الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ ذَبَائِحِ أَهْلِ الْكِتَابِ وَشُحُومِهَا مِنْ أَهْلِ الْحَرْبِ وَغَيْرِهِمْ:
Ahl-e-kitaab ke zabeehe aur un zabeehon ki charbi ka bayaan.
Hadith Number: 5508
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن حميد بن هلال، عن عبد الله بن مغفل رضي الله عنه، قال:" كنا محاصرين قصر خيبر فرمى إنسان بجراب فيه شحم فنزوت لآخذه، فالتفت فإذا النبي صلى الله عليه وسلم فاستحييت منه".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Humayd bin Hilal ne aur in se Abdullah bin Mugaffal razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Khaibar ke qile ka muasira kiye huay thay ke ek shakhs ne ek thaila phenka jis mein (Yahudiyon ke zabiha ki) charbi ku. Main is par jhapat-ta ke utha loon lekin murr ke jo dekha to peeche Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam tashreef-farma thay. Main Aap salla Allahu alaihi wasallam ko dekh kar sharma gaya. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke (aayat mein) «ta-aamuhum» se murad Ahl e Kitab ka zibah-karda janwar hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا نَدَّ مِنَ الْبَهَائِمِ فَهْوَ بِمَنْزِلَةِ الْوَحْشِ:
Is bayaan mein ke jo paalto janwar badak jaaye woh jungli janwar ke hukm mein hai.
Hadith Number: Q5509
واجازه ابن مسعود، وقال ابن عباس:" ما اعجزك من البهائم مما في يديك فهو كالصيد وفي بعير تردى في بئر من حيث قدرت عليه فذكه، وراى ذلك علي، وابن عمر، وعائشة".
Ibn Masood razi Allahu anhuma ne bhi is ki ijazat di hai. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke jo janwar tumhare qaboo mein hone के bawajood tumhein aajiz kar de (aur zibah na karne de) woh bhi shikar hi ke hukm mein hai aur (farmaya ke) oont agar kunwien mein gir jayein to jis taraf se mumkin ho usay zibah kar lo. Ali, Ibn Umar aur Aisha razi Allahu anhum ka yahi fatwa hai.
Hadith Number: 5509
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى، حدثنا سفيان، حدثنا ابي، عن عباية بن رفاعة بن رافع بن خديج، عن رافع بن خديج، قال: قلت: يا رسول الله، إنا لاقو العدو غدا وليست معنا مدى، فقال: اعجل او ارن ما انهر الدم وذكر اسم الله فكل، ليس السن والظفر، وساحدثك: اما السن فعظم، واما الظفر فمدى الحبشة"، واصبنا نهب إبل وغنم فند منها بعير فرماه رجل بسهم فحبسه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن لهذه الإبل اوابد كاوابد الوحش، فإذا غلبكم منها شيء فافعلوا به هكذا".
Hum se Amr bin Ali ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, in se un ke walid ne, in se Abayah bin Rifaa bin Rafi bin Khadeej ne aur in se Rafi bin Khadeej razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne arz ki: ya Rasool اللہ! Kal hamara muqabla dushman se ho ga aur hamare paas chhurriyaan nahi hain? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir jaldi kar lo ya (is ke bajaye) «aran» kaha yani jaldi kar lo jo aala khoon baha de aur zabiha par Allah ka naam liya gaya ho to usay khao. Albatta daant aur nakhun na hona chahiye aur is ki wajah bhi bata doon. Daant to haddi hai aur nakhun Habshiyon ki chhurri hai. Aur hamain ghaneemat mein oont aur bakriyaan milien in mein se ek oont bharak kar bhaag para to ek sahab ne teer se maar kar gira liya. Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh oont bhi baaz auqat jangli janwaron ki tarah bharakte hain, is liye agar in mein se bhi koi tumhare qaboo se bahar ho jaye to is ke saath aisa hi karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النَّحْرِ وَالذَّبْحِ:
Nahr aur zabah ke bayaan mein.
Hadith Number: Q5510
وقال ابن جريج، عن عطاء:" لا ذبح ولا منحر، إلا في المذبح والمنحر"، قلت: ايجزي ما يذبح ان انحره؟ قال: نعم ذكر الله ذبح البقرة فإن ذبحت شيئا ينحر جاز، والنحر احب إلي والذبح قطع الاوداج، قلت: فيخلف الاوداج حتى يقطع النخاع؟ قال: لا إخال، واخبرني نافع ان ابن عمر نهى عن النخع، يقول: يقطع ما دون العظم ثم يدع حتى تموت، وقول الله تعالى: وإذ قال موسى لقومه إن الله يامركم ان تذبحوا بقرة سورة البقرة آية 67، وقال: فذبحوها وما كادوا يفعلون سورة البقرة آية 71 وقال سعيد: عن ابن عباس:" الذكاة في الحلق واللبة"، وقال ابن عمر، وابن عباس، وانس:" إذا قطع الراس فلا باس".
Aur Jurayj ne Ata se bayan kiya ke zibah aur nahar, sirf zibah karne ki jagah yani (halaq par) aur nahar karne ki jagah yani (seene ke oopar ke hissa) mein hi ho sakta hai. Main ne poochha kiya jin janwaron ko zibah kiya jata hai (halaq par chhurri pher kar) unhein nahar karna (seene ke oopar ke hissa mein chhurri maar kar zibah karna) kafi ho ga? Unhon ne kaha ke haan Allah ne (Quran Majeed mein) gaye ko zibah karne ka zikr kiya hai pas agar tum kisi janwar ko zibah karo jise nahar kiya jata hai (jaise oont) to jaiz hai lekin meri rai mein usay nahar karna hi behtar hai zibah gardan ki ragon ka kaatna hai. Main ne kaha ke gardan ki ragon kaatte huay kiya haram-maghaz bhi kaat diya jaye ga? Unhon ne kaha ke main usay zaroori nahi samajhta aur mujhe Nafi ne khabar di ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne haram-maghaz kaatne se mana kiya hai. Aap ne farmaya sirf gardan ki haddi tak (ragon ko) kaata jaye ga aur chhorr diya jaye ga taake janwar mar jaye aur Allah Ta'ala ka (Surah al-Baqarah mein) farman «wa izha qaala Musa li-qaumihi innallaha ya-murukum an tazh-bahoo baqaratan» ”aur jab Musa alaihissalam ne apni qaum se kaha ke bilashubha Allah tumhein hukm deta hai ke tum ek gaye zibah karo.“ Aur farmaya «fazh-bahooha wama kaadoo yaf-aloona» ”phir unhon ne zibah kiya aur woh karne wale nahi thay.“ Saeed ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se bayan kiya zibah halaq mein bhi kiya ja sakta hai aur seene ke oopar ke hissa mein bhi. Ibn Umar, Ibn Abbas aur Anas razi Allahu anhum ne kaha ke agar sar kat jaye ga to koi haraj nahi.
Hadith Number: 5510
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا سفيان، حدثنا هشام بن عروة، قال: اخبرتني فاطمة بنت المنذر امراتي، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، قالت:" نحرنا على عهد النبي صلى الله عليه وسلم فرسا فاكلناه".
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne kaha ke mujhe meri biwi Fatima bint Munzhir ne khabar di in se Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke hum ne Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke zamane mein ek ghora nahar kiya aur usay khaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5511
حدثنا إسحاق، سمع عبدة، عن هشام، عن فاطمة، عن اسماء، قالت:" ذبحنا على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم فرسا ونحن بالمدينة فاكلناه".
Hum se Ishaq ne bayan kiya, unhon ne Abdah se suna, unhon ne Hisham se, unhon ne Fatima se aur in se Asmaa razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein hum ne ek ghora zibah kiya aur is ka gosht khaya is waqt hum Madinah mein thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5512
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن هشام، عن فاطمة بنت المنذر، ان اسماء بنت ابي بكر، قالت:" نحرنا على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم فرسا فاكلناه". تابعه وكيع، وابن عيينة، عن هشام في النحر.
Hum se Qutaybah ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, in se Hisham ne, in se Fatima bint Munzhir ne ke Asmaa bint Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein hum ne ek ghore ko nahar kiya (is ke seene ke oopar ke hissa mein chhurri maar kar) phir usay khaya. Is ki mutabia-t Waki aur Ibn Uyaynah ne Hisham se «nahara» ke zikr ke saath ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ الْمُثْلَةِ وَالْمَصْبُورَةِ وَالْمُجَثَّمَةِ:
Zinda janwar ke paaon waghera kaatna ya usay band kar ke teer maarna ya baandh kar usay teeron ka nishana banana jaiz nahin hai.
Hadith Number: 5513
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن هشام بن زيد، قال: دخلت مع انس على الحكم بن ايوب، فراى غلمانا او فتيانا نصبوا دجاجة يرمونها، فقال انس:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان تصبر البهائم".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, in se Hisham bin Zayd ne, kaha ke main Anas razi Allahu anhu ke saath Hakam bin Ayub ke yahan gaya, unhon ne wahan chand larkon ko ya nau-jawanon ko dekha ke ek murghi ko baandh kar is par teer ka nishana laga rahe hain to unhon ne kaha ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne zinda janwar ko baandh kar maarne se mana farmaya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5514
حدثنا احمد بن يعقوب، اخبرنا إسحاق بن سعيد بن عمرو، عن ابيه انه سمعه يحدث، عن ابن عمر رضي الله عنهما، انه دخل على يحيى بن سعيد، وغلام من بني يحيى رابط دجاجة يرميها، فمشى إليها ابن عمر حتى حلها، ثم اقبل بها، وبالغلام معه، فقال: ازجروا غلامكم عن ان يصبر هذا الطير للقتل، فإني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم" نهى ان تصبر بهيمة او غيرها للقتل".
Hum se Ahmad bin Yaqoob ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Ishaq bin Saeed bin Amr ne khabar di, unhon ne apne walid se suna ke woh Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se bayan karte thay ke woh Yahya bin Saeed ke yahan tashreef le gaye. Yahya ki aulad mein ek bacha ek murghi baandh kar is par teer ka nishana laga raha tha۔ Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma murghi ke paas gaye aur usay khol liya phir murghi ko aur bache ko apne saath laye aur Yahya se kaha ke apne bacha ko mana kar do ke is janwar ko baandh kar na maare kyunke main ne Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Aap ne kisi jangli janwar ya kisi bhi janwar ko baandh kar jaan se maarne se mana farmaya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5515
حدثنا ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، قال: كنت عند ابن عمر فمروا بفتية او بنفر نصبوا دجاجة يرمونها، فلما راوا ابن عمر تفرقوا عنها، وقال ابن عمر: من فعل هذا؟" إن النبي صلى الله عليه وسلم لعن من فعل هذا". تابعه سليمان، عن شعبة.
Hum se Abu al-Nuayman ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne, in se Abu Bishr ne, in se Saeed bin Jubayr ne ke main Ibn Umar razi Allahu anhuma ke saath thu woh chand jawanon ya (yeh kaha ke) chand aadmiyon ke paas se guzre jinon ne ek murghi baandh rakkhi ku aur is par teer ka nishana laga rahe thay jab unhon ne Ibn Umar razi Allahu anhuma ko dekha to wahan se bhaag gaye. Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha yeh kaun kar raha thu? Aaisa karne walon par Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne lanat bheji hai. Is ki mutabia-t Sulayman ne Shubah se ki hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة