الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْحَذَرِ مِنَ الْغَضَبِ:
Ghusse se parhez karna Allah Taala ke farmaan (Surat Ash-Shura) ki wajah se.
Hadith Number: 6116
حدثني يحيى بن يوسف، اخبرنا ابو بكر هو ابن عياش، عن ابي حصين، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رجلا قال للنبي صلى الله عليه وسلم: اوصني، قال:" لا تغضب" فردد مرارا، قال:" لا تغضب".
Mujh se Yahya bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hamain ko Abu Bakr ne khabar di jo Ibn Ay-yash hain, unhein Abu Haseen ne, unhein Abu Salih ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke ek shakhs ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se arz kiya ke mujhe Aap koi nasihat farma dijiye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghussa na hua kar. Unhon ne kai martaba yeh sawal kiya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghussa na hua kar.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَيَاءِ:
Haya aur sharm ka bayaan.
Hadith Number: 6117
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن ابي السوار العدوي، قال: سمعت عمران بن حصين، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الحياء لا ياتي إلا بخير" فقال بشير بن كعب: مكتوب في الحكمة إن من الحياء وقارا وإن من الحياء سكينة، فقال له عمران: احدثك عن رسول الله صلى الله عليه وسلم وتحدثني عن صحيفتك.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Qatadah ne in se Abu al-Sawar Adawi ne bayan kiya, kaha ke main ne Imran bin Husain se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”haya se hamesha bhalayi paida hoti hai.“ Is par Basheer bin Kabb ne kaha ke hikmat ki kitabon mein likha hai ke haya se waqar haasil hota hai, haya se sakeenat haasil hoti hai. Imran ne in se kaha main tujh se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki hadees bayan karta hoon aur tu apni (do warqi) kitab ki baatein mujhko sunata hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6118
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا عبد العزيز بن ابي سلمة، حدثنا ابن شهاب، عن سالم، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، مر النبي صلى الله عليه وسلم على رجل وهو يعاتب اخاه في الحياء، يقول: إنك لتستحيي حتى كانه يقول: قد اضر بك، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" دعه فإن الحياء من الإيمان".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Abu Salamah ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne bayan kiya, in se Salim ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka guzar ek shakhs par se hua jo apne bhai par haya ki wajah se naraz ho raha thu aur keh raha tha ke tum bahut sharmate ho, goya woh keh raha tha ke tum is ki wajah se apna nuqsan kar laite ho. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke usay chhorr do ke haya iman mein se hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6119
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة، عن قتادة، عن مولى انس , قال ابو عبد الله: اسمه عبد الله بن ابي عتبة، سمعت ابا سعيد، يقول:" كان النبي صلى الله عليه وسلم اشد حياء من العذراء في خدرها".
Hum se Ali bin al-Jad ne bayan kiya, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Qatadah ne, unhein Anas razi Allahu anhu ke ghulam Qatadah ne, Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke in ka naam Abdullah bin Abi Utbah hai, main ne Abu Saeed se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam parda mein rehne wali kunwari larki se bhi zyada haya wale thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا لَمْ تَسْتَحِي فَاصْنَعْ مَا شِئْتَ:
Jab haya na ho to jo chaho karo.
Hadith Number: 6120
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا منصور، عن ربعي بن حراش، حدثنا ابو مسعود، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن مما ادرك الناس من كلام النبوة الاولى إذا لم تستحي فاصنع ما شئت".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Zuhayr ne bayan kiya, unhon ne hamain se Mansoor ne bayan kiya, in se Rabee bin Khirash ne bayan kiya, in se Abu Masood Ansari razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agle Paighambaron ka kalam jo logon ko mila is mein yeh bhi hai ke jab sharam hi na rahi to phir jo jee chahe woh kare.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا لاَ يُسْتَحْيَا مِنَ الْحَقِّ لِلتَّفَقُّهِ فِي الدِّينِ:
Shariat ki baatein poochhne mein sharm nahin karni chahiye.
Hadith Number: 6121
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن زينب ابنة ابي سلمة، عن ام سلمة رضي الله عنها، قالت: جاءت ام سليم إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، إن الله لا يستحي من الحق،" فهل على المراة غسل إذا احتلمت؟ فقال: نعم، إذا رات الماء".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne, in se Zaynub bint Abi Salamah razi Allahu anha ne aur in se Umm Salamah razi Allahu anha ne bayan kiya ke Umm Sulaym razi Allahu anha Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien aur arz kiya: ya Rasool Allah! Allah haq baat se haya nahi karta kya aurat ko jab ihtilam ho to is par ghusl wajib hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan agar aurat mani ki tari dekhe to is par bhi ghusl wajib hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6122
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محارب بن دثار، قال: سمعت ابن عمر، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" مثل المؤمن كمثل شجرة خضراء لا يسقط ورقها ولا يتحات"، فقال القوم: هي شجرة كذا هي شجرة كذا، فاردت ان اقول هي النخلة وانا غلام شاب فاستحييت، فقال:" هي النخلة" وعن شعبة، حدثنا خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابن عمر، مثله. وزاد فحدثت به عمر، فقال: لو كنت قلتها لكان احب إلي من كذا وكذا.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Muharib bin Disar ne, kaha ke main ne Ibn Umar razi Allahu anha se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”momin ki misal is sarsabz darakht ki hai, jis ke patte nahi jhartay. Sahabah ne kaha ke yeh falan darakht hai, yeh falan darakht hai. Mere dil mein aaya ke kahoon ke yeh khajoor ka darakht hai lekin kyunke main nau-jawan tha, is liye mujhko bolte huay haya aayi. Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh khajoor ka darakht hai.“ Aur isi sanad se Shubah se riwayat hai ke kaha hamase Khubaib bin Abd-ur-Rahman ne, in se Hafs bin Aasim ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne isi tarah bayan kiya aur yeh izafa kiya ke phir main ne is ka zikr Umar razi Allahu anhu se kiya to unhon ne kaha agar tum ne keh diya hota to mujhe itna itna maal milne se bhi zyada khushi haasil hoti.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6123
حدثنا مسدد، حدثنا مرحوم، سمعت ثابتا، انه سمع انسا رضي الله عنه، يقول: جاءت امراة إلى النبي صلى الله عليه وسلم تعرض عليه نفسها فقالت: هل لك حاجة في؟ فقالت ابنته: ما اقل حياءها، فقال:" هي خير منك، عرضت على رسول الله صلى الله عليه وسلم نفسها".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Marhoom bin Abd-ul-Aziz ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne kaha ke main ne Sabit se suna aur unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke ek khatoon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien aur apne Aap ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke nikah ke liye pesh kiya aur arz kiya: kiya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko mujh se nikah ki zaroorat hai? Is par Anas razi Allahu anhu ki sahibzadi bolien, woh kitni be-haya ku. Anas razi Allahu anhu ne kaha ke woh tum se to achhi thien unhon ne apne Aap ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke nikah ke liye pesh kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «يَسِّرُوا وَلاَ تُعَسِّرُوا» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmaan ke aasani karo, sakhti na karo.
Hadith Number: Q6124
وكان يحب التخفيف واليسر على الناس
Aap salla Allahu alaihi wasallam logon par takhfeef aur aasani ko pasand farmaya karte thay.
Hadith Number: 6124
حدثني إسحاق، حدثنا النضر، اخبرنا شعبة، عن سعيد بن ابي بردة، عن ابيه، عن جده، قال: لما بعثه رسول الله صلى الله عليه وسلم، ومعاذ بن جبل قال لهما:" يسرا ولا تعسرا، وبشرا ولا تنفرا، وتطاوعا" قال ابو موسى: يا رسول الله، إنا بارض يصنع فيها شراب من العسل يقال له: البتع، وشراب من الشعير يقال له: المزر، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كل مسكر حرام".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Nadr ne bayan kiya, kaha hamain ko Shubah ne khabar di, unhein Saeed bin Abi Burdah ne, unhein in ke walid ne aur in se in ke dada ne bayan kiya ke jab Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne unhein (Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu) aur Maaz bin Jabal ko (Yaman) bheja to in se farmaya ke (logon ke liye) aasaniyaan paida karna, tangi mein na daalna, unhein khush-khabri sunana, deen se nafrat na dilana aur tum donon aapas mein ittafaq se kaam karna, Abu Musa razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool اللہ! Hum aaisi sar-zameen mein ja rahe hain jahan shehad se sharab banayi jati hai aur usay «bit-un» kaha jata hai aur jau se sharab banayi jati hai aur usay «mizrun» kaha jata hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har nasha laane wali cheez haram hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة