الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ مَرْحَبًا:
Kisi shakhs ka marhaba kehna.
Show diacritics
Hadith Number: 6176
حدثنا عمران بن ميسرة، حدثنا عبد الوارث، حدثنا ابو التياح، عن ابي جمرة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: لما قدم وفد عبد القيس على النبي صلى الله عليه وسلم قال:" مرحبا بالوفد الذين جاءوا غير خزايا ولا ندامى" فقالوا: يا رسول الله، إنا حي من ربيعة وبيننا وبينك مضر، وإنا لا نصل إليك إلا في الشهر الحرام، فمرنا بامر فصل ندخل به الجنة وندعو به من وراءنا فقال:" اربع واربع: اقيموا الصلاة وآتوا الزكاة وصوموا رمضان واعطوا خمس ما غنمتم، ولا تشربوا في الدباء والحنتم والنقير والمزفت".
Hum se Imran bin Maysarah ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Waris ne bayan kiya, in se Abu al-Tay-yah Yazid bin Humayd ne bayan kiya, in se Abu Hamza ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke jab qabila Abd-ul-Qays ka wafd Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Marhaba un logon ko jo aan pahunche to na woh zhaleel huay, na sharminda (khushi se Musalman ho gaye warna maare jaate sharminda hote) unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Hum qabila Rabee ki shakh se talluq rakhte hain aur kyunke hamare aur Aap ke darmiyan qabila Mudar ke kafir log haail hain is liye hum Aap ki khidmat mein sirf hurmat wale mahinon hi mein hazir ho sakte hain (jin mein loot-khasoot nahi hoti) Aap kuch aaisi jachi-tuli baat bata dein jis par amal karne se hum jannat mein dakhil ho jayein aur jo log nahi aa sake hain unhein bhi is ki dawat pahunchayein. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke char char cheezin hain. Namaz qaim karo, zakat do, Ramzan ke roze rakkho aur ghaneemat ka panchwan hissa (Bait-ul-Maal ko) ada karo aur dubba, hantam, naqeer aur muzaf-fat mein na piyo.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُدْعَى النَّاسُ بِآبَائِهِمْ:
Logon ko un ke baap ka naam le kar qiyamat ke din bulaya jaana.
Show diacritics
Hadith Number: 6177
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن الغادر يرفع له لواء يوم القيامة يقال: هذه غدرة فلان بن فلان".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne bayan kiya, in se Ubaidullah Umri ne, in se Nafi ne in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”ahad torne wale ke liye Qayamat mein ek jhanda uthaya jaye ga aur pukar diya jaye ga ke yeh falan bin falan ki dagha-baazi ka nishan hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6178
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إن الغادر ينصب له لواء يوم القيامة فيقال: هذه غدرة فلان بن فلان".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya, in se Imam Malik ne, in se Abdullah bin Dinar ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”ahad torne wale ke liye Qayamat mein ek jhanda uthaya jaye ga aur pukara jaye ga ke yeh falan bin falan ki dagha-baazi ka nishan hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَقُلْ خَبُثَتْ نَفْسِي:
Aadmi ko yeh nahin kehna chahiye ke mera nafs paleed ho gaya.
Show diacritics
Hadith Number: 6179
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لا يقولن احدكم خبثت نفسي، ولكن ليقل لقست نفسي".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum mein koi shakhs yeh na kahe ke mera nafs paleed ho gaya hai balkay yeh kahe ke mera dil kharab ya pareshan ho gaya.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6180
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري، عن ابي امامة بن سهل، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لا يقولن احدكم خبثت نفسي، ولكن ليقل لقست نفسي، تابعه عقيل".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, woh Yunus se riwayat karte hain, woh Zuhri se, woh Abu Umamah bin Sahl se, woh apne baap se, woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum mein se koi hargiz yun na kahe ke mera nafs paleed ho gaya lekin yun keh sakta hai ke mera dil kharab ya pareshan ho gaya.“ Is hadees ko Aqeel ne bhi Ibn Shihab se riwayat kiya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تَسُبُّوا الدَّهْرَ:
Zamana ko bura kehna mana hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6181
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، اخبرني ابو سلمة، قال: قال ابو هريرة رضي الله عنه قال رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" الله يسب بنو آدم الدهر وانا الدهر بيدي الليل والنهار".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, in se Yunus ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Abu Salamah ne khabar di, unhon ne kaha ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta'ala farmata hai ke insan zamana ko gaali deta hai haalan ke main hi zamana hoon, mere hi hath mein raat aur din hain.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6182
حدثنا عياش بن الوليد، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لا تسموا العنب الكرم، ولا تقولوا خيبة الدهر، فإن الله هو الدهر".
Hum se Ay-yash bin al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-A'la ne bayan kiya, kaha hum se Mamar ne bayan kiya, in se Zuhri ne, in se Abu Salamah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”angoor «inab» ko «karm» na kaho aur yeh na kaho ke haye zamana ki na-muradi. Kyunke zamana to Allah hi ke ikhtiyar mein hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِنَّمَا الْكَرْمُ قَلْبُ الْمُؤْمِنِ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yun farmana ke "karam" to momin ka dil hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q6183
وقد قال إنما المفلس الذي يفلس يوم القيامة كقوله إنما الصرعة الذي يملك نفسه عند الغضب كقوله لا ملك إلا لله فوصفه بانتهاء الملك ثم ذكر الملوك ايضا فقال إن الملوك إذا دخلوا قرية افسدوها
Jaise doosri hadees mein hai ke mufli-s to woh hai jo Qayamat ke din mufli-s ho ga. Aur jaise Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haqeeqi pehlwan to woh hai jo ghussa ke waqt apne oopar qaaboo rakkhe jaise Aap ka farman ”badshahat sirf Allah ke liye hai“ (Allah ke siwa aur koi badshah nahi) yani aur sab ki hukoomatein fana ho jaane wali hain aakhir mein usi ki hukoomat baqi reh jaye gi bawajood is ke phir Allah Paak ne apne kalam mein Surah Saba mein yun farmaya badshah log jab kisi basti mein dakhil hote hain to us ko loot-khasoot kar kharab kar dete hain.


Show diacritics
Hadith Number: 6183
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ويقولون الكرم إنما الكرم قلب المؤمن".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya, in se Zuhri ne bayan kiya, in se Saeed bin al-Musayyab ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”log (angoor ko) «karm» kehte hain, «karm» to momin ka dil hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ فَدَاكَ أَبِي وَأُمِّي:
Kisi shakhs ka kehna ke "mere baap aur maa tum par qurban hon".
Show diacritics
Hadith Number: Q6184
فيه الزبير عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is mein Zubayr razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat ki hai.