الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ شُرْبِ اللَّبَنِ:
Doodh peena.
Show diacritics
Hadith Number: Q5603
وقول الله تعالى: {من بين فرث ودم لبنا خالصا سائغا للشاربين}.
Aur Allah Ta'ala ne Surah al-Nahl mein farmaya «min bayni farsin wa damin labanan khaalisan saa-ighal-lish-shaaribeena» Allah Ta'ala paak leed aur khoon ke darmiyan se khalis doodh paida karta hai jo peene walon ko khoob rachta pachta (halaq se aasani se utar jaane wala) hai .


Show diacritics
Hadith Number: 5603
حدثنا عبدان، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" اتي رسول الله صلى الله عليه وسلم ليلة اسري به بقدح لبن وقدح خمر".
Hum se Abdan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah bin al-Mubarak ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Yunus ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Saeed bin al-Musayyab ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Shab e Meraj mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko doodh aur sharab ke do piyale pesh kiye gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5604
حدثنا الحميدي، سمع سفيان، اخبرنا سالم ابو النضر انه سمع عميرا مولى ام الفضل يحدث، عن ام الفضل، قالت:" شك الناس في صيام رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم عرفة فارسلت إليه بإناء فيه لبن فشرب"، فكان سفيان ربما قال: شك الناس في صيام رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم عرفة فارسلت إليه ام الفضل فإذا وقف عليه، قال: هو عن ام الفضل.
Hum se Humaydi ne bayan kiya , unhon ne Sufyan bin Uyaynah se suna , unhon ne kaha ke hamain ko Salim Abu al-Nadr ne khabar di , unhon ne Umm al-Fadl (walda Abdullah bin Abbas) ke ghulam Umair se suna , woh Umm al-Fadl razi Allahu anha se bayan karte hain , unhon ne bayan kiya ke Arfa ke din Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke roze ke baare mein sahabah ikraam razi Allahu anhum ko shubha thu . Is liye main ne Aap ke liye ek bartan mein doodh bheja aur Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne usay pee liya . Humaydi kehte hain kabhi Sufyan is hadees ko yun bayan karte thay ke Arfa ke din Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke roze ke baare mein logon ko shubha thu is liye Umm al-Fadl ne Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ke liye (doodh) bheja . Kabhi Sufyan is hadees ko mursalan Umm al-Fadl se riwayat karte thay Salim aur Umair ka naam na lete . Jab in se poochte ke yeh hadees mursal hai ya marfoo muttasil to woh is waqt kehte (marfoo muttasil hai) Umm Fadl se marwi hai (jo sahabia thien) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5605
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي صالح وابي سفيان، عن جابر بن عبد الله، قال:" جاء ابو حميد بقدح من لبن من النقيع، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الا خمرته، ولو ان تعرض عليه عودا".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Jareer ne bayan kiya , in se Aamash ne , in se Abu Salih (Zakwan) aur Abu Sufyan (Talha bin Nafi Qurayshi) ne aur in se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Abu Humayd Saadi Maqam e Naqee se doodh ka ek piyala (khula hua) laaye to Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke usay dhak kar kyun nahi laaye ek lakri hi is par rakh lete .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5606
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: سمعت ابا صالح يذكر اراه، عن جابر رضي الله عنه، قال:" جاء ابو حميد رجل من الانصار من النقيع بإناء من لبن إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" الا خمرته، ولو ان تعرض عليه عودا". وحدثني ابو سفيان، عن جابر، عن النبي صلى الله عليه وسلم بهذا.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya , kaha hum se hamare walid ne bayan kiya , kaha hum se Aamash ne bayan kiya , kaha main ne Abu Salih se suna , jaisa ke mujhe yaad hai woh Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma se bayan karte thay ke unhon ne bayan kiya ke ek Ansari sahabi Abu Humayd Saadi razi Allahu anhu Maqam e Naqee se ek bartan mein doodh Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ke liye laaye . Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke usay dhak kar kyun nahi laaye , is par lakri hi rakh dete . Aur Aamash ne kaha ke mujh se Abu Sufyan ne bayan kiya , in se Jabir razi Allahanhu ne aur in se Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne yahi hadees bayan ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5607
حدثني محمود، اخبرنا النضر، اخبرنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، قال:" قدم النبي صلى الله عليه وسلم من مكة، وابو بكر معه، قال ابو بكر: مررنا براع وقد عطش رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال ابو بكر رضي الله عنه: فحلبت كثبة من لبن في قدح، فشرب حتى رضيت، واتانا سراقة بن جعشم على فرس، فدعا عليه فطلب إليه سراقة ان لا يدعو عليه وان يرجع، ففعل النبي صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Mahmood ne bayan kiya , kaha hum ko Abu al-Nadr ne khabar di , kaha hum ko Shubah ne khabar di , in se Abu Ishaq ne bayan kiya ke main ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam Makkah Mukarramah se tashreef laye to Abu Bakr razi Allahanhu Aap ke saath thay . Abu Bakr razi Allahanhu ne kaha ke (rasta mein) hum ek charwahe ke qareeb se guzre . Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam pyaase thay phir main ne ek piyale mein (charwahe se pooch kar) kuch doodh doha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne woh doodh piya aur is se mujhe khushi haasil hui aur Suraqa bin Jushum ghore par sawar hamare paas (ta-aqub karte huay) pahunch gaya . Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne is ke liye bad-dua ki . Aakhir us ne kaha ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam is ke haq mein bad-dua na karein aur woh wapas ho jaye ga . Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne aisa hi kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5608
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" نعم الصدقة اللقحة الصفي منحة" والشاة الصفي: منحة تغدو بإناء وتروح بآخر.
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hum se Abu al-Zinad ne bayan kiya , in se Abdur Rahman Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kiya hi umdah sadqa hai khoob doodh dene wali oontni jo kuch dinon ke liye kisi ko atiya ke taur par di gayi ho aur khoob doodh dene wali bakri jo kuch dinon ke liye atiya ke taur par di gayi ho jis se subah o shaam doodh bartan bhar bhar kar nikala jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5609
حدثنا ابو عاصم، عن الاوزاعي، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس رضي الله عنهما" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم شرب لبنا فمضمض، وقال: إن له دسما"
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya , in se Imam Awza'i ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , in se Ubaidullah bin Abdullah ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne doodh piya phir kulli ki aur farmaya ke is mein chaknahat hoti hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5610
وقال إبراهيم بن طهمان، عن شعبة، عن قتادة، عن انس بن مالك، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" رفعت إلى السدرة فإذا اربعة انهار نهران ظاهران ونهران باطنان، فاما الظاهران: النيل والفرات، واما الباطنان فنهران في الجنة، فاتيت بثلاثة اقداح قدح فيه لبن، وقدح فيه عسل، وقدح فيه خمر، فاخذت الذي فيه اللبن فشربت، فقيل لي: اصبت الفطرة انت وامتك"، قال هشام، وسعيد، وهمام: عن قتادة، عن انس بن مالك، عن مالك بن صعصعة، عن النبي صلى الله عليه وسلم: في الانهار نحوه، ولم يذكروا، ثلاثة اقداح.
Aur Ibrahim bin Tahman ne kaha ke in se Shubah ne , in se Qatadah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya , in se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab mujhe Sidrat-ul-Muntaha tak le jaya gaya to wahan main ne char nahrein dekhein . Do zhahiri nahrein aur do baatini . Zhahiri nahrein to Neel aur Furat hain aur baatini nahrein jannat ki do nahrein hain . Phir meere paas teen piyale laaye gaye ek piyale mein doodh thu , doosre mein shehad thu aur teesre mein sharab ku . Main ne woh piyala liya jis mein doodh thu aur piya . Is par mujh se kaha gaya ke tum ne aur tumhari ummat ne asal fitrat ko pa liya . Hisham , Saeed aur Humam ne Qatadah se , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se , unhon ne Malik bin Sasa'a razi Allahu anhu se yeh hadees riwayat ki hai . Is mein nadiyon ka zikr to aisa hi hai lekin teen piyalon ka zikr nahi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ اسْتِعْذَابِ الْمَاءِ:
Meetha paani dhoondna.
Show diacritics
Hadith Number: 5611
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن إسحاق بن عبد الله انه سمع انس بن مالك، يقول:" كان ابو طلحة اكثر انصاري بالمدينة مالا من نخل، وكان احب ماله إليه بيرحاء، وكانت مستقبل المسجد، وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخلها ويشرب من ماء فيها طيب، قال انس: فلما نزلت لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92. قام ابو طلحة، فقال: يا رسول الله، إن الله يقول: لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92 وإن احب مالي إلي بيرحاء، وإنها صدقة لله ارجو برها وذخرها عند الله، فضعها يا رسول الله حيث اراك الله، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: بخ ذلك مال رابح او رايح، شك عبد الله، وقد سمعت ما قلت، وإني ارى ان تجعلها في الاقربين، فقال ابو طلحة: افعل يا رسول الله: فقسمها ابو طلحة في اقاربه، وفي بني عمه، وقال إسماعيل، ويحيى بن يحيى: رايح".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne, in se Ishaq bin Abdullah ne, unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Abu Talha razi Allahu anhu ke paas Madinah ke tamam Ansar mein sab se zyada khajoor ke baghat thay aur in ka sab se pasandeeda maal Bairaha ka bagh tha. Yeh Masjid e Nabwi ke samne hi tha aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam wahan tashreef le jaate thay aur is ka umdah pani peete thay. Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke phir jab aayat «lan tanaalul-birra hatta tunfiqoo mimma tuhibboona» ”tum hargiz naiki nahi pao ge jab tak woh maal na kharch karo jo tumhein azeez ho.“ Nazil hui to Abu Talha razi Allahu anhu khare huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Allah Ta-ala farmata hai «lan tanaalul-birra hatta tunfiqoo mimma tuhibboona» ”tum hargiz naiki ko nahi pao ge jab tak woh maal na kharch karo jo tumhein azeez ho.“ Aur mujhe apne maal mein sab se zyada azeez Bairaha ka bagh hai aur woh Allah Ta-ala ke rasta mein sadqa hai, is ka sawab aur ajar main Allah ke yahan paane ki umeed rakhta hoon, is liye ya Rasool Allah! Aap jahan usay munasib khayal farmayein kharch karein. Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khoob yeh bahut hi faida-bakhsh maal hai ya (is ke bajaye Aap ne) «ra-ih» (ya ke saath farmaya). Rawi e hadees Abdullah ko is mein shak tha (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se mazeed farmaya ke) jo kuch tu ne kaha hai main ne sun liya mera khayal hai ke tum usay apne rishta-daron ko de do. Abu Talha razi Allahu anhu ne arz kiya ke aisa hi karoon ga ya Rasool Allah! Chunanche unhon ne apne rishta-daron apne chacha ke larkon mein usay taqseem kar diya. Aur Ismail aur Yahya bin Yahya ne «ra-ih» ka lafz naqal kiya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة