الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ التَّسْلِيمِ وَالاِسْتِئْذَانِ ثَلاَثًا:
Salaam aur ijazat teen marteba honi chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 6245
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا يزيد بن خصيفة، عن بسر بن سعيد، عن ابي سعيد الخدري، قال: كنت في مجلس من مجالس الانصار، إذ جاء ابو موسى كانه مذعور، فقال: استاذنت على عمر ثلاثا، فلم يؤذن لي، فرجعت، فقال: ما منعك؟ قلت: استاذنت ثلاثا، فلم يؤذن لي، فرجعت، وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا استاذن احدكم ثلاثا، فلم يؤذن له، فليرجع"، فقال: والله لتقيمن عليه ببينة امنكم احد سمعه من النبي صلى الله عليه وسلم، فقال ابي بن كعب: والله لا يقوم معك، إلا اصغر القوم، فكنت اصغر القوم، فقمت معه، فاخبرت عمر: ان النبي صلى الله عليه وسلم قال ذلك، وقال ابن المبارك، اخبرني ابن عيينة، حدثني يزيد بن خصيفة، عن بسر بن سعيد، سمعت ابا سعيد، بهذا.
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, kaha hum se Yazid bin Khusaifah ne bayan kiya in se Busr bin Saeed aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Ansar ki ek majlis mein tha ke Abu Musa razi Allahu anhu tashreef laaye jaise ghabraye huay hon. Unhon ne kaha ke main ne Umar razi Allahu anhu ke yahan teen martaba andar aane ki ijazat chahi lekin mujhe koi jawab nahi mila, is liye wapas chala aaya (Umar razi Allahu anhu ko maloom hua) to unhon ne daryaft kiya ke (andar aane mein) kya baat manay thi? Main ne kaha ke main ne teen martaba andar aane ki ijazat maangi aur jab mujhe koi jawab nahi mila to wapas chala gaya aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke jab tum mein se koi kisi se teen martaba ijazat chahe aur ijazat na mile to wapas chala jaana chahiye. Umar razi Allahu anhu ne kaha: wallah! Tumhein is hadees ki sehat ke liye koi gawah lana ho ga. (Abu Musa razi Allahu anhu ne majlis walon se poochha) kya tum mein koi aisa hai jis ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yeh hadees suni ho? Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne kaha ke Allah ki qasam! Tumhare saath (is ki gawahi dene ke siwa) jama'at mein sab se kam-umr shakhs ke koi aur nahi khada ho ga. Abu Saeed ne kaha aur main hi jama'at ka woh sab se kam-umr aadmi tha main in ke saath uth khada ho gaya aur Umar razi Allahu anhu se kaha ke waqeyi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa farmaya hai. Aur Ibn Mubarak ne bayan kiya ke mujhko Sufyan bin Uyaynah ne khabar di, kaha mujh se Yazid bin Khusaifah ne bayan kiya, unhon ne Busr bin Saeed se, kaha main ne Abu Saeed razi Allahu anhu se suna phir yahi hadees naqal ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا دُعِيَ الرَّجُلُ فَجَاءَ هَلْ يَسْتَأْذِنُ:
Agar koi shakhs bulane par aaya ho to kya usay bhi andar daakhil hone ke liye izn lena chahiye ya nahin.
Show diacritics
Hadith Number: Q6246
قال سعيد: عن قتادة، عن ابي رافع، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: هو إذنه"
Saeed ne Qatadah se bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Rafi ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”yahi (bulana) is ke liye ijazat hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 6246
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عمر بن ذر، وحدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عمر بن ذر، اخبرنا مجاهد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: دخلت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فوجد لبنا في قدح، فقال:" ابا هر: الحق اهل الصفة، فادعهم إلي"، قال: فاتيتهم فدعوتهم، فاقبلوا، فاستاذنوا، فاذن لهم، فدخلوا.
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Umar bin Zharr ne bayan kiya (doosri sanad) aur hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Mujahid ne khabar di, aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath (Aap ke ghar mein) dakhil hua Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek bade piyale mein doodh paya to farmaya ”Abu Hurairah! Ahl e Suffah ke paas ja aur unhein mere paas bula la. Main in ke paas aaya aur unhein bula laya. Woh aaye aur (andar aane ki) ijazat chahi phir jab ijazat di gayi to dakhil huay.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّسْلِيمِ عَلَى الصِّبْيَانِ:
Bachon ko salaam karna.
Show diacritics
Hadith Number: 6247
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة، عن سيار، عن ثابت البناني، عن انس بن مالك رضي الله عنه:" انه مر على صبيان، فسلم عليهم وقال: كان النبي صلى الله عليه وسلم يفعله".
Hum se Ali bin al-Jad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Say-yar ne unhon ne Sabit Banani se riwayat ki, unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Aap bachon ke paas se guzre to unhein salam kiya aur farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi aisa hi karte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَسْلِيمِ الرِّجَالِ عَلَى النِّسَاءِ، وَالنِّسَاءِ عَلَى الرِّجَالِ:
Mardon ka auraton ko salaam karna aur auraton ka mardon ko.
Show diacritics
Hadith Number: 6248
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال:" كنا نفرح يوم الجمعة، قلت: ولم، قال: كانت لنا عجوز ترسل إلى بضاعة، قال ابن مسلمة: نخل بالمدينة، فتاخذ من اصول السلق، فتطرحه في قدر وتكركر حبات من شعير، فإذا صلينا الجمعة انصرفنا ونسلم عليها، فتقدمه إلينا، فنفرح من اجله، وما كنا نقيل ولا نتغدى إلا بعد الجمعة".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Hazim ne in se un ke walid ne aur in se Sahl razi Allahu anhu ne ke hum Jumu'ah ke din khush hua karte thay. Main ne arz ki kis liye? Farmaya ke hamari ek budhia thien jo maqam e Buzha'ah jaya karti thien. Ibn Salama ne kaha ke Buzha'ah Madinah Munawwarah ka khajoor ka ek bagh tha. Phir woh wahan se chuqandar laya karti thien aur usay haandi mein daalti thien aur jau ke kuch dane pees kar (is mein milaati thien) jab hum Jumu'ah ki namaz parh kar wapas hote to unhein salam karne aate aur woh yeh chuqandar ki jadh mein aata mili hui dawat hamare samne rakhti thien hum is wajah se Jumu'ah ke din khush hua karte thay aur qailula ya dopehar ka khana hum Jumu'ah ke baad karte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6249
حدثنا ابن مقاتل اخبرنا عبد الله اخبرنا معمر عن الزهري عن ابي سلمة بن عبد الرحمن عن عائشة رضي الله عنها قالت قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «يا عائشة هذا جبريل يقرا عليك السلام» . قالت قلت وعليه السلام ورحمة الله، ترى ما لا نرى. تريد رسول الله صلى الله عليه وسلم. تابعه شعيب. وقال يونس والنعمان عن الزهري وبركاته.
Hum se Ibn Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Mamar ne khabar di unhein Zuhri ne unhein Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Ae Aisha! Yeh Jibrail hain tumhein salam kehte hain bayan kiya ke main ne arz kiya «wa alaihis-salaamu wa rahmatullaahi» Aap dekhte hain jo hum nahi dekh sakte umm-ul-momineen ka isharah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki taraf tha. Mamar ke saath is hadees ko Shuayb aur Yunus aur Numan ne bhi Zuhri se riwayat kiya hai Yunus aur Numan ki riwayaton mein «wa barakaatuhu» ka lafz zyada hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا قَالَ مَنْ ذَا فَقَالَ أَنَا:
Agar ghar wala poochhe ke kaun hai us ke jawaab mein koi kahe ke mein hoon aur naam na le.
Show diacritics
Hadith Number: 6250
حدثنا ابو الوليد هشام بن عبد الملك، حدثنا شعبة، عن محمد بن المنكدر، قال: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم في دين كان على ابي، فدققت الباب، فقال:" من ذا"، فقلت: انا، فقال:" انا، انا، كانه كرهها".
Hum se Abu al-Waleed Hisham bin Abd-ul-Malik ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Muhammad bin al-Munkadir ne kaha ke main ne Jabir razi Allahu anhu se suna, woh bayan karte thay ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein is qarz ke baare mein hazir hua jo mere walid par tha. Main ne darwaza khatkhataya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke kaun hain? Main ne kaha ”Main“ Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Main, Main“ jaise Aap ne is jawab ko napasand farmaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ رَدَّ فَقَالَ عَلَيْكَ السَّلاَمُ:
Jawaab mein sirf Alaikas-salaam kehna.
Show diacritics
Hadith Number: Q6251
وقالت عائشة: وعليه السلام ورحمة الله وبركاته، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: رد الملائكة على آدم: السلام عليك ورحمة الله.
Aur Aisha razi Allahu anha ne kaha tha ke wa alaihis-salaamu wa rahmatullaahi wa barakaatuhu aur in par bhi salam ho aur Allah ki rahmat aur is ki barakatein (aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya) farishton ne Adam alaihissalam ko jawab diya «as-salaamu alayka wa rahmatullaahi» salam ho Aap par aur Allah ki rahmat.


Show diacritics
Hadith Number: 6251
حدثنا إسحاق بن منصور، اخبرنا عبد الله بن نمير، حدثنا عبيد الله، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رجلا دخل المسجد، ورسول الله صلى الله عليه وسلم جالس في ناحية المسجد فصلى، ثم جاء فسلم عليه، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم:" وعليك السلام، ارجع فصل فإنك لم تصل"، فرجع فصلى، ثم جاء فسلم، فقال:" وعليك السلام، فارجع فصل، فإنك لم تصل"، فقال في الثانية او في التي بعدها: علمني يا رسول الله، فقال:" إذا قمت إلى الصلاة فاسبغ الوضوء، ثم استقبل القبلة فكبر، ثم اقرا بما تيسر معك من القرآن، ثم اركع حتى تطمئن راكعا، ثم ارفع حتى تستوي قائما، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تطمئن جالسا، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تطمئن جالسا، ثم افعل ذلك في صلاتك كلها"، وقال ابو اسامة في الاخير: حتى تستوي قائما،
Hum se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Numayr ne khabar di, in se Ubaidullah ne bayan kiya, in se Saeed bin Abi Saeed Muqbiri ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke ek shakhs masjid mein dakhil hua, Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam masjid ke kinare baithe huay thay. Is ne namaz parhi aur phir hazir ho kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko salam kiya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya wa alaik-as-salaam wapas ja aur dobara namaz parh, kyunke tum ne namaz nahi parhi. Woh wapas gaye aur namaz parhi. Phir (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam) ke paas aaye aur salam kiya Aap ne farmaya wa alaik-as-salaam. Wapas jao phir namaz parho. Kyunke tum ne namaz nahi parhi. Woh wapas gaya aur us ne phir namaz parhi. Phir wapas aaya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein salam arz kiya. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne jawab mein farmaya wa alaik-um-us-salaam. Wapas jao aur dobara namaz parho. Kyunke tum ne namaz nahi parhi. In sahab ne doosri martaba, ya is ke baad, arz kiya: ya Rasool Allah! Mujhe namaz parhni sikha dijiye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab namaz ke liye khade hua karo to pehle poori tarah wuzu kiya karo, phir qibla-ru ho kar takbeer (takbeer e tahreema) kaho, is ke baad Quran Majeed mein se jo tumhare liye aasaan ho woh parho, phir rukoo karo aur jab rukoo ki halat mein barabar ho jao to sar uthao. Jab seedhe khade ho jao to phir sajda mein jao, jab sajda poori tarah kar lo to sar uthao aur achhi tarah se baith jao. Yahi amal apni har rakat mein karo. Aur Abu Usamah rawi ne doosre sajda ke baad yun kaha ke phir sar utha yahan tak ke seedha khada ho ja.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6252
حدثنا ابن بشار، قال: حدثني يحيى، عن عبيد الله، حدثني سعيد، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ثم ارفع حتى تطمئن جالسا".
Hum se Ibn Bashar ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yahya ne bayan kiya, in se Ubaidullah ne, in se Saeed ne bayan kiya, in se un ke walid ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”phir sar sajda se utha aur achhi tarah baith ja.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة