الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يَجُوزُ مِنَ الشِّعْرِ وَالرَّجَزِ وَالْحُدَاءِ وَمَا يُكْرَهُ مِنْهُ:
Sher, rajaz aur hadis khwani ka jaiz hona.
Show diacritics
Hadith Number: 6148
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حاتم بن إسماعيل، عن يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة بن الاكوع، قال: خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى خيبر فسرنا ليلا، فقال رجل من القوم لعامر بن الاكوع: الا تسمعنا من هنيهاتك؟ قال: وكان عامر رجلا شاعرا فنزل يحدو بالقوم يقول:" اللهم لولا انت ما اهتدينا ولا تصدقنا ولا صلينا فاغفر فداء لك ما اقتفينا وثبت الاقدام إن لاقينا والقين سكينة علينا إنا إذا صيح بنا اتينا وبالصياح عولوا علينا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من هذا السائق؟" قالوا: عامر بن الاكوع، فقال:" يرحمه الله" فقال رجل من القوم: وجبت يا نبي الله لولا امتعتنا به، قال: فاتينا خيبر فحاصرناهم حتى اصابتنا مخمصة شديدة، ثم إن الله فتحها عليهم، فلما امسى الناس اليوم الذي فتحت عليهم اوقدوا نيرانا كثيرة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما هذه النيران على اي شيء توقدون؟ قالوا: على لحم، قال:" على اي لحم؟" قالوا: على لحم حمر إنسية، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اهرقوها واكسروها" فقال رجل: يا رسول الله او نهريقها ونغسلها، قال:" او ذاك"، فلما تصاف القوم كان سيف عامر فيه قصر فتناول به يهوديا ليضربه ويرجع ذباب سيفه فاصاب ركبة عامر فمات منه، فلما قفلوا قال سلمة: رآني رسول الله صلى الله عليه وسلم شاحبا فقال لي:" ما لك؟" فقلت: فدى لك ابي وامي زعموا ان عامرا حبط عمله، قال:" من قاله؟" قلت: قاله فلان وفلان وفلان، واسيد بن الحضير الانصاري، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كذب من قاله، إن له لاجرين، وجمع بين إصبعيه إنه لجاهد مجاهد قل عربي نشا بها مثله".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Hatim bin Ismail ne , in se Burayd ibn Abi Ubaid ne aur in se Salama bin al-Akwa razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Jang e Khaibar mein gaye aur hum ne raat mein safar kiya , itne mein Musalmanon ke aadmi ne Aamir bin al-Akwa razi Allahu anhu se kaha ke apne kuch shair ashaar sunao . Rawi ne bayan kiya ke Aamir sha-ir thay . Woh logon ko apni hudi sunane lage . ”Ae Allah! Agar tu na hota to hum hidayat na paate na hum sadqa de sakte aur na namaz parh sakte . Hum tujh par fida hon , hum ne jo kuch pehle gunah kiye un ko tu maaf kar de aur jab (dushman se) hamara samna ho to hamain sabit-qadam rakh aur ham par sukoon nazil farma . Jab hamain jang ke liye bulaya jata hai , to hum maujood ho jaate hain aur dushman ne bhi pukar kar hamase najat chahi hai .“ Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh kaun oonton ko haank raha hai jo hudi ga raha hai ? Sahabah ne arz kiya ke Aamir bin al-Akwa hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Paak is par raham kare . Ek sahabi yani Umar razi Allahu anhu ne kaha: ya Rasool Allah! Ab to Aamir shaheed huay . Kaash aur chand roz Aap hum ko Aamir se faida uthane dete . Rawi ne bayan kiya ke phir hum Khaibar aaye aur us ko ghair liya is ghurao mein hum shadeed faaqon mein mubtala huay , phir Allah Ta'ala ne Khaibar walon par hum ko fatah ata farmayi jis din in par fatah hui is ki shaam ko logon ne jagah jagah aag jalayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne poochha ke yeh aag kaisi hai , kis kaam ke liye tum logon ne yeh aag jalayi hai ? Sahabah ne arz kiya ke gosht pakaane ke liye . Is par Aap ne daryaft farmaya kis cheez ke gosht ke liye ? Sahabah ne kaha ke basti ke paaltu gadhon ka gosht pakaane ke liye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke gosht ko bartanon mein se phenk do aur bartanon ko torr do . Ek sahabi ne arz kiya: ya Rasool Allah! Hum gosht to phenk dein , magar bartan torne ke bajaye agar dho lein ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya achha yun hi kar lo . Jab logon ne jang ki saff-bandi kar li to Aamir (Ibn al-Akwa sha-ir) ne apni talwar se ek Yahudi par waar kiya , in ki talwar chhoti ku is ki nouk palat kar khud in ke ghutnon par lagi aur is ki wajah se in ki shahadat ho gayi . Jab log wapas aane lage to Salama (Aamir ke bhai) ne bayan kiya ke mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dekha ke mere chehre ka rang badla hua hai . Daryaft farmaya ke kya baat hai ? Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Par mere maan aur baap fida hon , log keh rahe hain ke Aamir ke aamal barbad ho gaye . (kyunke in ki maut khud in ki talwar se hui hai) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya yeh kisne kaha ? Main ne arz kiya: falan , falan , falan aur Usayd bin Huzayr Ansari ne . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne yeh baat kahi us ne jhoot kaha hai unhein to dohra ajar mile ga . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apni do ungliyon ko mila kar isharah kiya ke woh aabid bhi thu aur mujahid bhi (to ibadat aur jihad donon ka sawab us ne paya) Aamir ki tarah to bahut kam bahadur Arab mein paida huay hain (woh aisa bahadur aur naik aadmi thu) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6149
حدثنا مسدد، حدثنا إسماعيل، حدثنا ايوب، عن ابي قلابة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: اتى النبي صلى الله عليه وسلم على بعض نسائه ومعهن ام سليم، فقال:" ويحك يا انجشة رويدك سوقا بالقوارير"، قال ابو قلابة فتكلم النبي صلى الله عليه وسلم بكلمة لو تكلم بها بعضكم لعبتموها عليه قوله:" سوقك بالقوارير".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne bayan kiya , in se Abu Qulabah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (ek safar ke mauqa par) apni auraton ke paas aaye jo oonton par sawar ja rahi thien , in ke saath Umm Sulaym razi Allahu anha Anas ki walda bhi thien . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke afsos , Anjashah! Sheeshon ko aahistagi se le chal . Abu Qulabah ne kaha ke Nabi Karim ne auraton se mutalliq aise alfaz ka istemal farmaya ke agar tum mein koi shakhs istemal kare to tum is par aib-jooyi karo . Yani Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka yeh irshad ke sheeshon ko narmi se le chal .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هِجَاءِ الْمُشْرِكِينَ:
Mushrikon ki hijw karna durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6150
حدثنا محمد، حدثنا عبدة، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: استاذن حسان بن ثابت رسول الله صلى الله عليه وسلم في هجاء المشركين، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فكيف بنسبي"، فقال حسان: لاسلنك منهم كما تسل الشعرة من العجين، وعن هشام بن عروة، عن ابيه، قال: ذهبت اسب حسان عند عائشة، فقالت:" لا تسبه، فإنه كان ينافح عن رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , kaha hum se Abdah ne bayan kiya , kaha hum ko Hisham bin Urwah ne khabar di , unhein in ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Hassan bin Sabit razi Allahu anhu ne mushrikeen ki hajo karne ki ijazat chahi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke in ka aur mera khandan to ek hi hai (phir to main bhi is hajo mein shareek ho jaoon ga) . Hassan razi Allahu anhu ne kaha ke main hajo se Aap ko is tarah saaf nikaal doon ga jis tarah gandhe huay aatay se baal nikaal liya jata hai . Aur Hisham bin Urwah se riwayat hai , in se in ke walid ne bayan kiya ke main Hassan bin Sabit razi Allahu anhu ko Aisha razi Allahu anha ki majlis mein bura kehne laga to unhon ne kaha ke Hassan ko bura bhala na kaho , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki taraf se mushrikon ko jawab deta tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6151
حدثنا اصبغ، قال: اخبرني عبد الله بن وهب، قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، ان الهيثم بن ابي سنان، اخبره انه سمع ابا هريرة في قصصه يذكر النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن اخا لكم لا يقول الرفث، يعني بذاك ابن رواحة"، قال: وفينا رسول الله يتلو كتابه إذا انشق معروف من الفجر ساطع ارانا الهدى بعد العمى فقلوبنا به موقنات ان ما قال واقع يبيت يجافي جنبه عن فراشه إذا استثقلت بالكافرين المضاجع تابعه عقيل، عن الزهري، الزبيدي: عن الزهري، عن سعيد، والاعرج، عن ابي هريرة.
Hum se Asbagh bin Faraj ne bayan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya , kaha ke mujhe Yunus ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne , unhein Hushaim bin Abi Sinan ne khabar di ke unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna woh haalaat aur qisas ke tehat Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ka tazkira kar rahe thay . Ke ek dafa Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhare ek bhai ne koi buri baat nahi kahi . Aap ka isharah Ibn Rawaha ki taraf tha (apne ashaar mein) unhon ne yun kaha tha ”aur hum mein Allah ke Rasool hain jo is ki kitab ki tilawat karte hain , is waqt jab fajr ki roshni phoot kar phail jati hai . Hamain unhon ne gumrahi ke baad hidayat ka rasta dikhaya . Pas hamare dil is amar par yaqeen rakhte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jo kuch farmaya woh zaroor waqea ho ga . Aap raat is tarah guzarte hain ke in ka pehlu bistar se juda rehta hai (yani jaag kar) jab ke kafiron ke bojh se in ki khwab-gahein bojhal hui rehti hain .“ Yunus ke saath is hadees ko Aqeel ne bhi Zuhri se riwayat kiya aur Muhammad bin Waleed Zubaydi ne Zuhri se , unhon ne Saeed bin al-Musayyab se aur Abd-ur-Rahman Aaraj se unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se is hadees ko riwayat kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6152
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري. ح وحدثنا إسماعيل، قال: حدثني اخي، عن سليمان، عن محمد بن ابي عتيق، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن بن عوف، انه سمع حسان بن ثابت الانصاري يستشهد ابا هريرة، فيقول: يا ابا هريرة، نشدتك بالله هل سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" يا حسان اجب عن رسول الله، اللهم ايده بروح القدس" قال ابو هريرة: نعم".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , in se Zuhri ne (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur hamase Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere bhai Abd-ul-Hameed ne bayan kiya , in se Sulayman ne , in se Muhammad bin Abi Ateeq ne , in se Ibn Shihab ne , in se Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman bin Auf ने , unhon ne Hassan bin Sabit Ansari razi Allahu anhu se suna , woh Abu Hurairah razi Allahu anhu ko gawah bana kar keh rahe thay ke Ae Abu Hurairah! Main Aap ko Allah ki qasam de kar poochhta hoon , kya Aap ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Hassan! Allah ke Rasool ki taraf se mushrikon ko jawab do , Ae Allah! Rooh-ul-Qudus ke zariye in ki madad kar . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke haan .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6153
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عدي بن ثابت، عن البراء رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال لحسان:" اهجهم او قال هاجهم وجبريل معك".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Adi bin Sabit ne aur in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Hassan razi Allahu anhu se farmaya in ki hajo karo (yani mushrikeen e Quraish ki) . Ya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ( «haajihum» ke alfaz farmaye) Jibrail alaihissalam tere saath hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ أَنْ يَكُونَ الْغَالِبُ عَلَى الإِنْسَانِ الشِّعْرُ حَتَّى يَصُدَّهُ عَنْ ذِكْرِ اللَّهِ وَالْعِلْمِ وَالْقُرْآنِ:
Sher o shaairi mein is tarah auqaat sirf karna mana hai ke aadmi Allah ki yaad aur ilm haasil karne aur Quran Shareef ki tilawat karne se baaz reh jaaye.
Show diacritics
Hadith Number: 6154
حدثنا عبيد الله بن موسى، اخبرنا حنظلة، عن سالم، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" لان يمتلئ جوف احدكم قيحا خير له من ان يمتلئ شعرا".
Hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Hanzalah ne khabar di , unhein Salim ne aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agar tum mein se koi shakhs apna pait peep se bhare to yeh is se behtar hai ke woh usay shair se bhare .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6155
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: سمعت ابا صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لان يمتلئ جوف رجل قيحا يريه خير من ان يمتلئ شعرا".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya , unhon ne mujh se mere walid ne bayan kiya , unhon ne kaha hamase Aamash ne bayan kiya , kaha ke main ne Abu Salih se suna aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se farmaya ”agar tum mein se koi shakhs apna pait peep se bhar le to yeh is se behtar hai ke woh shairon se bhar jaye .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «تَرِبَتْ يَمِينُكَ» . «وَعَقْرَى حَلْقَى» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka yeh farmana ke tere haath ko mitti lage ya tujh ko zakhm pahunche, tere halq mein bimaari ho.
Show diacritics
Hadith Number: 6156
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، قالت: إن افلح اخا ابي القعيس استاذن علي بعد ما نزل الحجاب، فقلت: والله لا آذن له حتى استاذن رسول الله صلى الله عليه وسلم، فإن اخا ابي القعيس ليس هو ارضعني، ولكن ارضعتني امراة ابي القعيس، فدخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله، إن الرجل ليس هو ارضعني ولكن ارضعتني امراته، قال:" ائذني له فإنه عمك تربت يمينك" قال عروة: فبذلك كانت عائشة تقول: حرموا من الرضاعة ما يحرم من النسب.
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya kaha hamase Layth bin Saad ne bayan , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , in se Urwah ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Abu Qais ke bhai Aflah (mere raza'ee chacha ne) mujh se parda ka hukm nazil hone ke baad andar aane ki ijazat chahi , main ne kaha ke Allah ki qasam jab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ijazat na dein ge main andar aane ki ijazat nahi doon gi . Kyunke Abu Qais ke bhai ne mujhe doodh nahi pilaya balkay Abu Qais ki biwi ne doodh pilaya hai . Phir jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam tashreef laaye to main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Mard ne to mujhe doodh nahi pilaya tha , doodh to in ki biwi ne pilaya thu , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein andar aane ki ijazat de do , kyunke woh tumhare chacha hain , tumhare hath mein matti lage . Urwah ne kaha ke isi wajah se Aisha razi Allahu anha kehti thien ke jitne rishte khoon ki wajah se haram hote hain woh raza'at se bhi haram hi samjho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6157
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الحكم، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" اراد النبي صلى الله عليه وسلم ان ينفر، فراى صفية على باب خبائها كئيبة حزينة لانها حاضت، فقال: عقرى حلقى , لغة لقريش إنك لحابستنا، ثم قال: اكنت افضت يوم النحر، يعني الطواف قالت: نعم، قال: فانفري إذا".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , unhon ne hamase Hakam bin Utaybah ne bayan kiya , in se Ibrahim Nakhai ne , in se Aswad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (Hajj se) wapsi ka irada kiya to dekha ke Safiyyah razi Allahu anha apne khaime ke darwaza par ranjeeda khari hain kyunke woh haiza ho gayi thien . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya «aqra hulqa» (yeh Quraish ka muhawara hai) ab tum hamain roko gi! Phir daryaft farmaya kya tum ne qurbani ke din tawaf e afadha kar liya tha ? Unhon ne kaha ke ji haan , farmaya ke phir chalo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة