الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ تُتْرَكُ النَّارُ فِي الْبَيْتِ عِنْدَ النَّوْمِ:
Sote waqt ghar mein aag na rehne di jaaye (na chiraagh roshan kiya jaaye).
Show diacritics
Hadith Number: 6295
حدثنا قتيبة، حدثنا حماد، عن كثير هو ابن شنظير، عن عطاء، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" خمروا الآنية، واجيفوا الابواب، واطفئوا المصابيح، فإن الفويسقة ربما جرت الفتيلة، فاحرقت اهل البيت".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya , in se Kaseer bin Shanteer ne bayan kiya , in se Ata bin Abi Rabah ne bayan kiya , in se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”(sote waqt) bartan dhak liya karo warna darwaze band kar liya karo aur chiragh bujha liya karo kyunke yeh chooha baaz auqat chiragh ki batti khainch leta hai aur ghar walon ko jala deta hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِغْلاَقِ الأَبْوَابِ بِاللَّيْلِ:
Raat ke waqt darwaze band karna.
Show diacritics
Hadith Number: 6296
حدثنا حسان بن ابي عباد، حدثنا همام، حدثنا عطاء، عن جابر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اطفئوا المصابيح بالليل إذا رقدتم، وغلقوا الابواب، واوكوا الاسقية، وخمروا الطعام والشراب"، قال همام: واحسبه قال: ولو بعود يعرضه.
Hum se Hassan bin Abi Abbad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya , in se Ata bin Abi Rabah ne aur in se Jabir razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab raat mein sone lago to chiragh bujha diya karo aur darwaze band kar liya karo aur mashkeezo ka munh baandh diya karo aur khane peene ki cheezin dhak diya karo .“ Hammad ne kaha ke mera khayal hai ke yeh bhi farmaya ke ”agarche ek lakri se hi ho .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْخِتَانِ بَعْدَ الْكِبَرِ وَنَتْفِ الإِبْطِ:
Boodha hone par khatna karna aur baghal ke baal nochana.
Show diacritics
Hadith Number: 6297
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الفطرة خمس: الختان، والاستحداد، ونتف الإبط، وقص الشارب، وتقليم الاظفار".
Hum se Yahya bin Qaza-a ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne , in se Saeed bin al-Musayyab ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”paanch cheezin fitrat se hain , khatna karna , zer e naaf ke baal banana , baghal ke baal saaf karna , moonchh chhoti karana aur nakhun kaatna .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6298
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب بن ابي حمزة، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اختتن إبراهيم بعد ثمانين سنة، واختتن بالقدوم مخففة"، قال ابو عبد الله: حدثنا قتيبة، حدثنا المغيرة، عن ابي الزناد، وقال: بالقدوم وهو موضع مشدد.
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Shuayb bin Abi Hamza ne khabar di , unhon ne kaha hum se Abu al-Zinad ne bayan kiya , in se Aaraj ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Ibrahim alaihissalam ne assi (80) saal ki umr mein khatna karaya aur Aap ne «qadoom» (takhfeef ke saath) (kulhari) se khatna kiya .“ Hum se Qutaybah ne bayan kiya , kaha hum se Mugheera ne bayan kiya aur in se Abu al-Zinad ne «bil-qad-doomi» (tashdeed ke saath bayan kiya) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6299
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، اخبرنا عباد بن موسى، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن سعيد بن جبير، قال:" سئل ابن عباس مثل من انت حين قبض النبي صلى الله عليه وسلم؟ قال: انا يومئذ مختون، قال: وكانوا لا يختنون الرجل حتى يدرك".
Hum se Muhammad bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya , kaha hum ko Abbad bin Musa ne khabar di , kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya , kaha hum se Israeel ne , in se Abu Ishaq ne , in se Saeed bin Jubayr ne ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poochha gaya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat hui to Aap ki umr kya thi ? Kaha ke in dinon mera khatna ho chuka tha aur Arab logon ki aadat thi jab tak larka jawani ke qareeb na hota is ka khatna na karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6300
وقال ابن إدريس، عن ابيه، عن ابي إسحاق، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس:" قبض النبي صلى الله عليه وسلم وانا ختين".
Aur Abdullah ibn Idrees bin Yazid ne apne walid se bayan kiya , in se Abu Ishaq ne , in se Saeed bin Jubayr ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat hui to mera khatna ho chuka tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كُلُّ لَهْوٍ بَاطِلٌ إِذَا شَغَلَهُ عَنْ طَاعَةِ اللَّهِ:
Aadmi jis kaam mein masroof ho kar Allah ki ibaadat se ghaafil ho jaaye woh "lahw" mein daakhil aur baatil hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q6301
ومن قال لصاحبه تعال اقامرك وقوله تعالى: ومن الناس من يشتري لهو الحديث ليضل عن سبيل الله سورة لقمان آية 6"
Aur jis ne apne saathi se kaha ke aao jua khelein is ka kya hukm hai aur Allah Ta'ala ne Surah Luqman mein farmaya «wa minan-naasi may-yashtaree lahuwal-hadeesi li-yudil-la an sabilillaahi» ”baaz log aise hain jo Allah ki raah se behka dene ke liye khel kood ki baatein bol laite hain .“


Show diacritics
Hadith Number: 6301
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني حميد بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من حلف منكم، فقال في حلفه: باللات والعزى، فليقل: لا إله إلا الله، ومن قال لصاحبه: تعال اقامرك، فليتصدق".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , kaha ke mujhe Humayd bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum mein se jis ne qasam khayi aur kaha ke Laat o Uzza ki qasam , to phir woh «la ilaha illallahu» kahe aur jis ne apne saathi se kaha ke aao jua khelein to usay sadqa kar dena chahiye .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا جَاءَ فِي الْبِنَاءِ:
Imaarat banana kaisa hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q6302
قال ابو هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم من اشراط الساعة: إذا تطاول رعاء البهم في البنيان.
Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya ke Qayamat ki nishaniyon mein se yeh bhi hai ke maweshi churane wale log kothiyon mein akarne lagein ge yani buland kothiyaan banwa kar fakhr karne lagein ge .


Show diacritics
Hadith Number: 6302
حدثنا ابو نعيم، حدثنا إسحاق هو ابن سعيد، عن سعيد، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" رايتني مع النبي صلى الله عليه وسلم بنيت بيدي بيتا يكنني من المطر، ويظلني من الشمس ما اعانني عليه احد من خلق الله".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha hum se Ishaq ne bayan kiya woh Saeed ke bete hain , in se Saeed ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein apne hathon se ek ghar banaya taake baarish se hifazat rahe aur dhoop se saya haasil ho Allah ki makhlooq mein se kisi ne is kaam mein meri madad nahi ki . Maloom hua ke zaroorat ke laiq ghar banana durust hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة