجل، والذي ادع احب إلي من الذي اعطي، اعطي اقواما لما في قلوبهم من الجزع والهلع، واكل اقواما إلى ما جعل الله في قلوبهم من الغنى والخير منهم عمرو بن تغلب، فقال عمرو: ما احب ان لي بكلمة رسول الله صلى الله عليه وسلم حمر النعم".
Hum se Abu al-Nu-man ne bayan kiya , kaha hum se Jareer bin Hazim ne bayan kiya , in se Imam Hasan Basri ne , in se Amr bin Taghlib razi Allahu anhune bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas maal aaya aur Aap ne is mein se kuch logon ko diya aur kuch ko nahi diya . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko maloom hua ke is par kuch log naraz huay hain to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ek shakhs ko دیتا huں اور دوسرے ku نہیں دیتا اور جسے نہیں دیتا وہ مجھے اس سے زیادہ عزیز huتا ہے جسے دیتا huں۔ میں کچھ لوگوں ku اس لیے دیتا huں کہ in ke دلوں میں گھبراہٹ اور بے چینی ہے اور دوسرے لوگوں parاعتماد کرتا huں کہ Allahne in ke دلوں ku بے نیازی اور بھلائی عطا فرمائی ہے۔ inہیں میں سے عمرو بن تغلب بھی ہیں۔ عمرو رضی Allahu anhune بیin kiya کہ نبی kareem صلی Allahعلیہ وسلم ke اس کلمہ ke مقابلہ میں مجھے لال لال اونٹ ملتے تو اتنی خوشی نہ huتی۔


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذِكْرِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَرِوَايَتِهِ عَنْ رَبِّهِ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka apne Rabb se rawaayat karna.
Show diacritics
Hadith Number: 7536
حدثني محمد بن عبد الرحيم، حدثنا ابو زيد سعيد بن الربيع الهروي، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم يرويه عن ربه، قال:" إذا تقرب العبد إلي شبرا تقربت إليه ذراعا، وإذا تقرب مني ذراعا تقربت منه باعا، وإذا اتاني مشيا اتيته هرولة".
Mujh se Muhammad bin Abd-ur-Rahim ne bayan kiya , kaha hum se Abu Zayd bin Rabee Harwi ne , kaha hum se Shubah ne , in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne Rabb se riwayat kiya ke Allah Paak farmata hai ke jab banda mujh se ek balisht qareeb hota hai to main ek hath is se qareeb hota hoon aur jab banda mujh se ek hath qareeb hota hai to main is se do hath qareeb hota hoon aur jab woh meere paas paidal chal kar aata hai to main dour kar aa jata hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7537
حدثنا مسدد، عن يحيى، عن التيمي، عن انس بن مالك، عن ابي هريرة، قال: ربما ذكر النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا تقرب العبد مني شبرا تقربت منه ذراعا، وإذا تقرب مني ذراعا تقربت منه باعا، او بوعا"، وقال معتمر، سمعت ابي، سمعت انسا، عن النبي صلى الله عليه وسلم يرويه، عن ربه عز وجل.
Hum se Musaddad ne bayan kiya , in se Yahya ne , in se Tameemi ne , in se Anas bin Malik razi Allahu anhune aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhune bayan kiya ke aksar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (Allah Ta'ala farmata hai ke) jab banda mujh se ek balisht qareeb hota hai to main is se ek hath qareeb ho jata hoon aur jab woh ek hath qareeb aata hai to main is se do hath qareeb hota hoon . Aur Mutamir ne kaha ke main ne apne walid se suna , unhon ne Anas razi Allahu anhuse suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne Rabb Az-za wa Jal se riwayat karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة