الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يَتَنَاجَى اثْنَانِ دُونَ الثَّالِثِ:
Kisi jagah sirf teen aadmi hon to ek ko akela chhod kar do aadmi sargoshi na karen.
Hadith Number: Q6288-2
وقوله تعالى: {يا ايها الذين آمنوا إذا تناجيتم فلا تتناجوا بالإثم والعدوان ومعصية الرسول وتناجوا بالبر والتقوى}. إلى قوله: {وعلى الله فليتوكل المؤمنون}
Aur Allah Paak ne (Surah Qad Samiallah mein) farmaya «ya ay-yuhal-lazheena aamanoo izha tanaajaitum falaa tatanaajau bil-ismi wal-udwaani wa ma-siyatir-rasooli wa tanaajau bil-birri wat-taqwaa» ”Musalmano! Jab tum sargoshi karo to gunah aur zhulm aur Paighambar ki nafarmani par sargoshi na kiya karo balkay naiki aur parhezgari par“ aakhir aayat «wallaahu khabeerum-bi-maa tamaloona» tak .
Hadith Number: Q6288
وقوله: {يا ايها الذين آمنوا إذا ناجيتم الرسول فقدموا بين يدي نجواكم صدقة ذلك خير لكم واطهر فإن لم تجدوا فإن الله غفور رحيم} إلى قوله: {والله خبير بما تعملون}.
Aur Allah ne (is surat mein) mazeed farmaya «ya ay-yuhal-lazheena aamanoo izha naajaitumur-rasoola fa-qaddimoo baina yadai najwaakum sadaqatan zhaalika khairul-lakum wa atharu fa-il-lam tajidoo fa-innallaaha ghafoorur-raheemun» ”Musalmano! Jab tum Paighambar se sargoshi karo to is se pehle kuch sadqa nikala karo yeh tumhare haq mein behtar aur pakeeza hai agar tum ko khairat karne ke liye kuch na mile to khair Allah bakhshne wala meherban hai .“ Aakhir aayat «wallaahu khabeerum-bi-maa tamaloona» tak . (Surah al-Mujadila: 12 , 13)
Hadith Number: 6288
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك. ح وحدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن عبد الله رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا كانوا ثلاثة، فلا يتناجى اثنان دون الثالث".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Nafi ne aur in se Abdullah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab teen aadmi saath hon to teesre saathi ko chhorr kar do aapas mein kana-phosi (sargoshi) na karein .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حِفْظِ السِّرِّ:
Raaz chhupana.
Hadith Number: 6289
حدثنا عبد الله بن صباح، حدثنا معتمر بن سليمان، قال: سمعت ابي، قال:" سمعت انس بن مالك اسر إلي النبي صلى الله عليه وسلم سرا فما اخبرت به احدا بعده، ولقد سالتني ام سليم فما اخبرتها به".
Hum se Abdullah bin Sabbah ne bayan kiya , kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne bayan kiya , kaha ke main ne apne walid se suna ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se ek raaz ki baat kahi thi aur main ne woh raaz kisi ko nahi bataya (in ki walda) Umm Sulaym razi Allahu anha ne bhi mujh se is ke mutalliq poochha lekin main ne unhein bhi nahi bataya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا كَانُوا أَكْثَرَ مِنْ ثَلاَثَةٍ فَلاَ بَأْسَ بِالْمُسَارَّةِ وَالْمُنَاجَاةِ:
Jab teen se zyada aadmi hon to kaana phoosi karne mein koi harj nahin hai.
Hadith Number: 6290
حدثنا عثمان، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا كنتم ثلاثة، فلا يتناجى رجلان دون الآخر حتى تختلطوا بالناس اجل ان يحزنه".
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya , kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya , in se Mansoor bin Mutamir ne , in se Abu Wail ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab teen aadmi hon to teesre saathi ko chhorr kar tum aapas mein kana-phosi (sargoshi) na kiya karo . Is liye ke logon ko ranj ho ga albatta agar doosre aadmi bhi hon to muzhay-qa nahi .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6291
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن شقيق، عن عبد الله، قال: قسم النبي صلى الله عليه وسلم يوما قسمة، فقال رجل من الانصار: إن هذه لقسمة ما اريد بها وجه الله، قلت: اما والله لآتين النبي صلى الله عليه وسلم، فاتيته وهو في ملإ فساررته، فغضب حتى احمر وجهه، ثم قال:" رحمة الله على موسى اوذي باكثر من هذا فصبر".
Hum se Abdan ne bayan kiya , in se Abu Hamza Muhammad bin Maymoon ne , in se Aamash ne , in se Shaqeeq ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek martaba kuch maal taqseem farmaya is par Ansar ke ek shakhs ne kaha ke yeh aaisi taqseem hai jis se Allah ki khushnoodi maqsud na thi main ne kaha ke haan! Allah ki qasam main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein jaoon ga . Chunanche main gaya , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt majlis mein baithe huay thay main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke kaan mein chupke se yeh baat kahi to Aap ghussa ho gaye aur Aap ka chehra surkh ho gaya phir Aap ne farmaya ke Musa alaihissalam par Allah ki rahmat ho unhein is se bhi zyada takleef pahunchayi gayi lekin unhon ne sabr kiya (pas main bhi sabr karoon ga) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ طُولِ النَّجْوَى:
Dair tak sargoshi karna.
Hadith Number: Q6292
وقوله: وإذ هم نجوى مصدر من ناجيت، فوصفهم بها والمعنى: يتناجون"
(Surah Bani Israeel mein farmaya) «wa izh hum najwaa» to «najwaa» , «naajaita» ka masdar hai yani woh log sargoshi kar rahe hain yahan yeh in logon ki sifat waqea ho raha hai .
Hadith Number: 6292
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن عبد العزيز، عن انس رضي الله عنه، قال:" اقيمت الصلاة ورجل يناجي رسول الله صلى الله عليه وسلم فما زال يناجيه حتى نام اصحابه، ثم قام فصلى".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya , hamase Shubah ne bayan kiya , in se Abdul Aziz bin Suhayb aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke namaz ki takbeer kahi gayi aur ek sahabi Rasool salla Allahu alaihi wasallam se sargoshi karte rahe , phir woh der tak sargoshi karte rahe yahan tak ke Aap ke sahabah sone lage is ke baad Aap uthe aur namaz parhayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تُتْرَكُ النَّارُ فِي الْبَيْتِ عِنْدَ النَّوْمِ:
Sote waqt ghar mein aag na rehne di jaaye (na chiraagh roshan kiya jaaye).
Hadith Number: 6293
حدثنا ابو نعيم، حدثنا ابن عيينة، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تتركوا النار في بيوتكم حين تنامون".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , in se Zuhri ne , in se Salim ne , in se in ke walid ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab sone lago to ghar mein aag na chhorro .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6294
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد بن عبد الله، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال: احترق بيت بالمدينة على اهله من الليل، فحدث بشانهم النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن هذه النار إنما هي عدو لكم، فإذا نمتم فاطفئوها عنكم".
Hum se Muhammad bin Alaa ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , hamase Burayd bin Abdullah ne bayan kiya , in se Abu Burdah ne bayan kiya aur in se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Madinah Munawwarah mein ek ghar raat ke waqt jal gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq kaha gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aag tumhari dushman hai is liye jab sone lago to usay bujha diya karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة