الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ التَّسْمِيَةِ عَلَى الصَّيْدِ:
Shikaar par Bismillah parhna.
Show diacritics
Hadith Number: Q5475
وقوله تعالى: {يا ايها الذين آمنوا ليبلونكم الله بشيء من الصيد} إلى قوله: {عذاب اليم}. وقوله جل ذكره: {احلت لكم بهيمة الانعام إلا ما يتلى عليكم} إلى قوله: {فلا تخشوهم واخشون} وقال ابن عباس: العقود العهود، ما احل وحرم {إلا ما يتلى عليكم} الخنزير. {يجرمنكم} يحملنكم {شنآن} عداوة {المنخنقة} تخنق فتموت {الموقوذة} تضرب بالخشب يوقذها فتموت {والمتردية} تتردى من الجبل {والنطيحة} تنطح الشاة، فما ادركته يتحرك بذنبه او بعينه فاذبح وكل.
‏‏‏‏ Aur Allah Ta'ala ka farman ”pas tum itraz karne wale kafiron se na dro aur mujh se dro.“ Aur Allah Ta'ala ka isi Surah al-Maidah mein farman ke ”Ae Iman walon! Allah Ta'ala tumhein kuch shikar dikhla kar aazmaye ga jis tak tumhare hath aur tumhare nezay pahunch sakein ge.“ al-aayah aur Allah Ta'ala ka isi Surah al-Maidah mein farman ke ”tumhare liye chaupaye maveshi halal kiye gaye siwa in ke jin ka zikr tum se kiya jata hai (murdar aur suar waghaira) aur Allah Ta'ala ka farman ke ”pas tum (in kafiron) se na dro aur mujh hi se dro.“ Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «al-uquud» se murad halal o haram se mutalliq ahad o paiman. «illa ma yutla alaykum» se suar, murdar, khoon waghaira murad hai. «yajrimannakum» bais bane. «shana-an» ke maani adawat dushmani. «al-munkhaniqah» jis janwar ka gala ghount kar maar diya gaya ho aur is se woh mar gaya ho. «al-mouqoozha» jise lakri ya patthar se maara jaye aur is se woh mar jaye. «al-mutarad-diya» jo pahar se phisal kar gir pare aur mar jaye. «al-nateehah» jis ko kisi janwar ne seing se maar diya ho. Pas agar tum usay dum hilate huay ya aankh ghumate huay pao to zibah kar ke kha lo kyunke yeh is ke zinda hone ki daleel hai.


Show diacritics
Hadith Number: 5475
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زكرياء، عن عامر، عن عدي بن حاتم رضي الله عنه، قال: سالت النبي صلى الله عليه وسلم عن صيد المعراض؟ قال:" ما اصاب بحده فكله، وما اصاب بعرضه فهو وقيذ"، وسالته عن صيد الكلب؟ فقال:" ما امسك عليك فكل، فإن اخذ الكلب ذكاة، وإن وجدت مع كلبك او كلابك كلبا غيره فخشيت ان يكون اخذه معه وقد قتله، فلا تاكل، فإنما ذكرت اسم الله على كلبك ولم تذكره على غيره".
Hum se Abu Nuaym Fadl bin Dukain ne bayan kiya, kaha hum se Zakariya bin Abi Zaidah ne bayan kiya, in se Aamir Shabi ne, in se Adi bin Hatim razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se be-par ke teer ya lakri ya gazz se shikar ke baare mein poochha to Aap ne farmaya ke agar is ki noak shikar ko lag jaye to kha lo lekin agar is ki arz ki taraf se shikar ko lage to woh na khao kyunke woh «mouqoozha» hai aur main ne Aap se kutte ke shikar ke baare mein sawal kiya to Aap ne farmaya ke jise woh tumhare liye rakkhe (yani woh khud na khaye) usay kha lo kyunke kutte ka shikar ko pakar lena yeh bhi zibah karna hai aur agar tum apne kutte ya kutton ke saath koi doosra kutta bhi pao aur tumhein andesha ho ke tumhare kutte ne shikar is doosre ke saath pakra ho ga aur kutta shikar ko maar chuka ho to aisa shikar na khao kyunke tum ne Allah ka naam (Bismillah parh kar) apne kutte par liya tha doosre kutte par nahi liya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَيْدِ الْمِعْرَاضِ:
Be par ke teer yani lakri gaz waghera se shikaar karne ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q5476
وقال ابن عمر في المقتولة بالبندقة، تلك الموقوذة، وكرهه سالم، والقاسم، ومجاهد، وإبراهيم، وعطاء، والحسن، وكره الحسن رمي البندقة في القرى والامصار ولا يرى باسا فيما سواه.
‏‏‏‏ Aur Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ghallay se mar jaane wale shikar ke mutalliq kaha ke woh bhi «mouqoozha» (bojh ke dabao se mara hua hai jo haram hai) aur Salim, Qasim, Mujahid, Ibrahim, Ata aur Imam Hasan Basri rahimahumullah ajmaeen ne is ko makrooh rakkha hai. Imam Hasan Basri rahmahullah gaon aur shehron mein ghallay chalaane ko makrooh samajhte thay aur in ke siwa doosri jagahon (maidan, jangal waghaira) mein koi muzayiqa nahi samajhte thay.


Show diacritics
Hadith Number: 5476
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عبد الله بن ابي السفر، عن الشعبي، قال: سمعت عدي بن حاتم رضي الله عنه، قال:" سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم عن المعراض؟ فقال: إذا اصبت بحده فكل فإذا اصاب بعرضه فقتل فإنه وقيذ، فلا تاكل، فقلت: ارسل كلبي، قال: إذا ارسلت كلبك وسميت فكل، قلت: فإن اكل؟ قال: فلا تاكل، فإنه لم يمسك عليك إنما امسك على نفسه، قلت: ارسل كلبي فاجد معه كلبا آخر، قال: لا تاكل، فإنك إنما سميت على كلبك ولم تسم على آخر".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abdullah bin Abi al-Safar ne, in se Shabi ne kaha ke main ne Adi bin Hatim razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se be-par ke teer ya lakri gazz se shikar ke baare mein poochha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum is ki noak se shikar ko maar lo to usay khao lekin agar is ki arz ki taraf se shikar ko lage aur is se woh mar jaye to woh «mouqoozha» (murdar) hai usay na khao. Main ne sawal kiya ke main apna kutta bhi (shikar ke liye) dorata hoon? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum apne kutte par Bismillah parh kar shikar ke peeche dorao to woh shikar kha sakte ho. Main ne poochha aur agar woh kutta shikar mein se kha le? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir na khao kyunke woh shikar is ne tumhare liye nahi pakra tha, sirf apne liye pakra tha. Main ne poochha main baaz waqt apna kutta chhorrta hoon aur baad mein is ke saath doosra kutta bhi paata hoon? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir (is ka shikar) na khao kyunke tum ne Bismillah sirf apne kutte par parhi hai, doosre par nahi parhi hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا أَصَابَ الْمِعْرَاضُ بِعَرْضِهِ:
Jab be par ke teer ya lakri ke arz se shikaar maara jaaye to us ka kya hukm hai?
Show diacritics
Hadith Number: 5477
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن منصور، عن إبراهيم، عن همام بن الحارث، عن عدي بن حاتم رضي الله عنه، قال:" قلت: يا رسول الله، إنا نرسل الكلاب المعلمة، قال: كل ما امسكن عليك، قلت: وإن قتلن؟ قال: وإن قتلن، قلت: وإنا نرمي بالمعراض، قال: كل ما خزق وما اصاب بعرضه فلا تاكل".
Hum se Qubaysah bin Utbah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Mansoor bin Mutamir ne, in se Ibrahim Nakhai ne, in se Humam bin al-Haris ne aur in se Adi bin Hatim razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Hum sikhaye huay kutte (shikar par) chhorrte hain? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shikar woh sirf tumhare liye rakkhe usay khao. Main ne arz kiya agarchay kutte shikar ko maar daalein. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (haan) agarchay maar daalein! Main ne arz kiya ke hum be-par ke teer ya lakri se shikar karte hain? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar in ki dhaar usay zakhmi kar ke phaar daale to khao lekin agar in ke arz se shikar maara jaye to usay na khao (woh murdar hai).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَيْدِ الْقَوْسِ:
Teerkaaman se shikaar karne ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q5478
وقال الحسن، وإبراهيم، إذا ضرب صيدا فبان منه يد او رجل لا تاكل الذي بان وكل سائره، وقال إبراهيم: إذا ضربت عنقه او وسطه فكله، وقال الاعمش، عن زيد: استعصى على رجل من آل عبد الله حمار فامرهم ان يضربوه حيث تيسر دعوا ما سقط منه وكلوه.
‏‏‏‏ Aur Imam Hasan Basri rahmahullah aur Ibrahim Nakhai rahmahullah ne kaha ke jab kisi shakhs ne Bismillah keh kar teer ya talwar se shikar ko maara aur is ki wajah se shikar ka hath ya paon juda ho gaya to jo hissa juda ho gaya woh na khao aur baqi kha lo aur Ibrahim Nakhai rahmahullah ne kaha ke jab shikar ki gardan par ya is ke darmiyan mein maaro to kha sakte ho aur Aamash ne Zayd se riwayat kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki aal ke ek shakhs se ek neel-gaye bharak gayi to Abdullah razi Allahu anhu ne unhein hukm diya ke jahan mumkin ho sake wahien usay zakham lagayein (aur kaha ke) gor-khar ka jo hissa (maarte waqt) kat kar gir gaya ho usay tum chhorr do aur baqi kha sakte ho.


Show diacritics
Hadith Number: 5478
حدثنا عبد الله بن يزيد، حدثنا حيوة، قال: اخبرني ربيعة بن يزيد الدمشقي، عن ابي إدريس، عن ابي ثعلبة الخشني، قال:" قلت: يا نبي الله إنا بارض قوم من اهل الكتاب افناكل في آنيتهم؟ وبارض صيد اصيد بقوسي وبكلبي الذي ليس بمعلم، وبكلبي المعلم فما يصلح لي؟ قال: اما ما ذكرت من اهل الكتاب فإن وجدتم غيرها فلا تاكلوا فيها، وإن لم تجدوا فاغسلوها، وكلوا فيها وما صدت بقوسك فذكرت اسم الله فكل، وما صدت بكلبك المعلم فذكرت اسم الله فكل، وما صدت بكلبك غير معلم فادركت ذكاته فكل".
Hum se Abdullah bin Yazid Muqbiri ne bayan kiya, kaha hum se Haywah bin Shurayh ne bayan kiya, kaha ke mujhe Rabia bin Yazid Dimashqi ne khabar di, unhein Abu Idrees Aiz-ullah Khaulani ne, unhein Abu Thalaba Khushni razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! Hum Ahl e Kitab ke gaon mein rehte hain to kiya hum in ke bartan mein kha sakte hain? Aur hum aaisi zameen mein rehte hain jahan shikar bahut hota hai. Main teer-kaman se bhi shikar karta hoon aur apne is kutte se bhi jo sikhaya hua nahi hai aur is kutte se bhi jo sikhaya hua hai to is mein se kis ka khana mere liye jaiz hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum ne jo Ahl e Kitab ke bartan ka zikr kiya hai to agar tumhein is ke siwa koi aur bartan mil sake to is mein na khao lekin tumhein koi doosra bartan na mile to in ke bartan ko khoob dho kar is mein kha sakte ho aur jo shikar tum apni teer-kaman se karo aur (teer phenkte waqt) Allah ka naam liya ho to (is ka shikar) kha sakte ho aur jo shikar tum ne ghair-sudhaye huay kutte se kiya ho aur shikar khud zibah kiya ho to usay kha sakte ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْخَذْفِ وَالْبُنْدُقَةِ:
Ungli se chhote chhote sang reze aur ghale maarna.
Show diacritics
Hadith Number: 5479
حدثنا يوسف بن راشد، حدثنا وكيع، ويزيد بن هارون، واللفظ ليزيد، عن كهمس بن الحسن، عن عبد الله بن بريدة، عن عبد الله بن مغفل انه راى رجلا يخذف، فقال له: لا تخذف فإن رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن الخذف، او كان يكره الخذف، وقال: إنه لا يصاد به صيد، ولا ينكى به عدو، ولكنها قد تكسر السن وتفقا العينن"، ثم رآه بعد ذلك يخذف، فقال له: احدثك عن رسول الله صلى الله عليه وسلم انه نهى عن الخذف او كره الخذف، وانت تخذف، لا اكلمك كذا وكذا.
Hum se Yusuf bin Rashid ne bayan kiya, kaha hum se Waki aur Yazid bin Haroon ne bayan kiya aur alfaz hadees Yazid ke hain, in se Kahmas bin Hasan ne, in se Abdullah bin Buraydah ne, Abdullah bin Mugaffal razi Allahu anhu ne ek shakhs ko kankari phenkte dekha to farmaya ke kankari na phenko kyunke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kankari phenkne se mana farmaya hai ya (unhon ne bayan kiya ke) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kankari phenkne ko pasand nahi karte thay aur kaha ke is se na shikar kiya ja sakta hai aur na dushman ko koi nuqsan pahunchaya ja sakta hai albatta yeh kabhi kisi ka daant torr deti hai aur aankh phorr deti hai. Is ke baad bhi unhon ne is shakhs ko kankriyaan phenkte dekha to kaha ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki hadees tumhein suna raha hoon ke Aap ne kankari phenkne se mana farmaya ya kankari phenkne ko napasand kiya aur tum ab bhi phenke ja rahe ho, main tum se itne dinon tak kalam nahi karoon ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنِ اقْتَنَى كَلْبًا لَيْسَ بِكَلْبِ صَيْدٍ أَوْ مَاشِيَةٍ:
Is ke bayaan mein jis ne aisa kutta paala jo na shikaar ke liye ho aur na maweshi ki hifazat ke liye.
Show diacritics
Hadith Number: 5480
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد العزيز بن مسلم، حدثنا عبد الله بن دينار، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من اقتنى كلبا ليس بكلب ماشية او ضارية، نقص كل يوم من عمله قيراطان".
Hum se Muslim bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Aziz bin Muslim ne bayan kiya, in se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne aisa kutta pala jo na maveshi ki hifazat ke liye hai aur na shikar karne ke liye to rozana is ki nekiyon mein se do qiraat ki kami ho jati hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5481
حدثنا المكي بن إبراهيم، اخبرنا حنظلة بن ابي سفيان، قال: سمعت سالما، يقول: سمعت عبد الله بن عمر، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من اقتنى كلبا إلا كلبا ضاريا لصيد او كلب ماشية فإنه ينقص من اجره كل يوم قيراطان".
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Hanzalah bin Abi Sufyan ne khabar di, unhon ne kaha ke main ne Salim se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke shikariyon aur maveshi ki hifazat ki gharz ke siwa jis ne kutta pala to is ke sawab mein se rozana do qiraat ki kami ho jati hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة