الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي الْبِنَاءِ:
Imaarat banana kaisa hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6303
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال عمرو، قال ابن عمر:" والله ما وضعت لبنة على لبنة، ولا غرست نخلة منذ قبض النبي صلى الله عليه وسلم"، قال سفيان: فذكرته لبعض اهله، قال: والله لقد بنى، قال سفيان: قلت: فلعله قال قبل ان يبني.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Abu Sufyan Sawri ne , in se Amr bin Nishar ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke wallah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ke baad na main ne koi eint kisi eint par rakkhi aur na koi bagh lagaya . Sufyan ne bayan kiya ke jab main ne is ka zikr Ibn Umar razi Allahu anhuma ke baaz gharanon ke samne kiya to unhon ne kaha ke Allah ki qasam unhon ne ghar banaya tha . Sufyan ne bayan kiya ke main ne kaha phir yeh baat Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ghar banane se pehle kahi ho gi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة