الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ غَزْوَةُ خَيْبَرَ:
Bab: Ghazwah-e-Khaybar ka bayan.
Hadith Number: 4220
حدثنا سعيد بن سليمان، حدثنا عباد، عن الشيباني، قال: سمعت ابن ابي اوفى رضي الله عنهما، اصابتنا مجاعة يوم خيبر، فإن القدور لتغلي، قال: وبعضها نضجت، فجاء منادي النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تاكلوا من لحوم الحمر شيئا واهرقوها"، قال ابن ابي اوفى: فتحدثنا انه إنما نهى عنها لانها لم تخمس، وقال بعضهم: نهى عنها البتة لانها كانت تاكل العذرة.
Hum se Saeed Bin Sulaiman ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abbad ne bayan kiya ‘ in se Shaibani ne bayan kiya aur unhon ne Ibn Abi Aufa Radi Allahu Anhuma se suna ke Ghazwa Khaibar mein ek mauqe par hum bahut bhooke thay ‘ udhar handiyon mein ubaal aa raha tha (gadhe ka gosht pakaya ja raha tha) aur kuch pak bhi gayin thin ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke munadi ne elaan kiya ke gadhe ke gosht ka ek zarra bhi na khao aur ise phenk do. Ibn Abi Aufa Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke phir baaz logon ne kaha ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne is ki mamanat is liye ki hai ke abhi is mein se khums nahi nikala gaya tha aur baaz logon ka khayal tha ke Aap ne is ki waqeyi mamanat (hamesha ke liye) kar di hai ‘ kyunke ye gandagi khata hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4221
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عدي بن ثابت، عن البراء، وعبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنهم:" انهم كانوا مع النبي صلى الله عليه وسلم فاصابوا حمرا، فطبخوها، فنادى منادي النبي صلى الله عليه وسلم: اكفئوا القدور".
Hum se Hajjaj Bin Minhal ne bayan kiya ‘ kaha hum se Shuba ne bayan kiya ‘ kaha mujh ko Adi Bin Sabit ne khabar di aur unhein Bara aur Abdullah Bin Abi Aufa Radi Allahu Anhuma ne ke wo log Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath thay ‘ phir unhein gadhe mile to unhon ne un ka gosht pakaya lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke munadi ne elaan kiya ke handiyan undail do
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4222

Hadith Number: 4223
حدثني إسحاق، حدثنا عبد الصمد، حدثنا شعبة، حدثنا عدي بن ثابت، سمعت البراء، وابن ابي اوفى رضي الله عنهم، يحدثان عن النبي صلى الله عليه وسلم , انه قال يوم خيبر وقد نصبوا القدور:" اكفئوا القدور".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abd-us-Samad ne bayan kiya ‘ kaha hum se Shuba ne bayan kiya ‘ in se Adi Bin Sabit ne bayan kiya ‘ unhon ne Bara Bin Azib aur Abdullah Bin Abi Aufa Radi Allahu Anhum se suna. Ye hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se bayan karte thay ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Khaibar ke mauqe par farmaya tha ke handiyon ka gosht phenk do ‘ is waqt handiyan chulhe par rakhi ja chuki thin
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4224

Hadith Number: 4225
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya ‘ in se Shuba ne bayan kiya ‘ in se Adi Bin Sabit ne aur in se Bara Bin Azib Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath ghazwa mein shareek thay phir pehli hadees ki tarah riwayat naqal ki
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4226
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا ابن ابي زائدة، اخبرنا عاصم، عن عامر، عن البراء بن عازب رضي الله عنهما، قال:" امرنا النبي صلى الله عليه وسلم في غزوة خيبر ان نلقي الحمر الاهلية نيئة ونضيجة، ثم لم يامرنا باكله بعد".
Mujh se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya ‘ kaha hum ko Ibn Abi Zaida ne khabar di ‘ kaha hum Asim ko ne khabar di ‘ unhein Amir ne aur in se Bara Bin Azib Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Ghazwa Khaibar ke mauqe par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukm diya ke paltu gadhon ka gosht hum phenk dein ‘ kacha bhi aur paka hua bhi ‘ phir humein is ke khane ka kabhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukm nahi diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4227
حدثني محمد بن ابي الحسين، حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، عن عاصم، عن عامر، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" لا ادري انهى عنه رسول الله صلى الله عليه وسلم من اجل انه كان حمولة الناس فكره ان تذهب حمولتهم، او حرمه في يوم خيبر لحم الحمر الاهلية؟".
Mujh se Muhammad Bin Abi Al-Husain ne bayan kiya ‘ kaha hum se Umar Bin Hafs ne bayan kiya ‘ kaha mujh se mere walid ne ‘ in se Abu Asim ne bayan kiya ‘ in se Amir ne aur in se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke mujhe maloom nahi ke aaya Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne gadhe ka gosht khane se is liye mana kiya tha ke is se bojh dhone wale ka kaam liya jata hai aur Aap ne pasand nahi farmaya ke bojh dhone wale janwar khatam ho jayein ya Aap ne sirf Ghazwa Khaibar ke mauqe par paltu gadhon ke gosht ki mamanat ki thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4228
حدثنا الحسن بن إسحاق، حدثنا محمد بن سابق، حدثنا زائدة، عن عبيد الله بن عمر، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" قسم رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم خيبر للفرس سهمين، وللراجل سهما"، قال: فسره نافع فقال: إذا كان مع الرجل فرس فله ثلاثة اسهم، فإن لم يكن له فرس فله سهم".
Hum se Hasan Bin Ishaq ne bayan kiya ‘ kaha hum se Muhammad Bin Sabiq ne bayan kiya ‘ kaha hum se Zaida ne bayan kiya ‘ in se Ubaidullah Bin Umar ne ‘ in se Nafi ne aur in se Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Khaibar mein (maal-e-ghanimat se) sawaron ko do hisse diye thay aur paidal faujiyon ko ek hissa ‘ is ki tafseer Nafi ne is tarah ki hai agar kisi shakhs ke sath ghora hota to ise teen hisse milte thay aur agar ghora na hota to sirf ek hissa milta tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4229
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، ان جبير بن مطعم، اخبره، قال: مشيت انا وعثمان بن عفان إلى النبي صلى الله عليه وسلم , فقلنا: اعطيت بني المطلب من خمس خيبر، وتركتنا ونحن بمنزلة واحدة منك، فقال:" إنما بنو هاشم وبنو المطلب شيء واحد"، قال جبير: ولم يقسم النبي صلى الله عليه وسلم لبني عبد شمس، وبني نوفل شيئا".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya ‘ in se Yunus ne ‘ in se Ibn Shihab ne ‘ in se Saeed Bin Musayyab ne aur unhein Jubair Bin Mut'im Radi Allahu Anhu ne khabar di ke mein aur Usman Bin Affan Radi Allahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hue. Hum ne arz kiya ke Aap ne Banu Muttalib ko to Khaibar ke khums mein se inayait farmaya hai aur humein nazar andaz kar diya hai halanke Aap se qarabat mein hum aur wo baraber thay. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya yaqeenan Banu Hashim aur Banu Muttalib ek hain. Jubair Bin Mut'im Radi Allahu ne bayan kiya ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Banu Abd Shams aur Banu Naufal ko (khums mein se) kuch nahi diya tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة